کمیونٹی میں تلاش کریں
Showing results for tags 'Aala Hazrat'.
-
ek sawal hai jo mujhe puchna hai...wo y hai ki aala hazrat ki hadaiq e bakhshish ka hissa 3 aala hazrat ka hai ya ni....haa wo jo hazrat e aaisha wale shair hai wo aala hazrat k ni hai...ye mujhe pta hai...pr kya puri hissa 3 hi aala hazrat ka ni hai rehnumai farmaye syed jabir aamiri
-
Kia Ahmed Raza Khan Barelvi Ko Naa Maan-Ne Wala Kafir Hai?
اس ٹاپک میں نے Syed Muhammad میں پوسٹ کیا اہلسنت پر اعتراضات کے جوابات
Assalamoalaikum, Mera taluq officially kisi bhi firqay se nahi hai. Is liye bara-e-meharbaani apni laanatein save rakhein. Mein yahan ye poochna chahta hoon k agar koi shakhs dawat e islami k zariye qadri silsilay mein bait hona chahta hai to us per ye shart kyun rakhi jati hai k usko Fatawa-e-Rizwiya ko aankh band kar k follow karna hoga? Aur us k ilawa kisi ko bhi ikhtilaaf e raaye ka haq nahi hai? Kia mere muslim hone k liye itna kaafi nahi k mein Allah ko aik manta hoon, Rasool Allah PBUH ko Allah ka nabi aur Rasool manta hoon, unki sunnaton per chalta hoon aur un k aik ishare pe apni jaan dena bayes e fakhar samajhta hoon? Sirf is liye k mein aik shakhs jo Rasool Allah PBUH k bohat baad mein aaya aur mein uski book per 100% yaqeen nahi rakh sakta kyun k wo quran ka harf nahi hai aur mujhe us mein kuch baaton se ikhtelaaf hai to dawat -e- islami wale mujhe kafir kaheinge? Bayt k rules mein bhi ye cheez mention hai. Aap tamaam hazrat kin basis pe Maulana Ilyaas Qadri ko apna peer maan bethe hein? Jab k koi bhi shakhs ghalat naam de k bhi bait ho sakta hai. Ye kesa peer hai jis ko mureed ki asliyat ka hi nahi pata? I am sorry mein kisi ko beizzat nahi karta aur na hi karna chahta hoon lekin ye sab wo cheezein hein jo meine khud experience ki hein. Fatawa mein ikhtelaaf kahan hai aur kyun hai to wo Prize Bond ka issue hai. State Bank of Pakistan us per sood kamaata hai aur ussi sood ko prize ki shakal mein distribute karta hai. Jab k kuch barelvi ulema k nazdeek prize bond jayez hai jab k Quran mein likha hai k sood lene dene wale k khilaaf Allah aur uska Rasool PBUH ailaan e jang karte hein. Aakhir itna difference kyun? Kindly iska jawab zaroor dein Regards, -
Ala Hazrat Pr Aetraz (Slam Ka Jawab)
اس ٹاپک میں نے mzeeshanimtiaz میں پوسٹ کیا اہلسنت پر اعتراضات کے جوابات
السلام علیکم الحمدللہ mei bhi sunni hu Aala Hazrat (رحمتہ اللہ علیہ) pr koi aetraz ni kr raha lekin muje Aala Hazrat (رحمتہ اللہ علیہ) k 1 fatwe ki samaj ni lag rahi 1 hadees ha :- aur Aala Hazrat (رحمتہ اللہ علیہ) ka 1 fatwa ye ha :- سوال: بہتر اور آسان طریقہ سلام اور اس کے جواب کا کیا ہے کس قدر الفاظ کہنا چاہئے؟ الجواب: کم از کم السلام علیکم اوراس سے بہتر ورحمۃ اللہ ملانا اور سب سے بہتر وبرکاتہ شامل کرنا اور اس پر زیادت نہیں۔ پھرسلام کرنے والے نے جتنے الفاظ میں سلام کیا ہے جواب میں اتنے کا اعادہ تو "ضرور" ہے اور "افضل" یہ ہے کہ جواب میں زیادہ کہے۔ اس نے "السلام علیکم" کہا تویہ "وعلیکم السلام ورحمۃ اللہ" کہے۔ اورا گر اس نے "السلام علیکم ورحمۃ اللہ" کہا تو یہ "وعلیکم السلام ورحمۃ اللہ وبرکاتہ" کہے اوراگر اس نے "وبرکاتہ" تک کہا تویہ بھی اتنا ہی کہے کہ اس سے زیادت نہیں۔ (فتاویٰ رضویہ ، جلد 22) ab masla ye ha k Aala Hazrat (رحمتہ اللہ علیہ) ne kaha ha k ورحمۃ اللہ وبرکاتہ se zayada na kaha jaye jab'k oper dikhayee gayee hadees mein 1 shaks ne ورحمۃ اللہ وبرکاتہ se zayada ومغفرۃ kaha os ko 40 nekiyo ki basharat di gayee ha..... tw phir Aala Hazrat (رحمتہ اللہ علیہ) ne ورحمۃ اللہ وبرکاتہ se zayada kahne se kyu mana kiya ha ???- 5 replies
-
- slam ka jawab
- aetraz
-
(and 2 more)
Tagged with: