AAP log aksar Quran shareef may muktalif ayat jis me AAP kay liyay "shahid" ka lafz aya hay , to us say hazir o nazir muraad letay ho.Kya aap log sabit kar saktay ho kay Shahid kay liyay hazir o nazir hona lazmi hay?Warna aap logo ka Shahid say yay istidlaal lenay bilkul ghalat hay.
Muazzin Azaan may din may 5 dafa gawahi deta hay leikin us nay kabhi aap ko nahi dekha or na he aap par wahi ko nazil hotay huway dekha hay...leikin phir bhi who shahadat deta hay.Pata chala kay Shahid kay liyay hazir o nazir hona lazmi nahi,agar mutabar or sachi zarai say bhi maloom ho jai to shahadat ho sakto hay.