assalam-o-alaikum
paanch waqt ki namaz hadis se sabit kare mustanad hadis se
mere 1 dost hai wo takreeban 7,8 mahine se 1 shaqs se mureed ho gaya balke pehle se wo kisi aur ka mureed tha phir bhi ban gaya aur
usne wahan bahut kuch sikha jaise kaha gaya namaz 5 waqt ki ka kahin zikr nahi quran ahadees me sirf qayam karne ka huqm hai maine kaha to kayam kaise karte hai
usne kaha isme raaz hai peer batayega mai hamesha namaz me hun abhi bhi hun usne namaz padhna chodh diya hai zahiri paanch waqt ki
ai aapse kehna chahunga k maine use hazrat moosa alahisalam ka waqiya bataya tha wo kehta hai k bada kon hai moosa ya huzur maine kaha beshak huzur to usne kaha chota bade ko kaise keh sakta hai aur ye hadis ko sahih nahi maanta
mera dost namaz ka inkaar nahi karta wo kehta hai k paanch waqt ki namaz ka subut huzur se sabit nahi hai.k unhone padhi ya padhai. wo baatini namaz me yakin rakhta hai jo wo padhta bhi hai kehta hai mai namaz me hun
simple sawal hai hadis se ref de k huzur ne 5 waqt ki namaz padhi ya padhai ho
mujhe ummed hai k iska ans mujhe milega maine ek aur forum auliaehind par bhi ye sawal kiya par wahan mujhe iska ans nahi mila ummed hai yahan milega