Jump to content

Haram Kamayee Se Niyaz Dilana Keisa ?


muhafiz1292

تجویز کردہ جواب

salam ek nazuk masle par aapse baat karni hai humare kareeb mein jo rishtedar hai woh har month me 6th chand ko khwaja greeb nawaz ki nisbat se niyaz karte hai aur tajjub ki baat ye hai ke un sabka karobar na jaiz kamayee ka hai woh haram kamate hai mera sawal ye hai ke haram kamayi se niyaz di jaye kya woh maqbul hai aur sharaee hukm kya hoga iss niyaz ko khana keisa aur isme ek ye baat bhi kabil e fikr hai ke humare rishtedar me koi zayada padha huwa nahi hai isliye woh mujhe fateha dene ke liye bulate hai aur mujhe majburab jana padta hai aur meine uss par fateha diya ??? aap rehnumayi farmayein ke mujh par kya hukm lagega mujhe pata tha par iska ehsas nahi tha ab mere liye kya hukm hai meine haram kamayi par fateha diya (nauzobiilah) majburi mein kya ye kufr to nahi

ek aur wazahat chahiye ke humari masjid me ramazan me jo sharab ka karobar karte hai woh 27 ko bohot sari niyaz bhejte hai agar uss niyaz ko kisine be khabari me khaya to iska kya humk hoga aur kisi ne iss ko jaan buj kar malum hune ke ba wajud khaya to iska kya hukm hoga plz aap rehnumayi farmayein allah aapko iski jaza ata farmaye ameen jawab jaldi dijiye mein aapke jawab ka muntazir hun ????

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...

 

mera sawal ye hai ke haram kamayi se niyaz di jaye kya woh maqbul hai aur sharaee hukm kya hoga iss niyaz ko khana keisa aur isme ek ye baat bhi kabil e fikr hai ke

Haram kamayi say niyaz waghera ki to maqbool na hogi aor agar aapko doosray ki kmayi kay haram honay ka mukammal yaqeen ho to us kmayi say di gayi niyaz ka khana bhi haram hay.

 

humare rishtedar me koi zayada padha huwa nahi hai isliye woh mujhe fateha dene ke liye bulate hai aur mujhe majburab jana padta hai aur meine uss par fateha diya ??? aap rehnumayi farmayein ke mujh par kya hukm lagega mujhe pata tha par iska ehsas nahi tha ab mere liye kya hukm hai meine haram kamayi par fateha diya (nauzobiilah) majburi mein kya ye kufr to nahi

 

 

aap ko unki kmayi kay haram honay ka mukammal yaqeen hay to aap ko whan fateha kay leay naheen jana chaheay.

 

 

ek aur wazahat chahiye ke humari masjid me ramazan me jo sharab ka karobar karte hai woh 27 ko bohot sari niyaz bhejte hai agar uss niyaz ko kisine be khabari me khaya to iska kya humk hoga aur kisi ne iss ko jaan buj kar malum hune ke ba wajud khaya to iska kya hukm hoga plz aap rehnumayi farmayein allah aapko iski jaza ata farmaye ameen jawab jaldi dijiye mein aapke jawab ka muntazir hun ????

 

 

 

Agar unki kmayi kay haram honay ka mukammal yaqen hay to phir aesi soorat main unki niyaz waghera khanay say bachna chaheay.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...