Eccedentesiast مراسلہ: 2 اگست 2010 Report Share مراسلہ: 2 اگست 2010 Al-Istimdad K Ta'aruf Par Aik Mukhtasar Tahreer Download 2010 Edition Presented By Brother Burning Moon: Al Istimdad 2010 Edition.pdf (High Resolution Download Links Available In Post No.2) Download Old Edition (Paged added in Post): Al Istemdad.rar Paishkash : Brother Mohsin Khan Istemdaad bana hai Arabi Lafz "Madada Yamdido" se. jab ese Baab e Istef'aat mein le jaye gey to yeh "Istemdaad" bane ga. aur Istemdaad ka Matlab hota hai "Madad Talab karna". "Al" laga kar Istemaad ko Nakira se Marifa banaya gaya to Al Istemdaad ka matlab hoa " woh Madad jise sab Jante hein" to ab Alhasil Al Istemdaad ka Matlab hoa "Huzoor Sallallaho alahey wasallam se Madad Talab karna Al Istemdaad yeh Shaeikh-ul-Islam wal Muslimeen Aalahazrat Azeemul Barkat Mujaddid-e-Deen-o-Millat Shah Imam AHMED RAZA KHAN Radiallaho Ta'ala anh ka Likha hoa Naatiya Kalaam hai jis mein aap ne 360 Ash'aar kahe hein. en 360 Ash'aar mein 1. Naat e Rasool sallallaho alaihi wasallam 2. Huzoor sallallaho alaihi wasallam se Istemdaad 3. Ismail Dehlavi ke Kufriyaat 4. Rasheed Ahmed Gangohi ke kufriyaat 5. Qasim Nanotavi ke Kufriyaat 6. Ashraf Ali Thanvi ke kufriyat aur Bilkhusoos 7. Zikr e Ashaab o Dua e Ahbaab yeh sab Cheezein Aalahazrat ne Ash'aar mein kahin hein. Naat e Rasool e Maqbool sallallaho alaihe wasallam In Roman Naat e Rasool e Maqbool Sallallaho alaihey wasallam........ NOTE: es Naat Sharif mein "Yeh hein" se Muraad Huzoor Sallallaho alaihey wasallam hein........ Sachchi Baat Sikhate Yeh hein Seedhi Raah Chalate Yeh hein Doobi Nawein Tairaate Yeh hein Hilti Naiwein Jamate Yeh hein Tooti Aasein Bandhate Yeh hein Chooti Nabzein Chalate Yeh hein Jalti Jaanein Bujhate Yeh hein Roti Aankhein Hansate Yeh hein Qasr-e-Dana Tak kis ki Rasai? Jaate Yeh hein Aate Yeh hein Us ke Nayeb En ke Saheb Haq se Khalq milate Yeh hein Shaafe Naafe Raafe Waafe kia kia Rahmat Laate Yeh hein Shaafa e Ummat Naafa e Khilqat Raafe Rutba badhate Yeh hein Daafe yaani Haafiz o Haami Daf e Bala Farmate Yeh hein Faiz e Jaleel e Khaleel se pocho Aag mein Baagh khilate yeh hein Inke Naam ke sadqe jis se Jeete hum hein Jilate Yeh hein uski Bakhshish inka Sadqa Deta woh hai khilate Yeh hein inka Hukum Jahan mein Nafiz Qabza Kul pe Rakhate Yeh hein Qaadir e Kul ke Nayeb e Akbar Kun ka Rang Dikhate Yeh hein unke Haath mein Har Kunji hai Maalik e Kul Kahlate yeh hein Inna Aatainakal kausar Saari Kasrat Paate Yeh hein Rab hai Mo'ti Yeh hein Qasim Rizq uska hai Khilate Yeh hein Maatam Ghar mein Ek Nazar mein Shaadi Shaadi Rachate Yeh hein Apni Bani hum Aap Bigadein Kaun Banaye? Banate Yeh hein Laakhun Balayein karodon Dushman Kaun Bachaye Bachate Yeh hein Bande Karte hein Kaam Ghazab ke Musda Raza ka Sunate Yeh hein Naz e Rooh mein Aasani dein Kalima Yaad Dilate Yeh hein Marqad mein Bandun ko thapak kar Meethi Neend Sulate Yeh hein Baap Jahan Baite se Bhage Lutf wahan Farmate Yeh hein Maa jab eklaute ko chore Aa Aa Kah kar Bulate Yeh hein Saikhun Bekas Rone wale Kaun Chupaye? Chupate Yeh hein Khud Sajde mein gir kar apni Girti Ummat uthate Yeh hein Nange be Nangon ka Parda Daman Dhak ke Chupate Yeh hein Apne Bharam se Hum Halko(n) ka Palla Bhaari Banate Yeh hein Thanda Thanda Meetha Meetha Peete hum hein Pilate Yeh hein Sallim Sallim ki Dharas se Pul per Humko Chalate Yeh hein Jis ko Koi Na Khulwa Sakta Woh Zanjeer Hilate Yeh hein Jinke Chappar Tak Nahi Unke Moti Mahel Sajwate Yeh hein Topi Jin ke Na Joti Unko Taaj o Buraaq Dilate Yeh hein KAH DO RAZA SE KHUSH HO KHUSH RAH MUZDA RAZA KA SUNATE YEH HEIN .................................................................. Part : 1 ends .................................................................. Part : 2 Huzoor sallallaho alaihi wasallam se Istemdaad es mein Aalahazrat ne Badmazhabun ke Shar aur Makkaari ke khilaaf Huzoor se Madad Talab ki hai NOTE: es mein "Yeh hein" se muraad Badmazhab hein... Maula Deen Mitate Yeh hein Kufr Islam mein laate Yeh hein Teri Shaan Ghatate Yeh hein Rab ko Aib Lagate Yeh hein Rab Se Uljhein Nabi se Uljhein kis Shaitaan ke Kaate Yeh hein Balki Woh Kufr mein inka Gurga Phir MUSLIM Kahlate Yeh hein Ibne Aqaba se Muslim hein Haasha us ko lajate Yeh hein Uske Zulmun ki Had thi Haram per Shaah e Haram Kahlate Yeh hein Kitne Mazhab Raddat Thahre Fiqh o Kalaam mein aate Yeh hein Kufr ke Bachche Kufr ke Jaawa Kufr ke Rishte Naate Yeh hein Sab se Muzir tar hein yeh WAHABI Sunni bankar Rijhate Yeh hein Sunni o Hanafi o Chishti Banbankar Bahkaate Yeh hein Jitne Dalaal hoye hein ab tak un Bihoun ke Khaate Yeh hein Jo Chappar Iblees ne Chaye Sab ke Bandhan Baane Yeh hein Haq se Jahil Shae se Zaahil Kaisi Mad ke Baate Yeh hein Apni Chalti Noor e Ilahi Jalte Muh se Bujhate Yeh hein PIYAARE DAFA KAR AADA KIYUNKAR TERE HOTE SAATE YEH HEIN .................................................................. Part : 2 ends .................................................................. Part : 3 Ismail Dehlavi ke kufriyaat.............. Note: es mein "Yeh hein" se Muraad Ismail Dehlavi hein.. Shah ko Rusul o Malik ko jo Maane us ko Khuda se Churate Yeh hein Chaach bata kar Phenki Nabuwwat Ghi Tauheed ka Taate Yeh hein Phir us Kalma e Kufr ki Tuhmat Rab o Rusul pe Uthate Yeh hein Shah ko Rusul ko Ahle Khuda ko Chohde Chamaar Sunate Yeh hein Haq se chota Aa(n) se Aazam Beech mein aur Manate Yeh hein Woh sab rakhkhe Chamaar se Badtar Thakur kis ko banate Yeh hein LA WALLAH WOH SHAAN E KHUDA HAI ZARRE SE JIS KO GIRATE YEH HEIN Rab ka Muqabil Samjhe Rusul ko Apna Shareek Bhalate Yeh hein unki Izzat Haq se Juda hai Dono ki Toul karate Yeh hein unka Naam Dhara Nakaare Kufr ke Kaam aate Yeh hein En ke Muh mein Khaak ho Kis ko Mitti mein Mar kar milate Yeh hein Phir us Kufr ki tuhmat Shah per Rakh kar Khaak Udate Yeh hein Jaise Pardhaan aur Chaudhri Aisi Shah ki Sayadat Gaate Yeh hein Chote Bade Bhai ka Tafaut Apne mein Shah mein Batate Yeh hein Sirf Bade Bhai ke Barabar Shah ka Wiqaar Manate Yeh hein Chote Nana Husain o Hasan ke Paish khud kahlate Yeh hein Hukum e Adab mein Chacha ZAHRA ke Qatilahum Bane Jaate Yeh hein Woh Jin per Maa Baap Tasadduq Bhai unko Banate Yeh hein Talibi Abbas to nahi Kia Zair e Abu Lahab Aate Yeh hein Shah ki Sana o Midh Baham se Kam ho yeh Lalchate Yeh hein Fauq e Risalat Shah hein Nahi kuch Jumla Khasayes Dhaate Yeh hein Isra Ruyat e Khatam e Nabuwwat Sab ko Adam mein Sulate Yeh hein Ek to Shah per yeh Tauhmat Phir Hukum mein Hasr Badhate Yeh hein Waaqif hein Ahkaam se Baaqi Saare Fazl Gamate Yeh hein Kul Aejaaz Tamaam Mahasin Sab per La chinchwate Yeh hein Yeh buhtaan bhi Shah per Rakhkha Kitna Haq ko Satate Yeh hein Yuzonallaha Wa Rasoolahu Deen ko kia Kalpate Yeh hein Aisun ko Jo Aa'addalahum hai Aaj nahi kal Paate Yeh hein Mujiza Ummiyat e Shah se Peer ka Jahal milate Yeh hein Durood o Kalma e Tayyeb per bhi Shirk ka Muh Phulate Yeh hein Itna Jalte hein Naam e Shah se Kalme se Kaniyate Yeh hein Dam mein Karodun Hamsar e Shah hon Aisi Machine Dharate Yeh hein Mujize se Behtare Jaado Akmal o Aqwa Gaate yeh hein Saahir Qadir Lekin Shah ko Paththar Mahez batate Yeh hein Shah ki Wajahat Shah ki Mohabbat Zaher kahan Nahi Khaate Yeh hein Asl Shafa'at se hein Kafir Naam ko lafz dikhate Yeh hein us mein bhi Takhsees unki nahi kuch Muhmal gol Gadhate Yeh hein Baiti tak ke Kaam na Aayein Beqadari ye Manate Yeh hein Mugni Rab se Na ho sakne ko Kia Ma'ne Pahnate Yeh hein Unke Kaam Na aayege Beshak Jab to Jahannam Jaate Yeh hein Jag beeti se kia matlab hai Apni beeti Sunate Yeh hein Sab ke barabar Aajiz o Nada(n) Kaar e Jahan mein batate Yeh hein JIN KA CHAHA KHUDA KA CHAHA UNKA CHAHA MITATE YEH HEIN NAYEB E AKBAR QAADIR E KUL KO Paththar ka thahrate Yeh hein Paththar se bhi Badtar la shae Mahez pe Theeka Khaate Yeh hein Kia Har Baar Nabi o Wali se Shaitaan Bhoot Milate Yeh hein Jo Ayaat Butu(n) mein hein unko Mehboobun pe Jamate Yeh hein Unko Nabi Bot Bhoot hein Yaksa(n) Yeh Tauheed Sujhate Yeh hein Shaan e Jalaal e Habeeb e Haq ko Salb e Hawaas Banate Yeh hein Hamd Kare Haq Midh e Nabi se Qadh se Qadr badhate Yeh hein Utni hi Shaan e Khuda Badhti hai Jitna Nabi ko Giraate Yeh hein Rab deta hai Rusul ko Tasallut Beqaabo Thahraate Yeh hein Shah ke Huzoor Qiyam e Adab ko Shirk Bhawan mein Bithate Yeh hein Taiba ke Jangal ke Adab per kia Zanjeerein tudate Yeh hein Khud Farmaan e Rasoolullah per Hukum e Shirk Lagate Yeh hein In hoa Illa Wahyui Yooha Dekho kahan Chalkate Yeh hein Sunke Tabarruk Aab e Madina Shirk mein Dobe Jaate Yeh hein Inko Safar e Taiba ka Saqar hai us per Adab kia gaate Yeh hein Phakkad Chakkad warna Mushrik kia Tahzeeb Jagate Yeh hein YEH HAI RASOOLULLAH KI IZZAT PHIR ISLAM RIKHATE YEH HEIN Shah ka Khayaal Namaz mein Aana Darju(n) Khar se giraate Yeh hein Lanat e Haq ho La'an e Rusul ho Kaisi Deenak Sunate Yeh hein Surah e Fatiha aur Tashah'hud Shirk endhan mein Dhansate Yeh hein Bail Gadhe ki Yaad mein doobein es ko Sahel batate Yeh hein Lekin Yaad e Rasoolallah per Shirk ki naiw Chunate Yeh hein Khar se inko Khair hi pahunchi Khaar to Shah se Khaate Yeh hein Khatm jinhu(n) ne Nabuwwat kar di Jis per Dil humkate Yeh hein YAAD E MOHAMMED YAAD E KHUDA HAI KIS KO KHAR SE GHATATE YEH HEIN Inko Gadhe ka Zikr hi Rozi Jis ki Shaan Badhate Yeh hein Hum ko Zikr e Habeeb Jise Yun Aag Samjh ke Bujhate Yeh hein Gair e Nabi ko Wahi o Esmat Maan ke Naiw Jamate Yeh hein Kahe ki Naiw Nabi Banne ki Jis per Jaan Ga(n)wate Yeh hein Salb e Quran Jayez Kah kar Usko Hudoos mein laate Yeh hein Quran Wajh e Hidayat kab hai Mahez ilzaam hai gaate Yeh hein Mansab e Fahm e Nukaat e Quran Har geedi ko dilate Yeh hein Phir es Kizb e Ja'ali ki Tuhmat Khud Quran pe Uthate Yeh hein Khud kahe Quran Ma Yaqiluha Ummi fahem Batate Yeh hein Be Samjhaye Na Samjhey Sahaba Apni Taang Adate Yeh hein Haq ke Baya(n) ki Nabi ko Haajat Pait se Khuwande Aate Yeh hein Quran har Shae ka hai Tibiyaan Sifar Nabi ko Banate Yeh hein Mo'ti Eilm hai Sarwar e Aalam Un se Alag Katraate Yeh hein Haq ne Yua'llimohum Farmaya Khud Fahmeed Manate Yeh hein Nil Ummieen Yaad hai inko Woh Taleem bhulate Yeh hein Ba'az kitaab pe Naam ko Emaa(n) Ba'az se Kufr Dikhate Yeh hein Qaasid se Ab kia Kaam hai inko Suljhi PaaE Paate Yeh hein Khuwande hein kiyun Ummi se sikhein Saaf hai Khat Padhe Jaate Yeh hein Yeh hai Hadees ki Durgat Jis ke Da'we per itraate Yeh hein Jab to Muqallid Mujtahdee(n) ko Nasraniyat Udhate Yeh hein Mujtahid e Asr Inka hai Jisko Ban se Pakad kar laate Yeh hein Tarmahi Miskaah aur Bakhari Ghol kar usko Pilaate Yeh hein Saaphi Hanphi ke sikke khote Jhinji Apni Bhunate Yeh hein Saare Sirk Biddat pe Baithi Ab kia Deedah Lalchate Yeh hein Al Haasil Quran ko Har Dum Jhutlate Mukrate Yeh hein Ro e Zameen per Kafir hein Sab Aisi Baad Chalate Yeh hein Shah ki Ummat Kafir Maani Aap kaha(n) bache Jaate Yeh hein Roe Zamee(n) se Alag kia Koi Goh ka Bhatta basate Yeh hein Apni Aag mein Jal gaye Aap hi Achchi Deepak gaate Yeh hein Shirk ki aisi Tand Chadhi hai Shirk hi Shirk Bulate Yeh hein Shirk ki Tasbeeh inka Wazeefa Shirk hi Japte Japate Yeh hein Sawan ke Andhe ka Hara hai Shirk Jo gaate gawate Yeh hein Sawan ke Andhe ka Hara hai Shirk Jo gaate gawate Yeh hein Shirk Malhaarein milkar gaayein SHirk mein Chunri rangate Yeh hein Shirk hai inki Badhti Daulat Chapparu(n) Shirk lutate Yeh hein SHAAH O MALAK JIBREEL O QURA(N) SAB PER SHIRK GHUMATE YEH HEIN Tauraat o Injeel o Zaboor Ab un se Shirk Jutate Yeh hein Gaib per Kashti e Khazir o Musa Shrik Bhawar mein Phansate Yeh hein Sajda e Yaqoob o Yusuf ko Chaah e Shirk Jhankate Yeh hein Ubriul Akmaha wal Abrasa per Sooli se Dhamkaate Yeh hein Aheyal Mauta Sun ke to Mar kar Shirk Gadhe mein Samate Yeh hein Naam e Pisar per Aadam o Hawwa Dono ka Deen Khapate Yeh hein Ek Bade ke bhi Daada Naana Shirk ke Neeche litate Yeh hein Daadi Naani dono Musalma(n) Kufr unhein kab Chipkate Yeh hein Ab Jo hukum Awlaad per Aaya Pocho kia Farmate Yeh hein Aur agar unko bhi Shirk mein sayein Jab kia Chaak silate Yeh hein Murtad o Murtadda ka Tanakeh Radd hai kidhar Chakrate Yeh hein Laakhun Musalma(n) kar diye Mushrik Ghar ki Khabar bisrate Yeh hein Jaisi karni Waisi Bharni Kaatein jaisi Buwate Yeh hein Abd e Aziz o Waliullah ko Shirk ki Wali Dikhate Yeh hein Sheikh Mujaddid Sahab per to Sab se siwa gurrate Yeh hein Aap per Dhalein Baap pe Dhalein Kaun hai jis ko bachate Yeh hein HAJI IMDADULLAH ko bhi Shirk Madad Puhchate Yeh hein THAANVI QASIM GANGOHI ko Shirk ke Thaan Bandhate Yeh hein Qad Yasduq Kud aur Teeno Chaar pe Sach Dhalkate Yeh hein Shirk e Fiqhi Kufr e Kalami Baham Ba(n)te Khate Yeh hein Chahe tu Haq Aalim ho per Ab tak Jahil hai Yeh gaate Yeh hein Uski Sifaat e Qadima ko Haadis Aur Makhlooq likhate Yeh hein Saara Eilm e Gaib e Elahi Paanch mein Khatam Karate Yeh hein Simt o Zaman o Maka(n) se Tanziya Haq ki Dalaal Batate Yeh hein Dedaar e Bekaif per Emaa(n) Kufrun ke saath ginate Yeh hein Tark e Saza e Shrik per usko Begairat thahrate Yeh hein Gaair e Kufr ki QataE saza bhi Mutazila si Manate Yeh hein Qadr e Hukum e Nabi Rakhne ko Heela gar usko Banate Yeh hein Morchal uski Qabar pe Jhalne Namgeerah Tinwate Yeh hein Khaas unhein Apne liye Karne ki Tuhmat Haq per Uthate Yeh hein Jo Ek Paid ke Patte gin de Usko KhudaE thamate Yeh hein Haq se Haath mein Haath Mila kar Peer ko baatein karate Yeh hein Yun ghul mil kar Kalaam e haqeeqi Yarana Ghu(n)twate Ye hein Lekin Shaah e Rusul ke Haq mein Qaahir Mahez Batate Yeh hein Kizb e Elahi Mumkin kah kar Deen o Yaqee(n) sab Dhaate Yeh hein Kizb ka kianam han koi Kaazib Samjhe us se darate Yeh hein Inko Bhula bahela ke ho Jhoota Es ka Paas dilate Yeh hein Qudrat e Rab se hi Kizb e Bashar hai Taqat jis ki Rikhate Yeh hein Kizb e Khuda per Kaun hai Qaadir Qaudrat jis se ghatate Yeh hein Auwndhi Aqal ki Andhi Budhiya kis Jangal mein Charate Yeh hein Bil Fayel inka Khuda Aibi hai Phir imkaan to gaate Yeh hein Soye Auwnghe Baheke Bhooley Kia kia Gat banwate Yeh hein Gaflat Zulm Thakan Muhtaji kaun sa Naqs Barate Yeh hein Kaam ko us per Mushkil Maanein Khalq se usko Harate Yeh hein Khaaye bhi Phir kiyun nahi usko Mohan Bhog Chadhate Yeh hein Uff inke Imkaan ki Khuwari Bheek tak usko Mangwate Yeh hein Jood aur Joru o Maa Baap uske Bachche usko Janate Yeh hein Uska Shareek aur Khuwari mein Yawar Sab ki Khaip Bharate Yeh hein Zillat Izzat o Khauf ka kia gham Maut tak usko chakhate Yeh hein Jitne Aib Bashar kar Sakta Apne Khuda ko lagate Yeh hein Uchle Kode Kalayein Khaye Sab Khail usko Khilate Yeh hein Dubke Phoole Simte Phaile Usko Rabad ka Banate Yeh hein Mard bhi Aurat bhi Khasna bhi kia kia Suwaang Rachate Yeh hein Apne Khuda ko Mahfil Mahfil Kaudi Naach Nachate Yeh hein Chaarun Simt ek aan mein Muh ho Naach uska Yeh dikhate Yeh hein Chaumukhe Brahamma aur Kaanha ke Aage Sais Nawate Yeh hein Dev ke Aage Ghanti baja kar Bam us se bulwate Yeh hein Ling Chilhiri ki dandotein Pooja Paat karate Yeh hein Kataki Esnaan aur Baisakhi Dhubki usko khilate Yeh hein Zaani Muzni auchuka Daako Saare Jhoole Jhulate Yeh hein KAUN SI KHWARI BAAKI CHOORI? SAB US SE KARWATE YEH HEIN ................................................................................................................... Part of Ismaill Dehlavi Completed .................................................................................................................. EXTRA : Deobandi Ezafe ..... Note : Yahan "Yeh hein" se Muraad Woh Deobandi (Wahabi) hein Jinhun ne aise Kufriyaat likhe hein jin ka Aalahazrat ne yahan Tazkirah farmaya hai.... Baite Gaaye Yahood o Nasara Joru aur Milate Yeh hein Aqal e Farang se Baagh e Khird mein Teen Khuda lahkate Yeh hein Chor Sharabi Zaalim o Jaahil Rab pe Rawa ginwate Yeh hein Khakul Aibi Poch Khuda ko Poojte aur Pojwate Yeh hein Milk e Khuda se Bahar Cheezein Aurun ki Milk ginate Yeh hein Laakhun Karodoun Khuda ke Pujari Phir Tawheed manate Yeh hein Sab Khabarein Quran ki Jhooti Padni Rawa Thahrate Yeh hein Ab to Oulohiyat bhi Sidhari Dhol se Khaal ga(n)wate Yeh hein Us ke Eilm o Jaz mein Tahalif Kah ke KhudaE Dhaate Yeh hein Balke Kamaal use Thahra kar Ganga ulti bahate Yeh hein Jab hai Kamaal Khilaaf e Qura(n) Ab kia Palla Bachate Yeh hein Ya to Khuda hai Kamaal se khaali Ya Qura(n) jhutlate Yeh hein Rab ka Ghazab ho wahi se pahle Kis ko Daal batate Yeh hein Balke Kaha Emaan se Khaali Lanat ho kia gaate Yeh hein Mursal e La Saani ka Saani GANGOHI ko batate Yeh hein Qabr hai Toor woh Rab yeh Musa Kaise Junoon Pakate Yeh hein Uske Kaale ghulamu(n) ko Yusuf Paaji pan yeh dikhate Yeh hein Abd e Nabi Shirk Andhe ke Bande Banke Bahut Eithlate Yeh hein usko Muhmi Subqi kah kar Esa ko jo Nikate Yeh hein ************************************************************ Rasheed Ahmed Gangohi ke Kufriyaat... Note: es mein "Yeh hein" se Muraad Rasheed Ahmed Gangohi hein...... Eilm Apne Murshid e Shaita(n) ka Eilm e Shah e Badhate Yeh hein uski us'at Nas se Maney Shirk yahan Phansate Yeh hein Eilm e Gaib e Eblees ko Maney Shah ko kaho Jal Jate Yeh hein Aise Fazl per usko Jamate Maula Tujh ko Hatate Yeh hein Saaf Sareehan Apne Khuda ka usko Shareek Banate Yeh hein Shirkat kaisi Khud Shaita(n) ko Apna Khuda Thaherate Yeh hein Jo Allah ko Jhoota Maney Suwaleh usko ginate Yeh hein Kafir Gumraah Faasiq kaisa Karra Lafz Bachate yeh hein ShafaE o Hanafi ke Manind uska Khilaaf Manate Yeh hein Bandun ko Qudrat de di Haq ko Ab Bedakhal Batate Yeh hein Mujh ko Bhai kaho ki Tauhmat Maula Tujh per uthate Yeh hein Apne hi Muh Maloon hoye Khud Naar mein Waar Chawate Yeh hein La'an Eblees per Auroun ke Muh se Apne hi Muh ki Paate Yeh hein Muh ki PaaE Muh ki KhaaE Bachke Kahan Ab Jaate Yeh hein Baap ko Apna Qareeb batana Gustakhi Thahrate Yeh hein Shah e Rusul ko Bhai kahna Maa ka Doodh Banate Yeh hein Mitti mein Milna Mitti se Milna Ek hi yun Chandrate Yeh hein Peeth Rasoolullah ko de kar Kaisi Aundhi Kaate Yeh hein ISTEMDAAD karein Shaitaa(n) se Shirk Nabi se Batate Yeh hein . Majlis e Mawlid e Shah hai Khurafaat Aisi Kharafat laate Yeh hein Suwaang Kanahiyya Janam ka hai Pandit Ji Chawkaate Yeh hein Fatiha mein Quran ki Tilawat Vaid Padhant Sunate Yeh hein Quran Vaid hai Qaari Pandit Yeh Tashbeeh Jamate Yeh hein Fikr Baqadr e Himmat hai kia Hindu Dharam Dharaate Yeh hein Hindu Dharam se Badtar Riddat Jiddat jis mein dikhate Yeh hein Shirk o Kufr Auru(n) ke liye Shar Khair Apnu(n) ki Manate Yeh hein Apnu(n) ka Zahr e Halahal Sab ko Shahed Bata ke Chatate Yeh hein Shah ke Rahmat e Aalam hona Har Mulley ko Dilate Yeh hein Yaani Yeh bhi hein Rahmat e Aalam Mulley Khud Kahlate Yeh hein Fazl e Shah mein BUKHARI O MUSLIM Sab Mardood Batate Yeh hein Naqs ko Ek be'asal Riwayat Apni Burhaan laate Yeh hein Raad ko uska Raawi gaayein Kia bepar ki udate Yeh hein Fazl e Shah ki Adawat dekho Kia kia Haath Chabate Yeh hein Yauma Yaidiz Zalim ka Rang Duniya hi se Dikhate Yeh hein Anjaan Aan Padh ke Chalne ko Kia Kia Jaal Bichate Yeh hein Tafwiyat-ul-Emaan ka Padhna Eain Islam Banate Yeh hein Yun Quran se usko Badha kar Jabtak e Kufr Manjhate Yeh hein Abd e Aziz Tak Emaan kab tha Islam Aaj Phailaate Yeh hein Niyyat e Ajar ka Ahl hai Kafir Kufr ko kia Chamkate Yeh hein Hindu ko kia Ahl Samjhtey Apni Daal Galaate Yeh hein Yeh heinMufeed Nabi ko Jo Samjhey us per Shirk Audhate Yeh hein Rab ki DuhaE Lagw Samajh kar Jabran Shirk Manate Yeh hein Waqt Pade per Jayez kah kar Jaado karte Karaate Yeh hein Shirk Mubaah hai Balke hai Sunnat Fail e Rasool Batate Yeh hein Be Rab ke diye Eilm jo Maney Kufr se usko Bachate Yeh hein Naar e Safar mein Raushni Sujhi Kia Andhera Machate Yeh hein Deoban walo(n) ke Milne se URDU Shah ko Sikhate Yeh hein unke Nabi ki ustazi ka Haq ummat pe Jatate Yeh hein Uff Bebaki Shah se Apni Roti tak Pakwate yeh hein inki RasoE ki Yeh RasaE Haq RuswaE Paate Yeh hein Holi o Diwali ka Khana Jayez Jai Jai kar ke Khaate Yeh hein Sharbat o Aab e Sabeel e Muharram Saaf Haraam Karate Yeh hein NAAM E IMAAM NE AAG LAGA DI NAJD KI HOLI JALATE YEH HEIN .................................................................................. Qasim Nanotavi ke Kufriyaat... Note: Yahan Yeh hein se Muraad Qasim Nanotavi hein...... Shah ke Pichle Nabi honey ko Fazl se Khaali Gaate Yeh hein Jaise Aise Waisun ki Awsaaf Itna es ko giraate Yeh hein Haq per Fuzool aur Be Rabti ki Lim Quran pe Lagate Yeh hein Midh jo esko Samjhe Sahaba Nafaham usko batate Yeh hein Ab se un tak Ummat bhar per Jahill ka Muh aate Yeh hein Aik Sahaba kia ke Nabi per Ta'en Yahi Barsate Yeh hein Munkir e Khatam ko Phir Kafir bhi Dhoke ko likh Jate Yeh hein Dar Kufr o Deen Manda Tazabtub Ne Emaan Na Sabate Yeh hein Dhoka Khul gaya Chand Warq Per Phir Wahi Palta Khate Yeh hein Shah ke Baad Tabuwwat Taza Paak Khalq se Batate Yeh hein Aap hi Kafir Aap hi Mukaffir Apni Aap hi Dhate Yeh hein Jab to Baraye Naam Khud Apna Islam Aap Sunate Yeh hein Awwal Kafir Aakhir Kafir Har Phir Kufr pe Chate Yeh hein Dhoka Dene waba Phir uchla Kufr ko kitna Bhaate Yeh hein Unke Kufr ka uthta Joban Nahaq usko Chupate Yeh hein Sarkash utna utna Ubhrey Jitna Jitna Dabate Yeh hein Aur Khudaou Ka Woh Khuda ho Rutba es mein Badhate Yeh hein Mushrik ko esbaat Bata(n) ki Yeh Burhaan Badhate Yeh hein Khalq se uska Tanasub Ga kar Arba mein usey laate Yeh hein Hum ko Ghulam se Jo hai woh Nisbat Haq ko Hum se batate Yeh hein Yeh Zaat Tarfain o Wast Hai Yun Taslees Manate Yeh hein Aur Rusul ki Arzi Mohabbat Ek din un se Chinate Yeh hein ......................................................................................... Ashraf Ali Thanvi ke Kufriyaat... Es mein "Yeh hein" se Muraad Ashraf Ali Thanvi hein........ Shah sa Har Kas o Naakas Jane Gaib pe Aieb Dikhate Yeh hein Eilm e Huzoor mein Bachche Pagle Kul Chaupaye Bhidate Yeh hein In mein Nabi mein Farq Batao Kis Lanat ki Gaate Yeh hein In Hum Illa kal Anaam Bal Hum Adall ke Bhidate Yeh hein Thak kar es Bad Gaali ko ek Ilmi Bahes banate Yeh hein Aieb ki Laye Raieb ki Gaye Gaib se Waib kamate Yeh hein Usko Kafir likh gaye Jis ko Bhait Emaan Chadhate Yeh hein Lekin Jab Tak Naam Na Jana Jaan ke Jaan Chaurate Yeh hein Woh Bajahannam Khud Kufr Apna Mante aur Chapwate Yeh hein Qaul hai Kufr aur Qayel Kafir Lekin Naam Bachate Yeh hein Qayel Thande Ji se Kafir Naam liye Garmate Yeh hein Waar jo Khatm e Nabuwwat per thae Ab woh Beej ugaate Yeh hein Yani Apni Nabi Japne ko Taskin Bakhsh Banate Yeh hein Apne Naam per Es Teqlalan Salle Ala Bhatwate Yeh hein Bahki Zabaan aur Din bhar Bahki uff uff Kia Bahkate Yeh hein Inki Sana thi Nabi ki Zam thi Yun ye uzr manate Yeh hein Inko Bura Kahta to yeh heela Sunte Ya Jal Jate Yeh hein Sheikh Ji Mirza ke hoye Waris Sheikhi Jis pe Dikhate Yeh hein Baptisma Mirza se Paya Balke usey Sharmate Yeh hein Maa ka Adab Kafir bhi kare ga In ki Suno kia Gaate Yeh hein Waqiya Dhalein Baan ka Aana Zan ka Zahen Ladate Yeh hein Jin per Lakhun Maayein Tasadduq Tabeer unki banate Yeh hein Kiyun dab e Siddiqa karein kia Deen ka Dena Dharate Yeh hein Woh to Musalmano ki Maa hein Kab Islam Rikhate Yeh hein Inki Joro Daad hai Bad hai Badr o Daad hi Paate Yeh hein kaukaba mein Satr hi thae Jin Per Qaroon Ganj Basate Yeh hein yun to doso tees hein ab kis Tahtus Sara ko Jaate Yeh hein ............................................................................................. . LAST PART Zikr e Ashaab o Dua e Ahbaab... es mein Aalahazrat ne Apna aur apne Khulafa ka Zikr kia hai aur unko Duao se Nawaza hai.... Bismillah hi Rahmanir Raheem 1. Apna aur apne shagirdun ka Zikr Tere Raza Per Teri Raza ho Us se Ghazab Thar Raate Yeh hein Balke Raza ke shagirdun ka Naam liye Ghabrate Yeh hein 2.Khalaf e Akabar Hujjatul Islam Hazrat Maulana HAMID RAZA KHAN Sahab Razavi رحمۃ اللہ علیہ ke liye Haamid-o-Minni Ana Min Hamid Hamd se Hamd Kamate Yeh hein 3.Hazrat Maulana ABDUS SALAAM Razavi Jabalpuri رحمۃ اللہ علیہ ke liye Abd-e-Salaam Salamt Jis se Sakht Aafaat mein aate Yeh hein 4. Malik-ul-Ulema Hazrat Maulana ZAFARUDDIN Razavi Bihari رحمۃ اللہ علیہ ke liye Mere Zafar ko Apni Zafar de Us se Shikastein Khaate Yeh hein 5. Sadrush Sharia Hazrat Maulana AMJAD ALI Razaviرحمۃ اللہ علیہ ke liye Mera Amjad Mujad ka Pakka Us se bahut Kachiyate Yeh hein 6. Sadrul Afazil Hazrat Maulana NAEEMUDDIN Muradabadi رحمۃ اللہ علیہ ke liye Mere Naeemuddin ko Naemat Us se Bala mein Samate Yeh hein 7.Hazrat Maulana Sayyed AHMED ASHRAF Kachochvi رحمۃ اللہ علیہ ke liye Ahmed Ashraf Hamd-o-Sharaf le Us se Zillat Paate Yeh hein 8.Mufti e Aagra Hazrat Maulana Sayyed DEEDAAR ALI Razavi رحمۃ اللہ علیہ ke liye Maulana Deedaar-e-Ali ko Kab Deedaar karate Yeh hein 9.Hazrat Maulana AHMED MUKHTAAR Razavi Merithi رحمۃ اللہ علیہ ke liye Majboor Ahmed Mukhtaar inko Karta hai Marjaate Yeh hein 10. Muballig e Islam Hazrat Maulana ABDUL ALEEM Razavi Merithi رحمۃ اللہ علیہ (Walid e Muhtaram Hazrat Maulana Shah Ahmed Noorani رحمۃ اللہ علیہ of Pakistan) ke liye Abd-e-Aleem ke Eilm ko Sun kar Jahl ki Bahl Bhagate Yeh hein 11. Sultan-ul-Waezeen Hazrat Maulana ABDUL AHAD Razavi رحمۃ اللہ علیہ ke liye Ek Ek Waaz e Abdul Ahad Per kitne Nathne Phulate Yeh hein 12. Hazrat Maulana Mohammed RAHEEM BAKHSH Razavi رحمۃ اللہ علیہ ke liye Bakhsh Raheem pe Rahmat Jis se Aarey ke Neeche aate Yeh hein 13. Maulana Munshi Mohammed LA'AL KHAN Razavi رحمۃ اللہ علیہ ke liye Johar Munshi Laal pe Heera Kha Marne ko Mangate Yeh hein 14.Taajdaar e Ahle Sunnat Huzoor Mufti-e-Aazam Shah Imaam MUSTAFA RAZA KHAN Razavi رحمۃ اللہ علیہ aur Burhaan-e- Millat Hazrat Maulana BURHAAN-UL-HAQ Razavi Jabalpuri رحمۃ اللہ علیہ ke liye Aale Rahmaan Burhan-ul-Haq Sharq pe Barq Girate Yeh hein 15. Hazrat Maulana Mohammed SHAFEE AHMED Razavi رحمۃ اللہ علیہ ke liye Taaza Zarb-e-Shafee Ahmed se Kuhna Bukhaar Uthate Yeh hein 16. Sahabzada e Ustaad e Zaman Hazrat Maulana HASNAIN RAZA KHAN Sahab Razavi رحمۃ اللہ علیہ ke liye De Hasnain Woh Taqbeeh inko Jis se Bure Khisiyaate yeh hein 17. Tamaam Khulafa ke liye Duayein Najdiya mein Halchal Rahe inki Jaise Hal un per Chalate Yeh hein Kam ko Fuzun Afzun ko Fuzun Tar Kar de Tera hi Khaate Yeh hein Apno mein inke Misl Fuzun Kar Tera Zikr Badhate Yeh hein Dil mein Hiraas Na Laane Dena Dil mein anni Chamkate Yeh hein Tere Gada hein Tujh per Fida hein Tera hi Khaate Gaate Yeh hein APNA KARAM RAKH SAR PE QADAM RAKH TERE HI KAHLATE YEH HEIN اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
BurningMoon مراسلہ: 6 فروری 2013 Report Share مراسلہ: 6 فروری 2013 (ترمیم شدہ) Al Istimdad & Al Takmeel book was printed in Nov 2010, from Mumbai Scans is now uploaded and available to all. The scanned pdf file is larger than the permitted attachment size. You can download the same from this link:- www.ahlesunnat.biz/al-istimdad.pdf (low resolution 16.6 mb) www.ahlesunnat.biz/al-istimdad-hr.pdf (high resolution 43mb). Edited 6 فروری 2013 by BurningMoon 1 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 14 فروری 2013 Author Report Share مراسلہ: 14 فروری 2013 On 2/6/2013 at 6:39 PM, BurningMoon said: Al Istimdad & Al Takmeel book was printed in Nov 2010, from Mumbai Scans is now uploaded and available to all. The scanned pdf file is larger than the permitted attachment size. You can download the same from this link:- www.ahlesunnat.biz/al-istimdad.pdf (low resolution 16.6 mb) www.ahlesunnat.biz/al-istimdad-hr.pdf (high resolution 43mb). Thnx for sharing Jazak Allah Azawajal! Now Al-Istimadad 2010 Edition has been Uploaded on Islamimehfil. http://www.islamimeh...attach_id=59119 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Afzalsheikh مراسلہ: 14 نومبر 2018 Report Share مراسلہ: 14 نومبر 2018 The books library of Dawat-e-Islami contains many booklets of different writers including Ahmed Raza khan Barelvi. He has written several books on various topics in Arabic, Persian and Urdu. Ahmed Raza Khan Barelvi Books اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
خیر اندیش مراسلہ: 22 مئی 2020 Report Share مراسلہ: 22 مئی 2020 الاستمداد علیٰ اجیال الارتداد http://www.alahazratnetwork.org/data/01-alahazrat_books/01B-alahazrat_books_pdf/227-AlistimdadAlaIjyalilIrtidad.pdf اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔