Jump to content

Tafasir Urdu Mein?


alSaifiya

تجویز کردہ جواب

Asalam O Alaikum Bhaion :)

 

Kafi Din hue koi thread banaye hue ya post kiye hue Internet ki problem thi Alhamdullilah solve ho gayi hai .

Acha main Urdu mein Tafaseer collect kar raha hoon . kuch ki bhi hain lekin kuch mujhay nahin mili . agar kisi ke paas koi link ho to baraye meharbani zaroor share karein .

 

Jo Tafsir Mujhay Mili hain :

 

Tafsir Ibne Kathir

Dur e Mansoor

Tafseer Naeemi

Tafsir e Mazhari

 

Aur Pir Karam Shah Sahib Rehmatullah Alye ki Tafsir bhi dekhi hai woh bhi inshallah download kar loon ga . lekin main kuch Classic Tafaseer chahta hoon Urdu mein :

 

Rooh ul Bayan

Jamia Ihkam ul Qur'an

Ruh ul Ma'ani

Tafsir Khazin

Tafsir Azizi

 

Waghirah In mein se bohot ke baray mein main ne sunna hai ke inka Tarjuma abhi kisi ne urdu mein nahin kiya lekin Tafsir Ruh ul Bayan ke baray mein main ne search ke doran hi shayad ek do jagah pe dekha hai ke kisi ne kaha hai iska Urdu mein Tarjuma hai jis mein se chand rawayat ko remove kiya gaya hai kaha jata hai is Tafsir mein chand riwayat zaeef hain . Wallah o Ta'ala Alam Wa Rasulo Alam . Lekin Is Tafsir ko bohot Maqbuliyat bhi mili hai Ahle Sunnat mein bilkhasus Sufiya mein main ne apnay Pir o Murshid ko bhi aur Doosray baray Ulema ko Is Tafsir se Hawalay detay dekha hai .

 

Khair Meri Guzarish hai ke Urdu mein Jitni bhi Online Tafaseer mojud hai woh mujh se share karein .

 

jazak_allah.gif

Edited by alSaifiya
Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

 

 

Tafseer-e-Naeemi:

 

http://www.razanw.or...hp?categoryid=4

 

Allama Sayed Ahmad Saeed Kazmi K Qalam Say Kuch Rakoo ki Tafseer

:

http://www.kazmis.com/faltabeyan.html

 

http://www.kazmis.co...tab-alazem.html

 

..........................

 

Is k elawa kuch tafaseer yahan bhi mojood hain:

 

 

http://www.nafseisla...at=54&CatType=9

 

 

Mundarja-e-Baala link par darjzail Tafaseer mojood hain:

 

Kanz-ul-Eeman "Ma'a" Khazayen-ul-Irfan

 

Kanz-ul-Iman - (English Translation)

 

Tafseer Ibne Kaseer

 

Tafseer Yaqoob Charkhi

 

Tafsir Durre Mansoor

 

Tafsir Tibiyan-ul-Quran (6 Jildain)

 

Tafsir-e-Mazhari

 

Tauzeeh-ul-Bayan Le Khazayen ul Irfan

 

Zia-ul-Quran

Link to comment
Share on other sites

On 3/8/2011 at 4:23 PM, Usman Razawi said:

(salam)

 

 

 

(wasalam)

 

Bhai kaisay hain aap ?? :)

 

acha main na yeh Tafasir Nafse Islam pe dekh chuka hoon lekin chunkeh main kuch clasical Tafasir ki Talash mein Tha is Liye poocha khaas kar ruh ul bayan ki talash hai kiyunkeh yeh Tafsir Sufiya mein bohot Maqbool hai . aur main ne kuch Muamlat mein is mein se ibarat parhi hain kafi achi Tafsir hai aur . baqi jo Tafseer Naeemi ki aap ne link di hai us mein sirf 11 Volumes hain jabkeh main ne Scribd pe ek channel mein 16 Volumes dekhay hain .

 

Tafsir e Naeemi 16 Volumes on Scribd :

 

Talib Ghaffari

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

wayay Aik sawal ha kia tafseere NAeemi k wo Hissay jo Iqtadaar kahn naeemi nay likhay wo bi parhnay chaeay ya nahi

or kitnay hissay Mufti Ahmad yaar kahn naeemi nay likhay

 

11 Volumes Mufti ahmed Yaar Khaan Neemi Sahib (ra) ne likhay hain aur baqi unke Sahib zaday ne . waisay yeh sawal kiyun kiya aapne ?? kiyun nahin parhnay chahiye ? akhir unhon ne bhi Mehnat ki hai aur jo Seekha ho ga apnay Walid se hi Sikha ho ga to khushbu to wohi ho gi na . ho sakta hai ke Baray Mufti Sahib se zayda achi na ki ho lekin betay toh unhi ke hain na Rang to wohi hai na . :)

 

Baqi aap uper wali link se 12-16 tak volumes ka mutalia kijiye .

 

Allah unke Betay Ilam mein bhi barkat farmaye aur unko bhi apne Walid ke naqshe qadam pe chalnay ki tofeeq aata farmaye . Ameen

Edited by alSaifiya
Link to comment
Share on other sites

On 3/8/2011 at 5:38 PM, Mughal... said:

wayay Aik sawal ha kia tafseere NAeemi k wo Hissay jo Iqtadaar kahn naeemi nay likhay wo bi parhnay chaeay ya nahi

or kitnay hissay Mufti Ahmad yaar kahn naeemi nay likhay

 

 

bhai iska to ilm naheen hay keh Mufti Ahmad Yar Khan Sahib nay kitnay hissay likhay thay , behrhaal mufti iqtedar khan sahib k likhay gaye hisson ka mutal'a naheen krna chaheay , mufti iqtedar gumrah aor ahl-e-sunnat say kharij hay.

 

 

On 3/8/2011 at 9:40 PM, alSaifiya said:

(wasalam)

 

 Bhai kaisay hain aap ?? :)

 

acha main na yeh Tafasir Nafse Islam pe dekh chuka hoon lekin chunkeh main kuch clasical Tafasir ki Talash mein Tha is Liye poocha khaas kar ruh ul bayan ki talash hai kiyunkeh yeh Tafsir Sufiya mein bohot Maqbool hai . aur main ne kuch Muamlat mein is mein se ibarat parhi hain kafi achi Tafsir hai aur . baqi jo Tafseer Naeemi ki aap ne link di hai us mein sirf 11 Volumes hain jabkeh main ne Scribd pe ek channel mein 16 Volumes dekhay hain .

 

Tafsir e Naeemi 16 Volumes on Scribd :

 

 

 

 

(salam)

 

Alhamdulillah Allah ka bra kram hay aor umeed karta hoon keh aap bhi khairiyat say honge. bhai mujhay jin online tafaseer ka ilm tha wo share kr di ..... is k elawa tafaseer k links ka ilm naheen hay...

 

bhai Mufti Iqtedar naeemi ahl-e-sunnat say kharij hay lihaza tafseer-e-naeemi k jo volumes Hakeem-ul-Ummat nay likhay hain sirf unhi ka muta'la farmain.

 

(azw)(ja)

 

Link to comment
Share on other sites

 

bhai Mufti Iqtedar naeemi ahl-e-sunnat say kharij hay lihaza tafseer-e-naeemi k jo volumes Hakeem-ul-Ummat nay likhay hain sirf unhi ka muta'la farmain.

 

(azw)(ja)

 

 

Afsos :( Bohot Afsos

Kash yeh apnay Walid ke naqsh o qadam pe chaltay . bohot hairat hui sun ke yakeen nahin hota ke Itnay baray Alim aur Buzurg ke betay aisay nikal aye .

hooo

Yeh bohot pur fitn dor hai . Allah (azw) Sab bhaion ko Mehfooz farmaye

Link to comment
Share on other sites

  • 4 years later...

Bhai Ap ka tafaseer main shoak mujhay bohat pasand aya Har insaan ko balkay quran pak tafseer k sath parhna chahiye takay quran pak ki sahi manu main samjh a sakaty. Meri website pe darj-zail tafaseer hain shaid tumhain lazmi pasand aye ap unhain copy paste kar k word main b lay ja saktay ho easily aur kisi ko reference b de saktay ho. meri website ka nam hay Gegasoft Holy Quran Reader aur darj-zail tafaseer main ne upload ki hain aur mazeed b karni hay jo tum keh rahay ho wo b zaror karon ga balkay.

 

Tafseer Ibn-e-Kaseer = http://gegasoft.com/quran-reader/en/tafaseer/tafseer-ibn-e-kaseer.html
Tafseer Sanai = http://gegasoft.com/quran-reader/en/tafaseer/tafseer-sanai.html
Tafseer Mazhari = http://gegasoft.com/quran-reader/en/tafaseer/tafseer-mazhari.html
Tafseer Jalalain = http://gegasoft.com/quran-reader/en/tafaseer/tafseer-jalalain.html
Tafseer Qurtabi = http://gegasoft.com/quran-reader/en/tafaseer/tafseer-qurtabi.html
Tafseer Zia-ul-Quran = http://gegasoft.com/quran-reader/en/tafaseer/tafseer-zia-ul-quran.html
Tafseer Khazain-ul-Arfan = http://gegasoft.com/quran-reader/en/tafaseer/tafseer-khazain-ul-arfan.html
Tafseer Dur-e-Mansoor = http://gegasoft.com/quran-reader/en/tafaseer/tafseer-dur-e-mansoor.html
 

 

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...