Bad salam arz hai ki, ek deobandi ne ek hadis sunai, jo muj ajib lagi. is lie Islami Mehfil se is masle me hadis sharif ke bare me information chaht hu.
Hadis usne kuchh yu sunai, "jb huzure akdas ke noore chashm hazrat ibrahim ka visal hua, or unk supurde khak ke bad huzur unki kabr ke pas kuchh der khade rahe, or farmaya 'keh de tera bap rasul hai'. ye manjhar sahaba ne dekha, jb masjid me sb jma hue tb sahaba ne is bare me huzur se puchha ke hazrat ibrahim ki kabr ke pas huzur ne ye kalemat q farmaye 'keh de tera bap rasul hai'. to huzur ne farmaya ke hazrat ibrahim se kabr me swal jawab shuru hue, unhone phle do swal ke jawab de die, lekn jab mer aksh bata kar farishtone puchha ki ye shakhsh koun hai, to hazrat ibrahim kashmakash me pad gai ki bap kahe ya rasul. is kashmakash ke dauran farishto ne un pe koda uthan ki taiyari karli, islie mene farmay ki 'keh de tera bap rasul hai'.
Ab mujhe ye bat se tasalli nahi hoti k huzur ke aulad per farishte sakhti kare. islie me ye janna chahta hu ke
kya ye hadis sahih hai ya zaif?
our ye hadis ki kounsi kutubat me maujud hai?
agar mer hadis sharif ke bayan kerne me kisi kism ki galti rahi ho to mafi chaht hu. is msle me tafsili jawab inayat farmay.
Jazakallah,
Allah Hafiz.