Jump to content

plz confirm the difference


Tayyib Qadri

تجویز کردہ جواب

Asalaamualaikum

 

Madinah.. such buthao keh.. behthur hai keh is baath mein nahi jai.. this is old news, hum is baath mein daakhil na kureh tho behthur hai.

 

mein aap ko thorah information doh gha .. ethna hi kaafi hai

 

Dawat-e-islami started in 1980 or 1981.. by Ameer-e-Ahlesunnath Moulana Ilyas ATTAR Qadiri..

 

SDI started in 1990 .. by Moulana Shakir Rizvi

 

Moulana Shakir Rizvi pehleh Dawat-e-Islami India keh Kabeenah mein theh .. oor abhi uneh aap ka apnah tehreek banaya SDI.. everything same hai lehkin sirf libaas, Ameer oor names nahi e.g. Dawat-e-Islami keh theh hai Meetheh Meetheh Islami bhaio, SDI kehtheh hai Mereh Piyareh AQA keh Piyareh Deewanoh..

 

Hum green Imaamah Shareef pehntheh hai, SDI white pehntheh hai etc

 

everything else same hai, Tarbiyath, Bayaan ka andaaz, e.g. jeseh Dawat-e-islami bayaaan keh shuroh Durood Shareef purah theh hai , SDI bi yeh kurtheh hai. SDI bhi Tasawur-e-Madinah bhi kurahtheh hai, Dua ka andaaz bhi same

 

one big difference hai keh, Dawat-e-Islami bud mazhaboh e.g. wahabi etc bayaan mein attack nahi kurtheh, Dawat-e-islami keh topics eseh hotheh hai Khof-e-Khuda Azzawajal .. lehkin SDI attack kurtheh hai oor Khof e Khudah Azzawajal jeseh topics bhi bayaan farmaatheh hai

 

Dawat-e-Islami started in Pakistan.. SDI started in India..

 

Dawat-e-Islami 63+ countries mein hai.. SDI India, UK, America, Canada oor Bahrain mein hai..

 

mein aap ko full story nahi puthatha kyu keh mujhe ma'loom hai keh mein aap ko puthao aap bohth rohtheh (cry) oor nafrath kureh geh SDI waaloh keh saath.

 

Madinah.. maaf ki jiyeh gha,

 

ALLAH KARAM ESAH KUREH THUJHE PEH JAHAN MEIN

EH DAWAT-E-ISLAMI THERI DHOOM MACHI HO!

 

Jazak ALLAH

 

Wasalaam

 

Sohaib

Edited by Sohaib
Link to comment
Share on other sites

Bro Ap Agar Haq Beyan Kar Rahay Hain To Mukamal Karain.

I Want To Know About SDI.

Kiya Wo B Ameer-e-Ahle Sunnat K Muried Hain?

Kiya Wo Attari Kehlawatay Hain?

Aor Is jamat K Jo Ameer Hain Kiya Wo Ameer-e-Ahle-Sunnat K Muried Hain?

Aor Hum Kiyon SDI Say Nafrat Karain Gay?

 

JazakAllah

 

Main ap k replay ka intezar Karoon Ga.

 

Answers Requried Soon If You Can.

Link to comment
Share on other sites

Kiya Wo B Ameer-e-Ahle Sunnat K Muried Hain?

 

Pehleh woh Ameer-e-Ahlesunnath seh Taalib Baiath howeh theh .. phir uneh thor diya.. mereh khiyaal seh uneh Huzoor mufti Azam Hind (rahmatullah alai) seh baith ki hai ya Huzoor Tajush Shariah jo Bohth bureh Mufti Hai India mein.. Bareily Shareef keh Sajjada Nasheen.

 

Kiya Wo Attari Kehlawatay Hain?

 

Nahi, jub Moulana Shakir Rizvi Dawat-e-Islami mein theh, tho phir uneh khud kehlwaya ho gha keh woh Attari hai.. jub uneh khud new group shuroh kia tho Attari nahi kursuk theh .. phir uneh Attari keh siwa Noori Kehlwaya hai.. un ka full naam Moulana Shakir Rizvi Noori hai.. (mereh khiyaal seh Mufti Azam Hind seh Bayath hoi geh)

 

Aor Is jamat K Jo Ameer Hain Kiya Wo Ameer-e-Ahle-Sunnat K Muried Hain?

 

yeh answer kur diya hai

 

Aor Hum Kiyon SDI Say Nafrat Karain Gay?

 

kyu keh jo hurqatheh Ameer-e-Ahlesunnath keh saath kay bundeh neh kiya us din (the day SDI was created).. (((((((.... (mein Moulana Shakir Rizvi Noori keh baath nahi kur raha,) aap roheh geh.. oor khud ba khud nafrath pehdah ho gha.. aap socheh geh keh Ameer-e-Ahlesunnath pur yeh kesah ho suk tha hai? kyu kiya uneh? Ay kaash mein bhi udur ho tha oor mein kuch na kuch kurtha is baath ko sambaalnein keh liyeh..((( lehkin Ameer-e-Ahlesunnath nein khud farmaya mein nein un sub ko maaf kurdiya hai.. oor Ameer-e-AHlesunnath is baath peh baath nahi kurtheh..

 

Jazak ALLAH

 

Wasalaam

 

Sohaib

Link to comment
Share on other sites

(as) sohaib bhai jahan tak meri information hay kay in ho nay maulana ilyas qadri sahib pay ahmda bad man katilana hamla kiya tha ....aur bad man in man say kuch nay mafi bhi mang li thi kya ya baat bhi theek hay??????????????

4532[/snapback]

 

Asalaamualaikum

 

Madinah.. yeh baath mein nein pehleh sunah hai. lehkin yeh tho nahi ma'loom keh confirm hai ya nahi.. oor mujhe is baath peh mujhe nahi ma'loom ho tho phir mein kia baath kur suk tha ho..

 

mein puthatha ho keh mujhe keseh ma'loom hai?

 

ek Sayid Sahib hai, jo mereh dosth ko puthaya saarah waaqia... woh Sayid Sahib us udur theh India mein, us din jub SDI shuroh howah tha.. oor uneh aap keh aanknoh seh saarah kuch dekha.. oor jub bhi Sayid Sahib is topic peh baath kurtheh hai.. woh bohth rotheh hai ... dua hai keh ALLAH Azzawajal Ameer-e-Ahlesunnath ko lambi zindagi atha farmay.. oor hum ghunahghaaroh ko murnein seh pehleh ziyarath oor haath choomnein ko naseeb farmay.. AMEEN BIJAHIN NABIYIL A'MEEN SALALAHU TA'ALA ALAIHI WASALAM.

 

Jazak ALLAH

 

Wasalaam

 

Sohaib

Link to comment
Share on other sites

Dawat-e-Islami Madiney ki taraf rawan dawaan train hai... kayi aaye aur kayi chalti train sey chalaang laga gaye... chalney waloon ki apni qismat aur uterney waloon ki apni....

 

Ya Allah (azw) Ahle Sunnat ko itihaad naseeb ferma.. Aameen

Link to comment
Share on other sites

Dawat-e-Islami Madiney ki taraf rawan dawaan train hai... kayi aaye aur kayi chalti train sey chalaang laga gaye... chalney waloon ki apni qismat aur uterney waloon ki apni....

 

Ya Allah (azw) Ahle Sunnat ko itihaad naseeb ferma.. Aameen

4539[/snapback]

 

Asalaamualaikum

 

Bayshak..Sahi

 

AMEEN BIJAHIN NABIYIL A'MEEN SALALAHU TA'AALA ALAIHI WASALAM

 

Jazak ALLAH

 

Wasalaam

 

Sohaib

Link to comment
Share on other sites

Jub mein nai yeh Baath Sunni toh Mujhay Bhi Rona Aya, Aik din yeh SDI walay Hamay Shahar mein pohnche, to Ishtihaar Chapwai jis mein Likha tha engraizy zuban "Dawate Islamia Presents" Yani "Dawate Islamia keh Zair-e-Ihtimaam" inhon neh hamari Dawate Islami ka Naam kiyun Liya?, is ka Jawaab yeh k yeh bewakoof fitna Baaz jantain hein k Allah Azwajjal Dawate Islami par kitna Karam farmaya hai k yeh pooray UK mein kaam kar rahi hai, nahi balkay sari Dunaya mein is liya inko majbooran Dawate Islami likna Parah, Abb bhi yeh Dawate Islami ki tarakki par Jaltain hein yeh Jitana jaltay hein Dawate Islami bharti hi chali jati hai.

Link to comment
Share on other sites

Asalaamualaikum

 

Ahmad Raza bhai mujhe ma'loom hai keh woh Sayed Sahib ka reply purah hai.. please woh reply copy paste nah kureh.. jo kaam uneh kia hai humko ma'loom hai keh woh ghuluth tha, lehkin in baatheh ko choreh..

 

jub SDI oldham UK mein ay Dawat-e-islami keh naam peh leaflet chaapeh.. tho phir kia howah?

 

jazak ALLAH

 

Wasalaam

 

Sohaib

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Pakistan mein tu in ka naam tak koi nhin janta... suna hai t.v per SDI ka ad play howa.. tu mujh sey kuch ney kaha key.. INDIA sey DI ka ad play howa... yani woh dawateislami samajh rahay they.. aur bat bhi sahi hai... ager SDI waley pak mein aaker new movement ki terha new tareqay sey kam shurow kerein tu shayed loug inhein masajid mein hi na aaney dein key hamarey liye DI kafi hai....

Link to comment
Share on other sites

  • 4 weeks later...

Assalamo Alikum......sunni dawateislami ka waqya buhet afsos naak hey.......pichley saaloon main paltalk msnger per SDI AOR dwateislami waloon ka buhet jhagra huta tha......aik dusarey ko pata nahi kiya kia keh detey they........jiss DI WALEY ko SDI ki harakat ka pata chalta hey wo zaror inn ko reaction deta hey......iss liye zimmadar DI waloon ney iss topic ko taqreeban dafan ker diya hey.......ab paltalk per jab SDI waley ijtema relay kertey they tu apney room ko lock laga ker ta k DI waley na aa sakein......Allah Azzawajal SDI waloon ko aql e saleem ata fermay ameen

 

waslam.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...