Ek shakhs ulamaae Deoband ki kufri ibaarat jaanta hai ki woh unhi ki ibaarat hai aur ye bhi jaanta hai ki ulamaae Arab o Ajam ne un Ibaarato par hukm e kufr lagaaya hai lekin us ko woh ibaarate gustaakhi waali mehsoos na hui is liye woh un ke kufr me sukoot karta hai to kya woh shakhs kaafir ho jaaega? agar kaafir ho jaaega to kyo? us ne kaun se zaruriyaat e Deen ka inkaar kiya? woh Aap ki gustaakhi ko to kufr jaanta hai lekin un ibaarato ke gustaakhi hone mein shak karta hai aur ye bhi battae ki ye Qaaida e kulliya ki "man shakka fi kufrihi wa azaabihi faqad kafar" Quraan ki kis aayat ya Hadees se saabit hai?