Umm-e-Anwaar Raza
مدیرِ اعلیٰ-
کل پوسٹس
1,364 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
-
جیتے ہوئے دن
9
سب کچھ Umm-e-Anwaar Raza نے پوسٹ کیا
-
sister sana mufti sahib ne fatway mein ziker kiya k aisay bohat se kaam jo wajib nahi hotay shoher per mager wo kerta hay apni beewi k liye to beewi ko bhi chahiye k shoher k muta'aliqa kaam jitna mumkin hosakay ada karay or susral walon ki khidmat karay to ab hona to yehi chahiye k ham yahan un kamon per bhi kuch roshni dalen, ta k ham sab k zehnon se tamam uljhanain door hojain wassalam ma'al ikram
-
sister islam isi tarah her kisi se husn e sulook ka dars deta hay to susral walon ko bhi chahiye k bahoo ko apna samjhain us ko nokrani na samjhain saas ager bahoo ko beti ki tarah samjhay gi to is se bhi kai masail hal hosaktay hain yani ye muaamla 2non taraf se hi hay saas bhi bahoo ko maqam de us ko mahabbat de isi tarah bahoo ko bhi chahiye k saas ki izzat karay apni maan samajh ker gharaz ghar bananay ya bigarnay mein in 2no oraton ka hi kirdar hay ifham o tafheem se hi masail hal hotay hain. Allah pyaray aaqa k sadaqay mein hamari tamam maaon behnon ko aik doosray k sahih huqooq o faraiz ada karnay ki madani sa'adat ata farmaye or hamain aik doosray k sath husn e sulook kernay ki tofeeq ata farmaye or sister ap k tamam masail hal farmaye aaaaaameeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
-
Dewaana Madani Munna!
Umm-e-Anwaar Raza replied to Attaria hoon Attaria's topic in حمد، نعت، منقبت، مناجات وغیرہ
SubhanAllah MashaAllah pyaray se madani munnay ko dekh ker dil bagh e madina ban gaya beshak madani mahole ki baharain hain ye sab . Allah pyaray aaqa k sadaqay mein ham sab ko or hamari ta qiyamat anay wali tamam naslon ko madani mahole se hamesha wabasta rakhay aaaaaaaaaaaameeeeen bijahin nabiyyil ameen jazakillah attaria hoon attaria sister! wassalam maal ikram -
meri meethi islami behan! ab main kia kahoon.... dekhain islam sirf faraiz ya wajibat per amal kernay ka naam hi nahi akhir kitna aisay kaam hain jo farz ya wajib hergiz nahi ham kertay haina behan bhai ka khayal rakhna un k kaam kerna,apnay doston k sath muhabbat nibhana hatta k koi door k rishtaydar ajain to khatir dari kerna mehman nawazi kerna ye sab kiya hay? kia ye faraiz mein ata hay? sister ager ham aj apna muhasiba karen to kitnay aisay faraiz ya wajibat hain jo ham pooray kertay hain or kaheen door na jain specially khawateen ghardari or bachon ki care k sath kabhi ma'az Allah namaz tak qaza kerdeti hain, pregnant orator doodh pilanay wali maan ko roza chornay ki ijazat hay ager na rakh sakay to mager hamaray yahan khawateen ka haal ye hota hay k rakh k dekhti bhi nahi hain k rakh sakti hain ya nahin bas shariat ne ye rukhsat di to roza chor diya or baad mein kabhi wo pooray hojain to bari baat hay. ager koi beemar aisa beemar hay k kharay hoker namaz ada nahi kersakta to shariat ijazat deti hay k baith ker parhay mager hamara ye haal hota hay k halki si koi takleef hoi foren baith ker namaz parhnay wali rukhsat per amal kerliya to ye sab hamari apni kamzorian haina!!! faraiz wajibat per hamara apna amal mazboot nahi laikin jahan baat ati hay susral walon ki to hamain ye yad ata hay k un ki khidmat farz ya wajib nahi piyari behan mujhay ye samajh nahi ata k akhir susral walay kon si alag makhlooq hain jo larkian un se aisay bair laga laiti hain islam mein to janwar se husn e sulook kernay per bhi sawab milta hay kia ap ne wo waqia nahi suna k aik orat ki is liye bakhshish hogai k us ne aik pyasay kuttay ko pani pilaya tha to kia us ne ye farz ya wajib amal kiya tha? to susral walay kia kisi janwar se bhi kam hasiyat rakhtay hain husband k ghar walay shoher k huqooq ager ham samajh lain to phir susral walon ki hasiyat un ka maqam samajhna aasan hojayega sister mufti sahib ne ye farmaya k un ki khidmat kerna farz nahi theek hay mager sath hi ye bhi to farmaya hay k jaisay shoher kitnay hi kaam aisay kerta hay beewi k jo wajib nahi mager kerta hayna to beewi ko bhi chahiye k husn e sulook ka muzahira karey yaqeen karen sister susral walon k sath ap ager husn e syulook karen gi to sawab to lazmi paingi na ye kion soch rahi hain k khidmat kerna farz nahi to main nahi karoongi to gunah nahi hoga meri pyari behan shariat e mutahhara ne hamaray liye bohat asan usool wazah kiye hain dekhain ager susral walon ki khidmat farz ya wajib qara di jati phir larkiyan na kertin to zahir hay gunahgaar hotin laikin ab farz ya wajib nahi to maqsad ye to hergiz nahi k khidmat kerna gunah hay kia ap ne wo riwayat nahi suni? hazrat Ali ne irshad farmaya aye oraton khda se daro!or shoher ki razamandi ki talash mein raho is liye k orat ko ager maloom hota k shoher ka kia haq hay to jab tak us k pas khana hazir rehta ye khari rehti(abu naeem) to sis ap batain kia shoher k ghar walon ki khidmat na kernay se shoher razi hoga mera khayal hay dunya mein koi aisa merd nahi hoga jo is baat se khush ho k us ki beewi us k maan baap ki khidmat na karay to achi beewi ko chahiye k apnay shoher ki rizamandi ki talash mein rahay dekhain sister susral walay koi ghair makhlooq nahi hamari tarah k insaan hain un k seenay mein bhi hamari tarah ka dil dharak raha hay yaqeenan husn e sulook se un ka dil naram perjayega or sister ye bhi yad rakhain k taali dono hathon se hi bajti hay main ye nahi keh rahi k qusoor ap ka hay nahi mujhay andaza hay, mera mushahida hay(Alhamdulillah its not my experince) k saas bahoo k jhagray mein ziada bambari saas ki taraf se hoti hay mager sister plzzz is baray mein thanday dil se sochain k kia ap ka zara bhi hath nahi hoga is jhagray mein yaqeenan kaheen na kaheen to ap se bhi ghalati hoi hogi na saas bari hain ap k husband ki ammi hain un ko apni ammi ki tarah samjhain ahteram karen kaheen ap ki ghalati hay to hath jor ker muaafi maang lain yaqeen karen is main apka kuch nahi jaye ga akhir dekhain shadi se pehlay ka sochain hamari ammi bhi to kai baaton per dant ti haina kaam sahi nahi hoa ghar ka koi to daant perti hay ammi se k agay ja ker batain sunwaogi etc aisa mayen to kehti hain akhir jab hamain apni ammi ki baten bardasht hojati hain to saas ki kion nahi hotin ?is liye sis k ham ne start se hi ye socha k ye husband ki ammi hain meri ammi nahi un ko apna samjhain to kitni baten hi bardasht hojain kia shadi se pehlay behnon se larai nahi hoti thi? her ghar ki kahani hay ye to behnon mein to aisi laraiyan hoti hain to ye nafraton ki waja se nahi mahabbaton ki waja se hoti haina to saas bhi ager ap ko dant ti hain to is liye k un ko ap per maan hay wo ap ko chota samajh ker dant ti hain laikin jahan phir ap palat ker ghalat andaz mein baat karen jawab dengi baten sunaingi nafrat ka izhar karengi to ikhtilafat to janam laingay na sister jaisa k sana sis ne kaha k hamain bhi aik din is mansab per ana hay saas bana hay aj ham ager husn e sulook karengay tabhi agay bhi is ka acha phal dekhaingay inshaAllah sister mujhay pata hay main bohat kuch keh gai mager sis ap khud sochain aj ager hamari bhabi hamari ammi k sath acha sulook na karay to hamain kitna bura lagay to saas bhi to kisi ki maan hain or kisi ghair ki nahi ap k husband ki phir wohi baat k husband ko razi kernay ki niyyat se hi kerain khidmat k shoher ki riza main Allah ki riza posheeda hay ager phir bhi ap se acha sulook na karen wo(saas nandain ) to saber karain ajer paingi or ap ne jis article ka link diya us main bhi sari baten hi sahi likhi hain mager sister mera mashwera yehi hay k ap sirf aik dafa koshish ker k dekhain yaqeen karen ap ka ghar jannat ka namoona ban jayega aik dafa sirf aik dafa saas ko maan ki hasiyat to dain dekhiye ga phir kitnay masail hal hojaingay inshaAllah ager main ne kuch ghalat kaha ho to baraye madina meri islah farmain wassalam ma'al ikram
-
warahmatullahi wabarakatuhu wamaghfiratuhu qufl e madinah sister ap ne bohat achi islah farmai jazakillahu khaira wassalam ma'al ikram
-
ji jazakallah brother ap ne acha clear kiya. hazrat ibrahim alaihissalam ne jo hazrat ismail alihissalam ko apni zoja ko talaq denay ka hukum diya us ki waja yehi thi k unhon ne nashukri ki thi or wo Allah azzawajalla k pyaray jo ma'soom anil khata(gunahon se paak) thay to unhon ne apnay muta'alliqeen ki mamooli khata ko bhi munasib na samjha,or hazrat ismail alaihissalam ka hukum ki pairwi kernay ka jazba marhaba! yaqeenan hazrat abdullah ibne umer ko farooq e azam ne jo hukum diya hoga us main bhi koi aisi hi hikmat hogi,hamain in waqiyat ko base bana ker nahi chalna chahiye. fatway mein mufti sahib ne wazeh farmadiya k waliden k hukum per aisa kerna wajib nahi hay fi zamana,han ager khilaf e shara umoor ka sudoor ho phir alag muamla hay. Allah ham sab ko sharai ahkamat ki mukammal pairwi kernay ki madani sa'adat ata farmaye aaameeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
-
or sister ap ne jo swalat kiye mera khayal hay ibtidai 4 swalat k jawabat to ap ko in fatwon or article mein mil hi gaye hain. 5 wan swal jo ap ne kiya k ager shoher force karay kaam keernay k liye to ager sister ager shoher k ghar walon ko apnay ghar walon ki tarah (saas ko maan ki jaga ,nandon ko behnon ki tarah) samjha jaye to kaam kaaj kerna phir to koi mushaqqat lagay ga hi nahi akhir maikay mein shadi se pehlay bhi to larki saray ghar k kaam kaaj kerti hi hay sara ghar sanbhalti hay han laikin ager ap ki sahet ijazat na day or bardasht se barh k kaam ka bpjh ho to shoher ko narmi or hikmat e amali k sath samjhaya jasakta hay or jab ap ameer e ahlesunnat ki di gai hidayat jo main ne ooper likhi hain un per amal karen to susral walay bhi ap k sath naram par jaingay or jab ap ki taraf se husn e sulook ka muzahira hoga to yaqeenan wahan se bhi ap ko acha responce hi milay ga bas sister bohat saber or hkmat e amali k sath apna maqam banana perta hay aik dafa jab ap sab k dil jeetnay mein kamyab hojaingi na to zindagi guzarna bohat asan hojayega inshaAllah. yaqeenan shoher or susral walay achay ho to is se barh ker kia naimat hay,zindagi jannat ka namoona ban jati hayor ager achay na hon to is se barh ker konsi zehmat o takleef hay... laikin sister jaisay hamain koi jismani takleef pohanchti hay to ham us ka ilaj to kertay hain isi tarah is takleef ko bhi lay ker na baithain bal k ilaj ki fiker karen. bas ap saber karen or husn e sulook ka muzahira karen inshaAllah ap ka ghar jald hi jannat ka namoona ban jaye ga or ap bhi jald hi haqeeqi khushgawar azdawaji zindagi ka chain paingi inshaAllah mujhay yaqeen hay sister ap ki uljhan door hogai hogi ager ab bhi koi baat ho to zaroor share keejiye ga wassalam ma'al ikram
-
mazeed sister! ameer e ahlesunnat damat barkatuhum ul aliya us larki k liye jo shadi hoker susral mein jarahi hay us k liye is tarah rehnumai farmatay hain: larki ko chahiye k 1-saas nand se kisi soorat na bigaray,unki khoob khidmat karay ager wo tang karen to khamosh rahay. 2-saas ager bilfarz jhirkiyan deto apni maan ka tasawwur kerlay saber kerna asan hojayega inshaAllah. 3-ager ap ne kabhi saas k ghussa hojanay perjawabi ghussay ka muzahira kiyato nibhao mushkil tareen hoga. 4-susral ki badsulooki ki faryadapnay maikay mein kerna samnay chal ker tabahi ka istiqbal kerna haylihaza saber k sathsath is usool per karbandrahain k aik chup so ko harayeor jawab mein sirf dua e khair hi karen. 5-umooman ajkal susral ki taraf se bahoo per jadoo kerti hay shoher ko qaboo kerliya hay waghaira ilzam lagaye jatay hainkhudanakhwasta ager ap k sath aisa muamla hojayeto apay se bahar hojanay k bajayehikmat e amali se kaam laitay hoay khamosh hojain. 6-apna kamra din k waqt band na rakhay,ghar k 2sray afrad ki mojoodgi mein apnay shoher se kana phoosi na karain. 7-shoher ki mojoodgi mein bhichaye waghaira apni saas ya nand k sath baith ker hi piye,inkay samnay hergiz moon na bigaray,bartan zor se na pacharay,bachon ko is tarah na dantay k un ko waswasa aye k hamain sunati hay or kosti hay. 8-dhonay pakanay k kamon mein purti dikhaye. matlab ye hay k najasat ko najasat se nahi bal k hikmat or husn e akhlaq k pani se hi dhoya jasakta hay is tarah kernay se inshaAllah ap apnay susral ki manzoor e nazar ban jaingi or zindagi bhi khushgawar hojayegi inshaAllah. susral k haq mein dua se ghaflat na karain k dua se baray baray masail hal hojatay hainnamaz or rozon ki pabandi kerti rahainyad rakhain k sharai parda lazmi hay dewar jaith se parda karain apnay ghar mein faizan e sunnat ka dars jari karain khamoshi ki adat dalain k ziada bolnay se jhagray barhnay ka andesha barh jata hay faishion parasti k bajaye sunnaton ka rasta ikhtiyar karen k isi mein bhalai hay.in tamam baton ko tafseel se sunnay k liye ap nigran e shoora k is bayan ko zaroor sunain jo k mian beewi dono k liye sunna be intiha mufeed hay:http://www.dawateislami.net/media/detail.aspx?clpid=clp-1153saas bahoo k jhagray k baray mein mufti abbas razawi sahib aik jaga is tarah farmatay hain:http://www.nooremadinah.net/Media/MuftiAbb...SaasKaJhagra.rmor aik madani muzakray mein ameereahlesunnat is tarah bhi madani muskha ata farmatay hain in jhagron se bachnay k liye:http://www.dawateislami.org/services/muzakra/rm/44-2.rm
-
mazeed sister jab ham aik 2sray k huqooq ko samajh laingay to zindagi guzarna bohat asan ho jayegiis liye saas or bahoo k huqooq o faraiz mulahiza karen:
-
susral walon k huqooq k baray mein in fatawa ko read karen: is 2sray fatway mein jo saas jawan hay ki baat hay issay ap suser ka samjhain k ager suser se fitnay ka ndesha hay or salion ki jaga dewar jaith k ager dewar jaith se bepardagi hoti hay or parday ka koi intizam nahi to ab susral mein na rehna zaroori hay
-
dear sisterap ne jo halat bayan kiye kam o baish hamaray muashray k her ghar ki kahani hay ye asal mein sister in tamam masail ki jar deeni maloomat se doori hay,afsos hamaray yahan jab larki hosh sanbhalti hay us k zehan mein yehi baat dali jati hay k usay agay kisi or ghar mein jaker basna hay is k liye umooman maayen apni baition ko ghardari mein mahir kernay ki mukammal koshish kerti hain silai khana pakana or her wo kaam jis se agay wasta perna hota hay sab muamlat mein tamam mayin achi tarbiyyat kerti hain mager afsos k shadi k waqt or cheezon k sath is baat ki taraf dhiyan nahi diya jata hay k jis ghar mein larki jarahi hay wahan usay s ghar k makeeno ko apna samajhna hay ab us ki saas us ki maan ki tarah nandain behnon ki jaga hain in baton ki tarbiyyat nahi ki jati bal k ye samjhaya jata hay k jahan tum jarahi ho tumhara us ghar pe utna hi haq hay jitna wahan walon ka or ager tumhain haq na milay to apna haq cheen k lo ahhhh asal mein sister ager ye samajh liya jaye k saas apni maan ki misel hay to bohat se masail hal hosaktay hain afsos ham is soch ko nahi apnatay to hamaray muashray mein her ghar mein taqreeban ye jhagray aam hainsab se pehlay sister ap ne jo ye suna k susral walon k koi huqooq nahi hotay to sister dar asal susral walon ki khidmat farz ya wajib nahi mager shoher k walidain or behan bhai honay k natay wo bahoo or bhabi k husn e sulook k mustahiq hain,
-
sister! walidain k kehnay per talaq denay ka kia hukum hay is baray mein is fatway ko read karen ummeed hay ap ko is se kafi rehnumai milay gi inshaAllah ager is baray mein kisi or member ko ilm ho to ham sab ki maloomat mein izafa farmain wassalam ma'al ikram
-
khawateen deen ka kaam kaisay karain
Umm-e-Anwaar Raza replied to SulemanSubhani's topic in گفتگو فورم
thanks 4 sharing sister! Allah pyaray aaqa k sadaqay mein ham sab behnon ko khaton e jannat sayyidatuna fatima tuzzahra radi Allahu ta'ala anha ki sachi kaneezain ban ker deen e islam per amal kernay ki madani sa'adat ata farmaye aaaaaaaaameeeeeeeeen bijahin nabiyyilameen wassalam ma'al ikram -
bohat acha article share kiya iqra ap ne Allah pyaray aaqa k sadaqay mein ham sab ko apni olad ki sahi madani tarbiyyat kernay ki tofeeq ata farmaye or hamari olad ko hamari ankhon ki thandak banaye aaaaaaameeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
-
Shoher kay huqooq
Umm-e-Anwaar Raza replied to Umm-e-Anwaar Raza's topic in اسلام میں عورتوں کے حقوق
iqra bohat pyari post Allah pyaray aaqa k sadaqay mein tamam musalman behnon ko shoher ki ita at o farmanbardari ki tofeeq ata farmaye aaaaaaaaaaaameeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram -
hamila orat k roza rakhnay se muta'alliq aik swal mufti abbas razawi damat barkatuhum ul aliya ki zabani sama'at farmain: Hamila Ka Roza Rakhna wassalam ma'al ikram
-
or mazeed ameer e ahle sunnat damat barkatuhum ul aliya ki zabani sama'at farmain: sabz rang k chappal pehenna kaisa wassalam ma'al ikram
-
Islami Parda Or jadeed science
Umm-e-Anwaar Raza replied to Umm-e-Anwaar Raza's topic in اسلام میں عورتوں کے حقوق
Allah pyaray aaqa k sadaqay mein tamam musalman behnon ko parday k muamlat khush asloobi se ada kernay ki madani sa'adat ata farmaye aaaaameeeen bijahin nabiyyilameen wassalam ma'al ikram -
Islami Parda Or jadeed science
Umm-e-Anwaar Raza replied to Umm-e-Anwaar Raza's topic in اسلام میں عورتوں کے حقوق
-
Islami Parda Or jadeed science
Umm-e-Anwaar Raza replied to Umm-e-Anwaar Raza's topic in اسلام میں عورتوں کے حقوق
-
Islami Parda Or jadeed science
اس ٹاپک میں نے Umm-e-Anwaar Raza میں پوسٹ کیا اسلام میں عورتوں کے حقوق
-
pyari islami behnon hamaray yahan aik or baat mash hoor hay k ghusel kertay waqt kalima waghaira parnha chahiye is baray mein fatwa mulahiza karen
-
sister ap ne bohat achay or mufeed risalay ka link diya hay &welcome here also wassalam ma'al ikram
-
-