Salam,
jaisa ki sab members ko maloom hoga ki India mein Deobandis ne Dehli ke Imam bukhari ki khabar par ramzaan ek din pehly hi rakhna shuru kar diya tha...raat ko 11-12 baje ke aas paas masjidon me ailaan kiya or logon ko taraweeh ke liye bulana shuru kar diya tha...jabki sunniyon ne 30 din ki ginti puri kar ek din baad rozy shuru kiye...ab kya aisa possible hai ki jab unky 29 rozy pury hon or humary 28 to eid ka chand dikh jaye?
Or agar dikh jaye to phir humary liye kya hukm hoga? Aisi soorat mein Sunni ginti puri karegny? Ya eid manaengy?
Salam.