Jump to content

Ghair Ullah Sey Madad [Part 1]


Attari26

تجویز کردہ جواب

Bhai Saeedi...Itni si baat samjhein kay asal issue ye nahi hay kay kisi se madad maangna..wo to har koi dunya mein kisi na kisi se maangta hi rehta hay..aur log aik doosre ki madad karte hi rahte hein..is mein to koi shirk ki baat hi nahi hay..

GM ka nara hai Allah (jallah) HIIIIIIIIIIIIIIIIIIII Madadgar hai!!! Ye jo har waqt hiiiiiiii par zor diya jata hai bilkhusoos Allah ke nabiyo waliyo ki shan or martaby ghatany ki gharz se to ab aapki Shatiani Towheed ka kya bana? Kya Allah tala ke alwa bhi koi madadgar hai jo Dunyawi kamo me ek dusry se madad mangny par aap shirk nahin man rahy? Kya yahi Towheed hai, ki Dunyawi kaam parhy to ALLAH ke Alawa bhi log hain jo in GMs ki Madad kar sakny par Qadir hain? Ye to Haal hai inki khud sakta Towheed ka? Shirk to har Haal me Shirk hai kya Duniya kya Barzakh. Kya Bhool gaye wo Hadeees jiska Mafhoom kuch is tarah hai...ki Namak bhi mango to Allah se or Jooty ka feeta bhi mango to Allah se? Bataiye ab aap Hadees ke khiaaf jakar duniyawi kaamoi me Allah ki zaat ke Alawa logo ko shareek karky or unko Hajat rawa or Mushkil kusha jaan maan ke Mushrik huey ya nahin? (Is par Quran or Hadees se Sareeh Daili darkar hai ki Dunyawi kamo me to Allah ko chor logo se madad lena Shirk nahin hai?) Jabki aapka nara hai Allah HIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIII (KOI OR GHER ALLAH NAHIN) mushkil kusha hai , Hajat rawa hai....!!!

 

asal cheez ye hay kay kisi ke marne ke baad us se madad talab karna aur marne wale ka uski madad karna ye kisi bhi hadees se sabit nahi hay...Khulfa e Rashdeen (ra) ke zamane mein kitne masle kharay hoe koi misaal hay kia ke unho ne kisi mare hoe se madad talab ki even ke Rasool Allah (saw) se..

 

ye zinda murda ko asal cheez kahan se bana liya..?

  • Kese aapny Zinda Murda ki Taqseem kar li?
  • Kahan se aapny ye Qayeda garh liya?
  • Is zinda murda wali Taqseem par zara Quran ki koi ayat ka hawala dene ki zehmat uthayengy aap?
  • Ya koi sareeh sahih marfooh hadees quote karny ka karam farmayegny aap jo batlaye ki zinda aadmi se mango to shirk nahin par murdy se mangty hi shirk ho jayega?
  • Kya kisi mushkil ke hal karny me aap bandy ka koi kamaal manty ho jo uski zindagi ko mushkil ko hal karny ki shart bana diya ya dusry lafzo me uski hayat ko Allah ki zaat ke hoty huey bhi shareek kar liya ki zindagi na hui to mushkil bhi hal nahi hogi bawajood isky ki Allah hi Madadgaar hai.
  • Aab aap khud hi soch lein ki bandy ki zindagi ko shareek karky mushrik tum huey ya hum?
  • Aapny ye taqseem ki biddat kahan se ijaad kar li?
  • Aapki towheed bandy ki zindagi or Mout se badalti rehti hai?
  • Kya aapki towheed ka Allah ki zaat se koi lena dena hai ya nahin?
  • Kya Ajeeb khalq ho tum Wahabis bhi..kya kehny tum logo ki ilmi zoaf ka? Mu par to narah ai ki Allah hi mushkil kusha or dil me hai ki bandy ki zindagi hi mushkil kusha....kya karnamy anjaam dete hain aap log? wah!!! :lol:

rahi baat ki kya kisi sahabi ne baad wisal bhi Huzur se madad talab ki to iska jawab aapko mutorh diya ja chuka par aapki ghirat Ibn e Timiya or Abdul Wahab jaisy najadiyo ke ghar ki londi jo hai ismy humara kya kusoor?

 

aur Rasool Allah (saw) ki wafaat ho chuki he iski daleel bhi mein de chuka hoon...aur jo SHUHADA ka bare mein ata hay wo zinda ..uske sath aik baat aur hay ke Allah farmate hein tumko unki zindagi ka kuch shaoor nahi hay..to hum kayse keh sakte hein ke wo madad karte hein aur ye karte aur wo karte hein..

 

kisny inkar kiya huzur (saw) ki wafat ka? par kya tumhy Quran ka hukm nahin dikhayi deta ki shohda ko jab murda kehny se mana karta hai Allah to shohda jinky dar ke adna ghulam hain unko tum murda kehny ki jasarat kis mu se karty ho? itna shaoor nahin wahabis ko? kya us hadees se nazarein nahin guzri jiska mafhoom hai ki huzur ne apny sahaba ko farmaya ki mere is duniya se wisaal ke baad bhi tumhy usi tarah durood parhna hai jaisy meri zindagi me parhty ho or Allah ne is mitti par haram kar diya hai ki usky kisi bhi ambiya ke jismy mubarak ko khaye? Huzur ka jawab me mitti par ambiya ke jism ke haram hony ki izafat ka bayan karna hi sabit karta hai ki ay mere sahaba tum mere wisaal ke baad mujhy wahabis ki tarah murda na janna balki waisy hi durood parhty rehna jaisy ab parhty ho ki me ek pal ki wafat ka maza chakhny ke baad bhi wasiy hi hayat rahunga jasiy ab hu. Jab Allah ke nabi par koi durood parhta hai to unki rooh unky badan me lota di jati hai...(Hadees ka mafhoom) to Huzur ke wisal ke baad jisny Allah ke nabi par pehla durood parha tabhi se unki rooh mubarak unky jis me Aqdas me lota di gayi hai or is duniya me shayad hi koi lamha aisa guzarta ho jab Huzur par Durood o Salam ke nazranein na paish kiye jaty hon...bilfarz muhaal koi insaan na bhi parh raha ho to beshumar malaika to hain hi... (sa)(saw)

jab aap khud quote karty hain ki tum unki zindagi ka shaoor nahin rakhty to phir aapko kisny haq diya ki unki shan me gustakhi karty huey unki zindagi par ungli uthyein or quran ke khilaafwarzi karty huey unko murda tabeer karein...kya yahi islam hai tum wahabi ka Quran ko pase pusht dalny ka? (Haan waqai yahi deen hai tum logo ka)

Aur sab se bari baat mujhe ye bataein ke ya kahan se sabit he kay marne ke baad wo madad ki qudrat rakhte hein..koi authentic aur samjh mein aane wali misaal dein..

iska jawab bhi diya ja chuka par apki ankhon par wahabiyat ka parda parha hua hai so dikhny se raha.

Ajeeb baat hay ke wohi mushkil kusha jab zameen par tha to hum uski janaza mein uski maghfirat maangte hein aur wo jayse hi zameen se neeche utra wo mushkil khusha ban gia..AMAZING !!!!!

 

aapko kisny ye asar de diya ki kisi ki nijaat ke liye dua mangna or uski mushkil kushai ye apas me ek dusry ki zidd hain? iska ilzami jawab yahi hai ki agar yahi rule hai to phir har namaz me aap sure fateha mein...ehdenas siratal mustaqeema kyu parhty hain isy parhna chor dein, ki kya aap seedhy rasty par nahin hain jo Allah se har namaz me seedhy rasty par chalny ki dua mangty rehty hain?

 

kisi aam gunahgaar bandy ke liye maghfirat talab karna usky gunaho se nijaat ka zariya banti hai jabki Allah ke wali ke liye yahi dua usky darjaat me bulandi ka zariya banti hai na sirf ye balki us Allah ke wali ki nisbat se to ulty khud namaz e janaz parhny walo ki maghfiart ho jaya karti hai or tum baat karty ho uske gunaho ko bakhshwany ki...humari duaon ka Allah ka wali is many me mohtaaj nahin jaisa ek aam gunahgaar momin.

Allah ne 124000 Peghamber bheje unko takaleef mein dala aur najane unko kayse kaysee aziyatein pohonchee..sirf is waaste ke Aik Allah ki Taraf aao...hum phir usi dagar par aagaey ke bohot saron se maangna shroo kar diya....

 

waqai agar yahi haq hai to phir tumhy qasam hai ki phir duniya me har madad Allah ki zaat se mangna na khana apni maa se mangna na madad apny sadak chalty dost se? na ilaaj apny hakeem/Dr se...chalo shabbash khao Qasam Allah ki ab upar di gayi koi madad tum Allah ke siwa kisi se nahin mangogy, bhook lagy to musalla bicha kar beth jayega...or agar Allah ke siwa koi madad tumny li to mushrik ho jaogy...iqraar karo ki shirk hoga? khao Qasam agar sachchy ho to :lol: (ab ye behas cherega mafoqul or matehtul ki :lol: ) par marta mar jayega par upar diye gaye khud ke bold letters par amal karty huey kabhi qasam nahin kahyega...

 

Wo butparast koi bewaqoof nahi hein kay pathar ko pooj rahe hein..dunyawi lihaaz se bohot educated aur samajhdar log hein..magar har but ke peechay aik history hoti hay har but kisi na kisi buzurg se mansoob hota hay..agar aap ko yaqeen na aae to kisi bhi butparast se poocho..har but ka koi na koi naam hota hay...Sahih bukhari kitabut Tafseer mein he Hazrat Ibn Abbas farmate hein Qom e Noah (IS) ke but (WAD) (SAWA) (YAGHOOS) (YAOOQ) (NASAR) ye sab unki qom ke buzurg the jinke baad mein unlogn ne but bana liye..ksi Aalim se pooch lein sahih bukhri mein aap ko dikha degein..HUm ne bhi to yahi kia he..

 

but parast to kaby ka tawaaf karty they...tum kyu karty ho? kahin tum ab ye toi nahin kehny waly ki woto nangy hokar karty thy par hum to kapry pehan ke karty hain... :lol:

 

  • wo buton ko layak e ibadat janty thy...
  • unhy chota ilah manty thy..
  • unki ibadat karty thy...
  • unko Allah ka beta beti manty thy..
  • un buto ko Allah ka banda maan kar bhi unki ibadat karty
  • unhy mutasarrif bizzaat jaanty thy..
  • unhy ibadat ka sajda karty unhy thy..
  • un maboodo ko hajat rawa janty thy..unhy ilah manty thy Allah ke izn se isliye mushrik huey...

ye moti moti se batein mene yahan tumhari aql ke samny rakhin ki koi ek kufriya Shirkiya Aqeedah tum Ahle Sunnat Wal Jamat se sabit karky dikhao agar sachchy ho to...

 

MARNE KE BAAD INSAAN KA IS DUNYAVI QABAR SE KOI TAALUQ NAHI HOTA....

 

ary GM agar murdy ka dunyawi kabar se koi talluq nahin hota to kabr ke upar bethny, kabr pairo taly rondny se Huzur ne kyu mana kiya? ue kyu kaha ki na tum usy iza do na wo tumhy...? kya kisi wahabi ne tum logo ko ye hadees nahin parhayi...?

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

Assalam ALikum Saeedi bhai,

 

ap sey guzarish hai k Owais bhai ki baat chal rahi thi is liyain hum koi reply nahi dey rahy they.

 

ab hum ap sey wahi sey baat shoro kertey hain jaha humari ap sey baat khatam hoi thi.

wesey hum abhi tak apkey pesh kiey hoey Quraan Paak sey dalail k jo jawabat hum ney pesh kiey hian hum un jawabat ka bhi intezar kar rahy hian.

or apkey kuchh aitrazat k jawabat bhi hazir hian.(in mian sey kuchh jawabat hum issi thread main dey chukey hian jo shayad ap ney nahi perhey)

 

umeed hai is dafa ap intehai tassali sey tawajjaey sey ghore farmaey gey.

 

Nasir Noman

post-1849-1236272715.gif

post-1849-1234293683.gif

post-1849-1234293701.gif

post-1849-1234293717.gif

post-1849-1234293776.gif

post-1849-1234293801.gif

post-1849-1234293826.gif

post-1849-1234293845.gif

post-1849-1234293867.gif

post-1849-1234295145.gif

Edited by Nasir Noman
Link to comment
Share on other sites

Assalam Alikum,

 

arey merey bhai ap ney humari post perhi bhi hai ya nahi ??????

 

apkey jawab perh kar humain bilkul esa nahi laga k apney humari post perhi samjhna to door ki baat hai ?

 

Abu Owais bhai pls koi new post na kijey ga

Saeedi bhai hum ney jo last post ki hai Insha Allah hum issi post main apkey sarey jawabat pesh kary gey.

ap doobara perh lijey ga.

 

umeed hai k apki algi post main jo bhi jawab hoga humaian bar bar apni post ka hawala nahi dena pery ga.

 

Nasir Noman

Link to comment
Share on other sites

Assalam ALikum Saeedi bhai,

 

umeed hai k ap bar bar humain apni bat dohraney ka moqa nahi dain gey.

 

Allah Taala hum sab ko hidayat ata farmaey.Ameen.

Ya Allah hum sey ager likhny mian ya samjhny main koi ghalti hoi ho to humain maaf farma.

 

ap doston sey guzarish hai k ager apko humarey likhney main ya samjhney main koi ghalti nazar aaey to humain nishandahi farmaey,takey hum apni islah kary.

 

 

Nasir Noman

post-1849-1236266214.gif

post-1849-1236266223.gif

post-1849-1236266232.gif

post-1849-1236266240.gif

post-1849-1236266249.gif

post-1849-1236266264.gif

post-1849-1236266273.gif

post-1849-1236266287.gif

post-1849-1236266296.gif

Edited by Nasir Noman
Link to comment
Share on other sites

(bis)

Sub ko Slaam! Barelvio ko bhi Agarcha wo is qabil to nahi.........khair!

Common Sense ki BAAt hai jo in Barelvio ki Smjh me b nahi AArahi. Zra Aql se socho k Woh Allah Jo Madad Krne pe qadir hai aur baqi sub us k mohtaj hain...Kia us Allah ko Chor k Kisi Aur k Dar pe Jana Aqli tor pe b theek hai? Jab woh Allah Hamari Hr tarah ki Madd krne pe qudrat rakhta hai to phir hum q dosro se madad ki tamanna rakhain. Madad Sirf Aik Allah se hi Jaiz hai. Agr in Barelvi Hazraat ne Sirf Aik Allah hi ko mana hota to tab baat hai na! Inho ne bhi Zamana e jahleat k 360 Butoon ki tarah AAj na jane kitne But bana Rakhain hain. Kabhi Ya Rasool to Kabhi Ya Ali. Kabhi Ya Ghos To kabhi Ya Data. Kabhi Ya Fraeed to Kabhi Ya Ghareeb Nawaz...............!

Theek hai sub aala wa arfa Shakhsiaat hain. Allah k Wali hain. But Allah to nahi hai na!

Aur AAKHRI BAAT.................!

JO AIK ALLAH SE NAHI MANGTA WOH SUB SE MANGTA HAI.

 

Barelvio Kuch Aql kro. Waise Aql tum log kro ge Nahi. Why?

Bcoz Aql to woh krain jin k pas Aql ho..............Aur jin K dil o dimagh pe Allah MOhar lga de.........woh kia ghor o fikr krain.............!

 

Never Mind............! Truth is Truth............Whether U accept or Not!

Link to comment
Share on other sites

Assalam ALikum SAeedi bhai,

 

Nasir sahab MashaAllah..Khoob jawab diya hay aap ne ..Allah aap ko jazae khair day...AIK POINT AAPKA BOHOT SHANDAR HAY..In bralvion ka ye pakka pakka aqeeda hay ke Auliya Allah madad karte hein..aur hazair o nazir hote hein madad karte hein ..hamari pukar sunte hein..dunya mein kahin se bhi koi banda pukare uski madad karte hein..MUSHKIL KUSHAI KARTE HEIN..

SAWAL YE PAIDA HOTA HAY WO TAMMAM QUALITY JO AIK SHAKS KO WALI KAMIL BANATI HAY WO INKE MUTABIK INKE HAZRAT JI (ILYAS SAHAB) MEIN BHI BAJARJAHA MOJOOD HAY..AUR IMRAN ATTARI TO YAHAN TAK KEHTE HEIN KE AMEER AHLE SUNNAT MEIN TAMMAN WALION MEIN JO SIFFAT HEIN WO TAMAAM INMEIN MOJOOD HAY..

 

TO ILYAS SAHAB BHI KISI KI FARYAD SUN SAKTAY HEIN ???AUR USKI MADAD KO POHONCH SAKTAY HEIN.???.KIA WO BHI MUSHKIL KUSHA HEIN..???KIA WO HAR JAGAH HAZIR O NAZIR HEIN..???AUR KISI KI BHI FARYAD DUNYA MEIN KAHIN SE SE SUN SAKTAY HEIN...???

 

KHUDA KE LIYE ZARA SOCHO KAHAN BHATAK RAHE HO...

 

:unsure:

Link to comment
Share on other sites

Assalam ALikum Abu Owais bhai,

 

apka bohat bohat shukria hosla afzai ka.

Humari koshish sirif Khalis Allah ki raza hai.

dost hum ye samjhtey hain k huamrey Musalaman bhaion ko koi ghalat fahmi hai

humari koshish hai k kissi tarha ye ghalat fahmi door hojay.

 

Dua farmaey Allah Taala humaain humarey jaiz maqasid main kamiab kary.Ameen

 

Nasir Noman

Link to comment
Share on other sites

tamna biddat or shirk say nafrat karnay walo ko Assalamoalikum

 

bohat hi zabardst Nassir bhie yahqeen janaye may sirf ap ki post

pr reply krnay k laye yahan registyer huwa hun

ALhumdullliah sirf ap k aqy la yadmi k jawabat say is wakht star say kitni hee fareeq

farar hochukay hay or ab Saeedi sahab bhi NAMALOOM ki list may hay

bohat Khub Khas kar apka andaz bohat acha laga k intahey mohabbat say samjhaya

jab k in k muqablay may ap inki andz dekh lay

shayed DAWATE ISLAMI sya esa hi tarbiyyat milte hay.

may apko ek Naseehat kardo k ap in ko jetni bhi quran ya ahadees k hawaly de dey

yeh log nahe manay gay han hum jesay lgo ka bohat bhala hojaye ga

is laye hamesha reply krtay wakht yeh socha karen k is reply sa yeh log to qyl nahe hongay

na inko qylk karnay k laye kar raha hun

han hanafi muslim jesay bohat say logo ko zaroor nafa Hasil hoga

ek baar phir jazakalllah

Link to comment
Share on other sites

tamna biddat or shirk say nafrat karnay walo ko Assalamoalikum

 

bohat hi zabardst Nassir bhie yahqeen janaye may sirf ap ki post

pr reply krnay k laye yahan registyer huwa hun

ALhumdullliah sirf ap k aqy la yadmi k jawabat say is wakht star say kitni hee fareeq

farar hochukay hay or ab Saeedi sahab bhi NAMALOOM ki list may hay

bohat Khub Khas kar apka andaz bohat acha laga k intahey mohabbat say samjhaya

jab k in k muqablay may ap inki andz dekh lay

shayed DAWATE ISLAMI sya esa hi tarbiyyat milte hay.

may apko ek Naseehat kardo k ap in ko jetni bhi quran ya ahadees k hawaly de dey

yeh log nahe manay gay han hum jesay lgo ka bohat bhala hojaye ga

is laye hamesha reply krtay wakht yeh socha karen k is reply sa yeh log to qyl nahe hongay

na inko qylk karnay k laye kar raha hun

han hanafi muslim jesay bohat say logo ko zaroor nafa Hasil hoga

ek baar phir jazakalllah

 

Assalam ALikum bhai,

 

apki mohabbat ka bohat bohat shukria.

mery dost hum samjhtey hain k humarey Muslman bhaion ko koi ghalat fehmi hoi hai

or humari koshish sirif itni hai k kissi tarha humarey Muslman bhaion mian ye ghalat fehmi door hojaey.

jab ek hi gher mian rehney waley do bhaion mian b koi ghalat fahmi hoti hai to apas main larai nahi karty balkey afham-o-tafheem sey hi ghalat fahmi door kerney ki koshish karty hian.

or humara rishta to eh hi Nabi Pak Sallaho Alihey Wassalam ki ummat ka hai

apas main bhaion ka hai.

Allah Taala humarey bhaion k dilon ko naram farma ker in mian baat samjhney ki soch pida farmaey.Ameen

 

humara maqsad sirif or sirif Khalis Allah ki raza hai

 

ap sey dua ki darkhuast hai k

Allah Taala humarey jaiz maqsad main humain kamiab kary or humari madad farmaey.Ameen

 

or bhai apki dosri bat ka jawab ye hai k Naiki phelney k liyain Ijazat nahi chahiey hoti hai

Allah apko bhi jaza-e-kher ata farmey.Ameen

Link to comment
Share on other sites

<br /><img src="style_emoticons/default/bismillah.gif" style="vertical-align:middle" emoid="(bis)" border="0" alt="bismillah.gif" /> <br /> <img src="style_emoticons/default/salam.gif" style="vertical-align:middle" emoid="(salam)" border="0" alt="salam.gif" /><br />
&lt;br /&gt;&lt;br /&gt;&lt;br /&gt;<br /><br />BHAI NOMAN SAHAB JAZAK ALLAH..AAP KI POST PARH KAR EMAAN KO KAFI TAQWIYAT MILI..JAB KOI ZID PAR AJATA HAY TO USAY KOI BAAT BHI SAMJH NAHI ATI..DOOSRI BAAT ILYAS SAHAB BAQOL INKAY WO BOHOT BARAY ALLAH KE WALI HEIN..UNKE MUTABIQ..ALLAH KAY WALI MEIN WO TAMAAM SIFAAT HOTI HEIN JO HADEES E QUDSI MEIN BAYAN KI GAEIN HEIN..ILYAS SAHAB KA TO YE HAAL HAY KAY WO KHUD KAL KI MADNI CHANNEL PAR KEH RAHAY THAY KAY {PEHLAY TO MEIN SHAB E JUMA MIEN MASJID SAY BAHAR BHI JAYA KARTA THA AB (SECURITY ) KI WAJA SAY NAHI JATA HOON } ALLAH KA WALI KHUD SECURITY KA MUHTAJ AUR UNKA BETA BILAL BHI ....<br />KASH IN LOGO KO AQAL AAJEY.......... Edited by abuowais
Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...
(bis)

(bis)

Assalam Alikum Saeedi bhai,

hum ney apni pichhli post k sath ye chhota sa tukra likha tha.

ap doobara perhlain

ap ney humari sari wazahatain chhor ker beech mian sey jawab dia hai

asoolan apko humari sari wazahataon key sath hi jawab deyna chaihey tha

kio k her baat dosri baat sey attach hai,

beech ki baat ko ley ker jawab deyney sey na hi ap kahney waley ka maqsad sajh sakey gey

or na hi is forum key bohat sarey dost apka maqsad samjh sakey gey.

Saeedi bhai pehley ye koshish kary k apko humari is post(urdu wali) mian pesh ki hoi wazahatain mian apko ager koi humari ghalat fahmi nazar aarahi hai to barah-e-meharbani shoroo sey wazahat farmey takey hum apni Islah kar lain

kio humara maqsad to apni Islah hai "kissi ki haar jeet nahi"

 

umeed hai ap humari baat samjh rahy hongey

 

or ap ki is new post mian ap key jo bhi jawabat hain in sab ki wazahatain humari post mian hi mojood hian

hum apni post doobara repeat nahi karna chahtey

 

lekin ager ap chahey gey to Inshaallah hum apko apni pichhli post sey hi ap key jawabat dobara highlight ker k pesh kar dey gey.

 

lekin humarey is tarha bar bar ek hi post ko dohranay sey thread issi sey bharta jaey ga jo beymaqsad hoga kio k wo pehley hi post hian.

 

 

Nasir Noman

post-1849-1237111428.jpg

Edited by Nasir Noman
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...