Dr Muhammad Faiz مراسلہ: 15 اپریل 2011 Report Share مراسلہ: 15 اپریل 2011 (ترمیم شدہ) Assalam o Alaikum Wa Rahmatullah Wa Barakatuhu, We ,a group of doctors and engineers that has started a programme for ittehade ummat (Unification of ummah) as a mission. Our approach is problem solving rather than argument and counterargument. Our aim is to bring ummah specially to the POINT agreed upon.And to present them a sense of understanding about the MANHAJ of Sahaba to deal in difference of opinion in all issue. To spread the sense of IKRAM-E-MUSLIM and IKHLAS-E-NIYAT at the top of their all actions including in matter of argument and counterargument,in disagreement and in difference of opinion. During our study of different groups we came to know that really there is no difference between DEOBANDI AND BARELVI.This is happening just because of MISUNDERSTANDING AND COMMUNICATION GAP. We are coming up with our first book titled " DEOBANDI BARELVI IKHTALAF GALATFAHMION KA AZALA AUR MASALE KE HAL KI EK KOSHISH" That will have the solution of all confusion and misunderstanding INCLUDING THE WRITING IN TAKHDIRUNNAS,HIFZULIMAN etc.......................Difference in matter of Aqeeda 1.NOOR O BASHAR 2 ILME GAIB 3 HAZIR O NAZIR 4 MUKHTARE KUL and all aspects. We have quotes from original book and clarification from the writer himself or their PARENT INSTITUTION . INSHAALLAH. everyone is requested for dua for the unification of ummate muhammadia Sallallahu Alaihi Wasallam In the mean time you can read following books for knowing actual position of DEOBAND in these Ikhtalaf. In my opinion this is natural way of justice to know their version before issuing any judgment or decision. Allah will ask me alone for my actions and no forum or link will help me on the day of Qiyamah. Requesting all for forgiving me and please do dua for me. JAZAKALLAH O KHAIR DR MUHAMMAD FAIZ Edited 15 اپریل 2011 by Usman Razawi Email Adress Removed. Sharing Religious Books other Than Islam Is'nt Allowed. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 15 اپریل 2011 Report Share مراسلہ: 15 اپریل 2011 Kia aap deobandion ki kufria ebarat par mutla honay kay bawjood bhi in ebarat ko saheeh smjhtay hain? Dr.Sahib aapnay itni Study kar li hay keh HifzulEeman, Taqweyat-Ul-Eeman etc k kufriat aapko kufriat hi nazar naheen aarhay? Aap apni study ki roshni main Akabir Ulama-e-Deoband Ki Kufria ebarat ko kufr say pak sabit karnay kay leay topic star krain. Phir insha Allah dhoodh ka dhoodh aor paani ka pani ho jaye ga. Bahut Shukria اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Dr Muhammad Faiz مراسلہ: 15 اپریل 2011 Author Report Share مراسلہ: 15 اپریل 2011 (ترمیم شدہ) Kia aap deobandion ki kufria ebarat par mutla honay kay bawjood bhi in ebarat ko saheeh smjhtay hain? Dr.Sahib aapnay itni Study kar li hay keh HifzulEeman, Taqweyat-Ul-Eeman etc k kufriat aapko kufriat hi nazar naheen aarhay? Aap apni study ki roshni main Akabir Ulama-e-Deoband Ki Kufria ebarat ko kufr say pak sabit karnay kay leay topic star krain. Phir insha Allah dhoodh ka dhoodh aor paani ka pani ho jaye ga. Bahut Shukria Assalam o Alaikum Wa Rahmatullahi Wa barakatuhu Brother As you are supermoderator it may happen that you ban me from the forum but please give me before that your Email ID so that I could clear my stand privately. Basis of our approach is as follows. 1.IIttehad e ummat has been very much stressed in quran e pak and by Pyare nabi Sallallahu Alaihi Wasallam 2.It is totally true that the the Objectionable IBARAT OF THESE DEOBANDI ULAMA BOOK were totally unwarranted.There was no need of giving such examples that has been given in these books. And there apparent meaning is obviously telling gustakhi. And while giving example and comparing HUZOOR E AQDAS SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM we cannot give loose example That is a big sin. STILL I AM TRYING FOR UNIFICATION WHY???????????????????????????? But the thing is ALREADY FATWA OF KUFR HAS BEEN ON THEM.They were declared already kafir.THEY HAVE DIED AND WILL NOT COME FOR ANSWERING. The present Scenario 1. I am talking about INDIA.I donot know what is happening in Pakistan. 2.Here neither in any MADARSA OF DEOBAND these books are in syllabus even informally it is not taught.I know some deoband graduate (not all) that were not knowing even the name and writer of these books.What to talk about its content. 3.No one is spreading these books.You will surprised to know that for our refrence when we searched these books in my city none of these books were availabe.I have to buy from DELHI. ( Further surprise the book taqwiatul imanI AM HAVING has been published by AHLE HADITH HAZRAT.And they have made additional notes from their side also but mentioning their name also.) 4. I am going in Tabligh Jamaat from 1995 during my student days at Aligarh Muslim University Aligarh.For 14 years I didnot even hear these books.Just 1 year back from my Barelvi friends I came to know about these books and IBARAT. 5.In india if you ask from any Tablighi brother Hardly anyone is even knowing the name of these book. 6.Those who have written has died with FATWA OF KUFR already on them. These are the basis of our mission and book and in the same manner We have also dealt the HAQEEQAT of Deobandi Allegation on Barelvi also. Like you everyone discouraged me but We are going ahead that even if my mission fail Allah Taala will give me SAWAB and Reward for my NIYAH of Unification of ummate MUHAMMADIA SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM. JAZAKALLAH Edited 15 اپریل 2011 by Usman Razawi Dont share ur email address. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 15 اپریل 2011 Report Share مراسلہ: 15 اپریل 2011 Brother As you are supermoderator it may happen that you ban me from the forum but please give me before that your Email ID so that I could clear my stand privately. Muhtram aap bay fikar raheay , Jab tak aap forum rules obey krtay rhain ge aap ko ban naheen kia jaye ga. Jnab aap nay kuch points uthaye hain . 1 : Sab say pehlay to aap nay Jnab Qasim Nanotwi , Jnab Ashar feli Thanvi, Jnab Rasheed Ahmad Gangohi Aor Jnab Khaleel Ahmad Anbethwi ki kufria ebarat ki bina par mazkoora ulama par kufr kay fatwa par apni rzamandi zahir ki , yani keh yeh ulama apni gustakhana ebaraat ki wja say kafir hain. phir aap ka main point hay keh: 6.Those who have written has died with FATWA OF KUFR already on them. yani keh ''yeh Molvi sahiban mar kar matti main mil gaye hain , lihaza ab hmain mojooda deobandi hazrat say ittehad kar lena chaheay'' To muhtram arz yeh hay keh hmaray nazdeek sirf wohi log deobandi hain jo keh in ebarat ko jannay kay bad bhi in ebarat ko saheeh sabit karnay ki koshish karain aor jo in ebarat ko janany kay bad bhi inko gustakhana na smjhain ya mazkoora ulama ko kafir na maanain , Sirf whi deobandi hay aor sirf whi kafir hay. Aap yahan bhi dekh saktay hain keh main nay sab say pehlay aapsay suwal hi ebarat kay baray main kea. Umeed hay smjh aagaye hogi. Aap ki baqi tmam baton ka khulasa hay keh tablighi ijtemat waghera main yeh kutab naheen dikhayi jati..... To muhtram arz yeh hay keh agar tablighi ijtema'at main yeh kutab dikhayi jain to deobandion kay qareeb kon jaaye?? jesa keh aap 1995 say laykar 2010 tak bay khabar rhay , laikin ab jesay hi aapko kufria ebarat ka ilm hua aap nay in ebarat ko kufria maan lea ........ isitrah har kisi ko pta chal jaye to wo deobandi tablighi jammat chor na day??? yehi to deobandion ki munafqat hay keh asal ebarat say logon ko baykhabar rakhtay hain. Baqi aapnay farmaya keh har madrasay main yeh books naheen hoti , neez har city main naheen hoti, to bhai arz yeh hay keh hmain is bat say gharz naheen keh yeh publish kahan say hoti hain , hmain to book k content say gharz hay , agar kufria ebarat chahay kisi bhi kitab main ho chahay kaheen say bhi publish ho , wo kufria hi hay. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
alSaifiya مراسلہ: 15 اپریل 2011 Report Share مراسلہ: 15 اپریل 2011 (ترمیم شدہ) Dr. Faiz Sahib aap jo kaam kar rahay hain yeh kaam na jaanay kitnay hi logon ne aaj tak karnay ki koshish ki lekin baat phir usi point pe aa ke khari ho jati hai , masla yeh hai ke Deobandion se humara koi zameen o Jaidad ka Jhagra to nahin balkeh masla toh sirf isi baat ka hai ke unkay baron ne jo Gustakhiyan ki hain woh to mar ke mitti me mil gaye lekin ab yeh log na jane kiyun aisi ibarat ko Defend kartay hain halankeh aap khud kehtay hain aap ne woh ibarat dekhi hain aap ek baat batain ke jo shakhs apnay Nabi ki Gustakhi ko denfend karay kya woh Musalman hai ? Main ne khud kuch badbakhton ko dekha hai aisay kartay hue . ek badbakht ne to youtube comments mein mujhay kaha ke Ashraf Ali thanvi ki Gustakhana Ibarat jis pe Kuffar ka fatwa laga tha woh shakhs bola ke " AAJ TAK THANVI SAHIB KI WOH IBARAT BARELVION KE LIYE CHALLENGE BANI HUI HAI " ab aap bataiye is tarah ki batain karnay wala Musalman ho sakta hai ke jo na sirf Apnay Nabi ki gustakhi ko defend karay balkeh us ko MazzAllah batore challenge samjhay ?? Bhai jaan aapki Imaan dari ki main tareef karta hoon ke aap wahid aisay shakhs hain jo itna arsa tablighion ke sath gaye lekin jab aapko woh ibarat dikhayi gayin to aapne bhi unko Gustakhi hi jana . bohot khushi hui . baqi jahan tak baat hai ke Noor ul Bashar Hazir Nazir waghairah aisay mozuon pe ikhtalafat bhi unhi molviyon ki wajah se hua main ek misaal doon aapko . Haji Imdad Ullah Sahib Mahajar Makki Rehmatullah Alye Milaad ka Jashan manana na sirf jaiz samjhtay thay balkeh manatay bhi thay jab ke unke Mureed Gangohi sahib Milaad ko manana har haal mein MazzAllah Najaiz samjhtay thay . yani un se pehlay tak yeh maslay masail thay hi nahin sab ke yehi Aqaid thay lekin ikhtalafat nichay aa ke hue . Deoband ke Ulema ne har har Muamlay mein Nabi Kareem ki Shaan mein apna bughaz ugalna shuru kar diya kabhi Nabi Kareem Salalaho Alyehi Waslam ke Ilam ko Shaitan se kam kaha gaya ( Naud Billah ) to kabhi Ilme Ghaib ki toheen ki gayi jo main likhna bhi nahin chahta . aur kabhi Khatme Nabuwat ka Inkaar kiya gaya. Bhai in short humari Larayi aur Nafrat un logon ke liye hai jo na sirf aisay ganday Aqaid rakhtay hain balkeh inko MazzAllah challenge samjhtay hain . Jo inko Gustakhi janay us ko hum kabhi bhi Wahabi Gustakh ya Kafir nahin samjhtay chahay Deoband se hi kiyun na parha ho . jaisay aap ne inko Gustakhi hi jana . aur Haq ko mana . Khair agar aap kisi bhi mozu pe apni research ke liye baat karna chahtay hain , Noor ul Bashar ya Hadir Nazir wghairah to aap Debate section dekh saktay hain ya forums ko search kijiye aur agar kisi point pe confusion ho to baat bhi kar saktay hain thread bana ke . apko koi bina wajah ban nahin karay ga yeh forum sab ke liye hai aur Chahay Sunni ho ya Deobandi kisi ko bhi tab tak ban nahin karta jab tak ke woh Forum ke Rules ke khilaaf na jaye . aap ko pura Haq hai yahan apni baat karnay ka . Edited 15 اپریل 2011 by alSaifiya اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Dr Muhammad Faiz مراسلہ: 15 اپریل 2011 Author Report Share مراسلہ: 15 اپریل 2011 ASSALAM O ALAIKUM WA RAHMATULLAHI WA BARAKATUHU, First of all I am requesting all ( including myself ) that please clear our heart from all type of Badgumani. Badgumani has been very much condemmed by our Pyare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam. Next I would like to clear that I dont like discussion for the sake of discussion. isitrah har kisi ko pta chal jaye to wo deobandi tablighi jammat chor na day??? 1. SHAYED POST KI LANGUAGGE SE GALAT FAHMI HUI KE MAIN TABLIGHI JAMAAT MEN NAHIN JA RAHA HOON. Aj bhi mere masjid mein JAMAAT AYI HUI HAI AUR ASAR SE ISHA TAK UNKE SATH RAHA. Aur next week Jamaat mein jar aha hoon. aur InshaAllah tab tak Tablighi Jamaat ke sath rahoonga Jab Tak who Islam o Iman aur Huzur E pur Noor Alaihissalam ka kam karte rahenge. Hattake agar maulana SAAD ,aur Maulana zubair (NIZAMUDDIN WALE) bhi Tabligh ka kam karna band karden to bhi main in usuloon ke sath kam karta rahunga (InshaAllah). Yeh log jin usooloon ke sath kam karte hain yeh Hamare Sufi Silsilon ke usool hain.Aur INhi Sufiya karam se Pahle bhi deen phaila hai aur Aj bhi Inhi se Phail Raha Hai. Tareek E Mashaikhe chisht mein Professor Khaleeq Ahmad Nizami Ne likha Hai ke “Chishti silsile ke Islahi usuloon ka jitna Ihtamam aur Istemal maulana Ilyas ne kiya hai utna hal ke logon mein se kisi ne nahi kiya hai” Ek aur baat main Arz karta hoon (Forum ke rule ke agar khilaf ho to edit kar dijiyega) Apne bhi suna hoga Hindustan ka ek Gair muqallid Dr Zakir Naik Hai jo comparative religion ke Zariye se Gair Iman Walon men dawat ka kam karte hain ( Please apne topic ko chodkar zakir naik /gair muqallid ka discussion nahin shuru kar dijiyega) Log khub tareef karte hain Lekin Asar kitna hoota hai.Bahut thode log Iman ke andar dakhil hote hain. Joh log unke zarie se musalman ho bhi jate hain unmen Amm taur par AAMAL KA PUKHDAN hota hai. (HALANKE JOH BHI IMAN KE ANDAR A RAHA Woh khair ka hi kam hai) Khud ek jagah zakir naik ne kaha hai ki Log Tareef karte hain bahut accha taqreer hua Amal Nahin Karte kya fayeda…………………… Itna Bada Banner hai ground par kya Asar Hai. Iske Alawa Muft mein Who FIQH KE MASAIL MEIN PADKAR KITNE MUSALMANOON KO GUMRAH ALAG KARTE HAIN. Yeh Isliye hua ki Unka kam Dawat ke manhaj ke mutabiq nahin the. India mein Ek Gumnam Alim Hai Maulana Kaleem Siddiqui Sb. Woh Maulana Abul Hasan Ali Nadwi(R.A>) ke Khalifa hain.Who Sufi Silsile ke usuloon par Gair iman walon mein Dawat ka kam Karte hain aur BAJAYE COMPARATIVE RELIGION KE yeh pesh karte hain ke yeh tumhara Islam hai Allah ne tumhare liye yeh paigam bheja hai.Unke Zarie se Iman mein dakhil hone wale log bhi zayada hain aur woh Pakke deen wale bhi bante hain. Apko jan kar bahut khushi hogi ke 3 Aise log jo Babri Masjid Shaheed karne me Bilkul Pesh Pesh the who Iman ke Andar Dakhil ho Gaye. (I am giving first hand information personally I have met them). Toh yeh usool ka farq hota hai. If we read Hayatus Sahaba (Book on the life of Rasool Sallallaho Alaihi Wasallam and Sahaba and biography of Nizamuddin Auliya Rahmatullah Alaih and Mujaddid Alfasani Rahmatullah Alaihi and the book Tasawwuf aur Suluk,we will come to know that Tablighi Jamaat is very close to these usools. Lekin agar who Rasool Sallallaho Alaihi Wasallam ki gustakhi ya Auliya Karam ki gustakhi ka Shayba bhi apne kam men layenge to main usi din unse Juda ho jaunga. Lekin Haqeeqat yeh hai ki who to sab se zyada Huzur Sallallaho Alaihi Wasallam ki Auliya Karam ki zindagi par amal karte hain,uska muzakra karte hain, aur ek bat yaqeeni hai ke app begair muhabbat ke kisi ki ittaba nahin kar sakte. Main kisi Tableeghi Jamaat/Deobandi/Maulana Ilyas ka kam nahi kar Raha hun Balki Huzur e pur nur Alaihissalam ka kam kar raha hun. Insha Allah I will deal rest of the points later on (raised by Respected brothers).Almost all point already we are having for the preparation of our book on ittehade ummat). We are already prepared that there are people who will not accept mission for unification but there are many more to accept it (Insha Allah). May Allah forgive me and give me taufeeq for Ikhlase niyat. JAZAKALLAH اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
alSaifiya مراسلہ: 15 اپریل 2011 Report Share مراسلہ: 15 اپریل 2011 (ترمیم شدہ) 1 Yeh log jin usooloon ke sath kam karte hain yeh Hamare Sufi Silsilon ke usool hain.Aur INhi Sufiya karam se Pahle bhi deen phaila hai aur Aj bhi Inhi se Phail Raha Hai. 2 Tareek E Mashaikhe chisht mein Professor Khaleeq Ahmad Nizami Ne likha Hai ke “Chishti silsile ke Islahi usuloon ka jitna Ihtamam aur Istemal maulana Ilyas ne kiya hai utna hal ke logon mein se kisi ne nahi kiya hai” 3 If we read Hayatus Sahaba (Book on the life of Rasool Sallallaho Alaihi Wasallam and Sahaba and biography of Nizamuddin Auliya Rahmatullah Alaih and Mujaddid Alfasani Rahmatullah Alaihi and the book Tasawwuf aur Suluk,we will come to know that Tablighi Jamaat is very close to these usools. foa plz text size zara chota rakhain Yeh kya keh rahay hain Janab ?? Tablighi Jammat aur Sufiya ? acha phir zara yeh bataiye ke kitnay Awliya Allah banay hain is tablighi Jammat ke so called Sufiya ke kareeb tareen Rules ko follow kar ke ? Jab se Deobandi Firqa wajood mein aya hai koi Walli Allah ginwa saktay hain aap jo aap logon mein se hua ho ?? Jabke Alhamdullilah Ahle Sunnat Wal Jammat mein to abhi bhi Awliya Allah paida ho rahay hain . Khair humain koi faraq nahin parta aapki so called Tablighi Jammat kya hai ya kya kar rahi hai . Main Italy mein rehta hoon aur Janab yahan jo Masjid hai yahan bhi Tablighi Raiwindi aatay thay pehlay . Allah ka Lakh Lakh shukar hai ab nahin aatay . inhon ne to logon ke yahan Aqeeday barbaad kar ke rakh diye hain na jane kitnay bholay bhalay log yahan inke changul mein phansay lekin Allah ka karam hai ab nahin aatay last time inko Police walon ne set kiya tha . ab yeh na kahiye ga woh to deen ki tabligh kartay hain . Main ne khud dekha hai unhon ne kitnay hi Sahi ul Aqida Sunnion ko Wahabi bana diya ab to woh is nobat pe aagaye hain ke Hanfi Fiqh ko follow bhi nahin kartay Unchi awaz mein ameen kehni Haath marzi se bandhana waghairah aur jab unko Fiqh ke baray mein bataya jaye to Bukhari ka hawala detay hain . ab aap khud hi samjhdaar hain andaza laga lijiye jo Khud se Fiqh mein manmani shuru kar de wo kis muqaam pe pohonch gaya ? Aap ka kya Khayal hai DAWAT E ISLAMI ke baray mein aapko itahad ki itani fiqar hai aur Tabligh ka agr itna shoq to kya wajah hai ke aap Dawet Islami Walon ke saath nahin jatay ? woh to Fiqh ko mukamal follow kartay hain + Sahih ul Aqidah hain + Asal Sufiya ke rastay pe hain usool se bhi amal se bhi . aur zara yeh bataiye apki tablighi Jammat mein kon sa Sufi Silsila aam hai aur aap apni baat kijiye ke itnay salon mein kis silsilay mein apko Khilafat mili hai ?? Qadri , Naqshbandi , Chishti , Soharwardi ?? Apke Murshid kon hain ? kya unka Taluq Tablighion se hi hai ?? aur apne apnay Sheikh se kis silsilay mein khilafat li hai agar aapka koi sheikh hai to ? kya aap ko Pata hai Naqshbani Qadri Ya Chishti Ya Soharwardi Sahreef mein kitnay kitnay Muraqbat hain aur Lataif ke baray mein kya ilam rakhtay hain aap . din mein kitni baar Nafi Asbat kartay hain aap ?? aur kabhi kiya bhi hai aur Imam Mujadid ke Silsila Mujadadi Naqshbandi ke Murakbat ya kam az kam pehlay ki niyat hi bata dijiye yeh batain is liye ki hain ke aap do mukhtalif cheezon ko ek keh rahay hain . Sufiya ki Taleemat pe hotay to aaj yeh jhgray hotay hi na . khair humain Tablighi Jammat sekoi gharz nahin . Aala Hazrat itnay saal khat likhtay rahay kiyun kiyunkeh hum log to shuru se hi aap logon ko wapis Ahle Sunnat wal Jammat ke Sahih aqaid pe lanay ki koshish mein hain lekin Deobandi hain ke Mazeed barhtay jaa rahay hain . khair aap ko jo bhi baat karnay hai aap kijiye InshAllah Sab yahin aap se baat karein ge agar aap ne Haq aur Imaan dari se kaam kiya koi bhi aapko yahan Deobandi ki tarah treat nahin karay ga , Humain Matlab Sahih Aqaid se hai aur Aaqa Kareem Salalaho Alyehi Waslam ko jo Shaan Allah ne Ataa farmayi hai usko tasleem karnay se hai . Edited 15 اپریل 2011 by alSaifiya اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Dr Muhammad Faiz مراسلہ: 16 اپریل 2011 Author Report Share مراسلہ: 16 اپریل 2011 (ترمیم شدہ) Assalam o Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu Insha Allah I will answer points one by one and probably our topic of discussion derailed to Tabligh Jamaat.I have to post that post because of a misunderstanding from my words. This is good information that so many people tried for this unification.We want some detail of this.Actually we have a chapter on History of these difference and history of efforts of unification. But we could find only one name HAJI IMDADULLAH MAHAJIR MAKKI (R.A) who really tried hard (May Allah give him reward for unification of ummat) Apart from that we are not knowing anyone doing any serious effort (If any please inform me .We have to add in the book) Qari Tayyab Sb (R.A.) said that hona to yeh chahiye tha............................But he could not take any action or concrete step. I donot consider Munazra as effort of unification.Most of the time it deepens the differences. We should not mix different writing and acts together. 1. About Ilme gaib the example and comparison that maulana Ashraf Ali gave was clearly apparant Gustakhi. It was totally unwarranted and unacceptable. But you forgot one thing, in his lifetime himself Maulana Ashraf Ali has done RUJU with that Sentence and totally changed that sentence and made it public that now this will be read as differently. Now if somone is still against the old writing which himself (Maulana Ashraf Ali) in lifetime he has changed. Aur ummat ko is purani ibarat ke naam par bantna kya sahih hai????????? Kya Hamare Rasulullah KA yahi Tariqa Tha? Kya Hamare Auliya karam ka jin ke hamlog nam lewa hain yahi tarze amal tha.? 2 Khatme nabuwwat ka inkar???????? (Takhdeerunnas) Maulana Qasim Nanautwi ne Takhdeerunnas mein lagbhag 40 page mein taqreer ki hai.Aur Khatme nabuwwat ke teen darje likhe hain1.Khatme nabuwwat Zamani (saw)2.Khatme Nabuwwat makani (saw)3.Khatme nabuwwat Martabi. (ke zati kamalat ke lihaz se bhi app khatim hain ke na sirf yeh ki app ka koi hamsar nahin balki sare anbia ki nabuwat app ki nabuwwat ka faiz hai.) Unhonne teeno darjon ke hisab se ap (saw)ko khatimunnabieen sabit kiya hai. Is silsile men Quran,aur hadeeth ki dalayel ke alawa Aqli aur fiqhi dalail bhi Qayam kiye hain. Jismen ek sentence is tarah hai ke ” Agar bafarz man bhi liya jaye ke…………………………to bhi apki khatme nabuwwat men koi farq nahi padta.” It is right that this sentence was not appropriate. It is a confusing sentence Is sentence par aitaraz hua aur unhone doosra risala ” MANAZIRE AJIBIA ” ke nam se likha. Aur wazeh kiya ke jo nabi ke khatimunnabbieen ka inkar kare who Qatai Islam se kharij aur kafir hai. Is kitab men page no 37 par unhone sah saf lafzon mein 1.Khatme nabuwwat Zamani 2.Khatme Nabuwwat makani3.Khatme nabuwwat Martabi ko huzure pak ke liye sabit kiya hai. Ab bhi isko buniyad banakar itna bada ilzam lagana key woh khatime nabuwwat ka inkar karte hain, Hamari rae mein aisa karna theek nahin hai baki zaruri nahin ke har admi meri rae mane hi. Badbakhton ki jaisa ke AP ne farmaya hai (you tube par) tu usse har tarah mukhalfat zarur Karena CHAHIYE lekin isme maulana nanutwi ka kya role hai. US BADBAKHT KO BHI YEH PURI BAT MALUM NAHI HOGI JISNE YOU TUBE PAR AISA CHALANGE KIYA HAI. Aur Ek baat 100% durust hai ke while giving example any loose word for comparison to Huzur e pur noor alaihissalat Wassalam,Auliya Karam and for Shaaere deen is unacceptable.There can be no compromise on it. Aur zyada main post mein likhna nahin chahta. Mere pas Isi Tarah ke Ilzamat ki deobandi ki taraf ki bhi kitab hai lekin main uski Ibarat ka tazkira yahan bhi nahin kar raha aur insha Allah puri zindagi mein Kabhi nahi karunga kyonki yeh ek chupi cheez ke Parda Dari ke mutaradif hoga.Jo ki asal matlab ko tor maror kar banayi gayi hai. AUR HAMARE NABI PAR JAB ALLAH TAALA DARUD O SALAM BHEJTE HAIN AUR ALLAH NE UNKI SHAN BULAND KI TO KAUN ISKO KAM KAR SAKTA HAI KOI ZALIL CHAHE BHI TO NAHIN KAR SAKTA HAI. About sufism principle,and dawate islami Insha Allah I will reply later on. Main bahut Zaif Banda hoon ,tamam hazrat se khususi taur par hamare muhtaram buzurg ALSAIFIYA damat Barkatuhum se khususi duaon ki darkhast hai. Allah hamare likhne aur post mein ikhlas nasib farmaye aur tamam galti ke liye Maaf farmaye.Aur ummat ke ittehad ki koshish jo hamesha Ahle haq ka Shaar raha hai uski hamen bhi tafeeq naseeb farmaye. Jazakallah. Edited 16 اپریل 2011 by dr muhammad faiz اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
RazaviTiger مراسلہ: 16 اپریل 2011 Report Share مراسلہ: 16 اپریل 2011 Janab doctorshb muje to bohat harat hoti ha ap kibat sun kar.Ap na Thanvi ki iime gaib wali ibrat pa jo jawab dia ha wo kisijoke sa kam nahi ager ap ko bura na lage to mari chand guzarshat hain plz zarorgor farmaye ga. 1.Ap na kahaka thanvi na jo example di ha wo clear gustaki ha to mare bahi tabligi jamt joka molvi ilyas na bani ha wo thavi ka parokar ha aur gustk ka parokar kia hotaha jawab zaror dana? 2.ap chalen isphle wali ibrat pa kisi bare deobandi tabligi molvi ya daruloom deoband sa fatwala kar yahan post kar dain ? 3. aur jo logis phalli ibrat ko haq sajme hain un ka mutalik ka hukm ha is ka jawab be apnimolvi shabn sa pouch ka yahan past karye ga? Doctor shb busap thanvi ki phalli wali ibrat ko gustaki samjte hain plz us pa muje fatwa zarorkisi deobandi ilam sa la kar bajen bohat bohat mehrbani hogi . Thanvi na toraju kar lia bakol ap ka mager un ki puri deogandi jamat is gustakna ibrat jasaka ap be farma chuke hain haq sabit karne main lagi huyi chlen unhoun ko to apna gustak kah kar Ummat pa bohat bara ihsan farma ha . chalen aur kuch nahipakisatn ka tabilgi to gustake huye ap bat rah gaye india ka tabiligoun ki towo jab ap fatwa bajen ga to wo be nahi bachen gap her ap kud daik lana ka ap kidarkhare ho. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 16 اپریل 2011 Report Share مراسلہ: 16 اپریل 2011 1. About Ilme gaib the example and comparison that maulana Ashraf Ali gave was clearly apparant Gustakhi. It was totally unwarranted and unacceptable. But you forgot one thing, in his lifetime himself Maulana Ashraf Ali has done RUJU with that Sentence and totally changed that sentence and made it public that now this will be read as differently. Muhtram Aap nay likha keh Jnab Thanvi sahib nay apni ebarat ko kufria tasleem kar lea tha aor jumla tabdeel kar kay naya jumla likh dea hay ....... Muhtram is bat ka suboot dijiay. wesay aap ka kea khial hay keh hmara dimagh kharab hay keh thanvi sahib ki toba kay bawjood bhi unhain kafir kehtay hain??? Muhtram ham kisi bhi delusion ka shikar naheen hain , haq to yeh hay keh thanvi nay apni ebarat ko kufar mana hi naheen. 2 Khatme nabuwwat ka inkar???????? (Takhdeerunnas) Qasim nanotwi sahib nay bhi apni ebarat ko Kufar naheen maana aor na hi is say rujoo kea .......... Agar kea hay to suboot dijiay. Aor agar aap qasim nanotwi ki ebarat ko kufar naheen maantay to mazeed maloomat kay leay is topic ka mutala kijiay: http://www.islamimehfil.com/topic/11184-tahzeer-un-nas-kay-radd-par-chand-kutub-o-mqalajaat-o-tahreerat/ phir bhi aap kay zehn main agar koi suwal ho to forum par post kar sktay hain aor agar munazra karnay ka shaqo rakhtay hain to insha Allah Saeedi sahib bhi yahan isi forum par mojood hain. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Aashique-Mustafa مراسلہ: 16 اپریل 2011 Report Share مراسلہ: 16 اپریل 2011 (ترمیم شدہ) Jo baatein aap tablighi jamat ki tareef mein keh rahe hain,, Is ka Jawab Nabi e Kareem Rauf o Raheem Ki ahadees se Parhein Mein Sabiqa Deobandi Hoon,, Kufriya Ibarat dekh kar Deobandiat Chhor di Mera family background bhi tablighi type hai,, jinhein apne akabreen ki kufriya ibarat to kya un k naam bhi nahi pata.. bahrahal mere deobandiat chorne ki ek waja ye Ahadees bhi hain Imaan ki Roshni se Dekhiye ga Jis jis mein Wahabiat k jaraseem honge us us mein ye nishaniyan hongi Deobandi,Ghair muqallid, tablighi jamat, Taliban, jihadi, jamat e islami type, waghera sab ek Nishani Hadees mein hain k wo Buto wali ayaat musalmano per laga kar un per shirk k fatwe deinge jab k Nabi ne hadees mein irshad farma diya tha k mujhe apni ummat se shirk ka khauf nahi,, haan wo dunya mein par jaenge.. Mulahiza Farmaein Edited 16 اپریل 2011 by Aashique-Mustafa اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
AhleQuran مراسلہ: 16 اپریل 2011 Report Share مراسلہ: 16 اپریل 2011 DMF@ Agar hamaray pass kohi Imaan ka injection hota, ya kohi goli, capsule, puri, taweez ganda hota toh aap ko deh detay magar nahin heh is leyeh aap saray doctors mil ker apna ilaaj khud keren aur apni bemaari awaam taq nah pehlahen. Ummat meh ittihad nahin ho sakta aur koshish bekar, keyun kay 73 firkay hoon gay aur har ek ka dawa kay ham hee sachay hen hona heh, aap sirf logoon ka imaan kahrab kernay ahay hen. Deobandi hazrat ka yeh tactic heh, thanvi nay joh likha woh likha, ham toh tableeghi jammat walaloon nay kabi kitabeh peri nahin un kee, aap hamaray saath aahen aur tableegh keren deen kee. Jahil awaam chal nikalti heh aur dokay meh aa jaati heh. Haqiqat yeh heh kay aap logoon kay aqahid bilqul wohi hen joh Taqwiyatul imaan, hifz ul iman, tahzir un naas, bast al banan, tayghir ul unawan, sirat e mustaqeem meh likhay ghahay hen, is leyeh aap ko pata nah hona kay aap kay aqahid un kutb say hen is baat kee daleel nahin kay aap in kutb ko mantay nahin hen, joh joh kufriat tumaray uqabir kee kitaboon meh likha heh tum sab ko hee islam mantay ho, magar tumara tactic tabeelghi jamat ka tactic hee yahi heh kay pehlay inqaar keeya jahay aur phir jab saath ho jahay toh phir us ko teach keeya jahay joh doebandi darm heh. doka heh bas farq yeh heh kay bhoolay bala Sunni tumari chaploosi meh aa jatay hen, aur yaad nahin rakhtay kay shoroon meh in ko kia bataya gaya thah aur baad meh kia bataya ja raha heh. Pehlay toh kaha gaya kay thanvi kee ibarat kuffria hen, panch chay maheena saath rakh ker phir story badal jaati heh, hazrat thanvi bot baray aalim thay, itni kitabeh likhi hen, shah saab engrezzon kay khilaaf jihad kertay thay, bot kitabeh likhi hen bot baray aalim thay, kesay yeh gustakhi ker saktay hen, balkay in ka likhnay ka matlab yeh thah ... meh ki murad say heh, danda meh gum ho gaya, ka matlab heh danda say gum ho gaya, is tera mati say milnay ka mana mati say milna heh, Phir progaming shoroon, Deobandi bari beghairat nasal heh, Mujjay kaffir kee baat ka ihtibar ho sakta heh magar Deobandi kee baat ka kohi ihtibar nahin, yahoodi mujjay kohi baat kahay toh meh husn e zan per maan loon, magar deobandi kahay, jab taq wohi baat Sunni aalim nah kahay meh nah manoon, chahay Allah ek honay ka ilaan nah keray. Dr Muhammed Faiz too bara be imaan aur dajjali Tableghi deobandi heh, abhi toh thanvi ko ghalat keh raha heh, chay maheenay agar meh teray saath bethoon toh dekhna girgit kee tera rang badlay ga. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Dr Muhammad Faiz مراسلہ: 17 اپریل 2011 Author Report Share مراسلہ: 17 اپریل 2011 ASSALAM O ALAIKUM WA RAHMATULLAH WA BARKATUHU, Doosri bat ka sawal muhtaram bhai ne dawat e islami ke hawale se kia hai. Apne gair muqallid tauseefur rahman ko suna hoga to app payenge ki who ek hi point lekar donon ko galat sabit karta hai.Woh usi Meraj ke waqiye mein Huzur ki shank e bayan se Dr Tahirul qadiri aur Tariq jamil dono ko galat sabit karta hai.Woh doosri jagah Ek hi point par ALA HAZRAT (R.A) ke KANZUL IMAN aur Tariq jameel dono ko galat kahte hain. Jis tarah who dono ko galat kahta hai Theek usi tarah main deobandi aur barelvi dono ko Sahih kahta hoon.Donon ko Ahle Haq mein Shumar karta hun.Dono Hanafi,dono Maturidi,dono charon silsile mein bait karte aur karate hain.Farq kya hai. Dono ke buzurgon mein jo Ikhtalaf hua uske andar Ikhlas tha ,woh Allah ke liye tha, Apko shayad ilm hoga ke Ashraf Ali (R.A) ne Ala Hazrat (R.A.) ke liye kaha tha “ Unhonne jo kuch bhi kiya who Ishqe Rasool mein kiya iske alawa aur kisi wajah se nahin (nafs ki wajah se nahin). (www.alahazrat.net) “Unhonne jo mujh par kufr ka fatwa diya hai who gustakhe rasool ke liye hai aur Agar main bhi Ala hazrat (R.A) ki jagah hota to main bhi yahi fatwa deta,lekin farq itna hai ke main gustakhe rasool nahi hoon” Yeh dono taraf ke buzurgon ka Ikhlas aur Ijtahad tha. Lekin bad ke logon ne isko munafrat phailane ki buniyad bana diya our is munafrat ke darakht ki aisi abiyari ki ke who ek aisa darakht bana diya jo sookhta hi nahin aur iska phar har sal aur kadwa ho jata hai.Naye badbakht shamil hote jate hain. Log jise gustakh kahte hain kya kisi ne Qasim Nanotvi ki QASAID E QASMI PADHI HAI.ARE WOH TO ISHQE RASOOL MEN aisi hai ke jaise deewana kar de. Hamne kabhi ek dusre ko dekhna hi gawara nahi kiya.Bas galatfahmi badhate rahe.AJ HAMARI NASL USI GALATFAHMI MEIN ANKH KHOL RAHI HAI. Aqeeda ke mutalliq kitab MASLAK e ULAMA E DEOBAND ,AQAID E ULAMAE DEOBAND noor o basher, ilme gaib,wagairah ke mutalliq deoband ki kitaben dekhi.Deband walon ne kya shan byan ki hai. Ismen dono taraf ke zoumae ummat ko age ana hoga.Agar sadq dil ho ek ghante meein yeh masla hal ho jayega.Agar hamare leader baith jayen. Lekin abhi to kisi ko GUSTAKHE RASOOL aur QABAR POOJWA ke Laqab ke Alawa kuch ATA HI NAHI. Jabki gustakhe rasool aur qabar poojne wale na deobandi hain na barelvi.Ala hazrat (R.A) ne to sajde ko haram qarar diya hai. Allah Amal ki taufeeq naseeb farmaye. Maine to Allah ki madad par yaqeen karte hue apne level par kam shuru kar diya. Har admi apne amal ka mukallaf hai.Aur Allah Taala result par nahin niyat par sawab dete hain. Mere liye DAWAT E ISLAMI aur Tabligi Jamaat dono hamare dost hain.Dono Ahle Haq hain. Abhi hamare ilaqe mein dawate islami/sunni dawate islami (India ki) nahi pahunchi hai. Isliye main abhi unka sath nahin de paya hoon. Meri kisi DAWAT E ISLAMI ke sathi se mulaqat nahin hai lekin jaisa website par main dekhta hun Hamne unmen khair hi khair paya hai. DAWAT E ISLAMI ki bahut sakht zarurat hai.Tabligi jamaat ki deoband se rishte ke shor ki wajah se bahut se ilaqon mein kam nahin hai.Insha Allah Dawate islami in sab Ilaqon mein kam kar sakti hai.Aur pyare nabi ke deen ko aur sunnaton ko zinda ka sakti hai. Agar Allah ne hayat di to app dekhenge ki apni masjid mein main dono ke sath rahunga.(Aur agar allah ne donon ko mila diya to Allah ki kudrat se yeh BAEED NAHIN HAI). Sufism ke usuloon aur SIlsile auliya khususan Hindustan ke Mashaikh karam ke kam ke andaz jisse hindustan mein deen phaila ke bare mein main alag heading mein likhna chahta hoon.WOh deoband barelvi se alag topic hai. Requesting special dua for the Ittehad e ummat of HAZRAT PUR NOOR ALAIHISSALATU WASSALAM. Hamare AQA ne hamesha ummat ko jodne ka kam kiya hai.Seerat mein iske kai waqiat hain. JAZAKALLAH اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Dr Muhammad Faiz مراسلہ: 17 اپریل 2011 Author Report Share مراسلہ: 17 اپریل 2011 (ترمیم شدہ) Assalam o alaikum Wa Rahmatullahi wa barakatuhu, KAI BHAIO NE HAMARI HIFZUL IMAN WAGAIRAH KI BAAT KA SABUT MANGA HAI. In tamam batoon ko REFERENCE aur tafseel se janne ke liye Barae meharbani in kitaboon ko mulahza farmayen. 5. Iske alawa yeh sari clarification aur wazahat website par bhi maujood hai. Allah ummate muhammadia mein ittehad nasib farmaye aur ham sab ko Qabool farmaye (Ameen). JAZAKALLAH Edited 17 اپریل 2011 by Usman Razawi Dont share non-islamic website links. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 17 اپریل 2011 Report Share مراسلہ: 17 اپریل 2011 Muhtram Dr.Sahib aap say ham nay aapkay kuch numlon ka suboot maanga tha jiskay jwab main aap sirf deobandion ki chand kutub ka naam lay skay to arz yeh hay keh deobandion ki in kutab ka radd-e-baleegh kayi ulama-e-ahl-e-sunnat kar chukay hain ... lihaza aap say guzarish hay keh aap khud apni baton ka suboot dain .. yeh keh dena keh fulan kitab say khud dhoondh lo , yeh suboot kay leay kafi naheen hay. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Dr Muhammad Faiz مراسلہ: 19 اپریل 2011 Author Report Share مراسلہ: 19 اپریل 2011 Assalam o alaikum Wa Rahmatullahi wa barakatuhu, Bhai, maine apni taraf se kuch nahin likha hai. (SABOOT KE BARE MEIN) yeh sare sawal darul uloom deoband se ek FATWA puch kar district PARTAP GARH (U.P.) ke ABDUL HAI nami bhai ne pucha tha.Yeh sawal bahut Aham the. Isliye iska jawab deoband ne apni website par bhi post kar diya hai. Bhai, Hamare pyare Aaqa Hazrat Muhammad ki ummat ke ittehad ke liye niyat kar ke dua zarur karte rahna. Aur apne maqdoor bhar koshish. Aur badla Apne Aaqa se hauz e kausar par milega.(Insha Allah) JAZAKALLAH اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 19 اپریل 2011 Report Share مراسلہ: 19 اپریل 2011 Aik bar phir aap apni bat ka suboto denay main nakam hain. apni is bat ka keh ''thanvi sahib nay apni ebarat ko kufria maan kar is sa ruju kar lea tha '' KA SUBOOT DIJIAY warna Jhooton par Allah ki Lanat ho. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
hanafi-hanafi مراسلہ: 24 اپریل 2011 Report Share مراسلہ: 24 اپریل 2011 (ترمیم شدہ) Assalam o Alaikum Wa Rahmatullah Wa Barakatuhu, ---between DEOBANDI AND BARELVI.This is happening just because of MISUNDERSTANDING AND COMMUNICATION GAP. DR MUHAMMAD FAIZ Wa alaikum As salam Wa Rahmatullah, Dear brother however sincere your desire is to unite the Deobandis & Barelvis, it will not materialise at least for another century. What can you do best is to list out the differences, the opinions of the critics and the explanation of both the parties w.r.t the objections against each other. And over a period of time you will see a group of Sunnis following the good from both (D + B and not taking interest in the superficial or useless arguments. This said you will find it very difficult for both the sides to exercise caution, restraint and apply husn-e-zan thinking that other party might have been misquoted, retracted/changed their stand or whatever. The reason I said it will take at least another century is that now Barelvis are enjoying an upper hand over Deobandis. This happened due to the Internet, easy access to texts and the global exchange of information. On many issues the stand of Deobandis was supposed to be one & final word from the only faction of Sunnis against Barelvis. But due to Internet etc the masses now have access to the opinion of Arba Sunni Ulemas and which does coincide on many issues with the Barelvis. You can find the similarity of opinions on issues like Noor/bashar, Ilm-e-Ghaib & Mawlid etc etc The reason why Deobandis do not accept the truth about the problematic statements from their akaabir is seem to be more of a personal nature rather than religious. The fatwas passed by Barelvi Imam was construed (seem to be) to be personal attack on great scholars by a non-scholar or a scholar of low calibre. Thus it resulted in denials, counter attacks and mockery of Barelvis & their Imam. The right attitude should have been to analyse the Ibaarat, given an explanation wherever possible, give the correct judgement about them and close the subject that this was an error. But Deobandis could not do it as if they claim infallibility for their scholars. On the contrary the same statement were declared Kufria by Deobandi Muftis in their fatwas when referred to without mentioning the names of the scholars. An example of the personal vendetta is still active on the Wasaya of Imam Ahmad Raza. If read with an open & unbiased mind one will not find any thing wrong in it. But Deobandis mocked it and in reply Barelvis came back with a reply quoting from the texts about the eating habits of Deobandi Akaabirs. Now Deobandis have published another reply to it in their magazine Ahle Haq. If you read the replies and countre replies you will see that it is nothing but a personal war. It was better if barelvis had simply written a clarification that whatever was written in the Wasaya was nothing but about easal-e-sawab through favourite foods of the deceased. It would have certainly left the Deobandis cornered by the sane Sunnis on their vulgar approach to this issue. Therefore I suggest that you continue your work without hoping of any help from any body and publish your work. There are Jahil, Aalim, Jahil + fasadi Aalim Deobandis & Barelvis who do not see things in the same perspective as Indian Muslims do. In fact if you quote from the Fatwas of Imam Ahmad Raza Khan on Qawwali, visiting of graves etc a Jahil Barelvi will call you a Wahhabi. So do not bother about the resistance or criticism you face in your efforts. As some times even the arrogance of the people on the right path also dishearten people with sincere desire for unification. Edited 24 اپریل 2011 by hanafi-hanafi اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 3 مئی 2011 Report Share مراسلہ: 3 مئی 2011 2 Khatme nabuwwat ka inkar???????? (Takhdeerunnas) Maulana Qasim Nanautwi ne Takhdeerunnas mein lagbhag 40 page mein taqreer ki hai.Aur Khatme nabuwwat ke teen darje likhe hain1.Khatme nabuwwat Zamani (saw)2.Khatme Nabuwwat makani (saw)3.Khatme nabuwwat Martabi. (ke zati kamalat ke lihaz se bhi app khatim hain ke na sirf yeh ki app ka koi hamsar nahin balki sare anbia ki nabuwat app ki nabuwwat ka faiz hai.) Unhonne teeno darjon ke hisab se ap (saw)ko khatimunnabieen sabit kiya hai. Is silsile men Quran,aur hadeeth ki dalayel ke alawa Aqli aur fiqhi dalail bhi Qayam kiye hain. Jismen ek sentence is tarah hai ke ” Agar bafarz man bhi liya jaye ke…………………………to bhi apki khatme nabuwwat men koi farq nahi padta.” It is right that this sentence was not appropriate. It is a confusing sentence Is sentence par aitaraz hua aur unhone doosra risala ” MANAZIRE AJIBIA ” ke nam se likha. Aur wazeh kiya ke jo nabi ke khatimunnabbieen ka inkar kare who Qatai Islam se kharij aur kafir hai. Is kitab men page no 37 par unhone sah saf lafzon mein 1.Khatme nabuwwat Zamani 2.Khatme Nabuwwat makani3.Khatme nabuwwat Martabi ko huzure pak ke liye sabit kiya hai. Ab bhi isko buniyad banakar itna bada ilzam lagana key woh khatime nabuwwat ka inkar karte hain, Hamari rae mein aisa karna theek nahin hai baki zaruri nahin ke har admi meri rae mane hi. Badbakhton ki jaisa ke AP ne farmaya hai (you tube par) tu usse har tarah mukhalfat zarur Karena CHAHIYE lekin isme maulana nanutwi ka kya role hai. US BADBAKHT KO BHI YEH PURI BAT MALUM NAHI HOGI JISNE YOU TUBE PAR AISA CHALANGE KIYA HAI. Allamah Saeedi Sahib ki aik post say Iqtebas: اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Dr Muhammad Faiz مراسلہ: 24 جون 2011 Author Report Share مراسلہ: 24 جون 2011 Assalam o alaikum Wa Rahmatullah Wa Barakatuhu, Pichle dinon hamlog apne mission ke silsile mein mashgool rahe. Ab Alhamdulillah hamari deobandi barelvi ikhtalaf aur ittehad e ummat silsile ki kitab type hokar soft copy ban gayi hai. Iske publication se pahle iska Beta version dono maktaba fikr ke MADARIS AUR ULMAE KARAM KE PASS jaega. Aur unki taraf se jo bhi Tasheeh hogi uske mutabiq Edit kiya jayega. Hamlogon ki yeh bhi koshish hai ki ispar dono taraf ke ulmae karam kuch peshlafz bhi likh den. Ap sab se dua ki darkhast hai, Allah sabhon ki mehnat ko Qabool farmaye aur ikhlas naseeb farmaye aur akhrat ki nijat ka zariya banaye (AMEEN). Main Is Silsile ke kuch experience share karna chahta hun. 1. longon ka amm tassur hai aur jise hanfi hanfi bhai ne bayan kiya ke app kisi se madad ki ummeed na rakhein. lekin jab hamlog is kam ki tarf age badhe to HAQEEQAT ISSE BILKUL JUDA THI Zamini halat yeh hai ki har kisi ne ummid se zayada madad ki. 2. Mawad jama karne mein donon taraf ke ULMA KARAM ne khususi tawajjah ke sath madad ki aur apni wazahat pesh ki aur usuli taur par is masale ke khatam karne par ittefaq kiya . Aur unlogon ka phone atta hai ki hamein apki kitab ka shiddat se intazar hai. 3. Awam mein jis ne bhi tazkira suna sabne tareef ke aur dua di aur qadr ki nigah se kam ko dekha. Itna zarur hai ki app agar begair kisi mawad ke ittehad /masla ke hal ki bat samjhane ki koshish kare to log dhyan nahi denge kyounki unhone is DEEN KE NAAM PAR LADAI KO NORMAL SAMAJH RAKHA aur zahir hai normal cheez ke sath jeena seekh liya hai aur apne DEENI LAH AMAL AUR MAIDANE AMAL Ko adjust kar liya hai. Aur india mein duniyawi mamle par koi Masla hai hi nahi donon ek dusre ke yahah shadi byah karte hain aur har khushi gam mein shareek hote hai (With the exception of 2-3 district of UP and some small pockets of other places and alhamdulillah this is on decreasing trend). 4. Hamlog jab is silsile mein electronic copy or website wagairah ke silsile mein Server owner ke pass gaye toh unhone puri bat sunne ke baad kaha ki yeh sara kam begair kisi paise ke karunga aur is nek kam mein hamari taraf se contribution hai. 5 Jaisa ki bhai ne kaha tha ki kuchlog Fasadi hai to ho sakta hai lekin inki taedad ummat ke sawade azam ke muqable mein bahut kam hai aur UNKA percent to aur bhi kam hai. JO LOG INTERNET PAR LADAI KI SATAH DEKHKAR MUSALMANON KI SOCH KA ANDAZA LAGANA CHAHTE HAI WOH SAKHT GALTI PAR HAIN. ITERNET PAR FASADI LOGON KI PERCENTAGE KUCH ZAYDA HAI. LEKIN YAHAN BHI KUCH KHAS LOG HAI WAHI IS SILSILE MEIN ACTIVE RAHTE HAIN. baqi majority chup rahti hai 6. jo sanjeeda tabiat log hain aur ummat ka sawde azam wahi log hai unmein do batein hain ek to woh chup rahte hain aur dusre FITNE KE WAJAH SE AISA KARNE ko ain maslihat samajhte hain. 7. Pichle 50 salon mein is silsile mein koi khas mehnat aur jaddojehad masail ki wajoohat ki satah par jakar nahin hui ISLIYE ITTEHAD UMMAT KI KOSHISHEN MAHAUL SE NIKLI HUI AUR AJOOBI MALUM HO RAHI HAIN. iSLIYE KOI AGE BADHNE KO ASANI SE TAYYAR NAHIN HAI.Apko yeh jan kar tajjub hoga donon maktaba fikr kebahut se ulma karam hamari madadko TAYYAR HAIN LEKIN apna Naam Zahir na hone ki shart par. 8. HAMARI IS KOSHISH KI DO BADI WAJAH HAI A) Allah taala ne insan ko niyat ke asbat ki taqat di hai ki insan sahi niyat ke sath sahi simt mein koshish kare. Isliye hamne UMMATE MUHAMMADIYA SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ke ittehad ke silsile mein jo ki quran ka direct hukm hai uspar koshish shuru ki hai. Ham logon ko Ihsas hai ki hamlog ke wasael bahut mahdud hai. HMARE SATH KOI MUQTADA ADMI NAHI HAI.Lekin ham ek FIKR/ TAHREK SHURU KAR DENA CHAHTE HAIN. ALLAH KI ZAT SE UMMEED HAI KI ek bar agar yeh shuru ho gaya to bahut se SALAHIYAT WALE AUR ISTAIDAD WALE ALLAH KE MUKHLIS BANDE IS KAM KO lekar Age Badhenge. Allah ka ajr ka wada yaqeeni hai .Ap tamam hazrat se khususi duaon ki darkhast hai, Aur is silsile mein apni satah aur apne halqe e asar mein koshish bhi kar sakte hain. aur dunia ki zindagi bahut besabat aur jald khatam ho jane wali hai. Akhrat ka baqi rahne wala ajr hamari asal manzil hai. JAZAKALLAH O KHAIR 1 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Toheedi Bhai مراسلہ: 26 جون 2011 Report Share مراسلہ: 26 جون 2011 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
alSaifiya مراسلہ: 26 جون 2011 Report Share مراسلہ: 26 جون 2011 Toheedi Bhai Bohot umdah Wazahat , Hidayat to Allah hi deta hai kaash ke kabhi Hub e Nabi ka zaiqa chaktay to gustakhi nazar aati . Mujhay bas yeh samajh nahin aati ke kiyun is gustakhi ka diffa kar ke apni akhirat kharab kartay hain . Khudara Nabi Kareem ki Muhabat ko sab se zayda Rakho Thanvi akhirat mein nahin bachaye ga . Mere Sohni Zulfon Walay Aaqa Kareem hi bachain ge Allah ki Ataa se . Khudara Nabi Kareem Salalho Alyehi Waslam ki Muhabat sab se zayda rakho . اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
SunniDefender مراسلہ: 26 جون 2011 Report Share مراسلہ: 26 جون 2011 توحیدی بھای شکریہ اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔