
Iqra
رکنِ خاص-
کل پوسٹس
701 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
-
جیتے ہوئے دن
3
سب کچھ Iqra نے پوسٹ کیا
-
greaaaaaaaaaaaaat news
-
bahan ! ji pakistan sai bahir aa kar pakistan ki bohat yadd ati hai yah naturally hai . yahan pakistan ki tarah to hum EID ka maza nahin lai saktay magar phir bhi koshis kartay hain kah is din ko special banaye takah jo bachay hain un ko is din ki ahmiat ka ahsaas ho sakkay kah yah hum muslims ka tahwar hai aur hamaray liye aik khaas din hai . zahri baat hai yahan pai schools ya jobs waghira pai baqaida chutti to nahin hoti MAGAR yahan pai rahnay wali pakistani families apnay bachon ko EID walay din school sai zaroor chutti karati hain aur mard hazrat bhi us din job sai chutti laitay hain . hamaray yahan jo milnay pakistani families hain woh sab mill kar EID manatay hain yaani aik one dish party ka ahtamam kia jata hai jis main sab aik aik dish paka kar lai atay hain aur aik jagah sab mill kar kha laitay hain mard hazrat alag room main hotay hain aur aurtain aur bachay alag room main isitarah bachay bhi apas main eid miltay hain gathering kartay hain to un ko bhi pata lagta hai kah aaj EID ka din hai koi special day hai ... yahan pai ziada important baat hai bachon ko apnay tahwar kai baray batana coz pakistan ki tarah to hum yahan EID nahin mana saktay magar thora bohat back ground hum un ko dai saktay hain thori si koshis kar kai aur waqi pakistan sai bahir aa kar apnai logon ki bohat yaad ati hai ....
-
-
-
-
-
-
very very nice sharing
-
piari bahan aap ka bhai 5 saal ka hai aur yahi woh age hoti hai jis main bachay ki buniad banti hai agar is age main hi is habit sai us ko nijat mill gaye to agay ki life us k liye asaan ho gi .... is k liye to sab sai pahlay hamain apnay ghar ka mahool daikhna chaiye kah hum kaheen us bachay ko neglect to nahin kar rahay ya us ki achi baaton pai us ko appriciate na kar rahay hoon ya us ko aisi baaton pai dant par rahi ho jis pai us ko dant parnay ki tawaqqa na ho some times aisa bhi hota hai kah hum bachay ko bohat ziada piar kartay hain aur us ka laad uthatay hain phir zara si ghalti pai bhi us ko daantain to woh rona shoroo kar daita hai ya baaz martaba aisa hota hai kah bacha daant sai bachanay k liye pahlay hi rona shoroo kar daita hai ..... aisay bachon kai saath jo bohat sensetive hoon ziada sai ziada communicate karna chaiye per exapmle jab woh school sai ghar wapis ayen to un sai school kai baray poochna chaiye kah kaisa din guza kaya kia wahan us kai dost kaisay hain us kai home work kai baray baat karni chaiye kah kis subject main us ko problem hai ....aisay bachay jo sensitive aur sensable hoon un kai dost bhi kam hotay hain coz woh sharmatay rahtay hain aur dost kam banatay hain is liye un ko dost bananay main appriciate karna chaiye un ko samjhana chaiye kah doosray bachon kai saath dosti karo un kai saath kahilo un kai saath mixup ho jao is tarah bachay main self confidence paida hota hai parents ya baray bahan bhaion ko chaiye kah aisay bachay kai saath baith kar thori dair us ki pasand ka cartoon bhi daikhay ya agar woh koi game khail raha hai to thori dair us kai saath woh game khailay yah us ki game ko us kai saath baith kar daikha jaye is tarah bhi bachay main aitmaad paida hota hai aur woh khush hota hai ..aisay bachon ko agar kisi baat sai manna karna ho to aik dam hi us ko rok nahin daina chaiye balkah us ko aram sai samjhna chaiye kah yah baat ya yah kaam hamaray liye is liye acha nahin hum karain gay to hamain nuksaan hoga ....bachon kai saath parents ya baray bahan bhaion ko dosti karni chaiye ..khaas toor pai parents agar apnay bachay kai saath friendship rakhain gay to un ko bachay ki problem samjhnay main bohat saani hogi ....agar bacha ghalti par bhi hoga to parents bohat asaani sai usay samjha bhi saktay hain anyways maine apnay views likhain hain may be maine kuch ghalat kaha ho agar aap ko mairi koi baat buri lagi hai to main maafi cahti hoon madani duaoon main yaad
-
piari bahan aap nai apnay bhai ki age nahin likhi kah kitni age ka hai aap ka bhai ???
-
baraye madinah is link ko zaroor check karain is main aap sab ko RAHMANI QAIDA with audio millay ga ...yah un parents k liye bohat mufeed hai jo bahir kai mumalik main rahtay hain ...woh apnay bachon k liye is QAIDA sai rahnumai hasil kar saktay hain ... http://library.faizaneattar.net/Books/index.php?id=265
-
baraye madinah listen this madani muzakra kapray_ki_cutting.mp3 YASEEN_naam_rakhna_kaisa.mp3
-
ameeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameeen
-
baraye madinah check this link too http://madrassa.faizaneattar.net/Islamiyat/Islamiyat.htm