Jump to content

Alahazrat Alaihi Rehmah Ki "" Angrez Se Nafrat ""


Jad Dul Mukhtar

تجویز کردہ جواب

  • 4 months later...

Imam-e-Ahl-e-Sunnnat Alahazrat Imam Ahmad Raza Khan ko na sirf angrezi hukoomat balkeh angrezi badshahon say bhi nafrat thi , chunancheh a'eni shahidon ka bayan hay keh wo lifafay oar ticket bhi ulta lgaya kartay thay, Syed Altaf Ali Barelwi likhtay hain :

 

''Baqol Syed Alhaj Ayyub Ali Razawi Marhoom : Hazrat Molana (Ahmad Raza) Dak kay ticket lifafay par hamesha ulta lgaya kartay thay , yani Malka Victoria , Edward Haftam Aor George Panjum kay sar neechay''

 

(Akhabr Jang ,Karachi , Shumara 25 January 1979, Page.6 , K 5)

(Gunah Bay Gunahi , Az Professor Doctor Masood Ahmad , Page 37)

 

Yeh Esat India Company ka jaari karda aik pesa wala post card hay , jis par malka victoria ki tasweer bani hay , yeh card Youm-Alrfa 1313 hijir , 24 may 1896 ko madrassa-e-tayiba , Ahmad Aabad (Bhaarat) Kay Mudarris Molana Nazeer Ahmad Ram poori ) (Wfat. 1323 Hijri / 1905 Eesvi) Kay Naam arsal farmaya jo 27 may 1896 ko Ahmad Aabad Phuncha.

Link to comment
Share on other sites

JajakALLAH

Urdu Article Ka Agar Koi Roman Urdu Mein Translate Kar Diya Karega To Non Urdu Reader Ke Liye Kaafi Faiye Mand Hoga, Is Forum Mein MashALLAH Bahut Ache Artilces Hain Jo Dusre Forum Par Nahi Paaye Jaate, Jiski Is Daur Mein Bahut Jaroorat, Magar Non Urdu Readers Print Out Nikalkar Bahar Le Jaate Hain, Aur URdu Jaanne Wale Se Padwate Hain, Behtar Hoga Raza E Ilahi Ke Liye Jab Urdu Articles Post Kare to Hamare Forum Members Thoda Thoda Bhi Roman Urdu mein Translate Kar Denge to Pura Articles Urdu Roman Mein Translate Ho Jayega...

JajakALLAH Khair to All

Link to comment
Share on other sites

  • 4 years later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...