Asalam o ALAikum
kia hadith number aik publisher ki kitab mein kuch aur ho aur dosre publisher ki kitab mein kch aur ho kia aisa ho sakta hai ... aur agar aisa hai tu ager ksi se hadith ka reference sune ya kaheen parhe aur hadith k reference ko kitab se dekhna chahein tu iss ka kia tareeqa ho ga... mein yeh baat pochna cha raha hoon k hadith no kia fixed hote hain ?? jis tarha Quran pak ki ayat aur surat no fixed hai tu hum loag kaheen bhi sune tu foran uss ko ksi bhi jagha Quran pak ki ayat aur surat hum har publisher k printed Quran pak mein dekh lete hain woh same hi hoti hai.. plz wazahat farmaiye .. shukriya.