Bismillah مراسلہ: 6 نومبر 2010 Report Share مراسلہ: 6 نومبر 2010 1-) masjid main, ghar main, washroom main annay janay ki kya sunnatein hain mera matlab pehlay konsa paaon dakhil karna chahiey aur bahir nikaltay waqat konsa paaon? 2) ek imam saab sajday main jaatay huay, aur wapis qayaam main atay huay (sajday kay baad) takbeer lambi lagatay hain. yani keh wo slow speed main imamat aur kiraat kartay hain. ruku say farigh ho kar sajday main janay kay liey itni lambi takbeer kheenchtay hain keh lafz (Akbar) sajday main ja kar poora hota hai. peechay kay muqtadion nay takbeer lagatay huay sajday main jana hota hai jab keh yeh wajib ya farz to nahi hai phir bhi sawab kay liey, ahnaaf kay han to imam kay saath hi ruku sajood aur baqi amal karnay chahiey. agar hum imam kay saath hi sajday main jaey takbeer lagatay huay to andesha hai keh hamari takbeer imam say pehlay na mukamal ho jaey kyon keh har koi to slow speed takbeer nahi lagata na. poochna yeh hai keh muqtadi intezaar karein keh imam ki takbeer poori ho jaey phir muqtadi takbeer lagatay huay jaey ya hum bhi imam kay peechay peechay lagataey huay sajday main jaey jab keh imam ki takbeer poori nahi hui. namaz kay andher kuch log wait kartay hain keh takbeer poori ho phir wo takbeer lagatay huay stand hon ya sajday main jaey aur kuch imam kay saath saath hi chalay jatay hain. yani keh ek hi saf (jamat) main kuch log abhi ruku main hotay hain aur kuch log imam kay saath hi stand ho jatay hain. umeed hai keh aapko masla samjh main a gaya ho ga. baraey meherbani Daleel kay baghair koi jawab na day. Bohat shukrya! اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Bismillah مراسلہ: 7 نومبر 2010 Author Report Share مراسلہ: 7 نومبر 2010 daleel say murad kisi authentic kitaab ka hawala wagaira hai اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 7 نومبر 2010 Report Share مراسلہ: 7 نومبر 2010 On 11/6/2010 at 10:57 AM, Bismillah said: 1-) masjid main, ghar main, washroom main annay janay ki kya sunnatein hain mera matlab pehlay konsa paaon dakhil karna chahiey aur bahir nikaltay waqat konsa paaon? Wa ALaikumussalam Ghar aor Masjid main dakhil hotay waqt daayan paaon andar rakhna chaheay aor bahiir nikltay waqt bayan paon pehlay bahir rakhna chaheay ... aor washroom main main dakhil hotay waqt pehlay baayan paaon andar rakhna chaheay aor bahiir nikltay waqt dayan paon pehlay bahir rakhna chaheay Tafseeli Maloomat k Leay is kitab ka Muta'la Farmain: Sunnatain Aor Aadab: Sunnatain aor Aadab.pdf On 11/6/2010 at 10:57 AM, Bismillah said: 2) ek imam saab sajday main jaatay huay, aur wapis qayaam main atay huay (sajday kay baad) takbeer lambi lagatay hain. yani keh wo slow speed main imamat aur kiraat kartay hain. ruku say farigh ho kar sajday main janay kay liey itni lambi takbeer kheenchtay hain keh lafz (Akbar) sajday main ja kar poora hota hai. peechay kay muqtadion nay takbeer lagatay huay sajday main jana hota hai jab keh yeh wajib ya farz to nahi hai phir bhi sawab kay liey, ahnaaf kay han to imam kay saath hi ruku sajood aur baqi amal karnay chahiey. agar hum imam kay saath hi sajday main jaey takbeer lagatay huay to andesha hai keh hamari takbeer imam say pehlay na mukamal ho jaey kyon keh har koi to slow speed takbeer nahi lagata na. poochna yeh hai keh muqtadi intezaar karein keh imam ki takbeer poori ho jaey phir muqtadi takbeer lagatay huay jaey ya hum bhi imam kay peechay peechay lagataey huay sajday main jaey jab keh imam ki takbeer poori nahi hui. namaz kay andher kuch log wait kartay hain keh takbeer poori ho phir wo takbeer lagatay huay stand hon ya sajday main jaey aur kuch imam kay saath saath hi chalay jatay hain. yani keh ek hi saf (jamat) main kuch log abhi ruku main hotay hain aur kuch log imam kay saath hi stand ho jatay hain. umeed hai keh aapko masla samjh main a gaya ho ga. Sirf ''Takbeer-e-Tahreema'' ka Imam k bad khatam hona zroori hay , iskay elawa jo takbeerain hain wo imam saypehlay khatam ho gayi yani aapnay Imam k Lafz Akbar khatam krnay say pehlay hi lafz Akbar keh dea to nmaz ho jaye gi http://mufti.faizane...wer.php?Q=25975 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Bismillah مراسلہ: 7 نومبر 2010 Author Report Share مراسلہ: 7 نومبر 2010 (ترمیم شدہ) meray paas hai yeh kitaab aur maine iska hissa ''Ghar main anay janay ki sunnatein'' pari hai lekin mujhey to kahin nazar nahi aya keh ghar main enter hotay waqat pehlay konsa paaon dakhil karna chahiey, main susst admi hoon agar koi baraey meherbani meray liey talaash kar day to madina madina. bataiey keh main kya karon jaan booj kar imam say pehlay hi takbeer laga doon, maslan imam takbeer lagata hua sajday main gaya aur lafz ''Akbar'' sajday main ja kar khatm kya, to main kya qayam main hi rahon keh unn ki takbeer poori ho ya main bhi unn kay saath hi sajday main jaon aur meri takbeer unn say pehlay khatm ho jaey. yeh aapko Ajeeb sa nahi lagta keh imam say pehlay hi takbeer ka khatm kar dena. kyon keh apki link main mufti saab nay farmaya hai keh Agar aapki takbeer imam say pehlay poori ho gai to namaz ho jaey gi lekin unhon nay yeh to nahi kaha keh aap jaan booj kar laga diya karein agar imam slow takbeer lagatay huay sajday main jata hai. beherhaal main zara natoo phatoo admi hoon mujhey baaz oqaat late samjh ati hai, aap agar kuch mazeed batana chahein to shukrya! Edited 7 نومبر 2010 by Bismillah اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 9 نومبر 2010 Report Share مراسلہ: 9 نومبر 2010 meray paas hai yeh kitaab aur maine iska hissa ''Ghar main anay janay ki sunnatein'' pari hai lekin mujhey to kahin nazar nahi aya keh ghar main enter hotay waqat pehlay konsa paaon dakhil karna chahiey, main susst admi hoon agar koi baraey meherbani meray liey talaash kar day to madina madina. http://mufti.faizane...wer.php?Q=26056 bataiey keh main kya karon jaan booj kar imam say pehlay hi takbeer laga doon, maslan imam takbeer lagata hua sajday main gaya aur lafz ''Akbar'' sajday main ja kar khatm kya, to main kya qayam main hi rahon keh unn ki takbeer poori ho ya main bhi unn kay saath hi sajday main jaon aur meri takbeer unn say pehlay khatm ho jaey. yeh aapko Ajeeb sa nahi lagta keh imam say pehlay hi takbeer ka khatm kar dena. kyon keh apki link main mufti saab nay farmaya hai keh Agar aapki takbeer imam say pehlay poori ho gai to namaz ho jaey gi lekin unhon nay yeh to nahi kaha keh aap jaan booj kar laga diya karein agar imam slow takbeer lagatay huay sajday main jata hai. beherhaal main zara natoo phatoo admi hoon mujhey baaz oqaat late samjh ati hai, aap agar kuch mazeed batana chahein to shukrya! http://mufti.faizane...wer.php?Q=26055 Muqtadi imam k phunchnay ka intezar naheen kray ga balkeh imam k sath sath hi jhukna shuroo kr day ga... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Kashif مراسلہ: 9 نومبر 2010 Report Share مراسلہ: 9 نومبر 2010 Jazak Allah اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 22 نومبر 2010 Report Share مراسلہ: 22 نومبر 2010 Kitab Jannati Zewar Hissa 3 Safha 111: http://library.faiza...p?bpart=3&id=94 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔