Aarzoo e Madina مراسلہ: 24 مئی 2007 Report Share مراسلہ: 24 مئی 2007 Sahara Chahiyay Sarkar Zindagi Ke Liye Tarap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye Huzoor Aisa Koi Intizaam Ho Jaye Salaam Ke Liye Haazir Ghulam Ho Jaye Naseeb Walon Mein Mera Bhi Naam Ho Jaye Jo Zindagi Ki Madinay Mein Shaam Ho Jaye Mein Shaad Shaad Maronga Agar Dum-e-Aakhir Zubaan Pe Jaari Muhammad Sallaho Alaih-e-Wassalam Ka Naam Ho Jaye Sahara Chahiyay Sarkar Zindagi Ke Liye Tarap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye Woh Bazm-e-Khaas Jo Darbaar-e-Aam Ho Jaye Umeed Hai Keh Hamara Salaam Ho Jaye Idher Bhi Ik Nigaah-e-Lutf-e-Aam Ho Jaye Ke Aashiqon Mein Hamara Bhi Naam Ho Jaye Tere Ghulam Ki Shaukat Jou Dekh Le Mehmood Abhi Ayaaz Ki Surat Ghulam ho Jaye Mein Qayal Aap Ke Rauzay Ka Hoon Woh Qayal Tur Kaleem Se Na Kissi Din Kalaam Ho Jaye Madinay Jaon Phir Aaon Dobara Phir Jaon Tamaam Umar Issi Mein Tamaam Ho Jaye Bulao Jald Madinay Mein Hai Ameer Ko Khauf Kaheen Na Umar Do Roza Tamaam Ho Jaye Tumhari Naat Parhon Mein Sunoo Likhoon Har Dum Ye Zindagi Meri Yunhi Tamaam Ho Jaye Meri Namaz-e-Janazah Ki Yun Ibadat Ho Ke Do Jahan Ke Aaqa Imam Ho Jaye Sahara Chahiyay Sarkar Zindagi Ke Liye Tarap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye Piya Raza O Ziya Ne Piya jou Murshid Ne A'ta Mujhay Bhi Shah Aisa Jaam Ho Jaye Sahara Chahiyay Sarkar Zindagi Ke Liye Tarap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Madani Munna مراسلہ: 24 مئی 2007 Report Share مراسلہ: 24 مئی 2007 JazakAllah Dear Keep It Up اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ubaid-e-Raza مراسلہ: 24 مئی 2007 Report Share مراسلہ: 24 مئی 2007 buhut acha kalam aap ney share kiya hai... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Aarzoo e Madina مراسلہ: 25 مئی 2007 Author Report Share مراسلہ: 25 مئی 2007 shukria je lyk karnay ka aap log bhe kuch share karain na اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔