Sweet.25123 مراسلہ: 4 اکتوبر 2011 Report Share مراسلہ: 4 اکتوبر 2011 Payare Bhai is par bhi Ahadith Mojud hain main post kar doonga . Bhai Jaan sab se pehlay aapko tawasul ke mutaliq janana chahiye kiyunkeh jab tak aap Tawasul ka concept nahin samjhen gey aapko shayad samjh na aye Riwayat ki bhi . Dekhen Humara yehi Aqida hai ke Anbiya Alyehim Asalam aur Awliya Rehmatullah Alyehim Allah ki Ataa se Madad kartay hain aur is par poori Ummat ke har dor ke Scholars ki kitabain dalil ke liye mojud hain aap Fiqh ki kitabain bhi check kar len aur yehi Aqida Shuru se hai isko MazAllah shirk kehnay wlay to takreeban 200 saal pehlay paida hue hain shuru se sabhi ka yehi Aqida hai . Dekhain Hum Mushkil mein jab Ya Rasool Allah ya phir Ya Ali pukartay hain to Allah unkay Waseelay unki Barkat se Humari Mushkilain hal kar deta hai . na to koi Unko MazzAllah Khuda samjhta hai na hi kisi ka yeh Aqida hai ke woh Allah Azzwajal ki MArzi ke khilaaf Madad kartay hain dekhen Allah hi unko Ata karta hai aur woh Madad kartay hain . Nabi Kareem ki Hadith e Mubarikah mein hai jiska Mafhoom kuch yun hai ke Aap ne khud Farmaya ke Allah Ataa karta hai main taqseem karta hooon to phir is par aap kiyun confuse hain. Agar aap haq ki talash mein hain to aapko har qisam ka saboot diya ja sakta hai is mozu par . Wahabi isko jaan bujh kar ghalat andaz mein pesh kartay hain aur aam logon ko confuse kartay hain . Aapko Fiqh se le kar Tassawuf Tak aur humaray jo Fiqh ke Imam hain unse bhi Saboot diye jaa saktay hain . inshort Sabhi ka yehi aqida tha baat sirf Ilam ki hai jo kuch thoday se log inkaar kartay hian woh mehaz kam ilami ki binah par Wahabion ke hathay charhnay ki wajah se kartay hain . Jabkeh Khud wahabion ke apnay Akabarin is ko Maan kar gaye hain aur kitabon mein likh kar gaye hain jisko ab yeh log badal rahay hain i have also proof of their forgery woh log ab yeh sab kitabain bhi badal rahay hain.. 1-Is mazmoon main aap ne jo hadees ka mafhoom likha he is ki shrha main hafiz ibne hajar ra ne likha he jis ka mafhoom he k ye hadees sadqat ki taqseem k bare main he. Kya aap ye kehna chahte hain k ab bhi Aqa k pas log sadqat bhej rahe hain??? 2-Isi hadees se Ulama ne ye isdalal bhi kya he k Aqa ko Allah ne jo ilm ata fermaya us k bare main he. aap ne jo isdalal kiya he wo kon se faqeeh ne likha he???? Ahle quboor se apni muradain mangne ko ulma e ehnaf ne haram aur shirk likha he. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
alSaifiya مراسلہ: 4 اکتوبر 2011 Report Share مراسلہ: 4 اکتوبر 2011 (ترمیم شدہ) 1-Is mazmoon main aap ne jo hadees ka mafhoom likha he is ki shrha main hafiz ibne hajar ra ne likha he jis ka mafhoom he k ye hadees sadqat ki taqseem k bare main he. Kya aap ye kehna chahte hain k ab bhi Aqa k pas log sadqat bhej rahe hain??? 2-Isi hadees se Ulama ne ye isdalal bhi kya he k Aqa ko Allah ne jo ilm ata fermaya us k bare main he. aap ne jo isdalal kiya he wo kon se faqeeh ne likha he???? Ahle quboor se apni muradain mangne ko ulma e ehnaf ne haram aur shirk likha he. first of all bro you are talking without References and i can't trust on your Tongue so plz post here complete References and Scan if possible and 2nd thing is plz wait mujhay pehlay anay to do inhi do Ahadith mein InshAllah tumhain Istaghatha dikhay ga doosri ka to tumharay pass jawab nahin hoga pehli ka InshAllah main jawab deta hoon .. Edited 4 اکتوبر 2011 by alSaifiya اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
alSaifiya مراسلہ: 4 اکتوبر 2011 Report Share مراسلہ: 4 اکتوبر 2011 (ترمیم شدہ) Bhai sahaib ye hadees tawassul k bare main he. Agar is hadees se aap ahle quboor se apni hajtain mangne per isdlal karte ho to ye to aap k khilaf gawahi de rahi he. Q k agar sahabi ka aqeeda tha k Huzoor meri hajat ko pura fermain ge to wo Hazrat Usman k pas q jana chahte the??? sach mein mujhay aapse is post ki umeed nahin thi bohot bhi hota to mera yehi khayal tha ke aap ya to dandi maro gey ya phir gol mol karo gey magar aap ne badi ajeeb baat kar di . Main ne aap se 3 4 ghantay ka waqt manga tha lekin abhi hi agaya hoon takeh aapko koi problem na ho . 1 Bhai sahaib ye hadees tawassul k bare main he Ans : gee bilkul tawwasul ke bare mein hi hai . kya yeh nazar nahin aya ya dekh ke an dekha kar diya ? Hazrat Usman Bin Hanif ne jo Dua batai woh Khud Nabi Kareem Salalaho Alyehi Wasalam ne Sikhayi thi jo ke Nabina Sahabi wali Riwayat mein hai aur is mein Huzoor ke Visaal ke baad Apke Wasilay se na sirf Dua ki gayi Allah Taala se balkeh Dua ke doosray Hisay mein Dua ke andar Huzoor Salalaho Alyehi Wasalam se Istighatha kiya aur Ya Muhammad keh kar Direct Huzoor se Matawajah hue aur Aaqa KAreem ka Waseela Pakra . Jaan bujh kar aap ne hat dharmi ki hai is mein samjh na anay wali kon si baat hai haan agar niyat khoti ho to banda aisay hi heelay bahany banata hai . 2 Q k agar sahabi ka aqeeda tha k Huzoor meri hajat ko pura fermain ge to wo Hazrat Usman k pas q jana chahte the??? Ans : Main ne kaha tha ke first you have to understand the concept of tawwasul . kiyunkeh isi wajah se aapko Dalil ki samjh nahin aati aur phir hum se jhagartay ho. Aapki zehniyat yeh banayi gayi hai ke Shayad Hum MaazAllah yeh samjhtay hain ke Huzoor se Mangtay hain to woh Huzoor detay hain Allah nahin . aisa nahin hai jab Huzoor se Istaghatha kartay hain to Yehi Concept hota hai ke Dena Allah ne hi hai Lekin Milay ga Huzoor ke Dar se . aur baqi rahi baat yeh ke Sahabi Hazrat Usman ke Paas kiyun gaye ? aapki zehniyat aur kam ilami ka andaza aapki is baat se ho geya sab se pehlay to yeh poori Hadith parhi thi ?? Pehlay wohi Sahabi Jab Hazrat Usman ke Pass gaye to woh inki taraf tawajoh nahin de rahay thay lekin Jab Huzoor ke wasilay se Dua ki to Khud Hazrat Usman ne unko bitha kar unki Hajat puri ki aur Jab unhon ne Hazrat Usman Bin Hanif ka Shukriya ada kiya kiyunkeh woh samjh rahay thay ke shayad unhon ne Hazrat Usman e Ghani se baat ki to unka kaam huwa tab Hazrat Usman bin Hanif ne unko bataya ke yeh Us Duwa ki wajah se hai aur woh Nabina Sahabi wala kisa bayan farmaya . aur rahi yeh baat ke agar Sahabi ka Aqida aisa tha to woh Hazrat Usman ke paas kiyun gaye . Jawab yeh hai ke kya woh Sahabi Pehlay bhi nahin gaye the ? tab unki Hajat kiyun poori na hui aur phir Hazrat Usman Bin Hanif ne jab Yeh Mubarik Duwa batayi aur is par amal huwa tab hi kiyun unki Mushkil hal hui ? Kya yeh Wasila ki barkat se na tha ? aur baad mein Khud Hazrat Usman bin Hanif ne unko bataya bhi ke yeh Mushkil Usi Duwa ki wajah se hal hui tabhi to phir woh Nabina Sahabi wala Waqiya Sunaya. ek chota sa point samjhanay ke liye poori Hadith batani paray gi jabke is mein samjh na anay wali to koi baat hi nahin thi . Last Point : Is Hadeeth Mubarika mein Sahabi ne jo Duwa sikhayi aur Doosray Sahabi ne jo Duwa ki us mein Ya ke Saath Nida de kar Huzoor Salalaho Alyehi Wasalam ka Waseela nahin Pakra ?? is ek Hadeeth se 2 qisam ka Waseela Sabit hota hai ek to Direct Allah Azzwajal se kaha geya ke Main Teri Taraf apnay Nabi Muhamamd Mustafa ke Wasilay se matawajoh hota hoon . yeh tha pehla Qisam ka Waseela aur doosra yeh ke "Ya Muhammad main aapke Wasilay se Allah ki taraf Matawajoh hota hoon - isko hi hum istighatha kehtay hain aaj jab hum Ya Muhammad kehtay hain to aap Shirk ke Fatway lagatay ho aur Khud Sahaba Huzoor e Akram se Istighatha kartay thay . so dono qisam ka Waseela Sabit huwa 1 Direct Allah se Huzoor Salalaho Alyehi Wasalam ke Wasila se mangana 2 Istagatha . Huzoor Salalaho Alyehi Wasalam ko Mushkil mein Pukaar kar aapke Wasilay se Allah ki Taraf Matawojh hona . Aapke Corrupt Aqiday ka Janaza nikalnay ke liye yeh ek Hadeeth hi kafi hai . aur iske saath Hazrat Ibne Umar ka bhi Istagatha karna Islam ke Aqaid ko Waziyah kar deta hai aur Wahabiyat ka Radd karta hai . Ya Rasool Allah Ya Ali Ya Ghous e Azam Rehmatullah Alyeh Ya Murshid Rehmatullah Alyeh... Edited 4 اکتوبر 2011 by alSaifiya اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
alSaifiya مراسلہ: 4 اکتوبر 2011 Report Share مراسلہ: 4 اکتوبر 2011 (ترمیم شدہ) Ab Chand ek Sawal hum bhi karnay ka Haq rakhtay hain : 1 Sab se Pehlay yeh bataiye ke jo Istaghatha karta hai Ya Phir Ya ke Saath Nida karta hai Mushkil mein woh aapke Nazdeeq kya hai ? 2 Yeh bhi bataiye ke Zinda se mangana jaiz hai ? 3 aur Clasical Scholars jinhon ne Baqaida Kitabon mein Baab Qaim kiye hain is mozu pe aur Kitabain likhi hain woh aapke nazdeek kya hain ? kiyunkeh jab nafi wali ibaraat jok ke Tawassul ki nafi to nahin karti lekin aap log tor mor ke aur out of context unhi se nafi Sabit karnay ki koshish kartay ho woh to aap pesh kar detay ho lekin jab unse Tawassul aur Istighatha ka Sahih Saboot diya jaye to aap nahin mantay aur Aahadith Mangtay ho. in sirf 2 3 sawalon ke Sahih jawab de dijiye aur baat gol mol na karna Upar Istaghatha aur Tawwasul dono ko sabit karnay ke liye Ahadith Mojud hain lihaza ab direct in baton ka jawab dijiye aur jab tak in baton ka jawab nahin den gey aapke kisi aur sawal ka jawab nahin diya jaye ga ya mazeed baat nahin ki jaye gi na hi mazeed dalil di jaye gi. Aur Aap Fiqah Hanfi ke Ulema aur Fiqh ki kitabon ki fiqar na karen unhi mein se Tawasul aur Istaghatha ke aisay dalail de den gey jin ko inkaar karnay ki aap mein himat nahin ho gi lekin pehlay in ka jawab dijiye . aur yeh bhi bata dijiye ga ke kya aap in Ahadith ko mantay hain ya nahin ? Edited 4 اکتوبر 2011 by alSaifiya اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Kaamran مراسلہ: 21 اکتوبر 2011 Report Share مراسلہ: 21 اکتوبر 2011 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔