Jump to content

Iqra

رکنِ خاص
  • کل پوسٹس

    701
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    3

سب کچھ Iqra نے پوسٹ کیا

  1. Iqra

    MASHAALLAH AZZAWAJAL

    bohat khushi hoye children,s section daikh kar coz main kaafi dair sai chah rahi thi kah bachon ka section bhi hona chaiye ALLAH ka shukar kah bachon ka section bhi start hogaya ....is section main hum bachon k liye chotay chotay sawal about islam with jawab post kar saktay hain takah jo log bahir kai mumalik main hain woh apnay bachon ko islam kai baray in chotay chotay sawalat sai kuch seekha sakain ...
  2. piari sisters bohat achi neeyatein hain ALLAH amal karnay ki tofeek ata farmaye ameen
  3. piari sana bahan yah sab jahilaana batain hain in ka islam sai koi waasta nahin yah sab waham aur shaak hai kah koi insaan kisi beaulaad aurat kai baray main aisa sochay agar kisi aurat ko ALLAH nai aulaad ki dolat sai nahin nawaza to is main us aurat ka kia kasoor ???? har aurat ki khawahish hoti hai kah woh shaadi kai baad maan banay magar yah sab batain kisi insaan kai ikhtiar main to nahin yah to ALLAH ki marzi jis ko chahay baita day jis ko chahay baiti dai aur agar chahay to kisi ko kuch bhi na dai .... is main kisi insaan ka koi amal dakahal nahin ....is lye jo log aisai batain kartay hain woh agar to muslims hain to at least itna soch lain kah yah sab kartay aur sochtay hoye hamain ALLAH daikh raha hai... US sai har waqt darna chaiye kah koi bhi aisai baat ya aisa kaam ham sai na ho jis sai WOH naraz ho jaye .... aur waise bhi kisi beaulaad aurat ko jab log aisai batain karain gay to us bechari ki kitni dill azaarai hogi aur us dilazaari sai ALLAH kitna naraz hoga agar yah sab batain ham soch lain to aisai baaton ki nobat hi na aye ALLAH tumaam muslims ko hidayat dai jo asiay batain sochtay aur kartay hain ameen aur jo beaulaad hain ALLAH un ko naik aulaad sai nawazay ameen
  4. Iqra

    jannat main tree

  5. sister qufl e madinah aap nai bohat acha jawab dia hai refrence kai saath mujhe aisa hi jawab chaiye tha aap ka bohat bohat shukria
  6. mujh se kisi ne yah sawal poocha hay kah shaitan ko ALLAH ta'ala nai HAZRAT ADAM alaihiSALam ko sajda karnay ka hukam dia aur shitaan nai inkaar kar dia to ALLAH nai us ko jannat sai nikaal dia phir wo HAZRAT ADAM alaihiSALam or BIBI HAWWA radi Allahu ta'ala anha ko behkanay jannat mein kaisay gaya ??? kia koi member is ka jawab hawalay kai saath dai sakta hai ???
×
×
  • Create New...