Guest EQRA PRINCESS مراسلہ: 17 اپریل 2011 Report Share مراسلہ: 17 اپریل 2011 mujay is msg ka jawab chahiay jitna jaldi ho sukay reply krna is msg say menkar log awam ko bethka rahay hain . msg yeh hay. koi say 8 sawal krain.Her sawal K10 number hain.Pass marks 10% . Time...Life Time. Q1.Kon say Rassol ya shabi thay jo Qawali partay ya suntay thay? Q2.wo kon say sahabi thay jenhon nay AZAN say phaly SALAT perhi.? Q3.Wo kon say sahabi thay jenhoon nay apnay ghar Milad krwaya? Q4.Wo kon say sahabi thay jenhoon nay 11ve ka khatam krway? Q5.Hazrat Muhammad PBUH ka ursh kis nay munaya? Q6.Milad ka jeloos kub nikla or kiss shabi nay is ki qiaydat ki? Q7. Wo kon say Rasool thay jin ki qabar per Chader Chri? Q8. Qaber pay sub say phlay kiss nay or kub dia jalay? Q9.Hazoor saww nay kon si mehfil main subz jehunda lehraya? Q10.Hazoor saww nay kiss moqa per subz amma bandha? Q11. Qul or fathia shareef pernay ka hukum kiss sahabi ko dia gia? Reply Must takeh main un ko dundan shikun jawab day sukain. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 17 اپریل 2011 Report Share مراسلہ: 17 اپریل 2011 jwabat k leay yeh topic visit krain : http://www.islamimehfil.com/topic/20241-miladursmazar-per-10-sawalat-ke-jawab/ ............... Main apni traf say bhi kuch jwabat denay ki koshish krta hoon : Ans1 :Ham to murawija qwali ko jaiz hi naheen samajhtay :http://www.razanw.or....php?itemid=181 lihaza yeh suwal aap unsay poochain jo Ghara bja kar music kay sath taali ki thap par qwali gatay hain . Kia aap jaantay hain wo kon hain? Naheen? To yeh link visit kijiay apnay suwal ka jwab bhi dijiay. :http://www.ja-alhaq....-aik-nazar.html Ans 2: Aap nay suwal main azan say PEHLAY ki takhsees ki hay? kion? zra btana pasand farmain ge? kea aap maantay hain keh Kisi sihabi nay Azan kay BAD salat parha hay? aap ka is par kea fatwa hay? agar azan kay bad salat-o-salam parhnay main aap koi harj naheen samjhtay to azan say pehlay salat-o-salam par etraz kion? Behrhaal Azan say qabl-o-baad Durood Shareef parhnay ko jaiz kis nay kaha? jannay kay leay neechay dea gya link visit kijiay phir apnay suwal ka jwab bhi dijiay:http://www.islamimeh...BE%D9%86%D8%A7/ Ans 3: Kea aap bata saktay hain wo konsay Sihabi thay jinhon nay sab say pehlay Seerat ka jalsa nikala? Behrhaal ham Meelad shareef mnanay ko deen ka juzw ya farz ya wajib likha ho to ham say yeh suwal poocheay .. ham Meelad shareef ko Mustahab maantay hain. Kea aap jantay hain Meelad mnanay ko wajib kehnay walay kon hain? Naheen? to yeh link visit kijiay aor apnay suwal ka jwab bhi dijiay.http://www.islamimeh...raf-ali-thanvi/ Ans : 4 , 5 , 11 :Jnab Fatiha kis nay parhi, Urs kis mnanay walon main kon kon shamil hain yeh jannay kay leay link visit kijiay aor apnay suwal ka jwab bhi dijiy:http://www.islamimeh...86%D8%AF%DB%8C/ Ans 6 : Meelad shareef kay moqa par Seerat kay naam par jalsay kon karta hay ?? kia wo Seerat ka jalsa krain to jaiz hay? Apnay Ulama Ka Youm-e-Wfat kon mnata hay? Yeh jannay kay leay neechay dea gya link visit krain. phir apnay suwal ka jwab bhi dain.http://www.islamimeh...alaihe-wasallam Ans 7 : Kea Hmaray Piayray Nabi Pak ki Qabr-e-Athar par chadar naheen hay? Anmbia-e-Kiram ki Quboor ki ziarat kar kay dekh lo keh Kin Anmbia-e-Kiram ki Qabar MUbarak par chadar hay. Qabar par chadar charhaanay ko ham farz ya wajib naheen jaantay. Ans 8 : Qabar par dea jlana to hmaray nazdeek jaiz hi naheen hay , agar koi qabar par dea jalata hay to us say ja kar yeh suwal krain. Ans 9 : yahan SABZ ko mukhtas kion kea aap nay? kea aap kay nazdeek kisi moqa par Nabi Pak nay kisi aor rang ka jhanda lehraya tha? agar haan to phir sabz say khaar kion??? kea mehfil kay doran jhanda lehrana manna hay? agar naheen to phir is par etraz kion? Ans 10 : Jnab sabz emama bhandhnay walon main kon kon shamil hay , yeh jannay kay leay zail main dea gya link visit krain aor phir apnay suwal ka jwab bhi dijiay:http://www.islamimeh...amah-kahan-nai/ اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 17 اپریل 2011 Report Share مراسلہ: 17 اپریل 2011 Q1. Quran-e-Majeed ki koi AIK Aayat Ya Nabi Pak ﷺ ki koi AIK Hadees Shareef Ya kisi Sihabi , Tab'i , Taba Tab'i ka koi AIK qaol dikha dijiay jis main Azan say phaly ya baad main Salat-o-Salam parhnay say manna kea gaya ho? Q2.Quran-e-Majeed ki koi AIK Aayat Ya Nabi Pak ﷺ ki koi AIK Hadees Shareef Ya kisi Sihabi , Tab'i , Taba Tab'i ka koi AIK qaol dikha dijiay jis main apnay Ghar Nabi Pak ﷺ ka meelad mnanay say manna kea gaya ho? Q3.Quran-e-Majeed ki koi AIK Aayat Ya Nabi Pak ﷺ ki koi AIK Hadees Shareef Ya kisi Sihabi , Tab'i , Taba Tab'i ka koi AIK qaol dikha dijiay jis main Buzurgon ko eesal-e-swab karnay aor khatam dilwanay say manna kea gya ho? Q4.Quran-e-Majeed ki koi AIK Aayat Ya Nabi Pak ﷺ ki koi AIK Hadees Shareef Ya kisi Sihabi , Tab'i , Taba Tab'i ka koi AIK qaol dikha dijiay jis main buzurgan-e-deen ka urs mnanay say manna kea gya ho? Q5.Quran-e-Majeed ki koi AIK Aayat Ya Nabi Pak ﷺ ki koi AIK Hadees Shareef Ya kisi Sihabi , Tab'i , Taba Tab'i ka koi AIK qaol dikha dijiay jis main Nabi Pak ﷺ kay Meelad ki khushi main juloos nikalnay say manna kea gaya ho? Q6. Quran-e-Majeed ki koi AIK Aayat Ya Nabi Pak ﷺ ki koi AIK Hadees Shareef Ya kisi Sihabi , Tab'i , Taba Tab'i ka koi AIK qaol dikha dijiay jis main Buzurgan-e-deen ki Quboor par chadar charhanay say manna kea gaya ho? Q7.Quran-e-Majeed ki koi AIK Aayat Ya Nabi Pak ﷺ ki koi AIK Hadees Shareef Ya kisi Sihabi , Tab'i , Taba Tab'i ka koi AIK qaol dikha dijiay jis main Kisi mehfil main jhanda lehranay say manna kea gaya ho? Q8.Quran-e-Majeed ki koi AIK Aayat Ya Nabi Pak ﷺ ki koi AIK Hadees Shareef Ya kisi Sihabi , Tab'i , Taba Tab'i ka koi AIK qaol dikha dijiay jis main Sabz rang ka emama bhandhnay say roka gya ho? Q9. Quran-e-Majeed ki koi AIK Aayat Ya Nabi Pak ﷺ ki koi AIK Hadees Shareef Ya kisi Sihabi , Tab'i , Taba Tab'i ka koi AIK qaol dikha dijiay jis main Eesal-e-Swab karnay aor Qul ya fatiha dilwanay say manna kea gaya ho? 1 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 22 جنوری 2013 Report Share مراسلہ: 22 جنوری 2013 10 Jwabat Aor 12 Suwalathttp://www.islamimehfil.com/topic/20241-دس-سوالون-كا-جواب/ Pdf :http://www.islamimeh...attach_id=58342 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔