Ya Allah Madad مراسلہ: 29 دسمبر 2010 Report Share مراسلہ: 29 دسمبر 2010 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Hussain Shahzad مراسلہ: 12 جنوری 2011 Report Share مراسلہ: 12 جنوری 2011 Salamalaikum! bhai kya aap ne Shion k bary ma study kya hai? kya aap shia aqaaed k baray ma janty hain? Hazoor Paak (S.A.W.W) ka farman hai k "insan k jhoota honay k liye itna hi kafi hai k wo suni sunaai baat ko baghair tehqeeq k aagay phela de".. kya ap ne kabhi tehqeeq krnay ki zehmat gawara ki k aakhir shia kehtay kya hain? un k muaqqaf kya hai? Paksitan k hwalay se baat karain tou kya aap Allama Tahir ul Qadri, Sarwat Ejaz Qadri sahab, Dr. Amir Liaquat aur deegar beshumar mustanad ulma e ahl e sunnat se zyada ilm rakhtay hain k jo shion k sath namaz b parthtay hain aur hr nazuk muamlay pr shion k sath izhar e yakjehti b kartay hain? kya aap in tmam hazrat se zyada zimmadar hain? kya aap Sunni Tehreek aur Dawat e Islami ki misaal nahi dekhtay jin k sath hr qadam pr shia Ya Rasool Allah (s.a.w.w) ka wird krty aur naaray buland karty hain??? haan tareekh k ikhtalafat mojood hain.. beshak hain lekin ikhtlaf tou bhai bhai ma b hotay hain.. baap aur betay ma b hotay hain aur ye firoee noeyat k ikhtlafat hain. Mery aur aap k Aaqa Huzoor Muhammad e Mustafa s.a.w.w., Ahl e bait a.s aur sahaba karam r.a ne tmam zindagi kafiron ko muslaman kya aur aap log kalma go insano ko kafir bnanay ma lagay huay hain. kya kabhi socha k kisi ko kafir qarar de kr aap kya jurm kr rahay hain? aap dekho tou sahi k haqeeqat kya hai.. such kya hai aur jhoot kya hai. Apnay aqaed is dua k sath likh raha hn k shayad koi bhai is pr ghor kr le.... Ma Allah ko gawah bnata hn k jo ma apny mazhab k bary ma janta hn wo baghair kisi khof k aur SACHH likh raha hn. **SHIA AQAAID** TOUHEED: Is tamam kaiynat ka malik sirf aur sirf Allah buzurg o bartar ki buland zaat hai. WO la-shareek hai, us k siwa ko ebadat k laieq nahi, wo hamesha se mojood hai aur hamesh mojood rahey ga. ADAL (INSAAF): Khuda Aadil hai, aur us ne tmam makhlooqat ko apny adal k tehat paida kya. us ka hr hukam aur hr faisla adl pr mabni hai NABOOWAT: Hazrat Muhammad (S.A.W.W) Allah k bhejay huay akhri peghambar hain.. Aap s.a.w.w k baad koi Nabi nahi ho ga. Allah ne Aap s.a.w.w ko tmam kaiynat se afzal banaya hai. Aap S.A.W.W wo zaat e girami hain k jinhain Ali Mushkil Khusha A.S apna Aaqa o Moula kehtay hain. WILAYAT: Huzoor Muhammad s.a.w.w k Allah k akhri Nabi hain aur Aap s.a.w.w k baad ta qayamat koi Nabi nahi aay ga. Aap k wisal k baad insano ki rehbari o rehnumai k liye Aap s.a.w.w ki aulad se Imamat yani wilayat ka silsila shuru hota hai. pehlya Imam Ameer ul Mominee Moula Ali a.s hain, 2nd Imam Hasan a.s., 3rd Imam Hussain a.s aur isi tarah 12 Imam hain jo qayamat tk insano ki rehnumai krty rahin ge. Akhri Imam, Imam Mehdi a.s hain jo b hukm e Khuda parda e gheebat ma hain aur Quran o Ahadees k mutabiq Un k zuhoor qayamat se pehly ho ga. Wo (a.s) Shaitaan k numainday Dajjal ko shikast dain ge aur dunya ko adl o insaff se bhar dain ge. KALMA: "Ma gawahi deta hn koi maabood nahi siwaay Allah k, aur Muhammad s.a.w.w Allah k Rasool hain"..... aur baghair juzzw ki niyyat k (Yani ye kalma ka hissa nahi), ye gawahi bhi deta hn k hazrat Ali, Allah k wali aur Muhammad s.a.w.w k bila fasal naaib hain QIBLA: Makkah Mukarma jahan hr saal 9 aur 10 zilhajj ko Haj ada kya jata hai, jisay hazrat Ibrahim a.s aur hazrat Ismail a.s ne pehli baat tameer kya NAMAZ: Fajar 2 rikat, zuhar 4 rikat, asar 4 rikat, maghrib 3 rikat, isha 4, namaz e Juma 2 rikat (hmaray han zuhar aur asar ki namaz aik sath parhi ja skati (yani zuhar ki parh kr asar ki parthna) hai jaisy k tmam musalman hajj k doran youm e arfa ko 1 sath zuhar o asr mila kr parhtay hain. aur isi tarah maghrib aur isha ko b mila kr parhny ki ijazat hai QUR`AN PAK: Allah ki janib se apnay mehboob nabi hazrat Muhammad e Mustafa s.a.w.w pr naazil ki gai aakhri aasmani kitaab jo ta qayamat tmam insano bilkhusus musalmano ki hidayat k liye nazil ki gai. is k baad koi kitaab nazil nahi ho gi. is Kalam e muqaddas k 30 paray aur 114 soortain hain ZAKAT o KHUMSS: Hr sahib e istataat pr zakat wajib hai. aur Qaran paak ki Sura e Infal, ayat nmbr 41 k mutabiq hr sahib e istataat apni salana bachat ka 5van hissa (Khums) b ada karny ka paband hai jo Sadaat ki hissa ha jis se ghareeb Syed ki madad ki jay gi ya kisi Syed ki ejazat se kisi b falahi kaam pr kharch ki ja skti hai. HAJJ: Hr sahib e istatat pe zindagi ma kum az kum 1 bar hajj wajib hai jo 9,10 zilhaj ko Makkah e Mukarma ma ada kya jata hi JIHAD: Hr Musalman pr Deen e Islam ki difa` aur Haqq ki nusrat aur Zulm k khilaf Qayam krna Wajib hai. Is Qayam ko Jihad kehtay hain jis ki bohat c qismain hain i.e. Jihad bil qalam, Jihad bil Saif... NIKAH E MUTA`: Soorah e Nisa, Aayat nmbr 129 k mutala karain. is Ayat k mutabiq hmaray ma Muta` halal hai. jis ka maqsad insano ko Zina jaisay gunah e kabeera se bachana hai. Ye specified period k liye Nikah hota hai aur Nikah e Daeemi ki tarah is k b seeghay, sharait, gawahan aur haq mehar muqarrar kiye jatay hain QAYAMAT AUR HISAB O KITAB: Ye dunya khatam ho gi aur hum sb ne marnay k baad dobara zinda hona hai, mehshar ma hisab o kitaab ho ga aur naik logon ko jannat ma jb ko buray logon ko jahannum ma dala jay ga. HUBB E AHL E BAIT A.S: Hum Ahl e Bait A.S e Rasool s.a.w.w ki muhabbat ko emaan ki hissa samajhtay hain. in ki muhabbat k baghair tmam aamal o ebadat zaya tasawaur krtay hain SAHABA KARAM R.A: Sahaba Karam R.A wo buzurg hastian hain jinhon ne mushkil waqt ma Huzoor s.a.w.w ka sath diya, Aap (s) ki pairwi ki, Aap (s) pr jaan fida kr di aur sb se pehly Islam k pegham pr Labbaiyk kaha jaisay Hazrat e Bilal r.a, Hazrat Suleman Farsi r.a, Hazrat e Abu Zar Ghaffari R.A, Awais e Qarni R.A, Hazrat Ammar Yasir R.A.. Hum in Sahaba Karam R.A k jooton ki khaak ko apni ankhon ka surma tasawar karty hain......... Sunni o Shia twareekh k mutabiq (Jin k hwalay mojood hain) baaz buzurgon ne Huzoor e Paak s.a.w.w ko zindagi ma aur wisal k baad Aap s.a.w.w ki Ahl e bait A.S ko tang kya hai, is liye hum un buzurgon se muhabbat ki izhar nahi karty. AZADARI: Karbal Haq aur Baatil ki Jang thi jis ma Hussian A.S Haq k numainday thay jb k Yazeed paleed Baatil ka numainda tha. Shuhda e Karbala ki azadari, karbala ma baatil ki janib se dhaay janay walay zulm k khilaf EHTIJAJ hai. Hussain aur un k sathion k na haq qatal ka inteqam hai, Nabi Paak s.a.w.w k ghar ki ba-ismat khawateen ko be-rida krnay walay laantion k khilaf jihad hai. is liye hum Azadari e Syed ul Shuhda A.S ko apni Sheh Rag e Hayat smajhty hain Dasto! Ye mukhtasir aqaeed hain Shion k. Aap se guzarish hai k sawal karain, behes bara e islah karain, tehqeeq karain ta k haq aur baatil ka pta chul sakay. yahi Islam ka hukam hai yahi shareef insano ka tareeqa hai. Suchh pr qaim insan daleel se baat krta hai aur daleel ko tasleem krta hai jb k Gaali denay wala apni zaat ki pehchan karata hai.. Mujhy jo maloom hua us k mutabiq jawab dn ga aur jo maloom na hua us k mutabiq tehqeeq kr k aur ahl e ilm se pooch kr zaroor jawab dn ga. lekin bhagoon ga nahi. Allah hum sb ko Ittefaq o Ittehad naseeb farmay. Ameen اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔