Asalamou Alekum !
Baaz auqat main raat ko jab sota hoon, to mera chehra asman ki taraf hojata hai ya jan bhooj kay bhi agar main asman ki taraf chehra kar kay sau jaaon to mujhay bohat darawanay khawab atay hain. Aur jab ankh khulti hai to main kuch deer kay liey apna jism paralysed mehsoos karta hoon. Halki si Ankh to khuli hoti hai lekin haath ki ungli tak hilana bhi mumkin nahi hota. Yahan tak kay main apna chehra bhi hila nahi sakta. Aissa lagta hai jaissay kay ander say mukamal meray jism pe kaboo pa liya ho. Aur main itna gabra jata hoon keh aissa lagta hai keh maut ho jaey gi. Yani keh bohat zayada khauff hota hai. .
Yeh kabi kabar hi hota hai jaissay keh mahenay do maheenay main 1 bar.
Aissa kyon hota hai? Asman ki taraf chehra kar kay kyon nahi sona chahiey?
Main to aksar apna chehra right side par karkay hi sota hoon lekin raat ko need main chehra asman ki taraf to hi jata hain na. neend main to pata nahi chalta na keh chehra kiss taraf hai.
Jawab kay liey shukrya!