Jump to content

Aik Mutthi Se Kam Darhi walay ki Imamat


Rizvann

تجویز کردہ جواب

agar ek shaks ki dhari pehle nahin thi magar ab us ne rakh le hai or us ki dhari ek muthi se kam hai kya woh namaaz parha sakta hai yeh masla aaj hamari masjid mein subah fajar ki namaaz mein paish aya hai aaj imaam they he nahin kya namaaz dubara parhni ho gi

 

Jab tak Dhari aik muthi na ho jaye us waqt tak unko nmaz parhaanay ki ijazat naheen.... (azw)(ja)

Link to comment
Share on other sites

salmaoelkum,

main jab india me tha tab 1 mutthi darhi rakha karta tha. For jeddah restaurant job ke silsile Saudi aya. Darhi rakhkar interview diya. Tay howa ke dhari tora trim karke good looking main rakhni hogi. mein wade ke mutabik nahi hi chota aur nahi mokamal 1 mutthi darhi rakha. AB NUBAT AISI AGYE HAI KE BAHUT HI CHOTA KARNE KI MEMO DIYA HAI, NAHI TO HALF DAY KA SALARY DEDUCT KIYA JAYEGA. WAISE BHI MEIN INDIA MEIN KAYEE JOB BALKE INDIAN AIR FORCE KA JOB BHI CHOR DIYA SIRF DARHI KI WAJAH SE.

SAUDI ARAB MEIN BHI MERI BROBLEM HORAHI HAI. KUCH HAL BATAYEN. MAIN APNI SALARY DEDUCT KARWA SAKTA HON. WAPSA INDIA JASAKTA HON.

ALLAH AJWAJAL RIZK KA MALIK HAIN. MERE ABBO BHI YEHI KAHTE HAIN.

 

ISQH HAI JAN-E-MUSTAFA, ROZ FAJON KARE KHODA

JISKO HO DARD KAMAZA, NAZ-E-DAWA UTHAYE KION. (Ala Hazrat)

Link to comment
Share on other sites

 

اسلام علیکم

بھائی وہاں کے لیبر قوانین کا مطالعہ کریں کسی کو نوکری والے ایسے مجبور نہیں کر سکتے آپ وہ میمو کسی سعودی قانون کے واقف کو دکھا کر تو دیکھیں کہ سعودی قانون اس بارے میں کیا کہتا ہے

Link to comment
Share on other sites

salmaoelkum,

main jab india me tha tab 1 mutthi darhi rakha karta tha. For jeddah restaurant job ke silsile Saudi aya. Darhi rakhkar interview diya. Tay howa ke dhari tora trim karke good looking main rakhni hogi. mein wade ke mutabik nahi hi chota aur nahi mokamal 1 mutthi darhi rakha. AB NUBAT AISI AGYE HAI KE BAHUT HI CHOTA KARNE KI MEMO DIYA HAI, NAHI TO HALF DAY KA SALARY DEDUCT KIYA JAYEGA. WAISE BHI MEIN INDIA MEIN KAYEE JOB BALKE INDIAN AIR FORCE KA JOB BHI CHOR DIYA SIRF DARHI KI WAJAH SE.

SAUDI ARAB MEIN BHI MERI BROBLEM HORAHI HAI. KUCH HAL BATAYEN. MAIN APNI SALARY DEDUCT KARWA SAKTA HON. WAPSA INDIA JASAKTA HON.

ALLAH AJWAJAL RIZK KA MALIK HAIN. MERE ABBO BHI YEHI KAHTE HAIN.

 

ISQH HAI JAN-E-MUSTAFA, ROZ FAJON KARE KHODA

JISKO HO DARD KAMAZA, NAZ-E-DAWA UTHAYE KION. (Ala Hazrat)

 

(wasalam)

 

 

Bhai yeh jwab Smaat farmaeay:

 

http://mufti.faizaneattar.net/Answer.php?Q=26084

 

(azw)(ja)

Link to comment
Share on other sites

  • 3 months later...

jis shakhs ki dhari qudrti tor per hi aik muthi say kam ho us k peechay namz jaiz hay bshrtekeh doosri shrait-e-imamat par poora utrta ho.

 

HAN MAGAR Dharhi mundwanay walay ya dhari ktrwa kr aik muthi say kam rakhnay waly k peechay nmaz jaiz naheen

 

 

Daarhi Munda Fasiq-e-Molin yani elaniya Fisq karne wale ke hukm me hai...

 

wallaahu talaa aalamo wa rasooluhoo aalam, azzawa jalla wa salallahu alehi wasallam

regards, was salam

 

 

 

 

Edited by Usman Razawi
Ghalat Jwab Remove kar dea gya hay. Jazak Allah
Link to comment
Share on other sites

On 2/28/2011 at 10:04 PM, Qaseem said:

1. Daarhi Munda Fasiq-e-Molin yani elaniya Fisq karne wale ke hukm me hai... faasiq ke peeche faasiq ki namaz Durust hai... kyu ke dono aik doosre ke MISL yani Mushabeh hen...

 

 

(salam)

 

bhai aapki is bat say yeh pta chalta hay keh aapkay nazdeek FASIQ M'ulin ko imam bnana jaiz hay , zahir hay jab imam bnay ga tabhi to doosray fasiq uski iqteda krain ge na? bhai aap kay pas isbat ki kia daleel hay keh FASIQ M'ulin ko imam bnana jaiz hay?

 

........

 

wesay aapnay daleel yeh di keh '' kyu ke dono aik doosre ke MISL yani Mushabeh hen'' bhai aapki is daleel ka koi refrence?

 

bhai fasiq m'ulin hona koi uzr naheen hay aor is muamlay ko mazor par qyas karna durust naheen hay , is bat ko is bat par qyas krna durust naheen keh mazoor apnay misl walay uzr ki iqteda main nmaz ada kray to jaiz hay.

 

 

.......

 

bhai fasiq m'ulin ko to imam bnana hi jaiz naheen , aap uskay peechay nmaz jaiz kehnay ka farma rhay hain???

Link to comment
Share on other sites

AsSalamu alaikum,

 

pehle to me ye Clear kar dena chahta hu ke mere kehne ka hargiz ye matlab nahi tha ke kisi masjid ki Imamat Ma'aazallah Faasiq ko de di jaaye... ya Mutlaqan (yani har soorat me) Faasiq ko Imam banana jaaiz hai... aisa har giz nahi tha... balke kehne ka matlab ye tha ke Ba-Amr-e-Majboori Jamaat se Namaaz parhne keliye koi Muttaqi Shakhs na mile to Faasiq apne MISL Faasiq ki Iqtida kar sakta ha... jisse mene Bahar-e-Shariat se Akhaz kiya tha or jiska ba-qaida reference bhi mene diya tha, unfortunately wo reference bhi remove kar diya gaya hai... is waqt mazeed wazahat ke liye arz ha ke:

 

Bahar-e-Shariat (Hissa: Awwal, Baab: Sharait-e-Imamat, Page: 561, Naashir: Maktabatul Madina) me munderija zel logo ki IMAMAT APNE JESE SHAKHS ki QAID ke sath JAAIZ hai:

i) Masla #2 me "Aurat" bil-Karaahat Imam hosakti ha,

ii) Masla #3 me Na "Baaligh" bhi Imam hosakta ha,

iii) Masla #4 me "Mazoor" bhi Imam hosakta ha.

 

Bahar-e-Shariat (Hissa: Awwal, Baab: Imamat ka Zyada Haqdar KON ha, Page: 569, Naashir: Maktabatul Madina) me Masla #46 me Ghunyat-ut-Talibeen, Radd-e-Mukhtar, Fath-ul-Qadeer ke hawale se Naql kiya gaya ha ke... "FAASIQ ki IQTEDA NA ki jaye, magar Sirf JUMUA men, ke isme Majboori hai........till the end." maaloom hua ke Majboori ki Shart ke sath Jumua keliye Muttaqee Shakhs bhi Faasiq ki Iqteda kar sakta ha...

 

In ke ilawa mere pas or koi daleel pesh karne keliye nahi... Bahar Haal, Mufti Sahib jinka link Usman bhai ne link send kiya, unke qawl ke mutabiq me Apni us Baat se RUJOO karta hoon ke Daarhi Munda (FAASIQ) ke peeche FAASIQ ki namaz durust hai... or Ghalat Rahnumaai karne per Main Sharminda bhi hoon. Allah azzawa jalla meri pakar kiye bagher Maghfirat farma de... Bahar Haal mene RUJOO kiya...

 

Lekn is masalay ki mazeed Tahqeeq karaana me zaroor chaahu ga, or agar mujhe koi daleel apne qawl ke muwaafiq mil gai to zaroor pesh kar doon ga, otherwise aap sab mere is RUJOO ko hi Harf-e-Aakhir samajhiye...

 

yaghfirullaahu lanaa wa lakum

regards, was salam.

Link to comment
Share on other sites

AsSalamu alaikum,

 

Tehqeeq karaane pe Hazrat Mufti Mohammad Hassaan Attari Almadani se mujhe jawab mila ke "Faasiq ki Tazeem NAA karnay" ke pesh-e-nazar wo Imamat keliye "100% NAA EHL hai..."

 

Lihaaza me Apne Qawl se Rujoo karta hu... Usman Bhai ki Islaah ka Mamnoon hoon... Allah azza wajalla unke Ilm me or Barakaten ataa farmaaye...

 

Yaghfirullahu Lanaa wa Lakum... regards, was salam.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...