![](https://www.islamimehfil.com/uploads/monthly_2018_02/IMG-20180225-WA0007.jpg.f58191242b22b36c14e9af7969b3cc88.jpg)
Umm-e-Anwaar Raza
مدیرِ اعلیٰ-
کل پوسٹس
1,364 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
-
جیتے ہوئے دن
9
سب کچھ Umm-e-Anwaar Raza نے پوسٹ کیا
-
Allah pyaray aaqa k sadaqay main ham sab ko apni olad ki madani tarbiyyat kernay ki madani sa'adat ata farmaye aameeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
-
iqra sister aham fatwa share kiya ap ne wassalam ma'al ikram
-
ji iqra sis ap ki baat sahi hay mager yaqeen karen k Allah ne apnay mahboob e kareem alaihissalato wattasleem ki ummat per khas karam farmaya or ameer e ahle sunnat jaisi pyari naimat ata farmai,jinhon ne apnay madani muzakron or bayanat k zariye ghar ghar dakhil hoker in buraiyon ka kafi had tak khatima kerdiya or islami behnon ko chader e haya ata farmai Alhamdulillah , ager aj dawateislami jaisi pyari tahreek na hoti to yaqeenan hamara mulk bay hayai ki tabah kari ka mukammal shikar hochuka hota. Allah pyaray aaqa k sadaqay mein hamain dawateislami k madani mahole se martay dam tak wabasta rakhay aameeeeeeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen
-
ji bilkul sister attaria2526 ap zaroor start karen new thread ,mager maqam e shuker k us thread main ap mujh se koi request nahi kersakengi , b/c im not in muslim country. madani duaoon mainyad rakhiye ga wassalam ma'al ikram
-
inshaAllah .inshaAlaah ,inshaAllah sister faizan e attar itnay pyaray madani mashwaray ka aur sister iqra ap ka ye paigham tamam members tak ponhchanay ka; Allah pyaray aaqa k sadaqay mein ham sab ko ameereahlesunnat ka paigham sari dunya tak ponhchanay jki madani sa'adat ata farmaye or hasb e istitia'at langer e rasail chalanay ki sa'adat bhi ata farmaye aameeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen
-
pyari islami behnon!is article ko tawajju se parhain or apni zindagion ko is farman e mustafa k mutabiq guzarnay ki koshish karen. Allah pyaray aaqa k sadaqay mein tamam muslman behnon ko shariat e mutahhara per amal kernay ki madani sa'adat ata farmaye aameeeeeeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
-
dear attaria2526 sister! sab se pehlay to ye baat samajh lain k Islam aik mukammal deen hay or deen e fitrat hay ye sirf muslim countries mein rehnay walon k liye nahi hay bal k is k tamam ahkamat dunya k her goshay mein basnay walay musalmanon k liye hain east or west se koi asar nahi parta asal baat to insan ki apni soch ki hoti hay ab rahi baat ye k yahan per islam per amal kerna asan hay ya nahi to sister ye baat to hay k mahole ka insan per bohat asar hota hay mostly muslim khawateen non muslim countries main aker sab se pehlay parday k muamlat se ghafil hojati hain or reason ye deti hain k bohat mushkil hay specially aisay enviorenment mein laikin ye reason sirf dunya walon k samnay qabil e qubool hay bal k usually log is soch ko appreciate kertay hain k waqai in countries mein orat parda kaisay kare etc mager.. Rabbe kainat ki bargah mein ye uzer nahi chalay ga. main apni un sisters se jo non muslim countries mein rehti hain or pardah nahi kertin isi wajah se k bohat mushkil hay ya log mur mur k dekhtay hain swalat kertay hain waghaira waghira ,main apni un sisters se poochti hoon k ager ye soch ker ham ne pardah chor diya to sirf aik yehi cheez nahi Alhamdulillah tamam islami ahkamat hi mukhtalif hain in kafiron k tor tareeqon se to kia hamain in ka lihaz kertay hoay wo bhi chor denay chahiyen? to nahi sister! hamain jahan kaheen rehna hay islam k ahkamat per amal kerna hay chahay us mein thori si mushkil bhi paish ati ho hadees e mubarak mein irshad hota hay Afzal ul a'amali ahmazuha tarjamay ka mafhoom hay sab se afzal amal wo hay jis main zehmat ziada hay to hamari un sisters ko jo non muslim countries mein reht hain jhoom jana chahiye k ager ham zara si mushaqqat utha ker amal karengay to dharon dhair sawab paingay jo k muslim country mein rehtay hoay hasil kerna mushkil tha yahan hamain ba asani mil raha hay or ye to koi mushaqqat or takleef aisi nahi ager dekha jaye to sahaba karam alaihim ur ridwan ne islam qubool kernay k baad us per amal kernay mein kitni takaleef uthain ,un k apnay pyaray maan baap behan bhai muashray k deegar log jo islam qubool kernay se pehlay un se mahabbat kertay thay islam qubool kernay k baad yehi log khoon k pyasay hogaye,jaani dushman ban gaye mager salam hay sahaba e kiram alaihimur ridwan k jazba e imani per k takaleef uthain mager islami k ahkamat per amal kerna nahi chora to aj ager non muslim countries mein rehnay wali oraton k liye kuch mushkil hay bhi to aisi to nahi jaisi un sahaba karam ne uthai thi aj yahan hamara koi jaani dushman nahi jo hamain hamaray deen per amal kernay se rokay to sister yaqeenan ap ko samajh agaya hoga k islami ahkamat per amal kerna non muslim countries mein bhi koi mushkil nahi bas zara si himmat chahiye ,jazba hona chahiye amal ka to kuch mushkil nahi parday k muamlat k baad 2sri mushkil aisi countries main halal o haram ki hoti hay food k muamlay mein to dear sister Alhamdulillah non muslim countries mein according to islam meat supply ki sahoolat ab mojood hay ye sirf ham musalmanon ki susti hay jab hamain kisi hukum per amal nahi kerna hota to na kernay k 10 bahanay ager amal kerna chahain toAllah rahain dikhadeta hay or main iqra sis ki is baat se bilkul agree hoon jo unhon ne kaha k: waqai ghar se bahar nikalnay k baad wapas anay tak ye ahsas mustaqil hota rehta hay k Alhamdulillah ham musalman hain waqai islam ki asal ahmiat ka andaza to yaheen aker hota hay Alhamdulillah Alhamdulillah ,Alhamdulillah mazeed wohi baat jo sonhal ne kahi k azan ki awaz khutbon or bayanat ki awaz ko kan taras jatay hain,tehwaron mein wo rang nahi hota jo apnay mulk main hota hay ,mager baharhal sister ye sab batain aik taraf topic ye hay k islam per amal kerna asan hay ya nahi to sis koi mushkil nahi Alhamdulillah ji iqra sis main ap se 100%agree hoon bilkul sahi kaha ap ne ab attaria2526 sister!main ap se poochti hoon k kia islam per aml kerna muslim countries main asan hay? wassalam ma'al ikram
-
wassalam ma'al ikram
-
attaria sister main ne ap se ye nahi kaha tha k main disscuss nahi karoongi ,ap sahi se to read kerti nahi hain anyway ap ne specially mujh se kaha hay to main bhi specially madani fees loongi jo k main ne ap ko batadi thi if u agree then ill disscuss okay? or mohtarima ap ki marzi ap jo chahain kahain mujhay iman ya kuch bhi ap ko koi kuch keh sakta hay wassalam ma'al ikram
-
Janab E Sayeda (Radi Allah Anha) Se Mansoob Farzi Kahani...
Umm-e-Anwaar Raza replied to Mujtaba's topic in مضامین
bohat achi islahi kitab hay ALLAH ulama e ahle sunnat ka saya ham per salamat rakhay jo pyaray aaqa ki nazr e karam ki badolat ummat ki islah farmatay rehtay hain or aghlat ki nishandahi farmatay hain ALLAH pyaray aaqa k sadaqay mein hamain shariat e mutahhara per sahi tareeqay se amal kernay ki madani sa'adat ata farmaye or aisi fuzoolyat se bacha ker hamari khawateen ko bilkhusoos janab e sayyida radiAllahu taa'ala anha ki sachi pakki ashiqa banadey or un k naqsh e qadam per chalnay ki sa'adat ata farmaye aameeeeen bijahin nabiyyil ameen bro! itni achi kitab upload kernay ka wassalam ma'al ikram -
Aaya-e-Tatheer Mein Umhat-ul-Momineen?
Umm-e-Anwaar Raza replied to سگِ عطار's topic in فتاوی اور شرعی مسائل کا حل
nice fatwa Un Ki Paki Ka Khuday e Pak Kerta Hay Bayan Aya e Tatheer Se Zahir Hay Shan e Ahl e Bait wassalam ma'al ikram -
orat k chahray ka pardah
Umm-e-Anwaar Raza replied to Umm-e-Anwaar Raza's topic in اسلام میں عورتوں کے حقوق
bohat achay fatawa share kiye ap ne yaqeenan islam her muamlay main hamari rahnumai farmata hay or jo bhi usool shariat e mutahhara ne ham per nafiz kiye hain un k poora kernay mein hi donon jahan ki bhalaiyan hain ALLAH pyaray aaqa k sadaqay main tamam musalman khawateen ko parday k muamlat khush asloobi se ada kernay ki madani sa'adat ata farmaye or tamam behnon ko sayyidatuna fatima tuz zahra radi Allahu ta'ala anha k sadaqay mein chader e haya ata farmaye. aameeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram -
iqra sis! bohat achi sharing hay keep it up! wassalam ma'al ikram
-
bara acha topic start kiya ap ne, mager ap bhool gain sonhal sis bhi hain non muslim country mein hamari ruqaiyyah sis bhi hain non muslim country mein so i hope all sisters ll share here thier thinkings &@attaria sis i ll disscuss it inshaALLAH soon keep praying wassalam ma'al ikram
-
iqra sister! ap bohat mehnat se kaam ker rahi hain ALLAH isi tarah ap ko mazeed kaam kernay ki tofeeq ata farmaye or ham sab ko ikhlas ki dolat se nawaz ker mazeed khidmat kernay ki madani sa'adat ata farmaye aameeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram