Jump to content

Mukhalifeen Ka Madani Channel Se Bughuz


Qasim bhai

تجویز کردہ جواب

ap ne jo mujse ulta sawal kar dia hai...wo sawal oswaqt ehmiat ka hamil hota jab kay Internet or Computer pehle haram qarar dia gaya hota or baad me halal qarar dia gaya hota....to phir logic banti apkay sawal ki...likin computer or internet ko jab se aya hai kisi bhi maslak me haram qara nahi dia gaya....ab 1 cheez jo haram thi hi nahi to ap phir kese osper halal hone kay sawalat karr rahe hain??????????????????

 

a

ab agr main ap ki is baat per ye poochoon k kia internet ka mutlaqan mukammal istimal jaiz hay yani her tarah ka use? to ap kahaingay k swal per swal kerdiya...

lihaza ap pehlay apnay is confusion ka ilaj farmalain k madani channel dekhnay se fawaid hain ya nuqsanat phir is swal ka jawab zaroor deejiye ga or meri confusion bhi door keryega jo ap ki is baat se paida hoi hay k internet ka her tarah ka istimal kisi ne haram qarar nahi diya.

Link to comment
Share on other sites

  • جوابات 53
  • Created
  • Last Reply

ab agr main ap ki is baat per ye poochoon k kia internet ka mutlaqan mukammal istimal jaiz hay yani her tarah ka use? to ap kahaingay k swal per swal kerdiya...

lihaza ap pehlay apnay is confusion ka ilaj farmalain k madani channel dekhnay se fawaid hain ya nuqsanat phir is swal ka jawab zaroor deejiye ga or meri confusion bhi door keryega jo ap ki is baat se paida hoi hay k internet ka her tarah ka istimal kisi ne haram qarar nahi diya.

 

 

agar me apki is baat per ye poochon kay har taran ka khana (food) jaiz hai??

 

yaar ap mere sawal ko samjhay nahi ...bhai jo cheez pehle se haram thi hi nahi to us cheez ko beech me lekar kioon aa rahe hain.......is taran to mere pas bhi bohot sawal hain jese kay 1 mene oper pocha ap se

 

 

TV ki baat is leye karr raha hoon kay pehle TV haram th phir halal hua ok...jese kay sharab haram hai ab agar koi isko halal qarar de day to yaqeenan zehen me bohot saray sawal janam leengay .... umeed hai ap samjh gaye hoongay

Edited by Rizwan Q
Link to comment
Share on other sites

bismillah.gif

saw.gif

السلام علیٰ من اتّبع الھدیٰ

bhai baat ye hy k TV per HARAM ka fatwa lagny ki waja (illat) Tasweer k hukm ki waja sy thi,

 

magar ub choonky ye PROVE ho chuka hy k Video aur pix ki SOFT COPIES Tasweeeer k hukm me nhe hain.......

to jab Illat khatam ho gai to FEE-NAFSIHI video banana haram to na raha!!!!

 

n Madani Channel ki Wajha sy Halal ka fatwa nhe aaya..........bal k Halal ka fatwa aany ki waja sy madani channel shuru kiya gaya.........

 

aap Madani channel k aany sy tkreebun aik saal pehly hony wala madani muzakra Dawateislami.net sy download kr k sun skty hain.........

 

Mery Shaikh e Tareeqat, Ameer e Ahlesunnat m-a.gif aap k tamam suwalaaat ki clarifications us Muzakry me ata frma chuky hain.......

 

Video k Mas'aly py ulama ka ikhtelaaf hy, aur jab Masa'il me Ulama Ka ikhtelaaf ho to aap kisi ko b follow kr skty hain,

hamary Piyary AAQA saw.gif k frmaan ka mafhum hy,

Ulama ka ikhtelaaf awaam k liye ba'is e Rahmat hy

 

WALLAHU TA'AALA AALAMU WA RASULUHU AALAM azw.gif wa saw.gif

 

 

 

 

apki baat me samjh raha hoon...ab bas kuch sawal hain jo zehen me reh gaye hain

 

its mean kay agar madani channel nahi bhi aa raha hoo to TV jaiz hai ( yani kay news channel programm Entertainment or knowledge wagera wagera kay programm wagera jis me fahashi ka ansar na paya jata hoo) ?

 

TV ka karobaar bhi jaiz hoga?

or islamic channel bageer cable kay nahi atay to cable ki job bhi jaiz hogi?

 

bhai ap naraz mat hona just clearification karni hai

Link to comment
Share on other sites

  • 1 month later...

apki baat me samjh raha hoon...ab bas kuch sawal hain jo zehen me reh gaye hain

 

its mean kay agar madani channel nahi bhi aa raha hoo to TV jaiz hai ( yani kay news channel programm Entertainment or knowledge wagera wagera kay programm wagera jis me fahashi ka ansar na paya jata hoo) ?

 

TV ka karobaar bhi jaiz hoga?

or islamic channel bageer cable kay nahi atay to cable ki job bhi jaiz hogi?

 

bhai ap naraz mat hona just clearification karni hai

 

VIDEO OR TV PER DIKHAYE DENAY WALA AKS TASWEER KE HUKUM MAIN NAHI , ISS PER FATAWA TAQREEBAN 15 SAAL PEHLAY AACHUKA THA. USS WAQT KE ULLAMA NE USSAY SAHI KAHA.

 

WESAY AJJ BHI DEKHA JAYE TO MUKHTALIF CHANNELS PER HAR MAKTABAH FIKAR KE ULLAMA AA RAHAY HAIN. OR MUKHTALIF DEBATES MAIN HISSA LETAY HAIN. OR TV CHANNEL BHI KHUL CHUKAY HAIN.

 

UB AATAY HAIN APP SE SAWALAT KI TARAF.

 

TV BA'ZAAT E KHUD KIA HAI ?? AIK MACHINE HAI ?? APNI MARZI SE YE KOI GALAT KAAM NAHI KARTA JISS KI WAJAH SE SHARIAT KA ISS PER KOI HUKUM LAGAY. BALKAH LOOG ISS KA ISTIMAL GALAT KARTAY HAIN. TO ISTIMAL KARNAY WALA GALAT HAI. USS PER HUKUM LAGAY GA.

 

APP PC YA INTERNET KI MISAL LE LAIN. ISS PER LOOG KIA KUCH NAHI KARTAY. LAKIN PHIR BHI ISI PC OR INTERNET KE ZARYE MUKHTALIF ISLAMIC WEBSITE KE ZARYE ISLAM KO SPREAD KIA JA RAHA HAI. TO KIA AJJ TAK KISI NE ISS COMPUTER YA LAPTOP PER KOI HUKUM LAGAYA HAI NAHI. BILKUL NAHI. JO ISS KA JESA ISTIMAL KARAY GA WESA HI USS PER HUKUM LAGAY GA.

 

BARAY BARAY JAMIAT OR DARUL IFTA MAIN COMPUTER OR INTERNET ISTIMAL HOTAY HAIN. MUKHTALIF PURPOSE KE LYE. FATWA NAWEESI, ISLAMI BOOKS COMPOSING, LIVE PROGRAMS, JAMIAT'S OR ULLAMA'S WESITE. ETC

 

TO KIA KISI MUFTI NE AJJ TAK PC KE GALAT ISTIMAL KI WAJAH SE ISS KE SALE OR PARCHASE KO NA'JAIZ KAHA HAI ?? NAHI KAHA AGAR KAHA HAI TO SAMNEH LAYEEN.

 

HANLAKAH PC OR INTERNET KA AJJ BHI SUB SE ZIADAH GALAT ISTIMAL HOTA HAI. BA'NISBAT ISLAMIC WORK KE.

 

DOOSRI BAAT AJJ KAL NET CABLE , HOURS OR DSL KA KAROOBAR BOHAT AAM HAI. HAR ELAKAH MAIN KAFI LOOG YE KAAM KAR RAHAY HAIN. UB YE DSL YE NET CABLE JAMIAT OR DARULIFTA MAIN BHI JATAY HAIN , WO ISSAY USE KARTAY HAIN. ISS KE USE KARNAY PER FATWA HOGA. NA KEH CABLE NET OR DSL PER.

 

LAKIN AIK BAAT HAI CABLE CHANNEL WALAY CHAHAIN TO RISTRICTION LAGA SAKHTAY HAIN. WO SIRF ISLAMIC CHANNEL HO APNAY CABLE PER CHALAYEEN. TO YE JAIZ HAI. AGAR WO ESSA CABLE CHALATAY HAIN JIN MAIN GALAT CHANNEL HAIN TO YE JAIZ NAHI. ISS KA KAROOBAR JAIZ NAHI.

 

CABLE PER AJJ KAL KOI ESSA CHANNEL NAHI JO FAHASHI SE BARHPOOR NA HO. SIWAYE MADNI CHANNEL KE. HAR CHANNEL PER KHAWATEEN HAIN, MUSIC HAIN, ETC TO JUB YE SUB FAHASHI HAI TO KOI BHI CHANNEL JO FAHASHI PER MUSHTAMIL HO JAIZ NAHI.

 

TV PER ZAROORI NAHI APP CABLE HI DEKHAIN, AGAR APP KE YAHAN MADNI CHANNEL NAHI AARAHA TO PEHLAY APP CABLE OPERATOR KI RABTAH KARAIN. AGAR PHIR BHI BAAT NA BANAY TO JANAB ZAROORI NAHI APP CABLE LE KAR KNOWLEDGEABLE PROGRAM KA BAHANA BANA KAR CABLE DEKHAIN. APP TV PER ULLAMA E AHLESUNNAT KE VIDEO BAYANAT DEKH SAKHTAY HAIN. QIRA'AT SUN SAKHTAY HAIN. HAMD, NAAT, MANQABAT..........ETC

 

UMEED HAI KEH APP KE SUB SAWALAT KE JAWAB MIL GAYE HOON GE.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...