Jump to content

Muslim Re-United


Muslim

تجویز کردہ جواب

(salam)

 

How are you brothers and sisters in Islam ?

Hope you are all fine. I visit this site and appreciate all your efforts but the thing which i dislike is that you made some forum for (Bad Mazhab).

 

First of all, i tell you i am not Brelvi, Deobandi, Shia, Wahabi, Hanbali, Shafi, Maliki or from any other sect. I am a straight Muslim. And thats what we need today.

I am now typing in urdu because may be some of you would have some problems in reading this.

 

So, bhaio! Dekhiye aaj ke dor mai har jaga firqawariat phelee hay .. Brelvi hay to Deobandio, Wahabio or baqio ko galee deta hay. Deobandi ho to Brelvi ko, Wahabi ko. aur agar Ahlehadith ho to Deobandio or Brelvio ko or baqio ko. Khulasa yeh hay k har koi har kissi ko galee de raha hay. Issi tarah 73 ke 73 sects ik dosre ko galee de rahay hain. Ik dosre ke aqaabir kee dhajjiaa ura rahay hain. Is Post mai " http://www.islamimehfil.info/forum/index.php?showtopic=923 " Janab Administrator ne kaha ke ham kissi ke aqaabir ko galiaan nahin detay jab ke agar "Bad Mazhab" ka forum dekhaa jaye to poora forum hee galio se bhara para hay. Kher mera maqsad kissi par tanqeed karna nahin balkay sirf yeh kehna hay k Khudaraa, aap log sirf Unity kee ahmiat janiye. Yeh baat to sab ko pata honee chaiye or hogee k Allah ne Firqawariat ko mana farmayaa hay. Yeh aayat daleel hai us keee

 

23:52] And verily this Brotherhood of yours is a single Brotherhood, and I am your Lord and Cherisher: therefore fear Me (and no other).

23:53] But people have cut off their affair (of unity), between them, into sects: each party rejoices in that which is with itself.

 

Aur bhi kayee jagaho par Allah ne Quran mai Firqawariat ko mana farmaya hay. Aur log kehtay hain k ham sahee hain ham sahee hain baqee sab bidati kafir mushrik blah blah. Janab, Agar sab hee kafir mushrik bidati hain to sahee kon hay. Agar ik banda yeh aqeeda rakhay k sab sahee hain aur sirf mai ghalat hon to mere khayal mia yeh saheeee hoga ku k ham nahin jantay k ham kitnay gunaa gar hain. Issi bahanay hamain apnay aap ko sudharnay ka mauqa milay ga aur bhi bohat faiday hain. Hamaree kissi se laraiee nahin hogee, koi hamai bura bhala nahin kahay ga.

 

One more thing ;

Mai ne is forum mia ik post parhee "Injeel se RASOOL ALLAH kay Noor honay ka saboot " .... Ab yeh post thee Bad mazhab ke forum mai. Mai yeh kehna chahooon ga k agar yeh post hotee Non muslim ke forum mai to kia Christians ke chakkay na choot tay .. Wo log Rasoollullah (saw) ko nahin mantay hain. Ab agar ham log unite ho jain aur sab zor sirf is baat kaaa laagain k non muslims ko un kee auqaat yaad dilana hay to kia yeh acha na hoga .. sirf ik min sochiye k aaj ke dor mai MUSLIMS logo kee itnee naaqadri ku hai .. Muslims itnay badnaam ku hain. Sirf is lie ku k ham logo ne Rasool(SAW) ka deen chor kar sirf dosro par tanqeed karna shruu kar dee hai. Aj agar koi Muslim kissi kafir mulk mai chala jaye to us se us ka Religion pochtay hain aur MUSLIM sun kar hee jail mia daal detay hain ya is tara talaashi letay hain jaise ham log koi chor uchakkay hain. koi yeh nahin pochta k bhai aap shia ho ya sunni ho ya koi aur. aur aisa ku hai. . Us kaa jawab bhi yehee hay k Mazhab mia nachaakii hay hamare.. Agar ham log Mutahhiid ho jain to kitna acha ho.. koi kissi ko galee na de. sab ik dosre kee kadr karain .. Aqaid kee alag baat but ham log Kalma to Rasool(SAW) aur Allah(SWT) ka hee parhtay hain na.. Kissi walee ka kalima nahin parhtay hain to hamain hujjat bhi Rasool(SAW) ko bana kar Allah ke huzoor sar basjood hona chaiye.

Ab usii post ke upar ik chotee se bat karon ga. Mai ne yeh dekha hay k yaha par bohat talent hai .. Aur wo talent hamai usi post mia mil gaya .. Injil se Rasool(SAW) kee maujoodgi sabit kardee .. to janab hamain chaiye na k ham ja kar Christians ko yeh dikhain. na ke kissi muslim ko .. ku k har muslim manta hay Rasool(SAW) ko. Ab yeh alag baat hay k kis tara manta hai ..

 

Ik last baat kahon ga phir muazzrat chahoon ga aap ke tym lenay kee !

Rasool(SAW) ne kissi ko Pehla kalima nahin parhwayaa, sab ko dosra (Kalima Shahadat) parhwaya .. Basic concept dono kalimo ka same hai but bat yeh hay k Shia logo ko kalimay kee bat par kafir waghira kaha jata hay(note:- mai bhi shia se nafrat karta hon but Muslim manta hon) Beshak hamare Akaabir ne in ko kafir keh dia hay . but aap log sochiye Dosra kalimaa to change nahin kiaa unho ne jo k Rasool Pak(SAW) ka kalima hay. kher mere baat ka maqsad sirf itna hay sare Muslim ik ho jain aur Kuffaaar kee eent se eent baja dain.

Mai ne ik site dekhee " www.faithfreedom.org " . yaha par poori duniya ke kaafir (Christians, Yahuudi, Hindu etc) sab muslims ko bura bhalaa keh rahay hain. aur aap yaqeen nahin karain gay k Muslims is site par sirf 10 ya 12 thay jab mia ne last tym answer kia tha is site par. Aj agar ham sare Muslims jama ho kar ik tanzeem kaim karain aur in kafiro se munaziray karain to in ko chattee kaa doodh na yaad aajey to kahiye ga .. but fikr kee bat yeh hay k aaj muslims mai apnay muslim bhaio ko galee denay ka riwaaj ziada hay banisbat kafiro ko kuch kehnay ke..

In shero se baat khatm karon ga

 

Ik hon Muslim Harm kee pasbaani ke lie

Neil ke sahil se le kar Kaabukhaake Kaashghar (Iqbal)

 

Ik hee saf mai kharay ho gaye Mehmood o Ayaaz

Na raha banda na banda nawaz

 

Aap ka Mukhlis :- Muslim

Assalamualaikum !

Jazkallah for reading

Link to comment
Share on other sites

Walaikum Salam,

Hadees-e-Pak ka Mafhoom: Meri Umat Mein 73 Firqey hongey. jin mein sey 1 naji (nijat paney wala) aur 72 nari (jahanami) hongey..

 

janab aap ka msg perha.. hairat hai aap ko ager mandarja bala hadees malom bhi hai aur phir bhi aap her aik ko sahi aur sulah-e-kul kerney ka keh rahay hain...

 

Muhadeseen Mandajra bala hadees ki sharah mein fermatey hain.. key woh Naji Nijat paney wala giroh Ahle Sunnat Wal Jamaat hoga.. yani sabit howa aik 1 hi giroh HAQ per hoga aur janati hoga baqi sub NA HAQ aur Jahanami..

 

aub Chahey aap humein sahi kahein ya ghalat mager hadees ko tu manein.. aur SULAH-E-KUL sey bachein..

 

aik aur hadees ka mafhoom hai... MUNAFIQEEN JAHANAM KEY SAB NICHLEY TABQEY MEIN HONGEY..

 

kiyon? iss liye key deen ko jitna nuqsan munafiqoun ney pohnchaya hai itna kufaar ney nhin pohnchaya.. aap Kufaar key forums ki bat ker rahay hain.. aap ney BAD MAZAHABOON key forum dekhey hain? JAHAN her aik ko bat bat per MUSHRIK aur BIDATI banaya ja raha hai? aur woh bhi aisi batein jin ko maan liya jaye tu Sahaba-e-Karam tak in key fatwon ki zad sey na bach sakein...

 

Janab Administrator ne kaha ke ham kissi ke aqaabir ko galiaan nahin detay jab ke agar "Bad Mazhab" ka forum dekhaa jaye to poora forum hee galio se bhara para hay.

 

Ager "Ghalat" ko "Ghalat" kehna bhi "Ghalat" hai tu Phir aapki bat Sahi hai...

Baz log yeh bhi kehtay hain "BHAYI KAFIR KO KAFIR NA KAHOO"

pocha jaye kis ko? "KAFIR KO" kiya na kaho? "KAFIR"... yani aik taraf khud KAFIR keh bhi raha hai phir kehta hai KAFIR kaho bhi na...

 

Allah ne Quran mai Firqawariat ko mana farmaya hay

 

Bey Shak Allah (azw) ney Quran-e-Pak mein firqa wariyat sey mana fermaya hai.. Jaisay key Aayat ka mafhom hai.. "Allah ki Rasi ko Mazboti sey thamey rakho aur firqoun mein na bato"

woh Rasi konsi hai? kiya SULAH-E-KUL? (yani her aik sey sulah kerna.. koi gustakh-e-rasool hoo tu us sey bhi sulah kero.. koi gutakh-e-sahaba hoo tu uss sey bhi sulah ker lu.. koi gustakh-e-ahlebait hoo tu uss sey bhi sulah ker lu)

Aahadees mein hai key Jab tum umat ko firqoun mein bat'ta dekho tu Sawad-ul-Aazam Giroh Ahle Sunnat ka mazboti sey paker lena.. aur jo iss sey aik ba lisht bhi hata woh taveel garhey mein gir gaya... (yeh mafhoom hai)

 

Mai ne is forum mia ik post parhee "Injeel se RASOOL ALLAH kay Noor honay ka saboot " .... Ab yeh post thee Bad mazhab ke forum mai. Mai yeh kehna chahooon ga k agar yeh post hotee Non muslim ke forum mai to kia Christians ke chakkay na choot tay

 

Aapko Pata hai Deobandi Wahabi Sarkar (saw) ko Noor Man'ney waloon ko mushrik kehtay hain? Aub pehlay bad mazhaboon ko tu sabot dey hum.. christians key pas jayein tu woh tu kahein gey.. tumharey tu khud (bad mazhab) NOOR nhin mantey.. humein kiya manwanaey aaye hoo..

 

Agar ham log Mutahhiid ho jain to kitna acha ho.. koi kissi ko galee na de. sab ik dosre kee kadr karain .. Aqaid kee alag baat but ham log Kalma to Rasool(SAW) aur Allah(SWT) ka hee parhtay hain na

 

Yani Gustakhi-e-Rasool ko aik side per rakh ker hum Mutahid ho jayein? kiya yeh hamari Sarkar (saw) sey muhabbat hai? Hadees-e-Pak ka mafhoom hai.. Tum Mein Sey Uss Waqt Tak Koi Momin Nhin Jab Tak Apney Maan Bap Apney Aulad hata key her chez sey berh ker mujhay na chahey..

 

aub bataye kiya yeh hamari muhabbat hai? aaj hamarey maan baap ko koi gali dey dey tu hum ghusay mein marney maarney per tul jayein aur Janab-e-Risalat Ma'ab (saw) ki shaan mein koi gustkahi kerey tu hum kahein BHAYI MUTAHID hoo jaoo?

 

Moulana Hassan Raza Khan (Aleh Rahma) ney kiya khob fermaya...

 

<span style="font-family: urdu naskh asiatype, tahoma; font-size: 16px; line-height: 175%">چھوڑ کر ذِکر ترا اَب ہے خطاب اپنوں سے

کہ ہے مبغوض مجھے دل سے حکایت تیری

 

مِرے پیارے مِرے اپنے مِرے سُنّی بھائی!

آج کرنی ہے مجھے تجھ سے شکایت تیری

 

تجھ سے جو کہتا ہوں تو دِل سے سُن انصاف بھی کر

کرے اللہ کی توفیق حمایت تیری

 

گر تِرے باپ کو گالی دے کوئی بے تہذیب

غصّہ آئے ابھی کچھ اور ہو حالت تیری

 

گالیاں دیں اُنہیں شیطانِ لعین کے پَیرو

جِن کے صدقے میں ہے ہر دَولت و نعمت تیری

 

جو تجھے پیار کریں جو تجھے اپنا فرمائیں

جن کے دِل کو کرے بے چین اذیت تیری

 

جو تِرے واسطے تکلیفیں اٹھائیں کیا کیا

اپنے آرام سے پیاری جنہیں صورت تیری

 

جاگ کر راتیں عبادت میں جنہوں نے کاٹیں

کس لئے؟ اِس لئے کٹ جائے مصیبت تیری

 

حشر کا دن نہیں جس روز کسی کا کوئی

اس قیامت میں جو فرمائیں شفاعت تیری

 

اُن کے دشمن سے تجھے رَبط رہے میل رہے

شرم اللہ سے کر کیا ہوئی غیرت تیری

 

تو نے کیا باپ کو سمجھا ہے زیادہ اُن سے

جوش میں آئی جو اِس درجہ حرارت تیری

 

اُن کے دشمن کو اگر تو نے نہ سمجھا دُشمن

وہ قیامت میں کریں گے نہ رفاقت تیری

 

اُن کے دُشمن کا جو دشمن نہیں سچ کہتاہوں

دعویٰ بے اصل ہے جھوٹی ہے محبت تیری

 

بلکہ ایمان کی پوچھے تو ہے ایمان یہی

اُن سے عشق اُن کے عدو سے ہو عداوت تیری

 

اَہلِ سُنّت کا عمل تیری غزل پر ہو حسن

جب میں جانوں کہ ٹھکانے لگی محنت تیری</span>

 

kiya aapko Deobandiyon Wahabiyon Ki Gustakhiyaan malom nhin hain? aur ager hain tu phir bhi yeh answer....

 

Ae Khasa-e-Khasan-e-Rusul Waqt-e-Dua Hai

Ummat Pey Teri Aakey Ajab Waqt Pera Hai

 

Shia logo ko kalimay kee bat par kafir waghira kaha jata hay(note:- mai bhi shia se nafrat karta hon but Muslim manta hon)

 

Kiya sirf kalima ki base per? un ka tu quran, namaz, azan sub kuch change hai.. aur asal bat woh Sheikhein-e-Kareemain Hazrat Abu Bakar Sidiq wa Hazrat Umer Farooq-e-Aazam (Radi Allahu Anhuma) ki shan mein gustakhi kertey hain... aur Ahle Sunnat wal Jamaat key nazdeek Sheikhein-e-Kareemain ki Shaan mein Gustakhi Kufr hai.. aur Kiya sirf Sheikhein-e-Kareemain ki Gustakhi kertey hain? deger Sahaba-e-Karaam wa Um-ul-Momineen Hazrat Aaisha Sidiqa (Radi Allah Anha) ki shan mein kiya kiya bakwas kertey hain.. kiya AAP KEY NAZDEEK YEH CHOTI BAT HAI? ya aapko in batoon ka Ilm hi nhin.. abhi main mazeed tafseel bayan keron tu mozo tabdel ho jaye ga.. aur bat shia per thair jaye gi.. mager hairat hai aapki la ilmi per ya ilm honey key ba wajod kam fehmi per.

 

fikr kee bat yeh hay k aaj muslims mai apnay muslim bhaio ko galee denay ka riwaaj ziada hay banisbat kafiro ko kuch kehnay ke..

 

Hum Kisi Musalman ko Gali Nhin Detay.. Albata jo unhon ney gustakhyaan ki hain.. umat ko bachaney key liye unko zaror bayan kertey hain aur Rad bhi kertey hain takey Musalamano Key Eman mahfoz hoon.. kiya Gustakhi-e-Rasool sey bhi koi bara kufr hoga? key Toba bhi ker ley tu (Sirf) Qazi-e-Islam per farz hai key usay Qatal kerey ga..

aur hum sey Shayed Muhabbat-e-Anbiya-wa-Auliya mein kaheen Alfaz Shidat ikhtiyar ker gaye hoon woh aur bat hai per GALI aap kaheen bhi nhin dikha saktey hain.. aur ager hai tu bataye.. main apni post bhi EDIT keroon ga..

Link to comment
Share on other sites

Walaikum Salam,

Hadees-e-Pak ka Mafhoom: Meri Umat Mein 73 Firqey hongey. jin mein sey 1 naji (nijat paney wala) aur 72 nari (jahanami) hongey..

 

Assalamualaikum again !

Aap ne poori hadith nain likhee. Hadith is ke bad kuch yun hai k Rasool(SAW) se Sahaba(RZ) ne poocha k wo firqa kon sa hoga to Aap(SAW) ne jawab diaa k wo log jo RAsool(SAW) aur Sahaba(RZ) ke tareeqay par hongay.

Ab Is hadith se hamain pata chala k log jo Rasool(SAW) kee sunnat aur Sahaba(RZ) ke seerat par amal kartay ahin wo jannati hain chahay kissi bhi fiqay se hon. Dosree baat har kissi par shirk ya bidat ke fatway lagana Rasool(SAW) ya Sahaba(RZ) kee shaan ya sunnat nahi. To aaj kal ke log yeh ku kartay ahin. Muhaddiseen ne Ahlesunnah wal jamah ke Alfaaz nahin kahain hain. Balkay wo log kahay hain jo Rasool(SAW) aur Sahaba(RZ) kee sunnat par chalnay walay honagy. Allah ka shukar hay k mia har hadees maanta hon magar poori. Aadhi aadhi tukro mia nahi.

 

aap Kufaar key forums ki bat ker rahay hain.. aap ney BAD MAZAHABOON key forum dekhey hain? JAHAN her aik ko bat bat per MUSHRIK aur BIDATI banaya ja raha hai? aur woh bhi aisi batein jin ko maan liya jaye tu Sahaba-e-Karam tak in key fatwon ki zad sey na bach sakein...

Bhai mai ne aisa koi forum nahin dekhaa .. Please mujhay kissi forum ka refrence de dein ta k mai bhi apni gunaah gaar aankho se yeh dekh lon aur waha bhi islaah kee niyaat se kuch kahon.

Mai ne logic kee bat nahin kee hai balkay Quran se baat kee hay sir jee

 

Bey Shak Allah (azw) ney Quran-e-Pak mein firqa wariyat sey mana fermaya hai.. Jaisay key Aayat ka mafhom hai.. "Allah ki Rasi ko Mazboti sey thamey rakho aur firqoun mein na bato"

 

Ab Quran mia yeh aa gaya to ham kon hotay hain fiqa wariat phelanay wale . aur ultee seedhee batain karnay wale har kissi ke ulamaa par. Wo Rassi RAssol(SAW) kee sunnat aur Quran par Amal karna hay. Aur jo Huzoor(SAW) ko maanta hay wo Quran ko bhi manta hay. Aur jo Quran ko manta hay wo Kafir to ho hee nahin sakta. Har ik se Sulah karnay ka hukm Rasool(SaW) ne apni hadith mai diaa hay. Aap ne Husn e Ikhlaaq ka to suna hoga na. Logo ko bato se muslim ya sahee nahin kia jata balkay amal aur zubaan se kiaa jata hay. Nabi(SAW) kee hadith hay jis ka mafhoom hay "koi bhi insaan us waqt tak momin nahin ho sakta jab tak wo apnay hamsaye ke lie bhi wohee muntakhib na karay jo wo apnay lie karta hay". Aur mujhay 100% yaqeen hay k ham mai se koi ye nahin chahay ga k hamain galee deee jaye ya mushrik kafir bidatii kaha jaye. Ab Hadith mai Muslim kee choot nahin hay k agar Muslim ho to aap ne aisa sulook karna hay balkay non muslim se bhi aap aisa hee sulook karain gay. to Is hadith se hamai yeh maloom parta hay k Apnay Husn e sulook se logo ka dil jeeta jaye phir un se baat kee jaye to ziada asr karay gee.

 

Aahadees mein hai key Jab tum umat ko firqoun mein bat'ta dekho tu Sawad-ul-Aazam Giroh Ahle Sunnat ka mazboti sey paker lena.. aur jo iss sey aik ba lisht bhi hata woh taveel garhey mein gir gaya... (yeh mafhoom hai)

Mafhoom mai aap ne maani hee change kar diye hadith ke. Aap is hadith ka refrence de dejiye Please. Yeh Hadith kuch is tarah hay k "jab tum ummat ko firqo mia batta dekho to koi firqa ikhtiaar nain karna bas mere sunnat par amal karna " Wallahualam. But kaheen par bhi Ahlesunnah wal jama' nahin likha. Kher yeh to aap mujhay hadith de kar hee batain k kia likha hay.

 

Aapko Pata hai Deobandi Wahabi Sarkar (saw) ko Noor Man'ney waloon ko mushrik kehtay hain? Aub pehlay bad mazhaboon ko tu sabot dey hum.. christians key pas jayein tu woh tu kahein gey.. tumharey tu khud (bad mazhab) NOOR nhin mantey.. humein kiya manwanaey aaye hoo..

Mai ne aap se yeh baat kee thee k Christians ke pass jao aur un ko yeh batao ke RAsool(SAW) ka zikr tumharee injeel muqaddas mia bhi hay. Yeh kehnay kee kia zaroorat hay k Wo(SAW) noor hain ya nahi. Pehlay un se Rasool(SAW) ka iqraar to karwalijiye phir noor bashar kee bat par aayen. Dosree baat yeh k koi bhi mushrik nahin kehta Rasool ullah(SAW) ko noor mannay walo ko. Yeh baat mere experienced hain. Aap plz is ka bhi hawala de dain.

 

Yani Gustakhi-e-Rasool ko aik side per rakh ker hum Mutahid ho jayein? kiya yeh hamari Sarkar (saw) sey muhabbat hai? Hadees-e-Pak ka mafhoom hai.. Tum Mein Sey Uss Waqt Tak Koi Momin Nhin Jab Tak Apney Maan Bap Apney Aulad hata key her chez sey berh ker mujhay na chahey..

Bhai Kalima Shahadat mai Rasool(SAW) ke Nabi(SAW) honay kee aur Allah ko Ik maannay kee shahadat dee hai sab Muslims ne. Kissi ne yeh shahadat nahin dee k wo Noor hain ya nahi. balkay us mai to "Abd" ka lafz aaya hay jis kay maani hain bashar. Beshak Rasool(saW) dono hain but Muslims to tab bhi hay na banda chahay wo Noor manay ya nahin Rasool(SAW) ko. Aur jo hadees aap ne pesh kee us mai yeh nahin likhaa k Rasool(SAW) ke mohabbat ka taqaza un ko noor manna hay. Aray yar kaha likha hay is hadith mia. Even us kee commentry mai bhi nain likha. Is hadith ke tashreeh mai aap ko batata hon. Denmark mai jo Cartoon banaye gaye RAsool(SAW) kee shaan mia gustakhi ke lie. Us par sab Muslims ko jama ho kar in ka jo boycott kia hay wo Piaar hay RAsool(SAW) se. Mai yehee chahta hon k ham sab unite ho kar in kafiro ko moon tor jawab den.

 

Ik Waqiaa batana chahoon ga yahan par. Jang Siffen mai Hazrat Mauvia(RZ) aur Ali(RZ) ke darmayan jang thee. Chrisitians ne is baat se faida uthaanay ke lie Jang kee tayyari shruu kar dee. Jab Mauvia(RZ) ko pata chala to unho ne kehlwadia un Chrisitains ko k "Tum log aaj hamaree larayee ka faida uthana chahtay ho but yeh nahin jantay k Ali (RZ) ke Lashkar mia se jo pehlay Mujahid niklay ga tum se jihad karnay wo Mauwia(RZ) hoga."

Ab is waqia ko hee dekh lain. Beshak un dono(RZ) mia larayee hay lakin Kuffar ke aagay wo Mutahid hain. Mereee baat kaa yehee maqsad thaa k hamain Kufar ke lie Mutahid hona paray ga. Warna hamara Sheeraazaa bikhar jaye ga. 3 Din pehlay Qibla Awwal mai Israelo ne charhayee kar dee aur kitnay hee namazio ko shaheed kar dia. Aaj Ummat ko zaroorat hay k Muslims mutahhid ho jain. Puranay tanazaye bhool jain. Aur ik dosre ko galay se laga lain. Yeh Fiqay waghira to chaltay rahain gay. But agar Allah ne hamare upar aazab de diaa to hamara kia hoga.

 

 

Kiya sirf kalima ki base per? un ka tu quran, namaz, azan sub kuch change hai.. aur asal bat woh Sheikhein-e-Kareemain Hazrat Abu Bakar Sidiq wa Hazrat Umer Farooq-e-Aazam (Radi Allahu Anhuma) ki shan mein gustakhi kertey hain... aur Ahle Sunnat wal Jamaat key nazdeek Sheikhein-e-Kareemain ki Shaan mein Gustakhi Kufr hai.. aur Kiya sirf Sheikhein-e-Kareemain ki Gustakhi kertey hain? deger Sahaba-e-Karaam wa Um-ul-Momineen Hazrat Aaisha Sidiqa (Radi Allah Anha) ki shan mein kiya kiya bakwas kertey hain.. kiya AAP KEY NAZDEEK YEH CHOTI BAT HAI? ya aapko in batoon ka Ilm hi nhin.. abhi main mazeed tafseel bayan keron tu mozo tabdel ho jaye ga.. aur bat shia per thair jaye gi.. mager hairat hai aapki la ilmi per ya ilm honey key ba wajod kam fehmi per.

Janab Admin sahib. Main ne jitna mutaliaa Shio par kiaa hay shayed aap ne naa kia ho aur mia in ke sab kartooto se aagah hon, but yaar har jaga larayee jhagray se to kaam nahin chalay ga na. Kissi hadith mai yeh nahin likha k Sahabio(RZ) ko bura bhala kehna kufr hay. Beshak mai aap se itifaq karta hon k yeh in logo kee behisi hay k un par kufr ka fatwa lagatay hain. Lakin agar ham bhi un par kufr ka fatwa lagain gay to ham mai aur un mai kia farq reh jaye ga. Waise bhi Kufr to sirf Allah aur Rasool(SAW) kee shaan mia gustaki karna hay. Aur agar yeh log kartay hain to pehlay banda mai hon in shio ko KAFIR kehnay wala.

 

aur hum sey Shayed Muhabbat-e-Anbiya-wa-Auliya mein kaheen Alfaz Shidat ikhtiyar ker gaye hoon woh aur bat hai per GALI aap kaheen bhi nhin dikha saktey hain.. aur ager hai tu bataye.. main apni post bhi EDIT keroon ga..

Bhai ik hadith ka mafhoom hay k Rasool(SAW) farmatay hain " Wo banda jis ke hath aur zubaan se dosra banda mehfooz nahi, wo muslim nai"

Ab is baat par thora ghor karain aur ham sab apnay upar imply karain to pata chalay ga k ham mai se koi bhi pora aur sacha muslim nai. ku k ham dosro ko galee detay hain, kafir, musrik waghira kehtay hain. is tarah dosro ko takleef pohanchtee hay bhai . Aur kissi ko takleef dena musalmano ka shewa nai.

aap ne kaha k aap ne ya kissi ne bhi galee dee ho chahay kissi ko bhi to aap edit kardain gay wo post. Mujhay kissi aalim se lena dena nahin lakin har aalim ka apna hee ahtram hota hay. Agar ham Deoband Muktaba Fikr ke ulama ko bura kahain gay to un ko bura lagay ga aur Hadith kee roo se ham muslim nahin hongay. aur same thing agar wo kartay hain to wo ghalat hain. To hamain is se bachna chaiye. Agar koi hamai musrik kahay ya kafir to hamain bura nahin lagay ga kia. mai kuch posts dikhata hon jaha par mutadid jago par likha hay dosro ko kafir mushrik waghira. Please us ko edit karain .Agar koi non muslim yeh dekhay ga to kia sochay ga k in mai to khud hee intishaar phela hua hay yeh dosro ko kia taleem dengay. Jazakllah kher

http://www.islamimehfil.info/forum/index.php?showtopic=933

http://www.islamimehfil.info/forum/index.php?showtopic=934

http://www.islamimehfil.info/forum/index.php?showtopic=923

http://www.islamimehfil.info/forum/index.p...owtopic=164(aap ne khud kaha k Wahabi muta ko jaiz kehtay hain . Koi Hawala ????)

http://www.islamimehfil.info/forum/index.php?showtopic=764 (deo ke banday??? bhai sab Allah ke badnay hain yeh aap ne nayee baat kar dee)

http://www.islamimehfil.info/forum/index.php?showtopic=746 (post 7,8)

 

Aur bhi bohat hain but abhi mai ne parhna hay apnay course ka. Is lie ijaazat chahoon ga. In bato se mujhay aap deobandi,Tahir qadri ke fiqa ka ya wahabi na samajh lena. Mai bas yeh chahta hon k ham sab kafiro ke samnay mutahhid ho jain .. Androone khana to larayaan chaltee rahan gee..

Assalamualaikum

Link to comment
Share on other sites

 

Mai ne logic kee bat nahin kee hai balkay Quran se baat kee hay sir jee

 

 

Janab Admin sahib. Main ne jitna mutaliaa Shio par kiaa hay shayed aap ne naa kia ho aur mia in ke sab kartooto se aagah hon, but yaar har jaga larayee jhagray se to kaam nahin chalay ga na. Kissi hadith mai yeh nahin likha k Sahabio(RZ) ko bura bhala kehna kufr hay. Beshak mai aap se itifaq karta hon k yeh in logo kee behisi hay k un par kufr ka fatwa lagatay hain. Lakin agar ham bhi un par kufr ka fatwa lagain gay to ham mai aur un mai kia farq reh jaye ga. Waise bhi Kufr to sirf Allah aur Rasool(SAW) kee shaan mia gustaki karna hay.Aur agar yeh log kartay hain to pehlay banda mai hon in shio ko KAFIR kehnay wala.

 

 

(bis)

 

(salam) Sirf Sary Sachchay Musalmanoo ko..... :rolleyes:

 

(saw)

 

kuch log apny aap ko muslim kehty zaroor hain par batein munafiqon wali...

 

log kehty hain hum sari batein quran or hadees ki roshni me karty hain or phir jo marzi chaein apni marzi se likh dety hain...

 

miyaa sihyon se dosti hargiz nahi...firqa wariyat par jitna ranj tumhy hai us sy lakh guna zyada humy hai ki kash tum sab log hum se juda na huey hoty or isi qadeem firqy Ahle Sunnat Wal Jamat me rehty to sahi hota...hum alag hargiz nahi huey ala aksariyat se sary 72 firqy huey hain...agar waqai itna ghum hai firqy waariyat ka yo to aa jao hum se mil jao......BOLO MILOGY IS FIRQY SE..AKHIR KISI FIRQY ME NA HONA BHI TO APNY AAP ME EK NAYA FIRQA BANANA HAI NA??

 

OR AAP KE ILM ME YE BAAT BHI NAHI KI SARI DUNIYA APNY AAP KO AHLE SUNNAT WAL JAMAT KEHLANY KI KOSHISH ME LAGI HAI KI (CHAHY WAHABI/DEOBANDI/TABLIGHI/....)YE TO SAB JANTY HAIN KI YAHI FIRQA HAI JIS KI BASHARAT JANNATI HONY KI HUMARY PYARY AAQA (saw) NE DI HAI...KAMAL HAI AAP ITNA BHI NAHI JANTY?

 

kher aapny kaha ki jitna aapny jitna para hai shiyon par utna humny nahi para...theek hai bhai aapny zyada para hoga...par kya para...agar waqai hadees ko manty ho Quran par imaan rakhty ho to zara Sahabaon ko bura kehny walon ka anjaam khud Allah (azw) or humary pyary Aaqa (saw) ke lafzon me sunyien....pehly Sahab ka Darja samjho...phir un par laan taan karny walon ka anjaam dekho...

SAHABA_IKRAAM_KA_DARJA.JPG

2bro193.jpeg

2bro194.jpeg

2bro195.jpeg

SAHABA_SE_DUSHMANI.JPG

Link to comment
Share on other sites

Dosree baat har kissi par shirk ya bidat ke fatway lagana Rasool(SAW) ya Sahaba(RZ) kee shaan ya sunnat nahi. To aaj kal ke log yeh ku kartay ahin. .

 

 

(bis)

 

(saw)

(salam) sirf sary sachchy momino ko.. :)

 

bhai...

 

Aapny jis assaani se keh diya jo mene upar highlight kiya hai aayiey thehqeeq karein ki kya waqai aisa hai jaisa aap samajhty hain ki ghustakhe rasool ko riyayat de kar sulah qulli kar li jaye...

 

Afsoos ki aapny khud apni aql istemaal karty huey unpar bohtaan bandaha ki...........kissi par shirk ya bidat ke fatway lagana Rasool(SAW) ya Sahaba(RZ) kee shaan ya sunnat nahi. .

 

samAAt Farmayein...ek choti si Taqreer ...

 

Is bohtaan bandhny ki bina par Tauba kijye...

 

(ja)

gustakh_e_rasool.mp3

Link to comment
Share on other sites

Muhaddiseen ne Ahlesunnah wal jamah ke Alfaaz nahin kahain hain. Balkay wo log kahay hain jo Rasool(SAW) aur Sahaba(RZ) kee sunnat par chalnay walay honagy. Allah ka shukar hay k mia har hadees maanta hon magar poori. Aadhi aadhi tukro mia nahi.

(bis)

 

(saw)

 

(salam) sary Momino ko :)

 

Masha Allah puri Hadith manty ho na to ab poori hi manna aadhi nahi...

 

kuch shak baqi reh gaye hon to inko samAAT farmayein..

 

(ja)

Firqa_Bandi_1.mp3

Firqa_Bandi_3.mp3

Firqa_Bandi_4.mp3

Be_Deeno_se_Door_Raho_Hadith.mp3

Firqa_Bandi_2.mp3

Link to comment
Share on other sites

Aap ne poori hadith nain likhee. Hadith is ke bad kuch yun hai k Rasool(SAW) se Sahaba(RZ) ne poocha k wo firqa kon sa hoga to Aap(SAW) ne jawab diaa k wo log jo RAsool(SAW) aur Sahaba(RZ) ke tareeqay par hongay. [/b]

Ab Is hadith se hamain pata chala k log jo Rasool(SAW) kee sunnat aur Sahaba(RZ) ke seerat par amal kartay ahin wo jannati hain chahay kissi bhi fiqay se hon.

 

 

aap ney hadees bayan ker key apni marzi sey uss ka ghalat matlab bayan ker diya.. pehlay aap ney likha key 1 theek hoga.. phir kaha key Sunnat per amal kerney wala chahey jis firqey sey bhi hoo... yani Aadhi hadees ko mana aadhi ko na mana....

 

Dosree baat har kissi par shirk ya bidat ke fatway lagana Rasool(SAW) ya Sahaba(RZ) kee shaan ya sunnat nahi.
 

 

pehlay bat tu yeh key Eman-o-Kufr key bayan per aapki malomat intihayi naqis hain.. aap iss ki malomat key liye Bahar-e-Shariyat key pehley hisay ka mutaliya fermaye..

Bahar-e-Shariyat Part1

 

dosri bat key Hum ney kisi Musalman per Shirk-o-Bidat ka fatwa nhin lagaya. jinhon ney Sarkar saw.gif ki sareh gustakhi ki.. woh tu Bil Itifaq KAFIR hain.. aur Al-Dur-ul-Mukhtar mein hai key Kafir key KUFR mein Shak kerna bhi Kufr hai... tafsel mulahiza kejiye..

 

KAFIR__1.GIF

 

To aaj kal ke log yeh ku kartay ahin. Muhaddiseen ne Ahlesunnah wal jamah ke Alfaaz nahin kahain

 

kitney hawaley doun? waisay Man'ney waley key liye tu 1 bhi buhut hai..

 

(1) Hazrat Sayiduna Qutb-e-Rabani, Mahboob-e-Subhani Sheikh Abdul Qadir-e-Jilani ra.gif fermatey hain.

"Iss Terha Nabi-e-Kareem saw.gif ki Hadees-e-Mubarka Key Mutabiq Kul Firqey 73 hain aur Nijat Paney Wala Firqa AHLE SUNNAT WA JAMAAT hai.. (Ghuniyat-ul-Talibeen, Page 200, Jild 1, Matbooa Nafees Acadamey Karachi)

 

(2) Hazrat Sayiunda Ahmad Kabeer Rafayi (Aleh Rahma) Key Jansaheen Hazrat Syid Muhammad Abul Huda Aafandi (Aleh Rahma) 73 firqoun ki tafseel mein fermatey hain.

"73wan Firqa Nijat Yafta Ahle Sunnat Wal Jamaat Ka Hai.. Jo Afzal Tareqay Per Qaim Hai.." Al-Haqeqat-ul-Bahira Fi Asrar-ul-Shariya, Page 27)

 

(3) Hazrat Ghous-ul-Zamaan Sayidna Abdul Aziz Dabagh (Aleh Rahma) fermatey hain..

"Kisi Banda Ko Fatah (Kashf Sadar) Tab Hi Naseeb Hoti Hai Key Woh Ahle Sunnat Jamaat Key Tareqay per Hoo. aur Allah Ka Koi Wali Bhi (Ahle Sunnat Jamaat key ilawah) Kisi Dosrey Aqeday Ka Nhin Howa"

Allama Ahmad Bin Mubarak (Aleh Rahma) naqal fermatey hain.. "Main Ney Hazrat Syidi Abdul Aziz Dabagh (Aleh Rahma) sey Hamesha Ahle Sunnat Wal Jamat kI tareef suni. fermatey they key "Mujhay Ahle Sunnat sey Buhut Zayada Muhabbat Hai aur Allah azw.gif sey Dua Mangta Hoon Key Issi (Ahle Sunnat) key aqeeday per mera khatima hoo" (Al-Abraiz Shareef, Jild 1 Page 82)

 

(4) Hazrat Imam-e-Rabani Mujadid Alfe Saani Sheikh Ahmad Sir Hindi ra.gif fermatey hain.

"Aqwal-o-Afaal aur Asool-o-Firoo mein Ahle Sunnat Wal Jamaat ki perwi kerna hi Rah-e-Nijat hai. Kiyon Key Ahle Sunnat Wal Jamaat hi Janati Firqa Hai aur Iss Key Ilawah Jitney Bhi Firqey hain Sab Zawal Pazeer aur Halakat Key Kinarey per Hain. aaj koi iss bat ko janey ya na janey mager kal qayamat ko her koi jan ley ga. per uss waqt jan'na kuch nafa na dey ga. (Maktobat-e-Imam Rabani, Jild 1, Page 86)

 

abhi aur tafseel bataon tu itney hawaley hain key aap perhtey perhtey thak jayein gey.. key BEY SHAK AHLE SUNNAT WAL JAMAAT HI BAR HAQ AUR JANATI FIRQA HAI.. BAQI SAB BATIL HAIN.. aur BATIL kabhi SAHI nhin ho sakta. aur Jo Sahi Nhi Ho Sakta uss Ko Sahi Kehna NADANO ko Sheva hai.. na key Aqalmandoun ka..

 

Ab Quran mia yeh aa gaya to ham kon hotay hain fiqa wariat phelanay wale . aur ultee seedhee batain karnay wale har kissi ke ulamaa par.

 

Aahadees mein 2 qisam key Ulema ka zikr hai.. aik Ulema-e-Haq aur Dosrey Ulema-e-So (batil).. aur jis aayat ko aap base bana rahay hain.. uss mein yeh kaha gaya hai key "Firqoun mein Na Bato" tu hum tu firqoun mein nhin bat rahay.. Alhamdu Lilah hum sahi Aqeeday Ahle Sunnat Wal Jamaat per hain.. jo hatey wohi ghalti per hain.. koi Kharji Ban Gaya Tu Koi Rafzi..

 

 

jo Huzoor(SAW) ko maanta hay wo Quran ko bhi manta hay. Aur jo Quran ko manta hay wo Kafir to ho hee nahin sakta.

 

Main ney pehlay bhi arz kiya hai key Eman-o-Kufr key bayan per aap ki malomat intihayi naqis hain.. Khudara Sahi Sunni Ulema ki kutub-o-fatawa sey iss ko perhye aur Apna Eman mahfoz kejiye..

 

Jis terha Sirf Kalma-e-Shahadat Eman Laney key liye kafi hai.. issi terha Eman key janey key liye sirf aik Chota sa fiqra bhi kafi hai.. Mazeed Malomat key liye perhye.. Book: Eman Ki Hifazat

 

Aik Choti si misal aapko deta hoon.. Kuch Chezein Jin Per Eman lana Eman ki Sharait mein sey hai.. maslan MOUT KEY BAD ZINDA HONA, QAYAMAT, JIN, FARISHTEY, JANNAT, JAHANAM, ALLAH KI KITABEIN, ANBIYA waghera..

in mein sey ager koi sirf aik chez ka bhi inkar ker dey.. tu Woh Bila Shuba KAFIR hai Aur Uss key KUFR mein Shak Kerney Wala Bhi KAfir.. tu bhayi sirf kalima kafi nhin.. jab tak her chez ki gawahi na dey dey.. aur Gustakh-e-Rasool? Ta'ajub ho raha hai Logoun ki halat per.. Saboot mil janey key bawajood jo Gustakh-e-Rasool ko bhi musalman kahey tu uss key barey mein kiya kaha ja sakta hai? Allah hidayat dey.. Allah hamara khatima Eman per bil khair fermaye.. Aameen

 

Mafhoom mai aap ne maani hee change kar diye hadith ke. Aap is hadith ka refrence de dejiye Please. Yeh Hadith kuch is tarah hay k "jab tum ummat ko firqo mia batta dekho to koi firqa ikhtiaar nain karna bas mere sunnat par amal karna " Wallahualam. But kaheen par bhi Ahlesunnah wal jama' nahin likha. Kher yeh to aap mujhay hadith de kar hee batain k kia likha hay.

 

Iss Mozo per sirf aik riwayat nhi hai.. balkey kafi riwayat hain.. main kuch bayan kerta hoon.. ager phir aap ka jawab Sulah-e-Kul aata hai.. tu Siwaye Himaqat key isay kuch nhin kaha ja sakta..

 

(1) Hazrat Abdullah Bin Umer (Radi Allahu Anhuma) Kehtay hain key Rasool Allah saw.gif ney fermaya:

"Bani Israil 72 Firqoun per mutafariq ho gaye aur meri umat 73 firqoun per mutafariq hogi. Siwaye 1 firqa key sab key sab Aag mein Dakhil hongey"

Sahab-e-Karam (Alehim Ridwan) ney Arz ki "Ya Rasool Allah saw.gif woh firqa konsa hai" Aap saw.gif ney fermaya: "Jis Per Main Hoon aur Meray Sahaba Hain" (Jamiya Tarimzi, Jild 2, Page231)

 

Aub Iss hadees mein kitney khulay alfaz mein 1 firqey key Haq honey ka kaha gaya hai.. aur aap her kisi ko theek keh ker Sulah-e-Kul ker rahay hain.. hadees per tu amal kejiye aur 1 key sath rahiye..

 

(2) Riwayat Hai Key Hazrat Sayiduna Ameer Muaviya Bin Abu Sufiyan (Radi Allahu Anhuma) ney Kharey hoker fermaya key Rasool Allah saw.gif Hamarey Darmayan Kharey Howay aur Fermaya:

"Khabardar Ho Jaoo Key Tum Sey Pehlay Ahle Kitab 72 Firqoun Mein Bat Gaye They aur An-Qareeb Yeh Umat 73 Firqoun Mein Bat Jaye Gi. 72 Firqey Jahanam Mein Jayein Gey aur 1 Firqa Jannat Mein Jaye Ga aur Woh Jamaat Hai"

Ibn-e-Yahya aur Amar ney Apni Hadeesoun Mein Yeh Bhi Kaha:

"An-Qareeb Meri Umat Mein Aisay Log Niklein Gey Key Gumhrahi Un Mein Yon Sirayat Ker Jaye Gi Jaisay Pagal Kutey Key Katey Howay Jism Mein Zehr Sirayat Ker Jata Hai" (Sunan Abu Dawood Sharef. Jild 3, Page 428)

 

Dekha Siwaye 1 key Sab Qat'ee Jahanami hain.. Tafseer-e-Noor-ul-Irfan Shareef mein Hakeem Ul Umat Mufti Ahmad Yar Khan Naeemi (Aleh Rahma) fermatey hain "72 Jahanami Firqey Sirf Qoumi Shanakht Key Lihaz sey Muslim kehlayein gey.. Jab Key Hongey BAD MAZHAB QAT'E AZAB-E-NAR KEY HAQDAR"

 

(3) Hazrat Ans ra.gif fermatey hain key Rasool-e-Kareem saw.gif ney fermaya:

"Bani Israil 71 firqoun mein bat gaye aur meri umat 72 firqoun mein bat jaye gi, Sab Jahanam mein jayein gey Siwaye 1 key aur Woh Jamaat Sey Wabasta rehney waley hain" (Sunan Ibn-e-Majah, Jild 2, Page 487)

 

Yahaan kul 72 kahey gaye hain.. aisay kuch mazed riwayat bhi hain. jin mein kul 72 kaha gaya hai.. mager zayada ter 73 per hi itifaq hai..

 

(4) Hazrat Abu Zar ra.gif sey Riwayat Hai Key Rasool saw.gif ney fermaya:

"Jo Shakhs Jamaat Sey Aik Balisht Bhi Dour Howa Uss Ney Islam Ki Rasi Apni Gardan Sey Nikaal Di" ("Masnad Imam Ahmad, Jild 5, Page 180" , "Mishqaat Shareef Jild 1, Page 40", Mustadrak Shareef, Jild 1, Page 117")

 

Yeh Hadees Buhut Hi Qabil-e-Tawajo Hai.. 3 motaber hawaloun sey naqal ki gayi hai.. Khudara Apney Galey Sey Eman Ki Rasi Ko Na Nikalye aur Aik Haq Jamaat Ahle Sunnat key Daman sey Wabasta ho jaye aur Haq ko Haq aur Batil ko Batil Kahiye..

 

(5) Hazrat Abdullah Bin Umer Farooq (radi Allahu Anhuma) kehtay hain key Rasool Allah saw.gif ney fermaya:

"Allah azw.gif meri umat ko qayamat tak gumrahi per jama na fermaye ga aur bari jamaat ki itibaa kero... jo bari jamaat sey alehda howa woh aag mein daala gaya"

Imam Hakim ra.gif ney iss mazmoon ko teesri sanad key sath Umer bin Deenar An Ibn-e-Umer An Rasool-e-Kareem saw.gif Tareeq sey bhi naqal kiya.. (Mustadrak Al-Haakim, Jild 1, Page 116)

 

Pas Sulah-e-Kul wala tu saaf aik alehda firqa hi howa.. key Sarkar saw.gif khud 1 jamaat ki itiba ka hukm ferma rahay hain.. aur Sulah-e-Kul wala firqa 1 ko chor ker tamam ko sahi keh raha hai..

 

(6) Rasool Ullah saw.gif ney fermaya:

"Bani Israil Key Log 71 Firqoun Mein Taqseem Ho Gaye They aur Meri Umat Key Log 72 Firqoun mein Taqseem Hongey. Jin Mein 71 Firqey Jahanam Raseed Hongey aur 1 firqa Janat mein Dakhil Hoga"

Sahaba-e-Karam (Alehim Ridwan) ney Arz Kiya: "Ya Rasool Allah azw.gif wa saw.gif Woh Aik Nijat Yafta Firqa Konsa Hai?"

Fermaya: "Woh Ahle Sunnat Wa Jamaat Hongey" (Tanbeeh-ul-Ghafeleen baAahadees Syid-ul-Anbiya-e-Wal Murasaleen, Page 301)

 

Lejiye Yeh Hawala Aagaya Hadees sey key Barhaq Jamaaat Ahle Sunnat hi Hai.. aik aur hawala lejiye..

 

(7) Nabi-e-Kareem saw.gif ney fermaya:

"Meri Umat Mein 73 firqey hongey aur Nijat paney wala 1 giroh hoga baqi sab (jahanam mein) Halak ho jayein gey"

Sahaba-e-Karaam (Alehim Ridwan) ney arz kiya "Nijat Paney Wala Konsa Giroh Hoga?"

Irshad fermaya: "Ahle Sunnat Wa Jamaat"

Arz Kiya: "Ahle Sunant wa Jamaat ka Kiya matlab"

Fermaya: "Woh Tareeqa Jis Per Iss Waqt Main Hoon aur Meray Sahaba Hain"

(Al-Malal Wal Nahal, Shehr Sataani, Jild 1, Page 21)

 

bhayi abhi iss topic per kaseer aahadees aur bhi mojod hain.. laikin ager aapkey liye yeh kafi nhin tu wallah woh bhi kafi nhin hain...

 

aur abhi bhi Aap Sulah-e-Kul ka kehtey hain.. tu Aahadees ki roshni mein apney liye hukm ley lejiye.. humein bayan kerney ki hajat hi nhin hai..

 

Shia: Beshak mai aap se itifaq karta hon k yeh in logo kee behisi hay k un par kufr ka fatwa lagatay hain. Lakin agar ham bhi un par kufr ka fatwa lagain gay to ham mai aur un mai kia farq reh jaye ga.

 

tu (naoz billah) aap key nazdeek Ulema-e-Karaam ki bey hisi hai? Naoz Billahu Min Zalik

 

Ulema-e-Haq ki Toheen (ilm ki wajah sey) kufr hai.. mager aapko yeh bataney ka faida.. jab key aap tu Sahab-e-Karam (Alehim Ridwan) ki toheen ko kufr nhin maantey..

 

aur ulta Gustakh-e-Sahaba per jo fatwa lagaye woh Bey His.. (Naoz Billahu Min Zaalik)

 

Waise bhi Kufr to sirf Allah aur Rasool(SAW) kee shaan mia gustaki karna hay.

 

Mujhay Hairat hai aap ney Shaiyon key barey mein itna kuch perha hai mager aapko yeh bhi nhin malom key unhoon ney Allah o Rasool azw.gif wa saw.gif ko bhi nhin chora.. aur Quran-e-Pak mein bhi tahreef key qail hain.. yani Quran-e-Pak ki kayi aayat key munkir hain.. hairat hai pata nhin aap ney perha kiya hai?

 

aur Hairat Ba Laye Hairat tu yeh hai key AAP NEY ALLAH AUR RASOOL azw.gif wa saw.gif Key GUSTAKHOON KO KAFIR KEH DIYA.. yeh bhi meray liye Shuker ki bat hai.. kuch tu maan liya..

 

Mager... Deobandiyon Wahabiyon Ki Gustakhiyaan aap ney nhin perhi hain kiya? phir bhi aap un sey Sulah kerney ka keh rahay hain? aur Gustakhon ko Musalman? bhayi apney Qol ko Fail key mutabiq tu kejiye..

 

 

Aur agar yeh log kartay hain to pehlay banda mai hon in shio ko KAFIR kehnay wala.

 

yani aap ney abhi tak shiyon ki aik gustakhi bhi Allah-o-Rasool azw.gif wa saw.gif key khilaf nhin perhi..

pehlay aap mandarja bala Aa hadees ko perh ker apna izhar-e-khayal ker dejiye.. ager aap ki bat mein kuch tabdeli hoyi tu Shiyon ki Allah-o-Rasool ki shan mein gustakhiyan bhi hum bayan ker dein gey.. aur ager bat wohi Sulah-e-Kul wali hai tu koi faida nhin..

 

Wo banda jis ke hath aur zubaan se dosra banda mehfooz nahi, wo muslim nai"

 

Acha hai khud bayan ki hai.. smile.gif pehli bat key "MUSALMAN" jab key yeh bad mazhab hain..

 

aur sub sey Aehm bat.. aik taraf tu aap aam musalmano key liye yeh hadees bayan ker rahay hain aur dosri taraf aap Afzal Tareen Musalman, Aisay Musalman jin key Rutabey ko Auliya bhi nhin pohnch saktey.. yani Sahaba-e-Karaam (Alehim Ridwaan)

 

Un per Shia Taan kertey hain.. bakwasaat kertey hain.. wahaan aap kehtey hain... key Sahaba-e-Karam ko bura bhala kehney sey koi kafir nhin hota balkey musalman hi hai (Afsoos sad Afsoos)...

 

Hairat hai.. aapki batoon mein kitna tazaad hai.. Sirf Sulah-e-Kul key chaker mein aap ney apney eman ko kis taraf laga diya..

 

 

In bato se mujhay aap deobandi,Tahir qadri ke fiqa ka ya wahabi na samajh lena. Mai bas yeh chahta hon k ham sab kafiro ke samnay mutahhid ho jain ..

 

Jee Bilkul aap in firqoun mein nhin hain.. mager aap Firqa Wariyat sey mustasna yani free nhin howay.. balkey aap aik firqey hi mein mojod hain.. jis ko Sulah-e-Kul bhi keh saktey hain.. tu sab ko theek kehney ki bajaye quran-o-hadees per amal kejiye aur 1 ko theek kahiye..

meri koi baat buri lagi ho tu muazrat.. mager Quran-o-Hadees ki hi maan lejiye..

Link to comment
Share on other sites

  • 1 year later...
aap ney hadees bayan ker key apni marzi sey uss ka ghalat matlab bayan ker diya.. pehlay aap ney likha key 1 theek hoga.. phir kaha key Sunnat per amal kerney wala chahey jis firqey sey bhi hoo... yani Aadhi hadees ko mana aadhi ko na mana....

 

 

pehlay bat tu yeh key Eman-o-Kufr key bayan per aapki malomat intihayi naqis hain.. aap iss ki malomat key liye Bahar-e-Shariyat key pehley hisay ka mutaliya fermaye..

Bahar-e-Shariyat Part1

 

dosri bat key Hum ney kisi Musalman per Shirk-o-Bidat ka fatwa nhin lagaya. jinhon ney Sarkar saw.gif ki sareh gustakhi ki.. woh tu Bil Itifaq KAFIR hain.. aur Al-Dur-ul-Mukhtar mein hai key Kafir key KUFR mein Shak kerna bhi Kufr hai... tafsel mulahiza kejiye..

 

post-250-1211114393.gif

 

 

 

kitney hawaley doun? waisay Man'ney waley key liye tu 1 bhi buhut hai..

 

(1) Hazrat Sayiduna Qutb-e-Rabani, Mahboob-e-Subhani Sheikh Abdul Qadir-e-Jilani ra.gif fermatey hain.

"Iss Terha Nabi-e-Kareem saw.gif ki Hadees-e-Mubarka Key Mutabiq Kul Firqey 73 hain aur Nijat Paney Wala Firqa AHLE SUNNAT WA JAMAAT hai.. (Ghuniyat-ul-Talibeen, Page 200, Jild 1, Matbooa Nafees Acadamey Karachi).....................

 

...meri koi baat buri lagi ho tu muazrat.. mager Quran-o-Hadees ki hi maan lejiye..

 

 

 

(bis)

(salam)

you all guys have poor knowledge about ISLAM. any one of you can explain me that when our BEOVED PROPHET (saw) NE IS DUNIYA SE PARDA NAHI FARMAAYA THA US WAQAT KOI FIRQA THA...? aur aap logo se ye baat kis ne keh di k AHL E SUNNA WA JAMMAT ka zikkar kia gya tha... GO and READ SAHI BUKHARI and SAHI MUSLIM SHARIF.. if you guys are from pakistan then from your begining of studies in ISLAMIYAAT you must hv read this HADEES and it is not mentioned in hadees that SUNNI JAMAT will go in jannat. out of 72 and by some rewaayat 73 only 1 will go in jannat. so guys we don't hv any right to say that which one is on right path or wrong path . justoffer your paryers 5 times a day regularly and don't look on girls out on da roads and live your life by ISLAMIC way.. and you will be awarded by JANNAT at ROZE QAYAMAT..after QURAN in ISLAM if any book is recomened then it is SAHI BUKHARI every one knows it SUNNI or whatever...... be happy guys and wish you best of luck for your eternity

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(salam)

you all guys have poor knowledge about ISLAM. any one of you can explain me that when our BEOVED PROPHET (saw) NE IS DUNIYA SE PARDA NAHI FARMAAYA THA US WAQAT KOI FIRQA THA...? aur aap logo se ye baat kis ne keh di k AHL E SUNNA WA JAMMAT ka zikkar kia gya tha... GO and READ SAHI BUKHARI and SAHI MUSLIM SHARIF.. if you guys are from pakistan then from your begining of studies in ISLAMIYAAT you must hv read this HADEES and it is not mentioned in hadees that SUNNI JAMAT will go in jannat. out of 72 and by some rewaayat 73 only 1 will go in jannat. so guys we don't hv any right to say that which one is on right path or wrong path . justoffer your paryers 5 times a day regularly and don't look on girls out on da roads and live your life by ISLAMIC way.. and you will be awarded by JANNAT at ROZE QAYAMAT..after QURAN in ISLAM if any book is recomened then it is SAHI BUKHARI every one knows it SUNNI or whatever...... be happy guys and wish you best of luck for your eternity

fi-aman:

 

Zyada baat nahi karon ga kyon ki mein aik kam ilm insaan hon app sirf itna batain ke Sahi Bukhari aur Sahi Muslim ke ilawa baqi Hadith ki koi book nahi kiya ?

Aur app say guzarish hai ke yeh topic mostly Sag-e-Attar bhai ki sabhi replies parhain.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...