Umm-e-Anwaar Raza
مدیرِ اعلیٰ-
کل پوسٹس
1,364 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
-
جیتے ہوئے دن
9
سب کچھ Umm-e-Anwaar Raza نے پوسٹ کیا
-
mohtaram islami bhaiyon or behnon hamain apnay madani munnon or munnion ki tarbiyyat kis andaz men kerni chahiye is silsilsy men maktabat ul madina ne karam farmaya or hamain madani nisab ki shakal men aik tohfa ata kiya jis se ham apnay madani munnon or munnion ki tarbiyyat k liye behtereen andaz men rehnumai hasil kersaktay hain;
-
IM Use Kerney Ki Madni Niyatein
Umm-e-Anwaar Raza replied to Madinah_Madinah's topic in دیگر اسلامی مواد
-
meethi islami behnon !! islami behnon k 8 madani kaam updated hogaye hain ager kisi islami behan ne pichli attechments print out ker k diary men lagali hon to baraye madina un ki jaga ye new attechments lagalain jazakumullah wassalam ma'al ikram
-
Madani In a'amat (islami behnon k liye)
Umm-e-Anwaar Raza replied to Faizan e Attar@Madani Inaamat's topic in گفتگو فورم
madina madani inaamat per amal kertay waqt jo swalat zehnon men atay hain un k hal k liye ameer e ahl e sunnat ka ye madani muzakra zaroor sama at farmain inshaAllah uljhanain door hojaingi: Madani Inaamat Allah pyaray aaqa k sadqay men ham sab ko madani inaamat ki mukhlis amila banaday aameeeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram -
Madani In a'amat (islami behnon k liye)
Umm-e-Anwaar Raza replied to Faizan e Attar@Madani Inaamat's topic in گفتگو فورم
jazakillah meethi islami behan bohat bari uljhan door farmai,Allah pyaray aaqa k sadqay men hamari islami behnon ko madani burqa pehennay ki madani sa'adat ata farmaye aameeen k waqai madani burqay ka to faiz hi alag hay. Allah ap ka seena madeena banaye or mazeed khair o barakat ata farmaye ameeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram -
meethi islami behan ye qeemti page kisi zimmedar ne ata kiya hay mujhay or un zimmedar ko markaz ki taraf se mila tha wassalam ma'al ikram
-
IM Use Kerney Ki Madni Niyatein
Umm-e-Anwaar Raza replied to Madinah_Madinah's topic in دیگر اسلامی مواد
madina! bohat bohat pyari niyyaten share kin ap ne barakAllahu fi ilmiki wa amaliki aameeen Allah pyaray aaqa k sadqay men sayyidi ghous e azam k waseela e jaleela se ameer e ahl e sunnat damat baraktuhum ul aliya ki nigah e faiz aser se ham sab members ko in tamam niyyaton per amal paira honay ki madani sa'adat ata farmaye aaaameeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram -
Allah pyaray aaqa k sadqay mein ham tamam islami behnon ko in madani kaamon per amal kernay or 2sron tak ponhchanay ki madani sa'adat ata farmaye aaaaaaaameeeeeeeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
-
Madani In a'amat (islami behnon k liye)
Umm-e-Anwaar Raza replied to Faizan e Attar@Madani Inaamat's topic in گفتگو فورم
fikr e madina ki targheeb per acha article share kiya brother --------------- meethi islami behnon!!! madani inaamat per amal ki targheeb k liye rukn e shoora haji zam zam attari maddazilluhul aali ka ye bayan sunna be intiha mufeed rahay ga: Faiazn E Madani Inaamat Allah pyaray aaqa k sadqay men sun ker amal kernay or 2sron tak ponhchanay ki madani sa'adat ata farmaye aaaaaaaameeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram -
Madani In a'amat (islami behnon k liye)
Umm-e-Anwaar Raza replied to Faizan e Attar@Madani Inaamat's topic in گفتگو فورم
faizan e attar sister ap ne bohat acha guide kiya or baray tasalli bakhsh jawabat ata kiye jazakillahu khaira attarya sister bohat achi targheeb dilai madani inaamat per amal kernay ki jazakillahu khaira Allah aap dono sisz k ilm amal or hilm men barakaten ata farmaye aaaaaaaaameeeeeeeen Allah pyaray aaqa k sadqay men ,sayyidi ghous e azam k waseela e jaleela se,meethay meethay ameer e ahl e sunnat damat barkatuhum ul alia ki nigah e faiz aser se tamam islami behnon ko in madani inaamat per ikhlas k sath amal kernay ki madani sa'adat ata farmaye or hamain attar madda zillu hul aali ki ajmeri,baghdadi,makki or madani betian bannay ki madani sa'adat ata farmaye aaaaaaaaameeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram talabgar e dua -
yaqeenan ap ki is post ne bohat rulaya beshak maan to wo hasti hay wo naimat hay jis ki qadr o ahmiyat ka andaza is naimat se mahroomi k baad hi sahi tarah hota hay. Allah pyaray aaqa k sadqay mein sab musalmanon ko walidain k huqooq sahi tareeqay se samajh ker ada kernay ki madani sa'adat ata farmaye or jin k maan baap ya dono mein se aik bhi hayat hain un ki sahih khidmat kernay ki tofeeq ata farmaye aaaaaaaaameeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen jazakAllahu khaira wassalam ma'al ikram
-
sis section visit karnay ki niyyatain
Umm-e-Anwaar Raza replied to Madinah_Madinah's topic in گفتگو فورم
jazakillah sis Allahumma zid fa zid aameen beintiha achi madani niyyaten share kin ap 2no ne Allah ap ki is kawish ko qubool farmaye aameen Allah pyaray aaqa ka sadaqay mein sayyidi ghos ul wara k waseela e jaleela se bapa jaan damat barkatuhum ul alia ki nagah e faiz aser se ap 2no behnon ko mazeed ilm e niyyat ata farmaye oer ap ki ata kerda in niyyaton per ham sab ko amal kernay ki madani sa'adat ata farmaye aaaaameeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram -
pyari behan! is baray mein hamari ap ki rehnumai ameer e ahl e sunnat damat barkatuhum ul aiya is tarah farmatay hain: Kia Beolad Orat Manhoos Hoti Hay??? mazeed sister hamaray yahan jo log aisi baten kertay hain shariat e mutahhara men is ki koi daleel nahi milti, yaqeenan is men orat ka na hi mard ka kisi ka bhi qusoor nahi hota olad dena ya na dena Allah k ikhtiyar men hay wo jisay chahay ata karay jisay chahay ata na ker k azmaish men daalay, pyari behan her dukh takeef Allah ki taraf se ati hay or yaqeenan hamari azmaish k liye hi hota hay sab kuch, museebat der haqeeqat naimat hay or is naimat ka andaza laganay k liye museebaton or azmaishon per saber k fazail per ghor kerna bohat mufeed rahay ga main yahan afat k fazail per mabni madani phool attech ker rahi hoon ap is ka mutal'a karen or jo beolad khawateen hain wo bhi is ko parhain or apni is azmaish per saber ker k ajr kamain: in fazail ko parhain gi to inshaAllah saber kerna asan hojayega mazeed sana behan aisi khawateen ko jo beolad hain ya kisi bhi azmaish men mubtala hain ameer e ahl e sunnat damat barkatuhum ul aliya ka ye bayan zaroor sunna chahiye: Museebat DEr Haqeeqat Naimat Hay or aisay logon ko jo k is tarah hamari beolad behnon ko ulti seedhi baten bana ker pareshan kertay hain kuch soch laina chahiye k musalman ki dil azari gunah o haram or jahannam men lay janay wala kaam hay, laikin pyari behan main un tamam behnon ko jo is azmaish men mubtala hain yehi arz karoongi k aisay fuzool logon ki baton ko sun ker apnay ansoonoon ka qeemti sarmaya zaya na karen k ansoo ager bahain to khof e khuda men bahain ,apnay gunahon ko yad ker k bahain ya ishq e mustafa mein bahain ,aisay fuzool jahil logon ki jahilana baton se ham aopnay is qeemti sarmaye ko zaya kion karen madina!!! meri madani iltija hay k aisi khawateen apnay jaiz maqsad k husool ki niyyat se or rada e rabbul anam k liye madani ina'amat per amal kernay ki koshish karen .hafta war sunnaton bharay ijtima men shirkat ki sa;adat hasil karain or wahan ja ker apnay maqsad k husool k liye Allah k huzoor dua karen inshaAllah murad poori hogi. jazakillah wassalam ma'al ikram
-
Madani In a'amat (islami behnon k liye)
Umm-e-Anwaar Raza replied to Faizan e Attar@Madani Inaamat's topic in گفتگو فورم
jazakillah faizan e attar sister! Allah pyaray aaqa k sadqay men tamam islami behnon ko madani inaamat ki sachi pakki mukhlis aamila banaye or in madani inaamat ko hamaray liye tosh e akhirat banade aaaaaaaaaaaaaaaameeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram -
sana birthday manana kuch sharait k sath sharan jaiz hay ulama e kiram rahimahum ullah hamari is tarah rehnumai farmatay hain: mazeed ye k jo israf or dikhawa karay us ko khud hi is ka hisab dena hoga or sana sister jo baten shariat k khilaf hoti hain un ko ghalat kehnay mein to koi tammul hi nahi laikin in ghalat kamon ki waja se birthday mananay ko najaiz nahi qarar diya jayega fatway se jaisa k maloom horaha hay k sharai qouoodat k sath jaiz hay Allah pyaray aaqa k sadqay men hamain shariat e mutahhara per amal kernay ki madani sa'adat ata farmaye aaaaameeeeeen bijahin nabiyyil ameen
-
Allah pyaray aaqa k sadaqay men sayyidi ghous e azam k waseela e jaleela se hamaray mulk e azeez pakistan ki hifazat farmaye ,isay androoni o bairooni sazishon se bachaye,isay deen e islam ka qila banaye or dushmanon k sazishain un ki hi taraf phair de sath hi hamari meethi meethi tehreek dawat e islami ko din 25 ween raat 26 ween taraqqi ata farmaye ,bain al aqwami ijtima bakhair o afiat ikhtitam pazeer o kamyab ho or meethay bapa jaan un k ahl o ayal ko hasideen k hasad dushmanon ki dushmani or badnazron ki badnazri se mahfooz rakhay or tamam musalmanon ki jaan maal izzat abroo ki hifazat farmaye or tamam ulama o mashaikh e ahle sunnat ka saya hamaray saron per daraz farmaye aaaaaaaaaaaaaameeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
-
Quran perhne mein ghalti
Umm-e-Anwaar Raza replied to Mureed-e-Attar's topic in فتاوی اور شرعی مسائل کا حل
madina!!! kia ap is baat ko mazeed clear karengay? kis tarah se is kay manay ye hoay arabi qawaid ki roo se? ap baraye madina is ka hawala bhi bayan kerdain mujhay ummeed hay ap uljhan door farmaingay jazakallah wassalam ma'al ikram -
Assalamoalaikum welcome here nyc 2 c u here!!!
jazakAllahu khaira
wassalam ma'al ikram
-
hadees e mubarak ka mafhoom hay k: jahan naikon ka zikr ho wahan rahmat barasti hay' Allah se dua hay k pyaray aaqa k sadaqay mein sayyidi ameereahl e sunnat damat barkatuhum ul aliya ki meethi nigah e faiz aser se hamain in naik o salih beebion ridwanullahi ta'ala alaihunna k naqsh e qadam per chalnay ki madani sa'adat ata farmaye or ham se hamesha hamesha k liye razi hojaye.or in naik beebion k zikr e khair k waqt jo rahmaton ka nuzool horaha hay us men se hamain bhi hissa ata farmaye aaaaaaameeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen jazakillah iqra sister bohat achay waqiyat share kiye ap ne! wassalam ma'al ikram
-
bohat zaberdast article share kiya!! beshak Allah pyaray aaqa k sadaqay men meethay murshid ki nigah e faiz aser se hamari tamam musalman behnon ko parday k muamlat ko khush aslobi se ada kernay ki madani sa'adat ata farmaye or hamain fikr e akhirat kernay ki madani sa'adat ata farmaye aaaaaaaaaameeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
-
bohat achi kitab share ki ap ne iqra sis jazakillahu khaira Allah pyaray aaqa k sadqay mein ham sab ko shariat e mutahhara per amal kernay ki madani sa'adat ata farmaye aaaaaameeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
-
sister ap ka ye topic mujhay bilkul samajh nahi aya fasaad in islam se kia matlab pehlay to ap hi is per kuch roshni dalen ta k baqi sisz bhi kuch disscuss kersakain mujhay ummeed hay ap hamain apna point of view zaroor bataingi jazakillah wassalam ma'al ikram
-
beshak iqra ap ne bilkul sahi baat ki k susral walon ko bhi apnay rawayyay mein lachak rakhni chahiye mera kehnay ka maqsad yahan ye hergiz nahi tha k larki hi her soorat mein qusoor war hoti hay nahi bal k main ne yehi kaha hay k is jhagray mein (saas bahoo k jhagray mein) ziada ter bambari saas hi ki taraf se hoti hay or kia ajeeb baat hay iqra k orat ki zindagi ka her mor her roop bara hi pyara hota hay chahay beti ho behan ho beewi ho ya maan her roop hi apnay ander aik alag kashish rakhta hay,beti hay to maan baap ka sukoon ,behan hay to bhaiyon ki ankhon ki thandak beewi hay to shoher k liye chain o rahat ka saman or maan wahhhh!!! ye roop to dunya ka sab se pyara roop hay is rishtay mein jo kashish hay sab hi samajh saktay hain is baray mein to ham jitna kahain kam hay maan to wo rishta hay jis k agay dunya k saray rishtay haich hain jis ka koi naim al badal ho hi nahi sakta gharaz orat her roop o rishtay mein aik anmol khazana hay apnay muta'alliqeen k liye mager jab yehi orat saas ban jati hay to umooman bahoo k haq mein kisi azab se kam nahi hoti , darasal mahabbat mein shirakat kisi se bhi bardasht nahi hoti or betay ki tawajju ka markaz pehlay sirf maan hoti hay baad mein bahoo jab apnay hissay ki mahabbat samait ti hay to saas se ye umooman bardasht nahi hota nateejatan wohi kuch hota hay jis ka ziker hamari simi sis ne kiya. iqra mera moa'qqif abhi bhi yehi hay k ziada ter saasain hi ya susral walay hi qusoor war hotay hain kion k waqai aik larki jo apni umer kay 22 23 saal jo maan baap k ghar guzarti hay is age tak us ki adatain pukhta hochuki hoti hain,ab zahir hay aik bilkul naya mahole ,aam tor per bilkul alag mizaj k logon k sath rehna khas tor per shoher k sath adjust kerna us k mizaj k mutabiq apni adatain badalna us k sath hansna us k gham mein rona asan kaam nahi hota na sister , in sab baton k liye adjustment k liye aik bohat lamba arsa chahiye, mager phir bhi main yehi kahoongi k larki ko adjust honay k liye sabr o tahammul ki or husn e sulook ko apnaye rakhnay ki ashad zaroorat hay, jo baat ameer e ahl e sunnat damat barkatuhum ul aliya ne bayan ki k: to sister main ne sirf isi baat ko paish e nazer rakh k simi sis ko mashwera diya tha k bahoo ko husn e sulook or be intiha saber se kaam laina hoga kion k sister ghar bigarna to chutkiyon ka kaam hay aik minute nahi lagta bigarnay mein mager ghar basana or dilon ka jeetna asan nahi is k liye bari mehnat derkar hay. or ye baat waqai ap ne bilkul sahi kahi k susral walon ko bhi larki k sath husn e sulook se paish ana chahiye ye baat main pehlay bhi arz kerchuki hoon k saas or bahoo yehi dono fareeq hain jo ghar banati ya bigarti hain. Allah pyaray aaqa k sadaqay mein hamari tamam maoon behnon ko aik doosray k sath husn e sulook se paish anay ki tofeeq de or hamaray dermyan se bughz keena ,hasad badgumani in tamam buri adaton ko door farmaker husn e zan ki naimat ata farmaye aaaaaaaaameen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
-
ji sana bohat achi baton ki taraf tawajju dilai ap ne ye sab to hota hi hay kuch sharai masail ki taraf bhi ager ham nazer dalen to main ap ki tawajju dilaoon k shoher ko chahiye k apni beewi ko us k maan baap k ghar 8 din mein aik dafa zaroor lay jaye, mager akser jaghon per ye hal hota hay k maan baap k ghar larki her 2sray 3sray din chakkar lagati hay ,theek hay jaye larki maan baap k ghar jab chahay mager shoher us ko her dafa lay jata ya janay ki ijazat deta hay to ye us per wajib nahi hay, mazeed ye k beewi k behan bhai k ghar lay jana beewi k khandan mein kisi ki shadi hay wahan jana gift dena waghaira ye sab bhi shoher per shariat ne wajib nahi kiya mazeed aik bara aham mas ala k zakat jab orat per wajib hoti hay to usay khud ada kerni chahiye mager hamaray yahan oratain kahan khud apnay paison se zakat ada kerti hain shaoher hi ada kerta hay to shoher ager beewi ki taraf se us ki ijazat se ada keray to ada to ho jaye gi mager ye ada kerna shoher per wajib nahi .isi tarah fitray ka muamla hay k jis per wajib hay khud ada karay mager umooman shoher hi ada kerta hay to in baton ko bhi to note kerna chahiye or mazeed ager kisi member ko is baray mein koi info hon to zaroor share karay yahan. Allah pyaray aaqa k sadaqay mein ham sab ko shariat k ahkamat samajh ker un per amal kernay ki or doosron tak ponhchanay ki madani sa'adat ata farmaye aaaaameeeeeeeeenm bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram