Jump to content

Umm-e-Anwaar Raza

مدیرِ اعلیٰ
  • کل پوسٹس

    1,364
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    9

سب کچھ Umm-e-Anwaar Raza نے پوسٹ کیا

  1. jazakAllahu khaira aameeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
  2. mohtaram islami bhaiyon or behnon! next week meri pyari walida ki barsi hay,meri ap tamam members se madani iltija hay k baraye madina meri ammi k liye ager mumkin hosakay to eesal e sawab ki tarkeeb banain ,qura'an e majeed, kalima shareef deegar tasbeehat or naikian ager ap ata kersakain to zaroor kaian .or ager deegar naikian(madani qafila madani inaamat waghaira) ap paish karaingay to yahan per batadeejiye ta k ham fatiha mein shamil kerlain, main ap sab ki bohat mamnoon o ahsan mand rahoongi. meri ammi k liye dua e maghfirat or darajat ki bulandi ki dua bhi karain ,Allah ki un per rahmat ho or un k sadaqay mein hamari maghfirat ho aameen Allah pyaray aaqa k sadaqay mein ham sab musalmanon ki maghfirat farmaye or hamain shariat e mutahhara er amal kernay ki madani sa'adat ata farmaye or hamain hamaray walidain k liye sadaqa e jariya banaday aaameeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
  3. Allah pyaray aaqa k sadaqay mein tamam musalmanon ko sharai masail seekh ker samajh ker un per amal kernay or doosron tak ponhchanay ki madani sa'adat ata farmaye aaaameeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
  4. Rah e talab mein jazba e kamil ho jin k sath khud un ko dhoond laiti hay manzil kabhi kabhi khushi hoi sana parh ker k ap ka kaam ab takmeeli marahil mein hay barakAllah aameen Allah pyaray aaqa k sadaqay mein ham sab ko ikhlas k sath deen ki khidmat kernay ki tofeeq ata farmaye aaaaaaameeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
  5. bohat pyari tasneef hay Allah pyaray aaqa k waseelay se ham sab ko khatoon e jannat shahzadi e konain radi Allahu ta'ala anha k naqsh e qadam per chalnay ki madani sa'adat ata farmaye aaameeeeeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyilameen wassalam ma'al ikram
  6. meri mohtaram islami behnon ameereahlesunnat ka ye bayan sama at farmain jis mein hamari islah ka bohat saman hay: islami behnon k tarbiyyati madani phool Allah pyaray aaqa k sadqay mein hamain ameereahlesunnat k fayyoz se musafeez farmaye or un k tamam ahkamat per ankhain band ker k amal kernay ki madani sa'adat ata farmaye aaameeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
  7. sana ap ka send kiya hoa fatwa attech ker rahi hoon wassalam ma'al ikram
  8. pyari sana ap sab ki mahabbaton ka bohat shukriya mager ap meray kehnay ka maqsad shayad samjhi nahi hain, ye baat pehlay bhi disscuss hochuki hay k personal baton ,personal mazaq o islah or tareef in sab baton k liye personal messenger ka istimal sab se behter hay . main forum per hamain postings kerni hain or in baton mein pernay se ham shayad apnay madani maqsad se door hojain.(or meri is baat ko sister attaria786 bhi samjh chuki hain) ummeed hay ab ap samajh gai hongi or baraye madina ab is topic per mazeed koi baat na karen.Allah pyaray aaqa k sadaqay mein ap sab k husn e zan ki laj rakh lay or hamain ikhlas ki lazawal dolat ata farma ker deen ki khidmat lay lay aaameeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
  9. meethi islami behan is mein mera kia kamal hogaya ,fatwa to mufti sahib ne diya hay Allah ka be intiha ahsan k us ne hamain itnay achay ulama e kiram o muftian e izzam ka sath ata kiya jinhon ne zindagi k her shaubay mein hamari rehnumai ka mansab sanbhala hoa hay,Alhamdulillah Allah pyaray aaqa k sadaqay mein ulama e ahle sunnat ka saya hamaray saron per salamat rakhay or un k ilm o amal o umer mein barakaten ata farmaker hamain shariat e mutahhara per amal kernay ki madani sa'adat ata farmaye aaaaameeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen baraye madina ainda be ja tareefon se bachain or sab k liye ikhlas ki dua farmain.ummeed hay ta'awun farmaingi. wassalam ma'al ikram
  10. achi attaria786 sister ap k poochay gaye swal ka jawab darulifta se agaya hay: wassalam ma'al ikram
  11. beshak sana behan ap ne bilkul sahi kaha ye sab hamaray yahan hota hay or abhi se nahi pata nahi kab se ye rasmain chali arahi hain wohi jo maiyon k joray wali bhi main ne batai thi k larki jo suit maiyon mein pehenti hay yellow color ka wo aik to ye k larki khud phir kabhi nahi pehen sakti doosra wo suit doosri unmarried larkion ko pehnaya jata hay is niyyat se k is k aser se in larkion ki jaldi shadi hogi ye sab hindooana rasmain hain jo aisi ham mein raij hain jin se chutkaray ki bazahir koi soorat nahi,or god bharai ki rasam ki bhi ap ne sahi nishandahi ki Allah pyaray aaqa k sadaqay mein hamain shariat e mutahhara per amal kernay ki madani sa'adat ata farmaye or hindooana rusoom se mahfooz farmaye aameeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
  12. Assalamoalaikum MashaAllah azzawajalla barakAllahu fi ilmika wa amalika ,aaameeeeeen bijahin nabiyyil ameen sallallaho alaihi wasallam wassalam ma'al ikram

  13. mohtaram islami bhaiyon or behnon hamaray yahain aik or baat bhi mash hoor hay k safar k mahinay ko manhoos samjha jata hay or kaheen kaheen isay tera tezi ka mahina bhi kehtay hain,or baaz gharanon main is mahinay mein chanay ubal ker bantay jatay hain ghar k jitnay merd hotay hain un k hisab se here merd k naam se aik pao chanay ubalti hain khawateen or phir ye guman kerti hain k ab balain tal jaingi un merdon per se or ager koi ye samjhaye k in cheezon ki koi hasiat nahi sadaqa balaon ko tal ta hay to agay se 10 baten to sun nay ko mil hi jati hain, is baray mein mufti sahib kia farmatay hain mulahiza karen: wassalam ma'al ikram
  14. sister umm-e-abdul malik! bohat achi sharings hain ap ki Allah pyaray aaqa k sadaqay mein ham sab ko yahan ikhlas k sath kaam kernay ki sa'adat ata farmaye aaaaameeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
  15. great sister bohat achi hadis e mubarak share ki ap ne hamain ummeed hay ap isi tarah achi sharings kerti rahain gi wassalam ma'al ikram
  16. zaberdast ameen achi sharing hay laikin meri naqis raye k mutabiq jo no#2 per ap ne post kiya hay mayyit k ghar roti pakanay wala usay "muashray mein phaili hoi jahilana baten" walay thread mein post kerna chahiye tha, anyway wassalam ma'al ikram
  17. bohat achi kitab share ki artificial jewellery k baray mein wassalam ma'al ikram
  18. madina ap apnay first ques k ans k liye mufti faiz ahmed owaisi sahib madda zillu hul aali ki is book ka mutala karen: Allah ta'ala too ya ap? or 2sray swal k baray mein itna samajh lain k aik hadees e mubarak ka mafhoom hay khaliq ki nafarmani mein makhlooq ki ita'at jaiz nahin yani ager khilaf e shara hukum chahay maan baap den ya koi bhi hakim ya afser us ki ita'at wajib nahin maan ko tareeqay se samjhaya jasakta hay inshaAllah shariat per amal kernay k jazbay ki niyyat hogi to Allah yaqeenan rahain bhi nikal dega or maan bhi maan jaye gi. wassalam ma'al ikram
  19. beshak bilkul sahi baat kahi ap ne taqwa to hay hi sab se barh ker afzal o a'ala wasf Allah hamain ye wasf ata farmaye aameen mager choonkay yahan per ham fatway share ker rahay hain is liye main ne ye fatwa share kiya is k ilawa jewellery mein bachna phir bhi itna mushkil nahi mager metal k glasses hair clips shoes kahan kahan metal use hota hi hay jis se bachna qareeb ba namumkin hay wa ma taufeeqi illa billah ap ne acha kiya jo 2bara shah sahib madda zilluhul aali ki khidmat mein istifta bhaija jawab aye to zaroor yahan share keejiye ga Allah sayyid ul atqiya pyaray pyaray aaqa k sadqay mein ham sab ko taqwa ka wasf ata farmaye or ikhlas ki dolat se nawaz day aaaaameeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
  20. mele wala bhai mujhay maloom hay artificial jewellery orat k liye najaiz o mamnoo thi mager ab umoom e balwa ki waja se ulama ne jawaz ka fatwa diya hay may be shah sahib ka ye fatwa pehlay ka ho ap in fatawa ko parhain is mein yehi bayan kiya gaya hay k umoom e balwa ki waja se jawaz ki soorat nikali gai hay jaisa k alcohol k baray mein (sirf khariji istimal k liye) ab ulama umoome balwa ki waja se jawaz ka fatwa detay hain ye mas ala bhi isi tarah hay. ummeed hay ap ko samajh agaya hoga , wassalam ma'al ikram
×
×
  • Create New...