Sayadi ala hazrat rahimatulahi alayhi ne fatawa razwiya sharif me likha hai ki badmazhabon ka radd farze azam hai. isse kya murad hai? kya namaz, roza, jakat wagira farz ibadat se bhi pahle radde badmazhab krna jaruri hai. yane logon ko namaz roze ki targhib dilane se jyada radde badmashab kiya jana chahie??? Tafseel se isper ulemae ahle sunnat ke nazriat ke sath jawab dijie. kyun ki kuchh dawate islami ke mukhalifin is fatwe ki ad me logon ko badzahan kar rahe hai. aur Dawate islami ko sulah kulli sabit karne ki koshisho me lage hai.