Jump to content

Ala Hazrat Ke 2 Ash'aar


Abdul Mustafa

تجویز کردہ جواب

salam,

in ash'aar ka matlab smajh ni aya,plz koi Islami bhai explain ferma den,JazakALLAH.

1- Kis ko dekha ye Moosa(AS) se poochay koi

Aankh waalon ki himmat py lakhon salam

 

2- Pusht par dhalka Sar-e-Aqdas se shimla noor ka

dekhen Moosa(AS) Toor se utra saheefa noor ka

Link to comment
Share on other sites

(salam)

1- Kis ko dekha ye Moosa(AS) se poochay koi

Aankh waalon ki himmat py lakhon salam

 

bhai jaan yeh to bohot simple hai is mein Aala Hazrat (ra) ne Hazrat Musa Alyehi Salam ka Koh e Toor ka Waqiya aur Nabi Kareem Salalaho Alyehi Wasalam Ke Shab e Miraaj mein Allah Azwajal ke Didaar ki taraf ishara kiya hai .

 

Hazrat Musa Alyehi Salam ne Jab Allah Azzwajal se Arz ki ke Maula Mujhay apna Didaar Ataa farma to Allah Azwajal ne Farmaya ke Musa Alyehi Salam Aap mujhay nahin dekh saktay aur phir farmaya ke us pahar ki taraf dekhiye Phir Allah Azwajal ne Apni Tajali Pahar par farmyi to woh Pash Pash ho geya aur Hazrat Musa Alyehi Salam Behosh ho gaye . Ulama ne Farmaya hai ke Yeh Allah Azwajal ki Sifati Tajali ka Asar tha jis ki Taab Hazrat Musa Alyehi Salam na la sakay aur Behosh ho gaye .

 

Jabkeh Humaray Pyare Aaqa Kareem Salalaho Alyehi Wasalam ko Allah ne woh Shaan Ata farmayi ke Aapko Arsh pe Bulwa ke Apnay Didar ka Sharaf Bakhsha aur Humaray Aaqa Kareem Salalaho Alyehi Wasalam ne Apni Ankhon Mubarik se Allah Azwajal ka Deedar kiya .

 

Isi Liye Aala Hazrat Rehmatullah Alyeh ne Farmaya

 

Kisko dekha yeh Musa Alyehi Salam se Poochay koi

Ankh Walon ki Himat pe Lakhon Salam.

 

Doosray ka Mujhay nahin maloom .

 

Wallah o Taala Aalam Wa Rasuloh Aalam Azzwajal Wa Salalaho Alyehi Wasalam .

Edited by alSaifiya
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...