dear sister mujhay aisay kisi chemical ka nahi maloom na hi is ka hukum maloom hay laikin main sirf aik naqis raye doongi k jab hamara kisi kaam ka mind ban jata hayna phir wo cheez kisi ko kitni hi buri lagay ham us kaam ko kertay hi hain jahan ham ye sochaingay k log kia kahaingay ye aisay kesa lagay ga waghaira to ham kabhi kisi kaam per istiqamat hasil nahi kersakaingay ,mujhay khushi hoi ye parh ker k Un sis ko ahsas horaha hay k unho ne aik ghalat kaam kiya ab aap ko chahaye k un ka zehan aisay banaiye k eyebrows banana shareeat men mana hay hamaray pyara Allah or us k pyaray habeeb is khilaf e shara kaam se razi nahi hotay to is se ye zehan banayga k jis kaam men Allah or us k mahboob ki narazgi hay us kaam se hamain bachna hay chahay hamara chehra lakh bura lagay ab jab zehan ban jaye ga na to chahay chehra ka look kharab lagay chahay log kahain laikin phir bura nahi lagay ga
to ab aik to un ko ahsas hay k ye ghalat kam hay to ab aap un sis ka zehan banain k ab tak jo howa so howa ainda main eyebrows nahi banwaoongi or jab Allah ko razi kernay walay kaam hongay to personality men bhi aik attrection automatically paida hojati hay k log khud bakhud baat samajhnay lag jatay hain or dunya or dunya walon ki care nahi kerni hamain to apni akhirat ki fiker kerni hay.
ye seedhi si baat hay k banda jahan jitnay time k liye rehta hay wahan rehnay k liye tamam saman jama kerta hay, ab dekhiye hamain dunya men kitnay arsay rehna hay or us k baad aglay maqam (moat k baad qabr men,phir after judgement jannat ya dozakh men) kitna arsa rehna hay to zahir hay ye understood hay k hamain yahan ziada arsay rehna bhi nahi 50 saal 60/70 saal laikin moat k baad qabr men pata nahi kitnay hazar saal phir qiyamat k din faislay k baad jannat ya dozakh to hamain apni akhirat k liye saman jama kerna hay wahan k liye sari facilities ka saman kerna hay to jis jaga 50/60 /70 saal hi rehna hay or yahan rehnay walay logon ko razi kernay men jahan shareeat ki khilaf werzi horahi hogi to kia faida aisi jaga k liye saman jama kernay or logon ki care kernay ka?
jab ham Allah ko razi karaingay to akhirat to ban hi jaye gi to pyari sister akhirat ki fiker karen .
ab tak jitnay gunah howay us se ham sab ko sachi pakki toba ker k ainda zindagi gunahon se bachnay ki niyyat kerni chahiye,
Allah ta'ala pyaray aaqa k sadqay men ham sab ko shareeat e mutahhara ki mukammal pairwi kernay ki sa'adat ata farmaye aaameeeen bijahin nabiyyil ameen
wassalam ma'al ikram
duaon ki talabgar