Jump to content

Saeed Al Haq Fi Takhreej Jaa' Al Haq


alSaifiya

تجویز کردہ جواب

(salam)

Abhi abhi scribd pe ek bohot hi mufeed cheez dekhnay ko mili jaisa ke Alhamdulillah hum sab jantay hain ke Ahle sunnat Wal Jammat ke Aqaid par likhi gayi Mufti Ahmed Yar Khan Sahib Naeemi (ra) ki kitab Ja Al Haq ek bohot hi shandaar aur Mutabir kitab hai jis ne Batil ko na sirf Expose kiya hai balkeh is kitaab mein Hazrat Mufti Sahib ne aisay payare payare baab qayim kiye jin se na sirf Gustakhon ka Radd kiya gaya balkeh Azmat e Mustafa (saw) ke Jhanday Paak o Hind mein Lehraye aur Ashiqan e Mustafa (saw) ke Qalb ko saroor diya .

 

Khair is kitab ki Tareef mein (main kya meri auqaat kya ) kya keh sakta hoon aap sab jantay hain jo iska mutalia kar chukay hain . to al mukhtasir abhi is ki Nayi Takhreej aur Tehqeeq Allama Abu Al Abbas Saeed Ullah Khan Qadri Sahib (m-a) ki ayi hai jo ke 2 Volumes mein hai jis mein Mazeed Dalail Dalay gaye hain aur Waqt Hazir ki zarooriyaat ke tehat isko mazeed asan kiya geya hai main ne abhi parhi nahin hai lekin jun hi dekhi hai download ki hai Mobile mein send kar ke iska mutalia karoon ga (azw)(ia) Umeed karoon ga ke is mein Mazeed Tafseelan References diye gaye hon take hum sab ko mazeed aasani ho parhnay aur batanay mein ..

 

Links pesh kar raha hoon abhi tak kisi ne Nafse Islam par isko upload nahin kiya . wahan par bhi baraye karam Upload kar den :

Volume 1

 

Volume 2

 

iska Mutalia karen sabhi bhai Bilkhasoos woh bhai aur behnain jinhon ne abhi se pehlay Jaa' al Haq ka Mutalia nahin kiya kiyunkeh aaj ke pur fitan dor mein yeh kitaab Ahle Haq aur Sahih ul Aqidah Musalmanon ke liye ek bohot bara khazana hai .

 

Allah Paak hum sab ke Ilam mein izafa farmaye aur Bad Aqidagi se bachaye ..

Edited by alSaifiya
Link to comment
Share on other sites

  • 3 months later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...