Virasat Ke baare me sawal…
Mere abba ka inteqal lag bhag 22 saal pahle hua tab hum bachche the..
Mere abba ki do shaadi
Pahli wife se 2 beti
Dusri se 2 beta (12 bachche k inteqaal k baad) - Meri ammi hayat se hai
Meri badi behan abhi hayat se hai or dusri ka inteqaal ho chukka hai.
Badi behan ko abba ne makan banana k liye jameen dia tha tab badi behan ne qasam khakar ye wada kiya tha ke baad me haq nahi legi.
Chhoti behan ka inteqaal ho chukka hai.
Mere Sawal:
Kya meri chooti behan ke baccho ka ab v mere abba ki virasat me haq banta hai jabke unka inteqaal ho chukka hai?
Kya meri badi behan ka hissa banta hai jabke unhone abba ke hayat me qasam khakar haq na lene ka wada kiya tha?
Agar meri chhoti behan ke bachcho ka hissa banta hai toh kitna banta hai?