Aap ne sahi farmaya Mudashir Bhai... aik cheez aur keh agar naat khawan
ko yaqeen ho keh falan jaga per paisey milain gay aur falan jaga per nahi to
agar woh paisey wali jaga per jaata hai to bhi wahi soorat hoti hai.. woh apne
dil ko azma kar dekh le keh jahan per paisey nahi miltey agar wahan jaaney main
dukh aur tangi mehsoos nahi hoti to phir sahi hai..
Aik aur baat keh kissi bhi naat khawan ka naam likhney aur uss ke barey main
bad gumani karney se bachna chahiye... kiyoon keh ho sakta hai keh woh bohat
bohat acha aur mukhlis ho aur kissi musalman kee badgumani gunnah hai.
"Naat khawan aur nazran" naam se aik risala bhi maktaba-tul-Madina ka shaya karda
mojood hai.. www.dawateislami.net se bhi download kiya jaa sakta hai.
W'Salaam..
Abul Usaid Imtiaz Attari