Jump to content

Pehli Rakaat Mein Attahiyaat Parhlaina

Rizvann

تجویز کردہ جواب

1) Mujhe se kabhi kabhar pehli raakaat mein surah fatiha kay bajaye anjane mein attaheyaat kay kuch ilfaz parh laita hoon yaad ane per fatiha parhna shroo kar laita hoon tu kya sajda sahu wajib ho gaya hai

2) Namaaz mein surah fatiha parhte waqt kai alfaz bhool jata hoon tu mein dobara parhna shroo karlaita hoon kya tab bhi sajda sahu wajib ho jaye ga

3) Mein attaheyaat mein ya ayuhannabi parhta laita hoon mein ne namaaz ki kitaaboo mein dekha hai kay ya nahin only ayuhannabi hai mujhe pehle pata nahin tha ab koshaih hoti hai kay ayuhannabi parha jaye magar kabhi kabhi ya ayuhannabi parh laita hoon is se sajda sahu wajib ho jaye ga

Link to comment
Share on other sites

On 10/22/2010 at 10:04 PM, Rizvann said:

Farz ki 3sri ya 4thi Nmaz main yeh muamla hua to nmaz hogayi laikin afar farz ki pehli ya dosori rakat main ya sunan-o-nawafil main aesa hua to sajda-e-sahv wajib hoga agar sajda-e-sahv na kia to nmaz duhrani hogi.

http://mufti.faizane...wer.php?Q=25205

Agar aadhi soorah-e-fatiha parh li thi aor phir shuroo say parhna shuroo kr di to jan bhooj kr sura-e-fatiha ki takrar ki wja say nmaz dobara parhni wajib hay.

http://mufti.faizane...wer.php?Q=25449

Tashahud ka aik aik lafz wajib hay .. lihaza jo Ahadees say sabit hay whi parhna chaheay .. agar tashahud main ''YA AYUHANNABIYU'' parha to nmaz durust naheen hogi aor dobara ada krna wajib hay.

Link to comment
Share on other sites

surah fatiha mein kuch ilfaz bhool gaya magar jahan se bhola tha us ka peechay se ek lafz mila kar parh liya tab bhi namaaz dobara parhni ho gi

for example اِهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِیْمَۙ۝۵ lafz bhool gaya magar is kay peechay parha yani اِیَّاكَ نَعْبُدُ وَ اِیَّاكَ نَسْتَعِیْنُؕ۝۴ se parhna shroo kar diya tab bhi dobara parhni hai namaaz

reply me

jaise he mein YA AYUHANNABIYU parha forann mujhe yaad a gaya hai or mein ne isslamu alykum AYUHANNABIYU se parhna shroo kar diya hai tu kya dobara namaaz parhni hai

bhai yeh lafz ''ASSALAMU ALAIKA AYYUHANNABIYU'' hay.. aor aap nay ghalati say ''YA AyuhanNabiyu'' parha aor phir foran yaad aanay par ''AssalamuAlaika AyuhanNabiyu'' parh lia to nmaz hojaye gi.. dobara parhnay ki zroorat naheen.

Link to comment
Share on other sites

surah fatiha mein kuch ilfaz bhool gaya magar jahan se bhola tha us ka peechay se ek lafz mila kar parh liya tab bhi namaaz dobara parhni ho gi

for example اِهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِیْمَۙ۝۵ lafz bhool gaya magar is kay peechay parha yani اِیَّاكَ نَعْبُدُ وَ اِیَّاكَ نَسْتَعِیْنُؕ۝۴ se parhna shroo kar diya tab bhi dobara parhni hai namaaz

aesi soorat main nmaz hojayegi....

.............................

AGAR bhool kr aadhi say ziada soora-e-fatiha dobara parhi to yeh takrar shumar hogi aor sajda-e-sahw wajib hojaye ga.

Link to comment
Share on other sites

  • 4 months later...
Rizvann said:

3) Mein attaheyaat mein ya ayuhannabi parhta laita hoon mein ne namaaz ki kitaaboo mein dekha hai kay ya nahin only ayuhannabi hai mujhe pehle pata nahin tha ab koshaih hoti hai kay ayuhannabi parha jaye magar kabhi kabhi ya ayuhannabi parh laita hoon is se sajda sahu wajib ho jaye ga

Lekn bahar haal... Daar ul Ifta Ehle Sunnat ke Muftiyan-e-Karam se "Tashahhud me 'YA' Barhanay, ya Na Barhanay..." se mutalliq Sharaee Rahnimaai hasil kar leejiye, kyun ke Bahar-e-Shariat Hissa Awal me Waajibat-e-Namaz ke Bayan me Waajib #24, #25 (neeche image me) ke mutabiq "Tashahhud se aik bhi Lafz ka chorna Tark-e-Waajib hai"...

wallaahu taalaa Aalamo warasooluhoo Aalam, salallaahu alaihi wasallam.

regards, was salam.

p630.gif

Link to comment
Share on other sites

Daar ul Ifta Ehle Sunnat ke Muftiyan-e-Karam se "Tashahhud me 'YA' Barhanay, ya Na Barhanay..." se mutalliq Sharaee Rahnimaai hasil kar leejiye

wallaahu taalaa Aalamo warasooluhoo Aalam, salallaahu alaihi wasallam.

regards, was salam.

bhai jesa keh main nay pehlay btaya tha keh Atahiyat main apni traf say alfaz bharhaanay ki ijazat naheen hay. laikin ab dobara question send kia hay to

Mufti sahib nay farmaya hay:

Is main qaiday is tareeqay say naheen dekhay jatay , Grammer k qaiday in cheezon main naheen dekhay ja saktay , Shar'i etbar say jo alfaz Nabi Pak (saw) kay attahiyat main Marwi hain unhi alfaz ko parhnay ka hukum hay , un alfaz main apni traf say kisi bhi cheez k addition ki ijazat naheen.

http://mufti.faizaneattar.net/Answer.php?Q=29784

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...