Jump to content

Login Problem


سگِ عطار

تجویز کردہ جواب

(salam)

mujhay dukh hai key abhi tak sub members key sath login wala problem solve nhin howa..

per kuch khushi hai key kafi key sath ho gaya...

 

main yahaan kuch tips share kerta hoon.. jin key sath hai woh is bat per khas tawajo kerein...

 

kisi bhi board ya login site per COOKIE buhut hi aehmiyat rakhti hai.. jis ki wajah sey hamara PC humein us site server per REMEMBER rakhta hai.. jo IM ka problem chal raha hai woh yeh hai key yeh cookie drop ker deta hai. jis ki wajah sey user logout ho jata hai..

 

Pehlay tu yeh cookie create hi nhin ker raha tha jis ki wajah sey yeh masla kafi users key sath tha.. abhi cookie banata hai per ager IM ki dosri cookie ya baghair cookie key aik TOPIC bhi open ho jaye tu woh hamari login cookie ko drop ker deta hai jis ki wajah sey phir sey logout...

 

is ko aap yon samjhye.. key ZAID ney aik topic post kiya... us ka yeh URL banta hai..

 

islamimehfil.info/forum/index.php?s=348dashfale934dsdsdke&showtopic=1601

 

is mein "s=348dashfale934dsdsdke&" yeh cookie address hai.. jo key zaid key PC per mojod hai..

 

aur yeh topic URL hai..

 

www.islamimehfil.info/forum/index.php?showtopic=1601

 

is mein koi cookie address nhin hai..

 

aub ZAID ney BAKAR ko chating per ya kisi zareye sey oper waley link mein sey koi bhi link send ker diya... aur BAKAR bhi IslamiMehfil per login hai.. tu woh dosri cookie wajah sey pichli login cookie ko drop ker dey ga.. ya baghair cookie wala URL send kiya tu woh NEW COOKIE bana ley ga. pas pichli cookie delete aur BAKAR logout...

 

tu main apni pori koshish ker raha hoon key yeh problem solve ho jaye.. pas jab tak nhin hota.. koi bhi kisi dosrey link ko use na kerey.. kisi topic main mojod dosrey topic key link ko bhi use na kerein..

 

aur aap jab sey login howay aub board key kisi bhi link/topic per click kerein tu woh cookie ka address already liye howay hota hai.. is liye un per click kerney sey kuch nhin hoga.. Insha Allah (azw)

 

Mujhay umeed hai key is tareqay sey members ka masla hal ho jaye ga...

 

Wasalam Ma'Al Ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Islami bhai aik problem hai ....... aur woh yeah keh main 2 dafa koshish kar chuka hoon new topic start kar

ke kuch pics upload karney kee.... lakin kafi dair guzzarney key baad bhi upload nahi hooi balkeh page kee side

per likha aa jata hai "Done"... iss ke bawajood pics upload nahi ho paati..

plz rectify the error...

 

Imtiaz Attari

Link to comment
Share on other sites

(salam)

admin sahib ye login pro phir hogai meray sath

subah jab aik post kerni thi to add reply kernay per login error ajata ,phir login k baad 2bara ye pro

4 dafa kernay per sahi hoa or phir loading k baad "the page cannot be displayed"

or abhi phir 4th time mein login show hoa hay werna her dafa redirecting k baad phir guest show hoti

ab is ka kia karoon?

wassalam

Link to comment
Share on other sites

Dear Sis Is K Matlab Hai K Ap Ki Site K Page Ap K PC Main Sotre Ho Chuka Hai

Ap Sab Cookies delete kar k ya agar Opera Use Karti Hain to delete All Private Data Kar dain

Pir login hoon is say yeah problem hal ho jay gi

(salam)

main sab cookies del kerti hoon phir bhi ye pro hay or ab to itna ziada horaha hay k ager koi topic parhnay k baad wapas main page pe janay k liye back kerti hoon to log out hojati hoon ,or opera kia ?

wassalam ma al ikram

Link to comment
Share on other sites

Allah karay ye problem sub ka hal ho jaye. amen. nahi tu nigran e shora ka bayan hai. sabr kejye ajr kamaye. woh sub sun lain. abhi sawab kamanay ka buhut moqa hai. bayan sun ney key bad ap yeh sawab kama sakte hain. aur dua bhi kejye. dawa ke sath dua bhi zarori hai kay masla hal ho jaye. ameen

Link to comment
Share on other sites

(wasalam)

Done ka likha howa kahaan aata hai EXPLORER ki status bar per?

Aur aap key net ki speed kesi hoti hai? kiya UP DOWN hoti rehti hai? ya Normal rehti hai?

Wasalam Ma'Al Ikram

 

piyaare islami bhai... Done likha howa status baar main hi aata hai. aur mere internet kee speed bohat zabaradast

hai.. "100.0 MBPS"

 

Kindly solve the problem...

 

Imtiaz Attari

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Qasam Hai Key Mushqil Ko Mushqil Na Paya

Kaha Hum Ney Jis Waqt Ya Ghous-e-Aazam (ra)

 

Ya Ghous-ul-Aazam (ra) Madad

 

Main ney aaj kuch changes ki hain.. jis ki wajah sey abhi waisi cookie nhin ban rahi jis ka address, bar main nazer aaye.<br>Aur main ney jahaan tak tajriba kya hai.. Login drop nhin ho raha abhi.. Alhamdu Lilah (azw)

Bara-e-Karam comments dein...

Wasalam Ma'Al Ikram

Link to comment
Share on other sites

piyaare islami bhai... Done likha howa status baar main hi aata hai. aur mere internet kee speed bohat zabaradast

hai.. "100.0 MBPS"

 

Kindly solve the problem...

 

Imtiaz Attari

 

(salam)

Abhi check kerein kya abhi bhi ho raha hai?

Kiya kisi aur member key sath attachment ka masla hai..?

Aur jab done likha howa aajata hai tu kis qisam ka masla hai.. kiya attechment wali jaga loading image animation display ho rahi hoti hai? ya koi error aata hai? aur aap images upload kertey hain ya koi aur file?

Wasalam Ma'Al Ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Done likha howa aaney ke bawajood, pic upload nahi ho paati. aur wahi window dobara aa jaati hai jo keh

pahley hoti hai. yani without uploading..

 

 

(salam)

abhi kuch dair baad try kejiye ga.. Insha Allah (azw) uploading ho jaye gi..

Wasalam Ma'Al Ikram

Link to comment
Share on other sites

Allah karay ye problem sub ka hal ho jaye. amen. nahi tu nigran e shora ka bayan hai. sabr kejye ajr kamaye. woh sub sun lain. abhi sawab kamanay ka buhut moqa hai. bayan sun ney key bad ap yeh sawab kama sakte hain. aur dua bhi kejye. dawa ke sath dua bhi zarori hai kay masla hal ho jaye. ameen

(salam)

phir to yahan speeches sec mein haji imran sahib ka ye bayan lagadena chahiye ta k ager members ko login pro ho to hathon hath bayan sun ker ajr kamanay ka moqa milay

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...