Salam !
If any brother can help me about Islamic beard, about it's measurement and from where does it start.
Meri bilkul pheli darhi hai jiski waja se baal kafi curly aur unbalanced hai. Shayad chehre pe thori theek bhi nahi lagti unbalanced hone ki waja se. Kie logon ne mujhse aisa kaha hai.
Mere aik relative hain unki bhi darhi hai, wo mjhse keh rahe the k me apni darhi ko set karao ye kafi bikhri hui aur achi nahi lag rahi. Mene kaha aik muthi se kam baal nahi katwa sakta to unho ne kaha balance to karao jab khud pori lambi hojaegi to sahi rahegi.
Logon ka kehna hai ALLAH khubsorat hai aur khubsurati ko pasand krta hai, tm to aise dosron ko bhi darhi rakhne se rok doge. Aisi rakho jo achi lage.
Darhi kahan se shuru hoti hai? Means ear ke barabar k baat katwasakte hain? Unka aisa khayal tha k Dawat-e-Islami kuch cheezon me bohot sakht hai, jo sahrai taqazon se bhi oper chali jati hai. Maulana Kokab Norani ki darhi to aik muthi se kam lagti hai.
Kindly help kis tarah aur kitni darhi set karasakte hain. Dawat-e-Islami k ilawa bi agar deegar ulma ki rae faraham karsake koi,
JazakALLAH.