Jump to content

New For All Of You

nutkani

تجویز کردہ جواب

(salam):lol:

Nahin bhai aisi baat bilkul nahin hai asal mein aaj kal Staff members kuch busy hain is wajah se warna koi mehnat kare toh usko daad deni chahiye aur main toh yehi umeed karta hoon ke staff members uskay kaam ki hosla afzayi zaroor karein ge aur karni bhi chahiye.

Apko ek Mashwarah aap apnay sare Designs ek hi thread mein post karein jis se apke Designs ko dhundhnay mein asani bhi ho aur sab log aap ka kaam ek hi jagah dekh sakein aisay aap ko zaroor comments milen gi .

Aap ne bhai yeh bohot khubsoorat banaya waisay aap konsi Application use kar rahay hain ??:P

Edited by alSaifiya
Link to comment
Share on other sites

(salam)reply karna is forum per logo ki adat nahi ha,shikwa nahi karte janab,q k jis se mohabat ha oskly tasaveer bana raha houn

وعلیکم اسلام۔

جناب بات اصل میں یہ ہے کہ زیادہ تر لوگ فورم کو گیست کے طور پر یوز کرتے ہیں جس کی وجہ سے وہ کمنت نہیں کر پاتے۔ باقی

بھائ کا مشورہ درست ہے۔ آپ اپنے تمام Alsaifia

ایک تھرید میں پوست کر دیں تو بہت بہتر رہے گا Designs

Edited by Mustafaye
Link to comment
Share on other sites

وعلیکم اسلام۔

(salam)

Bhai ma Photoshop use kar raha houn,aur expert nahi houn,ma ne pehle aik thread me takriban 60 images post kar dy thy aur just 2 comments miley aur un me se aik ye tha k app Minhajul Quran ka tag hata dein pictures per se.

os k baad ma ye picture bana raha houn,magar app bhai se ye baat isly share ki ha k jab madni phool atay hain to ache khase comments pass ho jatay hain aur jab ma salaat o salaam likhta houn to koi pochta he nahi ha. Allah janta ha ma app logo kly nahi banata ye tasaveer;sirf Rasool-e-Paak k naam se mohbat karta houn,aur chahta ho k gair iradi tor per he app ki zubano se agar jari rahay ga tu mujhe sawab milta rahay ga.

(wasalam)

MashAllah yeh bohot payari baat kahi aap ne .:)

Bas yehi main bhi kehta hoon aap jin ke liye kar rahay hain Agar woh aap se Razi aur Khush ho gaye to Apka Berda Paar ho gaya :) aap yeh na dekhen ke kon kya kehta hai Aap Apna kaam jari rakhain aur agar kisi bhi qisam ki help chahiye ho photo shop mein kisi bhi kism ka Effect waghairah ya koi bhi cheez agar aapko nahin aati aur aap seekhna chahtay hain ya phir aap kisi bhi cheez mein help chahtay hain toh is na cheez ko yaad kijiye ga mujhay apki help kar ke khushi ho gi agar mein is qabil hua to . B)

Waisay ek aur baat bhi bataoon aisa bhi hota hai ke log apki Images dekhen aur zahiri baat hai phir Durood pe nazar paray gi toh Parhen ge phir aap ko Sawab Milay ga . chahay koi comments de ya na de aap ka kaam ban raha hai . (ia)

Allah (azw) apko khush rakhay .

Meri Dua hai ke Allah aur Allah ke Pyare Habib (saw) aapse khush hon aur aap se razi hon .

(ja):)

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...