Jump to content

INFO required abt AQAID of GHAIR MUQALIDDIN


Qadri

تجویز کردہ جواب

walaikumussalam

ghair muqallid ,ahle hadees or wahabi ye teenon aik hi firqay k 3 mukhtalif naam hain ,deobandion k aqaid bhi taqreeban wahabion k jaisay hi hain bas farq ye hay k deobandi khud ko muqallid kehtay hain jab k wahabi/ahlehadees(naam nihad)/ghair muqallid ye log taqleed ka inkar kertay hain ,wahabi namaz main rafa yadain kertay hain jab k deobandi rafa yadain nahin kertay ,wahabi merd namaz main qiyam main seenay per hath bandhtay hain or oratain merdon ki tara sajda kerti hain jab k deobandi merd qiyam main naaf per hath bandhtay hain(sunnion ki tara)or un ki oratain bhi sajda sahi tareeqay se kerti hain.

baqi saray aqaid same hain meri naqis maloomat k mutabiq zara sa bhi farq nahin

ALLAH (azw) ki shan main jhoot jaisi mazmoom sifat ka manna dono main paya jata hay,

anbia karam alaihimussalam ki shan main gustakhian dono firqon main shadd o mad se pai jati hain,

oliya kiram alihimurridwan ko data hajat rawa ,mushkil kusha manna dono firqon main shik samjha jata hay,

mazarat e oliya ko shirk ka adda qarar dena eesal e sawab ki her soorat ko najaiz qarar dena in ki ghutti main para hota hay.

Link to comment
Share on other sites

Firqa wahabia k bani mohammed bin abdul wahab najdi k batil aqaid mulahiza hon:

--------------------------------------------------------------------------------

<span style="line-height: 140%">

شیخ محمد بن عبد الوہاب نجدی 1703 ھ 1115 ع تا 1792 ھ 1602 ع بارھویں صدی کی ابتداء میں پیداہوئے ، ان کی شخصیت نے ملت اسلامیہ میں افتراق اور انتشار کا ایک نیا دروازہ کھولا ، اہل اسلام میں‌کتاب و سنت کے مطابق جو معمولات صدیوں سے رائج تھے ، انہوں نے ان کو کفر اور شرک قرار دیا ، مقابر صحابہ اور مشاہد و مآثر کی بے حرمتی کی ، قبہ جات کو مسمار کیا ، رسومات صحیحہ کو غلط معنی پہنائے اور ایصال ثواب کی تمام جائز صورتوں کی غلط تعبیر کرکے انہیں الذبح لغیر اللہ اور النزر لغیر اللہ کا نام دیا ، توسل کا انکار کیا اور انبیاء کرام علیہم السلام اور صلحاء امت سے استمداد اور استغاثہ کو یدعون من دون اللہ کا جامہ پہناکر عبادت لغیراللہ قرار دیا ، انبیاء علیہم السلام ، ملائکہ کرام ، اور حضور تاجدار مدنی محمد مصطفٰی صلی اللہ علیہ وسلم سے شفاعت طلب کرنے والوں‌کے قتل اور ان کے اموال لوٹنے کو جائز قرار دیا۔

شیخ نجدی نے جس نئے دین کی طرف لوگوں کو دعوت دی ، وہ عرف عام میں وہابیت کے نام سے مشہور ہوا اور ان کے پیروکار وہابی کہلائے چنانچہ خود شیخ نجدی کے متبعین اپنے آپ کو برملا وہابی کہتے اور کہلاتے ہیں چنانچہ علامی طنطاوی نے لکھا ہے :

امامحمد ، فھو صاحب الدعوۃ التی عرفت بالوھابیۃ

( محمد بن عبد الوہاب نے جس تحریک کی دعوت دی تھی ، وہ وہابیت کے نام سے معروف ہے )۔

( شیخ علی طنطناوی جوہری مصری متفوفی 1358 ھ ، محمد بن عبد الوہاب</span>

(more inshaALLAH i ll post soon)

wassalam

Edited by Sag-e-Attar
Link to comment
Share on other sites

INSHALLAH Yahan Aik Fatwa aap ke saamine pesh karta houn, INSHALLAH mazeed bhi beyan karengen Hawalajaat Ke Saat, Yeh Deo Nahin GM Ulema ke masle hain ....

 

1) FATAWA ALAMA ABDUL AZIZ BIN BAAZ Jammah kiye hain Dr Luqman Salfi P94 Abdullah Bin Baaz inka Shaykh ul Islam hain aur Dr Luqman Salfi Wahabiyoun Ka aaj ke dour ka Shaykh ul Asr hain Makkah me beta huwa hain.

 

Q= Me Masjid pouncha us waqat isha ki namaz shuru hochuki ti, aur namaz me dahil houne se pehle muje yaad aaya ke mene Maghrib ki namaz nahin pari hain. Ab kya me Maghrib ki namaz parloun? aur uske baad jamaat se jitni mile utni parloun? Ya pehle Jamaat ke saat Isha Paroun aur uske baad Maghrib ki namaz parhoun?

 

Ans= Aap jab Masjid me jayen aur Isha ki namaz horahi ho, us waqat aapko yaad aajaye ke aap ne maghrib ki namaz nahin pari hain, to aap Maghrib ki niyat karke jamaat me shamil hojayen, aur jab Imam 4th Rakat ke liye kara ho to aap bete rahen, aur intizaar karen aur aap Imam ke saat salam pairden, Saheeh Qaul ke mutabiq Imam aur Muqtadi ki niyat me ihtilaaf se koi farq nahin parta aur agar aap tanha maghrib ki namaz parlen aur uske baad jamaat ke saat milkar Isha ki baaqi namaz ada karen to aisa bhi karsakte hain. ( Fatawa Abdul Aziz Bin Baaz p94)

 

Acha mene isko phone bhi kiya ta Dr Luqman salfi ko aur yehi masla poucha isne kaha ke sirf yeh nahin balke agar koi nafal par raha ho to uske piche farz parsakte hain. Same with sunnat's.

 

Ab inke haan to mouj hain :)

Fajar ke waqat soye rahen to Zuhar ke waqat, Imam sahib ke piche 2 farz Fajar ke parlengen, aur baaqi 2 zuhar ke liye , iske baad 2 aur parlengen.

Quran o Hadith ka Dawah karne waale, Kya yeh Masla Quran o Sunnat se Sabit hain? Inke haan to Murghi aur Ande ki Qurbani bhi jaiz hain. :P

Asal me aur bhi bahut inke masle hain lekhin woh is site per lagayen to kese lagayen shadeed gande hain ke Allah hi Maaf kare.

Edited by Hafizsahib
Link to comment
Share on other sites

Mazeed Wahabi GM Aaqaid Mulaahiza Farmayen :

 

1) Mufti E Azam Wahabiyat Mufti Abdul Sattar Dehlvi Apni Kitaab Fatawa Sattaria Jild Number Do Safa Number Ikis:

 

Q= Aik Shakhs ne Sawal kiya ba naam Munchi kehta hain RasoolAllah (Sallaho Alahii Wassallam) ne Biju ke mutaliq farmaya ke halal hain. (Biju us janwar ko kaha jata hain joh qabren kolta hain aur murde kaata hain)

 

A= Biju ke mutaiq farmaya halal hain. Joh shakhs biju ka kaana halal na jaane, woh munafiq be deen hain. Uski Imamat hargiz jaiz nahin.

 

2) Nawab Waheed uz Zaman GM Wahabi Molvi Apni mashoor kitaab Nuzulul Abraar Minfiqhin Nabiyil Mukhtar ( Yani isme joh masle hain Nabi Paak ki fiqah hain MAZALLAH) jild number theen ke andar:

Ke agar koi shakhs aata guund leta hain sharab se, aur phir uski roti pakaayi jati hain, to farmaya roti jab pakayi jati hain to roti pakaane se, sharab saari jal jaati hain us roti ka kaana jaiz hain aur halal hain.

(Sharaab se paki huwi roti halal hain GM ke nazdeek kyounke sharab jal jaati hain)

Edited by Hafizsahib
Link to comment
Share on other sites

3) Tariiqe Ahmadiyat Qadiyaniyoun ki kitab hain, iska moaliq likhta hain ke joul Attaran Sou Sataasi Qadiyan se Ambala jate huwe huzoor (Mirza Dajjal) apne ahlo ayaal samed Molvi Hussain Batalvi (Yeh Wahabiyoun ka woh molvi hain jis ne Queen Victoria se Wahabi naam change karke Ahlehadith rakwaya ta) ke maqaan par aik raat tehre te, aur Molvi Sahib ne Hazrat e Aqtas ( Mirza Kazzab) aur Ahlebait (uske Gharwaloun) ki purtakaluf dawat ki ti.

Tariiqe Ahmadiyat Jild number Do Safa number aik sou attatiis.

 

4) Tariiqe Ahmadiyat Ka Moaliq hud likhta hain, ke Asmaani Dula ( Mirza Khabees) Do hudaam ki mukhtasar si baraat lekar Delhi pounche, Khawaja m,iir daad Masjid me Asr aur Maghrib ke dameyaan Molvi Nazeer Hussain Batalvi ( Wahabiyoun ka sheikh ul kul filkul Kisii bhi wahabi se iska naam len, kahegen sheikh ul kul bahut bare alim te humare) Gyaaran sou Rupaya Mahar par nikkah parha, joh Zouq aur Burhaape ki wajah se chal pir nahin sakte te (Lekhin kaha aaj mere yaar ki Shaadi hain :) ) Lekhin phir Mirza Sahib se muhabat ka yeh Alam ta ke is zouq ki halat me phir bhi woh nikkah parhaane ke liye gaye, aur Doli me beth ke ayete, aur Hazrat Maseeh o Mouud (Mirza Shaytaan) ne is moqa par Molvi Sahib ko aik Jaye namaz (Massala) aur Paanch Rupaye batoure Hadya diyete.

Tariiqe Ahmadiyat Jild number Do Safa Number Chappan par baat yeh likhi huwi hain.

 

Kitne Khabees Molvi te 5 Rupayioun ke liye aur jaye namaz ke liye Mirza Ghulam Qadiyani ka nikkah parhaadiya aur Doli me bethke aye, itna buura ta kursi se gir jaata :) lekhin kaha aaj mere yaar ki shaadi hain.

INSHALLAH Mazeed to come !!!

Link to comment
Share on other sites

5) Fatawa Sanayyah Wahabi Sheikh ul Islam Sanaullah Amratsari likhta hain ke:

Agar Football Kelne ke liye jaana hoto, Zuhar aur Asar ki namaz aihkatte parsakte hain. ( Quran o Hadith se yeh masla sabit hain ???)

 

6) Moulana Muhammad Ismail Sahib Salfi joh inki Jaamaat ke Ameer te unhoun ne, Apni Kitab me yeh likha hain.Ke Mirza Ghulam Ahmad Qadiyani ibtida aur bachpan me Hanfi ta, uske baad woh Ghair Muqalid ban gya.

Tehqiike Azaadiye Fikhar me Book Name.

(Mirza wahabi ta isme beshumaar dalail hain INSHALLAH AAPKO AAGE SAMAJ AAJAYEGI JAB MAZEED INKE MASLE RAKEGEN)

 

7) Muhammad Hussain Batalvi likhte hain Ishaat-us-Sunnah me ke joh loog Quraan o Hadith se khabar na rakte hon, aur uloom e Arbiya Adabiya se na aashna hon, Sirf Urdu Farsi tarjuma parkar, ya logoun se sunkar, ya tooti pooti arbi jaankar mujtahid aur har baat me Taqleed ko chor bete hon, unke haq me tarke Taqleed siwaye Gumrahi ke aur kisii cheez ke tawaqu nahin, Pachiis saal ka mera tajurba yeh hain, ke joh loog be ilmi ke saat taqleed ke tarik banjaate hain, woh aakar Islam ko Salaam kar bet te hain.

(Hisaab lagaalen Wahabi Taqleed na karne ka Anjaam kya hain, Kamazkam apne is molvi ki hi maan lo, Humari to maani hi nahin)

Link to comment
Share on other sites

7) Muhammad Hussain Batalvi likhte hain Ishaat-us-Sunnah me ke joh loog Quraan o Hadith se khabar na rakte hon, aur uloom e Arbiya Adabiya se na aashna hon, Sirf Urdu Farsi tarjuma parkar, ya logoun se sunkar, ya tooti pooti arbi jaankar mujtahid aur har baat me Taqleed ko chor bete hon, unke haq me tarke Taqleed siwaye Gumrahi ke aur kisii cheez ke tawaqu nahin, Pachiis saal ka mera tajurba yeh hain, ke joh loog be ilmi ke saat taqleed ke tarik banjaate hain, woh aakar Islam ko Salaam kar bet te hain.[/color]

(Hisaab lagaalen Wahabi Taqleed na karne ka Anjaam kya hain, Kamazkam apne is molvi ki hi maan lo, Humari to maani hi nahin)

5067[/snapback]

 

JazakAllah Hafiz Bhai

Is Book Ka Hawala Mil Sakta Hai? :(

Link to comment
Share on other sites

8) Al Kitaabul Majeed Fi Behki Taqleed, Amratsar se chapi huwi hain, Moulvi Mahboob Ali Sahib ki likhi huwi hain, uske Safa Bayiis ke haashiye per likha huwa hain, ke Amratsar aur uske girdo nawa me jitne bhi Isaii aabad hain yeh sab pehle Ahle Hadith te.

 

9) Hakeem Faiz Alam Siddiqui ne apni Kitaab Ihtilaaf E Ummat ka Almiya, usme yeh likha hain ke humaare bahut se Ahle hadith hain jinhoun ne Madaaris ban aarake hain, aur uske liye chande lete hain, lekhin jab me us shehar me pouncha to wahan kisii madrase ka naam o nishaan hi nahin. (Wahabi/Deobandi to hain hi Chandakur apna molvi kehta hain :) pesa kaate hain Madrasoun ke naam per aur wahan jab jayen to aik iint bhi nahin hoti. Allah ke naam per besharm apa peth barte hain, Chote bhai ki Shalwaar bare bhai ki Kameez, aur Deo aik Haat me lota doosre me Fazail E Amal)

 

10) Sheikh ul Islam Wahbiyoun Ka Sanaullah Amratsari ne Quran ki Tafseer ki, naam raka Tafseerul Quran be Kalaamil Rahman, Asii ulema ne likha ke Sanaullah ki tafseer Mirza Qadiyani se badtar hain, aur yeh kafir hain murtad hain, iske piche namaz jaiz nahin, Faisla Makkah, Faisla Hijaaziya me ke Sanaullah Amratsari Tafseer likne se pehle to Ahlehadith ta, Tafseer likne ke baad iska kuffar firoun se badtar hain, iska kufar namrood se badtar hain, iska kufar Abu Jahal se badtar hain.

(Ghair Muqalidoun ne hud kaha hume kehne ki zaroorat hi nahin :) Lekhin yeh phir bhi inka sheikh ul Islam hain. (aap hud hisaab lagaalen.)

Link to comment
Share on other sites

I think its best to abvoid them !!!

 

11) Kanzul Haqaik Sanaullah Amratsari ki Book me likha hain, ke aik aadmi ne namaz parhaayi, aur namaz parhaane ke baad usne yeh kaha ke me kafir houn, to Muqtadiyoun ko Namaz dorhaane ki Zaroorat nahin, ya usne kare hoke kaha ke me bewudu houn, to phir bhi namaz dorhaane ki zaroorat nahin. (isii kisam ka fatwa moujood hain, Abdullah bin baaz ke Fatawa me jiska hawala mene aap ko pehle diya hain)

 

12) Imam Ibne Hajar Al Makki ne apni kitab Fatawa Hadiithiya me likha hain, ke Allah Ta'ala ne Ibne Taymiyyah ko anda aur behra banaya, Bahut saare Muhadith aur Fuqaha ne kaha ke iske aamal naqli te, aur iske alfaaz jhoot per mabni te, jinhoun ne Azeem Muhaddieen ki kitabain pari hain, Yani Abul Hassan As-Subki aur unke Sahibzade Taj-ad-din-as-Subki aur Imam al-Izz Ibne Jam'aa ki kitabain pari hain, aur jinhoun ne tahqeek ki hain Shaafi, Maaliki, aur Hanafi ulema ke fatwoun ki joh unhoun ne Ibne Taymiyyah ke radd par lagaye hain, uske apne dour me to unko aasani se is baat ka ilm hojayega ke woh sab daroost te aur haq par mabni te.

Link to comment
Share on other sites

13) Dastuurul Mutaqeen Safa Number Aik Sou Theen per likhte hain ke Ghair Muqalideen ka mazhab yeh bhi hain ke roze ki halat me kisi ne qasdan kaa piiiliya to Ghair Muqalideen ke nazdeek iske Zimaa Kaffara nahin hain.

 

14) Al Beyaanul Masoos Kitab ka naam hain Likne waale Moulana Samroodi Wahabi jiske musanif hain, Safa number aik sou arsat par likte hain ke Ghair Muqalideen ke nazdeek pardah ki ayat haas sirf Azwaaje Paak hi ke baare me warid huwi hain, ummat ki aurtoun ke waaste nahin.

 

15) Nawab Waheed uz Zaman apni kitaab Nuzulul Abraar Min Fiqh hin Nabiyil Mukhtaar me likte hain (Al Mutta tu Saabitun Jawaazuha bi Ayatin Qatatiiatin) ke mutta Ka jawaz Quran e Kareem ki Qatiii Ayat se Sabit hain, Nuzulul Abraar Minfiqhin Nabiyil Mukhtar Safa number tentiis aur chountiis.

 

16) Nazeer Hussain Dehlvi inka Sheikh ul Kul ne Fatawa Nazeeriya P449 per likha hain ke waziife ke tour par mukamal kalme ka wird karna iska koi saboot nahin, Saboot sirf La Ilaha Illallah ka wird karna yeh sabit hain.

 

17) Nuzulul Abrar Waheed uz zaman ki iske safa number choubis me hain ke:

Insaan ka woh paani jisko mani kehte hain,cemain, sharab, murdaar, kutta aur khinzeer, tamam janwaroun ka bishaab paak hain.

 

18) Kanzul Haqaik Sanaullah Amratsari ki Safa Number theen sou Chatiis:

Agar roti ke beech me chuwe ka pahana payegya to uska kaana jaiz hain.

 

19) Nuzulul Abraar Waheed uz Zaman ki Pehli Jild Safa Number Pachaas:

Agar ginuu ya Channa aur isii tarah ke doosre galle agar bishaab me pare rahen, aur bishaab se woh phool jayen, phir usko paani me duboo diya jaye, aur khushk karliya jaye to phir woh paak hojayegen (Hud Hisaab Lagaalen)

Link to comment
Share on other sites

20) Nuzulul Abrar Jild Aik Safa Theen Nawab Waheed uz Zaman:

Allah ka chehra hain, Aank,naak,kaan,kanda,pasli,taang,pawoun,ungliyan sab kuch hain. (Naoz Billah)

 

21) Hadyatul Mehdi Safa Number Aik Sou Das Waheed uz Zaman ki: Khutbaaye Jummah me Khulafaye Rashideen Ka zikar biddat hain.

 

22) Daleel ut Talib ke Safa number Chaar Sou Chaar, Badduurul Ahila ke Safa Number Pandran, Urful Jahdi ke Safa Number Do Sou Pentalis par likha huwa hain:

Sharab na paak aur najis nahin balke paak hain.

 

23) Wahabi Shaykh ul Islam Sanaullah Amratsari sahib likte hain: Agar aurat mirzayan hain, to ulema ki raaye mumkin he muhtalif ho, mere naaqis ilm me nikkah jaiz hain. P48 Bahawala Akhbar E Ahlehadith 1934.

 

24) Urful Jahdi Safa Gyaaran, Noor ul Hassan Khan ki: Najasat se aaluda juute masjid me le jaana aur un jhootiyoun me namaz adaa karna jaiz hain

 

25) Urful Jahdi Safa Number Das, Fiqa Muhammadi P41, Fatawa Nazeeriya Chapter 1 p197 : Ahlehadith wahabiyoun ke nazdeek mani har surat paak he.

 

26) Urful Jahdi Noor ul Hssan Khan Safa Number Choubis, Ahlehadith ke nazdeek junbi Azaan keh sakta hain.

 

27) Fatawa Sattariya Jild Aik Safa Aat Mufti Abdul Sattar ki, Fiqha Muhammadi P97 Number: Bila Wudu Azaan kehna makrooh nahin.

 

28) Fatawa Nazeeriya Nawab Nazeer Hussain Dehlvi Chapter 1 P348: Sajdah tilawat be wudu Sabit hain.

Edited by Hafizsahib
Link to comment
Share on other sites

10) Sheikh ul Islam Wahbiyoun Ka Sanaullah Amratsari ne Quran ki Tafseer ki, naam raka Tafseerul Quran be Kalaamil Rahman, Asii ulema ne likha ke Sanaullah ki tafseer Mirza Qadiyani se badtar hain, aur yeh kafir hain murtad hain, iske piche namaz jaiz nahin, Faisla Makkah, Faisla Hijaaziya me ke Sanaullah Amratsari Tafseer likne se pehle to Ahlehadith ta, Tafseer likne ke baad iska kuffar firoun se badtar hain, iska kufar namrood se badtar hain, iska kufar Abu Jahal se badtar hain. [/color]

(Ghair Muqalidoun ne hud kaha hume kehne ki zaroorat hi nahin  :) Lekhin yeh phir bhi inka sheikh ul Islam hain. (aap hud hisaab lagaalen.)

5071[/snapback]

 

(ja) Hafiz Sahib.. buhut achi posts hain... ahbaab in key sheikh ul islam ka haal in key apney ulema ki zabani bama hawaloun key yahaan sey perh saktey hain..

 

Molvi Sana Ullah Ka Mazhab BaZaban-e-Ikabareen-e-Wahabiya

 

Acha mazeed inke baaz bare gande masle hain ab woh me saare skip kardoun ya woh bhi hawaloun ke saat likhdoun ?

 

Skip ker dein.... Qadri Sahib key liye yeh buhut hain...

Wasalam Ma'Al Ikram

Link to comment
Share on other sites

Wahabi Sahaba Ke Gustaak

 

1) Muhammad Jhoonagari Wahabi Ki kitab Tareeq-E-Muhammadi iske Safa Number Attattar ke upar yeh likhta hain ke: Hanfi Bhaiyo zara calega par haat rakh kar imaandaari se batlawo ke Hazrat Imam Abu Hanifa Ilm O Fiqha me bare huwe ya Hazrat E Umar Khalifa tul Muslimeen, bas awo suno bahut se saaf saaf mote mote masail aise hain jinme Hazrat Umar e Farooq ne unme galti ki hain.

 

2) Isi Kitab Tareeq-E-Muhammdadi Molvi Jhoonagari kehta hain Safa Number Do sou iksat ke upar likhta hain: Braadraan Hazrat Abubakar Siddique, Hazrat E Umar, Hazrat Usman, Hazrat Ali, Qattan apni apni khilafat ke zamane me dono maana se ullul amar te, lekhin bawajood iske na to kisii aik Sahabi ne inki Taqleed ki, na to koi inki taraf mansoob huwa, balke inke aqwaal ke khilaaf warzi ki jab woh Farmaan ULLAH aur Farman e Rasool ke Khilaf nazar aye.

 

3) Waheed uz Zaman apni kitab Lugaatulhadith Jild Dome Safa Number Chattis: Kehta hain magar isme kuch shaq nahin ke Muawiyyah aur Amar Ibne Aas dono baagi aur sarkash aur shareer te. Aage likhta hain indono sahibon ke Fazail aur Munakib beyan karna hargiz rawan nahin.

 

4) Urful Jahdi likhne wala Noor ul Hassan Khan Ghair Muqalid Wahabi likhta hain iske Safa Number Do sou saat per: Kehta hain jab Zaroorat pare to apne haat se mushtzani karlen ya kisi lakri wagera se, ya kisi aur jamat cheez se mushtzani karlen, aur kehta hain mushtzani muba hain, kehta hain hasoosan jab kisii fitneh ke andar mubtilaa hone ka dar ho ya khatra ho, to us waqat kar sakta hain, ya ksii nafarmaani ka darr ho kehta hain jab kisii aurat par galat nigah parne ka dar ho to us waqat bhi mushtzani kar sakta hain, balke kehta hain kabhi kabhi mushtzani karna wajib hojati hain, kehta hain jab us bure amal ke ilawa koi chaara na ho to, us waqat mushtzani wajib hojati hain, aage kehta hain Sahaba E Karaam jab apne Ahlo ayaal se, apni biwi bachoun se door hote to, Sahaba E Karaam bhi mushtzani kiya karte te, kehta hain yeh kaam karne me koi harj nahin, kehta hain balke iske saat koi moozi fuzalaat ya chizen badan se nikal jaati hain. (ASTAGFIRULLAH, aise Fatweh aur Sahaba se Mohabbot ka Dawah ?)

 

5) Irshaad Asri Ghair Muqalid Wahabi apni kitaab Ihtilafe Asbaab, Ihtilaafe Fuqaha, Safa Number Che par likhta hain: Ke aap ke ilawa yani Nabi Paak (Sallaho Alahi Wassallam) har kisi ki baat daleel ki binah par radd ki jaasakti hain.

 

6) Nuzulul Abraar Safa Number Attaran par Waheed uz Zaman likhta hain ke: Kare hokar bishaab karna musafir ke liye makrooh nahin hain, aur Sahaba se iska Saboot hain.

 

7) Nuzulul Abraar Waheed uz Zaman ki hain Jild theen Safa Number Churaanve per likhta hain: Baaz Sahaba Fasiq te, Walid, Muawiyyah, Amar Bin Aas, Mageera, Samra.

 

8) Raees Ahmad Nadvi Tanveer ul Afaaq ke Safa Number Aik sou paanch per likhta hain: Ke Muttadid Sahaba aik waqat ki Talaaq e Salaasa ke wuqu ka, agar che Fatwa dete te, magar basarahat bhi unse manqool hain, ke aik waqat ki Talaq e Salaasa nasoose Kitab o Sunnat ke khilaaf hain, aur Haram hain aur najaiz bhi.

 

9) Raees Ahmad Nadvi Tanveer ul Afaaq me likhta hain ke: Kyounke Ibne Masood ka beyan mazkoora Allah aur uske Rasool ke beyan karda usool e shariat ke khilaaf hain, isii liye zahir hain ke beyan Ibne Masood Sharan Saaqitul ittebar hain, darin surat me, Ibne Masood ka apni nazar me, is tarah ka, talbees wala mashkook amal, agar kaabile nafaaz hain, lekhin Shariat ki nazar me iska hukam bhi waaze aur zahir hain.

 

10) Fatawa Sanayyah Sheikh ul Islam Sanaullah Amratsari Wahabiyoun ka likhta hain: Hazrat E Umar ke muttaliq masla theen Talaq per behas karte huwe likhta hain ke, Hazrat E Umar joh theen ko theen houne per ijmah karwaya, joh theen ko theen houne nafiz kiya, uske baare me kehta hain, ke yeh Hazrat E Umar ka apna zaati fail hain, joh na Qaabile amal hain, aur Hazrat E Umar ka yeh qaul humare liye hujjat nahin.

 

11) Lugaatul Hadith Waheed uz Zaman ki Jild dome Safa Do sou ikaawan hain likhta hain: Logoun ko Tareeqi mohtabar rawayat nahin pounchi, kehta hain ke Muawiyyah barsare mimbar Hazrat E Ali ko bura kaha karte te, balke doosre khateeboun ko bhi hukam de raka ta, ke woh har khutba me janab Ameer ko bura kahen, inpar lanat karte rahe hain, sachi baat yeh hain, ke Muawiyyah par dunya ki tamaam galib hogayi ti, woh Hazrat E Ali ko ailaaniya bura kaha karte te, aur mimbar par inpar lanat kiya karte te.

 

12) Lugaatul Hadith Waheed uz Zaman ki Jild dome Safa Theen sou chabbis per likhta hain: Ke jinhoun ne Hazrat E Ali par Lanat kanra, inko bura kehna, apna shiyaar karliya ta, har khutba me woh Hazrat E Ali par Lanat karte te, Ahir Khuda ne, inka chehra kaala kiya, inki santanat tabah kardi, ab Hazrat E Ali ki har khutba me qayamat tak tareef hoti rahegi.

 

13) Lugaatul Hadith Waheed uz Zaman ki Jild dome Safa Theen sou Nawasi yani 389 isme likhta hain: Ini dono bataoun ne yani sakhawat aur hilm ki wajah se logoun ke dill inki taraf maiiil hogaye te, halake inka koi haq khilafat mena ta, magar logoun ki tayid se woh khalifa banbete.

 

14) Lugaatul Hadith Waheed uz Zaman ki Jild dome Safa Theen sou che, kitab chaar jildoun me hain, kehta hain Ke: bahut kaane wala, bahut hagne wala, likta hain is se muraad Muawiyyah hon, kyounke woh bahut purkhaar te, kehte hain, sou sou tarah ke dastarkhawan par inke kaane te, aur woh kaate kaate yeh kehte ke peth to nahin barha, lekhin me chabaate chabaate tak gya, aur Huzoor (Sallaho Alahii Wassallam) ne inki nisbat yeh farmaya ta, ke Allah inka peth na bare, unhoun ne hi musalmanoun ko aapas me larwaya, aur hazar haan braadraan e Islam ka ka khoon karaya, joh agar zinda rehte, joh musalmaan inki larayi ki wajah se shaheed huwe, agar woh musalmaan zinda rehte, to tamaam kufristaan ko daar ul Islam kardete, kehta hain Islam ka saara kaam unhoun ne hi kharab kiya hain.

 

15) Lugaatul Hadith Waheed uz Zaman ki usme likhta hain: Ke agar Hazrat E Umar mutta mana na karte, to koi bhi zina na karta.

 

16) Fatawa Sanayyah Wahabi Sheikh ul Islam iski jild Do Safa Number Do sou santaalis per likhta hain: Sahaba aur Fuqaha ke aqaid gumrah kun hain.

 

17) Tanveer ul Afaaq me Raees Ahmad Nadvi likhta hain: Ke bahut se Sahaba aur Tabaeen bahut si aayat ki khabar rakne aur tilawat karne ke baawajood bhi muhtalif wujuu se unke khilaf amal pera te.

Edited by Hafizsahib
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...