Jump to content

Namaaz Mein Takhno Kay Neechay Kapray Ko Latkana

Rizvann

تجویز کردہ جواب

mujhe poochna yeh hai kay trauzer ya jeans paint etc... agar namaaz mein takhno se neechay latak rahe hoon tu kya use morna sahee hai

or trauzer ya jeans paint etc ko oper ki tarf charha sakte hai yani takhno se oper ho jaye ta kay makroo se bacha jaye

dosra sawaal yeh ka shalwar ko oper se mora ja sakta hai ya nahin kya ise morna bhi makroo hai

Link to comment
Share on other sites

Shalwar ka takhnon say neechay hona agar to Ghuroor-o-Takabur ki wja say hay tab to Makrooh-e-Tahreemi hay aor nmaz dobara parhna wajib hay ...

aor agar Ghuroor ki bina par na ho aor wesay hi shalwar takhnon say neechi ho to Makrooh-e-Tanzeehi hay nmaz ada hojaye gi

......

Laikin Nmaz k doran kapron ko morna , ya shalwar ko uoper say morna (urhsna) , yeh donon Makrooh-e-Tahreemi hain .. Chahay kisi bhi niyat say kapron ko kisi bhi jga say mora , nmaz makrooh-e-tahreemi hogi aor aesi soorat main ada ki gayi nmaz dobara ada krna zroori hay....

On 10/14/2010 at 10:20 AM, Rizvann said:

mujhe poochna yeh hai kay trauzer ya jeans paint etc... agar namaaz mein takhno se neechay latak rahe hoon tu kya use morna sahee hai

Agar to kapray takabur ki wja takhnon say neechay latak rhay hon tab nmaz makrooh-e-tahreemi hay aor is soorat main ada ki gayi nmaz dobara ada krna zroori hay .... aor kapron ko mor bhi naheen saktay , agar kapron ko mora to nmaz makrooh-e-tahreemi hogi aor dobara lotana zroori hay ...

On 10/14/2010 at 10:20 AM, Rizvann said:

or trauzer ya jeans paint etc ko oper ki tarf charha sakte hai yani takhno se oper ho jaye ta kay makroo se bacha jaye

Nahen aesa naheen kr saktay , agar aesa kia to nmaz makrooh-e-tahreemi hogi aor dobara lotana zroori hay ...

On 10/14/2010 at 10:20 AM, Rizvann said:

shalwar ko oper se mora ja sakta hai ya nahin kya ise morna bhi makroo hai

Nahen aesa naheen kr saktay , agar aesa kia to nmaz makrooh-e-tahreemi hogi aor dobara lotana zroori hay ...

Link to comment
Share on other sites

salam.gif Bhai,

kal Peace TV par ek wahabi/Deo aalim ne bukhari ki ek hadees ka zikr kiya jiska mafhoom kuch yu hai..."Abdullah ibn Umar ra.gif ne Huzur saw.gif se arz kiya ki payencha takhno se kitna ooncha hona chahiye...? to Huzur saw.gif ne Jawab me Irshad farmaya ki aadhi pindli." kya is par koi info. mil sakti hai?

jazak_allah.gif

Link to comment
Share on other sites

On 10/14/2010 at 8:03 PM, Ya Mohammadah said:

salam.gif Bhai,

kal Peace TV par ek wahabi/Deo aalim ne bukhari ki ek hadees ka zikr kiya jiska mafhoom kuch yu hai..."Abdullah ibn Umar ra.gif ne Huzur saw.gif se arz kiya ki payencha takhno se kitna ooncha hona chahiye...? to Huzur saw.gif ne Jawab me Irshad farmaya ki aadhi pindli." kya is par koi info. mil sakti hai?

jazak_allah.gif

(wasalam)

Bhai Yeh jwab Smaa't farmaeay:

http://mufti.faizane...wer.php?Q=25146

Link to comment
Share on other sites

  • 4 months later...

Shalwar ka takhnon say neechay hona agar to Ghuroor-o-Takabur ki waja say hay tab to Makrooh-e-Tahreemi hay aor Namaz dobara parhna wajib hay ...

aor agar Ghuroor ki bina par na ho aor wesay hi shalwar takhnon say neechi ho to Makrooh-e-Tanzeehi hay nmaz ada hojaye gi......

(salam) Usman Razawi Bhai...! apne is Qawl ki "SHARAEE DALEEL" pesh kar deejiye...

yaghfirullaahu lana walakum

regards was salam

Link to comment
Share on other sites

(salam) Usman Razawi Bhai...! apne is Qawl ki "SHARAEE DALEEL" pesh kar deejiye...

yaghfirullaahu lana walakum

regards was salam

(wasalam)

Muhtram bhai yeh topic dekheay:

http://www.islamimehfil.com/topic/11578-takhnon-say-neechay-libas-latkanay-k-mutaliq-tahqeeq-aor-deobandi-wahabion-ka-radd/

Link to comment
Share on other sites

Bhai..! mene aapke given link ka mutalla kiya... is Haqeeqat se mujhe Qat'an inkaar nahi ke Namaz ke baahir bil-Umoom Paayenchay Takhnon se Neechay rakhna Makrooh-e-Tahreemi hai....

Lekn Mohtaram..! us article me mujhe aapke us Qawl ki Daleel nahi mili, ke ba-Qawl aapke ke, "Takhno se Neechay Paayenchay rakh ker parhi jaane wali Namaz Dobara Parhna Waajib.. yani Namaz Makrooh-e-Tahreemi hogai..."

Agar aapko us article me Namaz ke Makrooh-e-Tahreemi hone waale apne Qawl ki Daleel mili hai to Highlight Farma kar yahin reply bhi farma den... kyun ke mujhe us Haalat me Namaz ke Makrooh-e-Tahreemi hone ki DALEEL required hai jiska aapne ooper Hukm Laga diya ha... regards, was salam.

Link to comment
Share on other sites

On 3/1/2011 at 8:16 PM, Qaseem said:

Bhai Takabur ki niyat say kapray takhnon say neechay latkana makrooh-e-tahreemi hay , aap bhi is say muttafiq hain. to bhai makrooh-e-tahreemi ka irtekab rktay huay nmaz kesay ada hogi?? bhai kraht-e-tahreemi k sath ada ki gayi nmaz wajib-ul-iada hay.

Link to comment
Share on other sites

Bhai Takabur ki niyat say kapray takhnon say neechay latkana makrooh-e-tahreemi hay , aap bhi is say muttafiq hain. to bhai makrooh-e-tahreemi ka irtekab rktay huay nmaz kesay ada hogi?? bhai kraht-e-tahreemi k sath ada ki gayi nmaz wajib-ul-iada hay.

ye aap pehle bhi keh chuke hen... Iaada karne ki Hajat nahi... mujhe iski Sharaee Daleel ya kisi Buzurg ka Qawl hi Inayat farma den... regards, was salam...

Link to comment
Share on other sites

On 3/1/2011 at 8:48 PM, Qaseem said:

ye aap pehle bhi keh chuke hen... Iaada karne ki Hajat nahi... mujhe iski Sharaee Daleel ya kisi Buzurg ka Qawl hi Inayat farma den... regards, was salam...

bhai jab aap khud muttafiq hain to daleel kis bat ki doon?? aap khud farma rhay hain keh takabur ki niyat say kapra takhnon say neechay latkana makrooh-e-tahreemi hay to bhai kia nmaz k doran kia yeh makrooh-e-tahreemi naheen hay????

nmaz main bhi yeh makrooh-e-tahreemi hay aor aesi soorat main nmaz bhi makrooh-e-tahreemi hogi aor dobara lotana wajib.

http://www.razanw.org/modules/alahazratbooks/item.php?itemid=67&page=377

Title.jpg

388 Desktop Resolution.jpg

Link to comment
Share on other sites

On 3/1/2011 at 9:16 PM, Usman Razawi said:
 
Jazakallahu Fid-daarain...

Fatawa-e-Razawiyya se Masala #1019, ba-tor Daleel pesh karne per Main aapka Tah-e-Dil se Mamnoon hu...

Allah aapke Ilm me aur barakaten Ataa farmaaye... regards, was salam

Link to comment
Share on other sites

On 3/1/2011 at 9:34 PM, Qaseem said:

Jazakallahu Fid-daarain...

Fatawa-e-Razawiyya se Masala #1019, ba-tor Daleel pesh karne per Main aapka Tah-e-Dil se Mamnoon hu...

Allah aapke Ilm me aur barakaten Ataa farmaaye... regards, was salam

Aameen

dua k leay bahut bahut shukria

(azw)(ja)

Allah Ta'la aap ko bhi behtar jaza ata farmae ... Aameen

Mufti Sahib Ki Tasdeeq :

http://mufti.faizane...wer.php?Q=29787

Link to comment
Share on other sites

  • 9 months later...
  • 2 years later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...