Umm-e-Anwaar Raza
مدیرِ اعلیٰ-
کل پوسٹس
1,364 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
-
جیتے ہوئے دن
9
سب کچھ Umm-e-Anwaar Raza نے پوسٹ کیا
-
Share Ur Experinces & probs abt children
Umm-e-Anwaar Raza replied to Madinah_Madinah's topic in بچوں کا فورم
respected members! bachon ki taleem o tarbiyyat k hawalay se Ameer e Ahl e Sunnat damat barkatuhum ul aliya ne aik madani muzakray men kuch madani phool irshad farmaye hain ,ap sab bhi sunye: bachon Ki taleem O tarbiyyat K Usool wassalam ma'al ikram -
bohat pyara madani tuhfa ata farmaya naye saal ka, Allah pyaray aaqa k sadqay men sayyidi ghous ul wara k waseela e jaleela se IM or IE ko isi tarah kamyabi se taraqqi k marahil tay kernay ki sa'adat ata farmaye ,isay din 25 ween raat 26 ween taraqqi ata farmaye or tamam team membz or mrmbz ko ikhlas k sath IM k zariye naiki ki dawat ki dhoomain machanay ki madani sa'adat ata farmaye. aaaaaaaameeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
-
Madani In a'amat (islami behnon k liye)
Umm-e-Anwaar Raza replied to Faizan e Attar@Madani Inaamat's topic in گفتگو فورم
qufl e madinah sis bohat achi book share ki ap ne jazakillah wassalam ma'al ikram -
faizan e niyyat jari hay pyaray aaqa k 4 yaron ridwan ullah alaihim ajmaeen ki nisbat se 4 mazeed niyyaten:. 1-apnay rishtay daron per infiradi koshish ker k unhain ameer e ahl e sunnat damat barkatuhum ul aliya ka mureed banwaoongi. 2-apnay ghar k maharim per infiradi koshish ker k unhain her mahinay 3 din madani qafilay men safar ki targheeb dilaoongi. 3- is ssal meray khandan men jo bhi taqreeb hoi infiradi koshish ker k wahan langar e rasail ki tarkeeb banwaoongi 4- riza e rabb ul anam k kaam ker k Attar madda zillu hul aali ki madani beti bannay ki koshish karoongi. INSHAALLAH Allah pyaray aaqa k ssadqay men ham sab ko in niyyaton ko ker k in per ikhlas k sath amal kernay ki madani sa'adat ata farmaye. aaameeeeeeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
-
madina ap ne jo shaikh ameen k aqaid k baray men likha ,darulifta se is baray men kisi ne aik fatwa liya tha us ka jawab mulahiza farmain: Ques: assalam o aalaikum 5 saal qabal meyri molaqat aik adami jis ka naam sheikh amin ha say howi yeh adami apnay aap ko duniya ka sab say bara sufi peer manta ha.sheikh amin shah rukan alam colony multan main rahta ha aur apna taloq silsale idreesia say batata ha.main nay bohat koshish ki k silsale idreesia kay bare main malomat hasil kar sakon likin mugh ko kohi kamyabi nahi mili,yeh silsale idreesia kiya ha? baherhal sheikh amin kay asal aqeeday kay bare main bi mugh ko shaq ha k aya yeh kis aqeeday ka malik ha? sheikh amin apnay baray main ajeeb o ghareeb kisam kay daway karta ha jin ki muhtasar tafil yoon ha (1)Allah aur Nabi(pbuh)dono meyray jisam main dahil hain(2)tamam kiynat main Allah Nabi(pbuh)aur meyray (sheikh amin)kay ilawa kisi aur chiz ka wajood nahi ha (3)Nabi (pbuh)ko jis nay dekha wo sab mosalman na ban sakay likin jis kisi nay bi mugh ko (sheikh amin) dekh liya wo musalman ban giya aur janaat lazim ho gi (4)wahabi,deobanidi shia qadyani sab muslim hain k wo bi calmagoo hain jis nay qadyani ko kafar qarar diya os ka aur os ki olad ka badtareen anjam howa (5)hazraat sheikh abdul qadir jilani ka haqeeqat say taloq nahi ha bas yeh aik afsana hi ha jis nay sheikh abdul qadir jilani ko mana wo kafar ho giya (maz allah) yeh batin os sheetani sheikh nay apni zuban say ada ki aur main nay bi soni hain. kiya asay aqeeday wala adami mosalman ho sakta ha? afsas kay sheikh amin jasa napaak adami oillya Allah kay azim shaher multan sharif main qayam karte howay apnay nappak aqeed ko sada logon main phila raha ha. wahabi deobaniyon nay Allah ka naam istamal karte howay islam ki asal rooh say muslims ko door kiya aur aab yeh sheikh amin Nabi(pbuh)ka naam mubarak istamal kar kay logon ko bad aqeeda bana raha ha.sheikh amin kay mureed to os ko Allah ka nabi bi likhte hain is ki misal yeh link ha jo aap ko arsal kar raha hon (SHAIKH MOHAMMAD AMEEN BIN ABDURRAHMAN SHEIK SHAIB IS THE GREATEST GOD MESSENGER ) wassalam ma'al ikram
-
niyyaton ki baharain dekh ker to dil bagh bagh bal k bagh e attar ban gaya jazakumullah Allah pyara aaqa k sadqay men sayyidi ghous ul wara k waseela e jaleela se ameer e ahl e sunnat damat barkatuhum ul aliya k is faizan ko mazeed wasee farmaye or ameer e ahl e sunnat damat barkatuhum ul aliya k ilm, amal or umer men barakaten ata farmaye aaaameeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
-
Madani Kamon Ki Taqseem Key Taqazey .:. 19 Madani Phool
Umm-e-Anwaar Raza replied to سگِ عطار's topic in دیگر اسلامی مواد
bohat achay or mufeed madani phool share kiya Allah pyaray aaqa k sadqay men murshid damat barkatuhum ul aliya ki nigah e faiz aser se hamain in madani phoolon se apni misham e jaan ko moattar kernay ki madani sa'adat ata farmaye aaameeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram -
zaberdast iqra sis bohat achi or aham baat ki taraf tawajju dilai ap ne, inshaAllah main bhi jald kuch niyyaten share karoongi or ummeed hay deegar membz bhi hamaray ilm men izafa farmaingay Allah pyaray aaqa k sadqay men ,huzoor ghos e azam k waseela e jaleela se, meethay murshid damat barkatuhum ul aliya k faizan se achi achi niyyaton ki madani soch ham sab ko ata farmaye or hamain achi achi niyyaten ker k akhirat k liye bharpoor zakheera jama kernay ki madani sa'adat ata farmaye. aameeeeeen binahin nabiyyil ameen jazakillah wassalam ma'al ikram
-
janab faizy sahib dekhiye ye aik islami forum hay ,ham sab yahan islami maloomat share kernay k liye jama hotay hain ,bohat achi baat hay k ap bhi maloomat hasil kernay k liye seekhnay k liye aye hay meri ap se guzarish hay k forum per ghair zaroori guftugoo se parhaiz karen ,khas tor per kisi sister se personal swal or ghair zaroori baat na karen. ap ko ager posting men koi problem hay, ya forum ki koi bhi cheez nahi samajh ati kisi help ki zaroorat hay to team memberz(Admin/Super Moderator/Brothers Moderators) se rabta karen. wassalam ma'al ikram
-
Allah pyaray aaqa k sadqay men ameer e ahl e sunnat damat barkatuhum ul aliya k ilm amal ,umer o ishq e rasool men barakaten ata farmaye. aaaameeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
-
marhaba pyari islami behan! ummeed hay ap yahan aik acha izafa sabit hongi inshaAllah , or ye parh ker khushi hoi k ap huzoor fahkr e millat madda zillu hul aali ki mureedni hain, Allah pyaray aaqa k sadqay men huzoor sayyidi ghous e azam k waseela e jaleela se huzoor fakhr e millat madda zillu hul aali or tamam ulama o mashaikh e ahl e sunnat dama zilluhum ka saya ham sab k saron per taweel farmaye or hamain ulama e ahl e sunnat ka ba adab rehnay ki or un ki pairwi kernay ki madani sa'adat ata farmaye, aaaameeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
-
sana ap ko 2bara active dekh ker khushi hoi welcome back sis beshak InshaAllah Allah pyaray aaqa k sadqay men ham sab ko us der ki baadab hazri naseeb farmaye or waheen pyaray aaqa k qadmon men un k jalwon men meethi meethi moat ki madani sa'adat ata farmaye aameeeeeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
-
jahan tak meri naqis maloomat hay usaid or ubaid der asal tasgheer k seeghay hain yani chotai bayan kernay k ubaid ubd se bana hay meaning hain chota banda ,or usaid asad se matlab chota sher. ager meri maloomat ghalat hon to koi member baraye madina islah farmain. wassalam ma'al ikram
-
Commisioner ki Beti (Jalwaa-e-Zeba)
Umm-e-Anwaar Raza replied to Mudasir Yaseen's topic in اسلامی حکایات و واقعات
sister ye article allama arshad ul qadri ki Book Zulf o Zanjeer se liya gaya hay.Ye Book parhnay se ta'alluq rakhti hay. jazakillah wassalam ma'al ikram -
dear sis ap ne bohat acha swal kiya... first of all ap un sis ko namaz ki ahmiat us k fazail or na parhnay per azabat ki wa'eedon se samjhain , is k liye sab se behter tareeqa hay k ap unhain ye book parhnay ka mashwera den Namaz K Ahkam doosri baat jo wo sis kehti hain k toba kernay per ye kaisay pata chalay k toba qubool hoi ya nahi to is silsilay men ap unhain almadeena tul ilmiya ki ye kitab parhnay ko dain: Toba Ki Riwayat O Hikayat isi men imam ghazzali rahmatullah alaih k hawalay se ye ibarat manqool hay: or doosri baat jo wo test denay jati hain or phir shayad sab bhool jati hain ya apnay teacher se derti hain is se zahir hota hay k wo sister apnay sir ki bohat ziada expectations se derti hain or ahsas e kamtari ka shikar hain,ahsas e kamtari ko door kernay k liye ameer e ahl e sunnat damat barkatuhum ul aliya farmatay hain k her waqt bawuzoo raha jaye,mazeed tafseel k liye madani muzakray ka ye swal sama'at farmain: Ahsas e kamtari Ka Ilaj or aik or tareeqa jo student jis shubay men bhi kamzor hay us ka bohat asan hal jaisay ager kisi student ko yaad sab kuch hojata hay laikin jab likhnay baithay to likha na jaye ya yaad sab hota hay sabaq sunaya na jaye boltay hoay confusion ho,yad kertay hoay confusion ho koi bhi soorat ho us ka aik mujarrab hal hay ager kisi ko yaad hota hay laikin likha nahi jata to usay yad ker ker k likhnay ki practice kerni chahiye,ager yaad hogaya laikin sabaq sunatay hoay bhool jatay hain to yaad ker ker k usay aik tape men rec kerna chahiye baad men us recording ko sun ker apni aghlat ki nishandahi phir un ki islah kerni chahiye,isi tarah confidence ata hay ,ye mera apna azmaya hoa nuskha hay. is k ilawa ap un sis per infiradi koshish ker k unhain dawat e Islami k sunnaton bharay ijtima men shirkaet per razi karen or madani ina'amat k mutabiq zindagi guzarnay ka mashwera den,mujhay 126% yaqeen hay k is amal se un ki zindagi men aik madani inqilab berpa hojayega or un ko jo shaitani weswasay toba k baray men atay hain or jo namaz ki pabandi nahi hopati ye saray masail bashamool un k ahsas e kamtari k inshaAllah hal hojaingay(Azmaish Shart Hay) mujhay ummeed hay sister ap apni friend per infiradi koshish ker k unhain madani mahole se wabasta kernay men apna kirdar ada karengi inshaAllah mazeed koi wazeefa is baray men mujhay maloom nahi yaqeenan koi or member is baray men rehnumai farmaingay. Allah pyaray aaqa k sadqay men,sayyidi ghous ul wara k waseela e jaleela se ham sab ko madani mahole men ta dam e marg wabastagi naseeb farmaye. aameeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
-
sister! waqai ap ne bilkul sahih kaha apna mulk apni jaga, apni jaga hi hoti hay or yahan aker apnon se doori ka be intiha ahsas hota hay sirf eid nahi her moqa hi bara mushkil hota hay sab se door guzarna, sab se aham baat k eid k din yahan koi chutti to hoti nahi pakistan ki tarah, bachay school jatay hain mard hazrat kaam per jatay hain as usual. is liye kisi speciallity ka andaza jo chutti se hota hay wo yahan nahi hota, aam logon ki nisbat mujhay kuch eid ka andaza is tarah hojata hay k hamaray ghar k qareeb hi faizan e madina hay is liye namaz ka ahtamam (even khutba or namaz ki awaz) namaz k baad namazion ki chahal pehel eid mubarak ka shor kuch hota hi hay is k ilawa faizan e madina k qareeb rehnay ki barakat se meray ghar kafi khawa3 ka ana jana rehta hay jo eid k din bhi hota hay is tarah mujhay doosri families ki nisbat ziada andaza hota hay k eid ka moqa hay or meray madani kids ko bhi eid ka pata chalta hay. or is dafa eid k din yahan elections ki chutti thi public holiday to nahi laikin kafi offices or schools band thay is liye is dafa kafi families ka ana jana raha or waqai eid ka maza aya. laikin sab se bari baat sisz k ye sari ronaqain to kuch bhi nahi , jaisi ronaq jo maza pak men hota hay wo yahan kahan .or in sab se barh ker eid ka asal maza to yaqeenan madinay shareef ki hazri men hota hoga k momin ki asal eid to us dar ki hazri hay Allah pyaray aaqa k sadqay men ,huzoor ghous e azam k waseela e jalela se meethay murshid damat barkatuhum ul aliya ki nigah e faiz aser se sab musalmanon ko madeenay shareef ki ba adab hazri ata farmaye aameeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
-
Assalamoalaikum wr wb wm
happy Birth day dear sis! Allah azzawajalla pyaray aaqa sallallaholaihi wasallam k sadqay men ap ko den ka kaam ikhlas k sath kernay ki madani sa'adat ata farmaye aameeeen bijhain nabiyyil ameen sallallaho alaihi wasallam wassalam ma'al ikram,duaon ki talabgar.
-
Molvi Tariq Jameel Ki Wife Key Zaiveraat Chori
Umm-e-Anwaar Raza replied to Faraz Madani's topic in فتنہ وہابی دیوبندی
Assalamo ala man ittaba alhuda yaqeenan mr. malang ap ne bilkul hi sahi kaha, tariq jameel k ghar walay us ki baat ki taraf tawwaju nahi kertay hongay(ahhh dunya men hi ibrat) or yaqeenan us k ghar walay kharab hain ,ye baat ham ne nahi kahi ap ne hi is taraf hamari tawajju dilai hay Lo Ap Apnay Daam Men Sayyad agaya jab qiyamat k din Allah ahl o ayal k baray men swal farmaye ga to ap k molwi haseen o jameel shayad yehi uzer paish karaingay k nabi alihis salam k ghar walay bhi kharab thay or hazrat nooh alaihissalam k betay ne bhi un ki baat nahi mani thi(sharm tum ko mager nahi ati) Allah pyaray aaqa k sadqay men muslim ummat ko is fitnay k shar se mahfooz rakhay or ham sab ko aaqa ki sachi pakki mahabbat ata farmaday aameeeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen -
Why Women Should Wear the Veil?
Umm-e-Anwaar Raza replied to Gham-e-Madinah's topic in اسلام میں عورتوں کے حقوق
,nice post wassalam ma'al ikram -
bohat aham baat ki taraf tawajju dilai ap ne sister! jazakillah azzawajalla wassalam ma'al ikram
-
islami pardah aur iffat e khawateen
Umm-e-Anwaar Raza replied to Iqra's topic in اسلام میں عورتوں کے حقوق
bohat pyara article share kiya iqra ap ne,Jazakillah . Yaqeenan Islam Ne Hi Orat Ko Haqeeqi Azadi Ata Ki Hay Alhamdulillah or Yaqeenan Perday Men Jitni Protection Feel Hoti Hay ,Beperdagi Men Nahi Hosakti.Alhamdulllah Hamain Islam Ne Behtereen Zabita e Hayat Ata Farmaya Hay. Allah Pyaray Aaqa k sadqay men tamam musalman behnon ko perday k tamam muamlat khoosh aslobi se ada kernay ki madani sa'adat ata farmaye aaameeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram -
bohat acha article share kiya. yaqeenan perday hi men bhalain hain shariat e mutahhara orat k perday k baray men hamari mukammal rehnumai farmati hay mazeed maloomat k liye is thread ka mutala'a karna bhi mufeed hoga: orat k chahray ka perda Allah pyaray aaqa k sadqay men,sayyidat un nisa bibi Fatima tuz Zahra radi Allahu ta'ala anha ki chader e haya k sadqay men tamam musalman behnon ko sharm o haya ki dolat ata farmaye aaaameeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
-
Litle Chid in Blood Cancer pray for him(read it)
Umm-e-Anwaar Raza replied to Gham-e-Madinah's topic in دیگر تمام درخواستیں
Allah Pyaray Aaqa k sadqay men huzoor ghous e azam k waseela e jaleela se us madani munnay ko sahat e kamila,Aajila o shifa e kulli ata farmaye or is imtehan men mubtala us k waliden or azeez o aqarib ko saber k sath ye kathen waqt guzarnay ki tofeeq ata farmaye aaameeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram -
Share Ur Experinces & probs abt children
Umm-e-Anwaar Raza replied to Madinah_Madinah's topic in بچوں کا فورم
actually sister! bachay ko maan baap 2no hi ki tawajju ki beintiha zaroorat hay, ap k bhai k ander jo kami hay us ki waja yehi nazer ati hay k usay maan baap 2no ki tawajju nahi mil pati or rahi baat k ap us k sath baith ker cartoon dekhain khailain,baten karen is ki bhi hasiyat hay laikin jo baat maan baap ki tawajju ki hoti hay wo kisi ki bhi nahi hoti ,olad ko maan baap k qurb se jo sukoon hasil hota hay wo dunya k kisi rishtay se bhi hasil nahi hosakta or ye baat sirf bachpan tak mehdood nahi,bacha ho jawan ya boorha kisi bhi umer men maan baap ki kami koi or poori nahi kersakta, or is k ilawa baaz bachay bohat hassas tabiyat k hotay hain kisi baat ko doosray bachay jitna feel karain us se ziada feel kertay hain to aisay bachay bohat ziada attension k mustahiq hotay hain maan baap ager personal attension na den to un bachon ki halat aisi hi hoti hay jaisi ap ne bayan ki, is ka meri naqis raye men to yehi hal hay k jab bacha choti choti baton ko bara feel kerta hay is ka matlab hay k wo mamooli baton ko bhi bohat hasiyat deta hay or be intiha tawajju ka talib hay. is liye aisay bachon per khusoosi tawajju maan baap ko deni chahiye kion k yehi age hay jab bachay ki shakhsiyat sazi hoti hay ager abhi koi kami reh gai to sari zindagi door nahi hosakti or bachay men kabhi bhi phir confidence create nahi kiya jasakta, ummeed hay ap apnay bhai men mojood is kami ko poora kernay ke liye apna role bharpoor tareeqay se ada karengi. Allah pyaray aaqa k sadqay men ham sab waliden ko apni olad ki sahih tarbiyyat kernay or un ki sahi shakhsiyat sazi kernay ki tofeeq ata farmaye aameeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram -
yaqeenan Islam zindagi k her shaubay men hamari rehnumai farmata hay or is k tamam ahkamat hikmaton se pur hain sirf samajhnay wali aql ki zaroorat hay Allah pyaray aaqa k sadqay men ,sayyidi ghous ul wara k waseela e jaleela se hamain sharai ahkamat ki mukammal pairwi kernay ki madani sa'adat ata farmaye aaameeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen brother! wassalam ma'al ikram