Jump to content

Rozay Ki Halat Main Lipstick/moisturizing Cream Ka Istimaal


Bismillah

تجویز کردہ جواب

Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou

 

1- kya rozay ki halat main hont khushak ho janay ki wajah say koi mard lipstick istimaal kar sakta hai? kyon keh baaz oqaat thooktay waqat zaban honton pe lag jati hai aur honton pe lagi hui lipstick zaban par.

 

2- kya rozay ki halat main koi sirf chehray par khushki ki wajah say Moisturizing cream ka istimaal kar sakta hai? kyon keh baaz oqaat cream ki kuch smell bhi hoti hai.

 

3- kiss tarah ki khushboo say roza tootata hai?

Edited by Bismillah
Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...

(wasalam)

 

1- kya rozay ki halat main hont khushak ho janay ki wajah say koi mard lipstick istimaal kar sakta hai? kyon keh baaz oqaat thooktay waqat zaban honton pe lag jati hai aur honton pe lagi hui lipstick zaban par.

 

Mard ko zeenat kay tor par lipstick ka istemal naheen karna chaheay...... han agar zroorat ho to kar saktay hain laikin agar zarrat andar chalay gaye to roza toot jaye ga.

 

..............

 

(wesay chapstick bhi hoti hay.)

 

 

 

2- kya rozay ki halat main koi sirf chehray par khushki ki wajah say Moisturizing cream ka istimaal kar sakta hai?

 

Ji Han

 

 

3- kiss tarah ki khushboo say roza tootata hai?

 

Khushboo say roza naheen toot'ta ...... han agar jan bhooj kar dhuwan andar lay gaye to roza toot jaye ga.

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...

(bis)

Chapstick ka istimaal us waqt kia jata hai jab hont khushk ho jayn,ye honton ko num(geela) rkhti hai.

iski bnawat(shape) lipstick jesi he hoti hai.

lekin yad rhay k ye mukhtalif zaiqon(flavors) mn milti hai(lemon,orange etc)...iska zaiqa(flavor) zubaan pe mehsoos honay se Roza par kya asar parta hai ye aap kisi Sunni Aalim ya Mufti Sahib se ma'loom kr lijiye.

(ja)

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...