Jump to content

Umm-e-Anwaar Raza

مدیرِ اعلیٰ
  • کل پوسٹس

    1,364
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    9

سب کچھ Umm-e-Anwaar Raza نے پوسٹ کیا

  1. Umm-e-Anwaar Raza

    Hadith Ki Zaroorat O Ahmiyat

    mohtaram members! hadith ki zaroorat o ahmiyat per mufti Ahmed yar Khan naeemi Ki ye tasneef bohat jamay hay,is men tamam aitirazat ka jawab diya gaya hay:
  2. ohhhhh pyari islami behan Allahu akber iman k dako' on k beech men tan e tanha rehna(yani bighair peer k saye k rehna)iman k liye sakht khatarnak hay.sister ap koshish ker k unhain ameer e ahl e sunnat ka mureed banwanay ki tarkeeb farmain .inshaallah jab aik wali e kamil k zair e saya ajaingi to agay ki mushkilat bhi hal hoti jaingi. Allah pyaray aaqa k sadqay men ham sab musalmanon ko sahih aqeeday per mazbooti se qaim rehnay or sahih aqaid ko doosron tak ponhchanay or un aqaid per sab ko chalanay ki madani sa'adat ata farmaye. aaameeeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
  3. good job! madinah madinah sister bohat achi niyyaten share kin ap ne jazakillah wassalam ma'al ikram
  4. pyari islami behan! main ne ye nahi kaha k aik dam se jaker ghar ka mahole badal den aik dam se to her kaam hi mushkil hota hay start men sab mushkil hota hay laikin ap dekhain ap aik moti si misal hi lay lain k her admi mazdoor ki tarah bhari bhari saman akaila nahi utha sakta laikin..... mazdoor bhi to aik admi hi hay wo dunya men atay hi to bojh uthanay k kaam per nahi laga hoga na kabhi to us ne start kiya hoga to usay bhi mushkil hoi hogi laikin ahista ahissta ab wo itna mahir hogya k aram se bojh uthalaita hay to yaqeenan her kaam start men mushkil hota hay jab kertay chalay jao to asanian ati jati hain.isi tarah jab chota bacha cralling start kerta hay phir ahista ahista aik aik qadam utha ker girta perta chalna seekhta hay aik dam se koi bacha chalna nahi seekhta laikin dekhain chotay bachay men bhi Allah ne ye sence rakhi hay k jab wo chalna shuroo kerta hay chahay giray chahay chot lagay wo phir bhi chalnay ka shoqeen or apnay saharay se kharay honay ki koshish kerta rehta hay yani qudrat ne insan ko aisa paida farmaya hay k wo mushkil se mushkil kaam kersakta hay,hamain yahan aik bachay se hi dars hasil ker k himmat bandhni hay hosla nahi haren koi kaam mushkil nahi,Allah ki madad shamil e haal ho to sab kaam asan hay. laikin kaam ko kernay ka saleeqa ana chahiye. or madina madina sis ne bilkul sahih hadees e mubaraka quote ki k: افضل الاعمال احمزھا is liye ap koshish start karen Allah k bharosay per or kis tarah se mahole banana hay ye to ameer e ahl e sunnat hamain irshad farma hi chukay hain. ghar men mahole banay k liye sab se pehlay to apnay ap men tabdeeli zaroori hay ager larki ko importance nahi di jati to pehlay usay apnay ap men tabdeeli kerni hogi awwal to larki madani inaamat per amal start kare us k mutabiq jo ghar main mahole bananay k madani phool hain us main maan baap ko dekh ker tazeem se khara hojana maan ka hath choomna ,un ka jo hukum khilaf e shara na ho poora kerna bhi shamil hain larki jab apni ammi ko dekh ker tazeem se khari hojaigi, roz aik dafa un ka hatn choomaigi un ka hasb e shara hukum manaigi to yaqeenan un ka dil apni beti ki taraf se naram per jaye ga ager bilferz wo pooch bhi lain k wo aisa kion ker rahi hain to wo unhain bataye k dawat e islami ne hamain ye sikhaya hay to wo yaqeenan dawate islami se mutassir hojaingi chahay beti se izhar na karen ye beti k liye first positive pehloo hoga baat manwanay ka mazeed ye k ameer e ahle sunnat farmatay hain k jab koi shadeed hajat derpaish ho 2 rakat salat ul hajat parhain us k baad Allah se ro ro ker dua mangain inshaAllah qubool hogi ager parhnay walay k haq men behter hoi to ye bhi ker k dekh lay. wesay bhi dua mangti rahay k hadees mein ata hay dua momin ka hathyar hay is k ilawa ameer e ahl e sunnat farmatay hain k ager larki din men 12 baar bhi hath jor ker apnay ghar walon ko namaz parhnay ka kahay to ghar walay bura nahi manaingay laikin ager aik dafa bhi t.v dekhnay per tok diya ya bepardagi kernay per behan waghaira ko tok diya to kaam kharab hosakta hay is liye start men faraiz per tawajju den k aonay ghar walon per infiradi koshish ker k namaz ka aadi banaya jaye jab namaz ki pabandi hojayegi inshaallah baqi buraiyon se bachana bhi asan hojaye ga is liye hikmat e amali or narmi se hi ghar walon per kaam kerna hay bilkul jazbati nahi hona , baat nahi mani jati saber se bardasht kerna hay ghussa kiya to sab kiya karaya akarat hojayega. aik or baat larki apni behnon per infiradi koshish karay behnon men wesay bhi understanding hoti hay sab kaam hi sath kerti hain khana peena kaheen ana jana even kitchen men kaam sath hota hay to waqtan fawaqtan behnon per koshish ker k unhain apnay sath karen phir waliden per inshaallah jald hi ap mahole bananay men kamyab hojaingi. ameer e ahle sunnat ka ye bayan bhi sunna bhi mufeed rahay ga: islami behnon k tarbiyyati madani phool or jab ap ki suni jaigi na to mani bhi jayegi inshaallah or aqaid badalna waqai asan nahi laikin koi bohat ziada mushkil bhi nahi start to ki jaye koshish ,ameer e ahl e sunnat farmatay hain muskilat insan ko sikhanay k liye ati hain koi mushkil derpaish hogi to ap us se bohat se baten seekh jaingi. or rahi baat un sister ki jin ka ziker attaria91 sis ne kiya meri naqis raye hay k beewi apnay shoher ko bohat aram se qail kersakti hay dekhain jab dunyawi muamlat hotay hain beewi ko apnay maan baap k ghar jana hay ,sahaili k ghar jana hay ya shopping k liye her jaga janay ki baat manwana goya k koi mushkil kaam hi nahi bas deen k kamon men aker khawateen ko aisay waswasay anay lagtay hain k ham kis tarah manwain or susral walay kia kahaingay waghaira waghaira . sister ap un sis ko mashwera den k wo narmi or hikmat e amali se sab se pehlay shoher ko qail karen aik dam se nahi ahista ahista narmi se or jo beewi apnay shoher ki her jaiz baat manti hay us ki ita'at kerti hay to wo shoher bhi apni beewi ki her jaiz baat manlaita hay ba asani. azmaish shart hay inshaAllah is tarah se jab wo shoher per koshish men kamyab hogain to samjhain adhay se ziada kaam to unhon ne kerlia ab baqi kaam men to shoher ki support bhi hogi na or baqol ap k k larkay ziada baat manwasaktay hain to ab jab shoher ki support hogi to yaqeenan wo ziada jaldi apnay susral walon ko bhi sahih rastay per lanay men kamyab hojaingi. Allah pyaray aaqa k sadqay men ham sab ko shariat e mutahhara ki mukammal pairwi kernay ki madani sa'adat ata farmaye. aaaaaaaameeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
  5. madinah madinah sister! zaber10st bohat acha reply kiya ap ne mukammal satisfy kerdiya yaqeenan sis ko. main ap ki baton se agree kerti hoon. sis ye bat main nahi maan sakti aray larkian to larkon se ziada baat manwa sakti hain, barha dekha gaya hay k islami bhai mahole men saalon se hotay hain laikin un k ghar men mahole wesa ban nahi pata laikin jahan ghar ki islami behnain mahole se related hoti hain wo banisbat islami bhai k jaldi ghar k mahole ko madina madina kerdeti hain is liye k maan ki goad pehli darsgah hoti hayis k ilawa larkion ka ziada time ghar pe guzarta hay or i think beti maan baap se ziada qareeb hoti hay baat manwanay k muamlay men ,is liye beti maan baap ka zehan bana sakti hay ahista ahista hikmat e amali k sath isi tarah beewi shoher ka or bachon ka.ab rahi baat un sister ki jin k baray men ap ne farmaya to behter hay k is k liye ap mufti sahib se maloom karen k wo gunahgar hoti hain is tarah ya nahi laikin wo apnay bachon ka or shoher ka zehan banasakti hain ager ghar men mahole bananay k madani phoolon per amal farmain.or jab unhain sahih aqeeday ka maloom hay k sahih aqeeda ahl e sunnat wal jama'at ka hi hay to ye kitna ajeeb hay k wo maslehatan ghalat aqeeday per bazahir qaim hain. shariat e mutahhara is baray men kia rehnumai farmati hay ap zaroor muftian e karam se maloom karen laikin meri naqis raye hay k un behan ko samjhain k narmi or hikmat e amali k sath sab se pehlay apnay shoher ka zehan banain ,yaqeen karen shoher ko ager sahih aqeeday per qaim kernay men kamyab hogain to agay ka safer phir kuch mushkil nahi rahay ga inshaAllah,or bachay to hotay hi maan k control men hain bachon ko bhi wo ahista ahista sahih ul aqeeda sunni banasakti hain jab shoher or bachay agaye sahih rastay per phir inshaAllah susral men kaam kerna mazeed asan hojayega bilfarz susral walon ko nahi samjhapatin tab bhi kam az kam khud to sahih aqeeday per sukoon se amal kersakaingi k shoher ki support hogi unhain. beshak susral men rehnay k liye bahoo ko hidayat bhi meethay bapa jaan ne ata ki hain un ka mutala'a kernay k liye is thread ka mutal'a farmain: Rights Of Inlaws Allah pyaray aaqa k sadqay men ham sab ko apnay apnay ghar men madani mahole banay ki madani sa'adat ata farmaye. aaaameeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
  6. meethi islami behnon! sab se pehlay to ye sochain k dost kisay kehtay hain? ap sab college, university students hain, main bhi ye time guzar chuki hoon . aik class men bilfarz ager 100 students hain to kia wo 100 k 100 fellows ap ki dost hongi? nahi na un men se ap ki sahaili koi 1/ 2 ya 3 hi hongi na dost wo hota hay jis se insan apni tamam pareshanian share karay jo hamaray dukh dard ka sathi hota hay,jis se koi bhi takleef pareshani keh ker ham halkay phulkay hojatay hain. to dost kisay banana chahiye ye mayyar to shariat e mutahhara hamain de hi chuki hay dost to bas apna ham aqeeda or naik salih hi banana chahiye jo hamara muhasib bhi ho naiki k kamon men madadgar bhi or buraiyon se roknay wala bhi. baqi rahi baat k dost k ilawa jo fellows hain hamain un se kesa behaviour rakhna chahiye, to sisterz! sab se behter tareeqa aqaid maloom kernay ka ye hota hay k jab ap mil ker baithti hain college/uni men koi free period hay ya break hay to kisi bhi bahanay is tarah ka topic start kerdain maslan madani inaamat ka risla nikal ker hi dikhaden k ye ameer e ahl e sunnat damat barkatuhum ul aliya k ata kerda madani inaamat hain jo asani se naikian kernay or gunahon se bachnay k liye hamain ameer e ahl e sunnat damat barkatuhum ul aliya ne ata farmaye hain. chalain ager ye kehnay ki himmat nahi hopati k sab larkian doosray topics per baten ker rahi hain to is tarah se baat ki jaye k kisi se poochain k ap ki ghar men kia masroofiat hain phir apni masroofiat ka ziker karain k main ghar k kaam kaaj parhai se farigh honay k baad internet use kerti hoon apni friends ko dawate islami ki site ka link den ,IM ka link den or batain k yahan kitna acha deeni kaam hota hay ham yahan apnay masail bhi disscuss kertay hain,mujhay 100% yaqeen hay ager koi badmazhab larki hogi to dawat e islami k naam se hi apnay ander ka zehar ugal degi jab k ahl e mahabbat ka to andaz hi alg hoga ,to ap direct aqaid ka na poochain jab aik group ki soorat men larkian baithi hon bas ziker chairden ameer e ahl e sunnat damat barkatuhum ul aliya ki new vcd ka,bal k ap ager mumkin hosakay to apni friends ko dawat e islami k hafta war ijtima men shirkat ki dawat den or sunnaton bharay ijtima men shirkat k fazail bata ker targheeb den is tareeqay se bhi jo badmazhab hongi pehchani jaingi, ab un se kaisa rawayya rakha jaye? ap un se baat cheet karen zarooratan parhai k baray men notes bananay k baray men kon si reference book se notes behter ban saktay hain is baray men waghaira waghaira. laikin yahan baat chali thi dosti ki to us per main ne ap ki khidmat men ahadees e mubaraka paish kin thi. sister aisi badmazhab badaqeeda sahailion k saye se bhi door bhagain sirf kaam ki baat us k baad koi baat nahi wesay bhi collegge men ziada time to periods attend kertay hoay hi guzar jata hay jo free period milay us men koshish to yehi karen k un badaqeeda sahailion se door hi rahain bilfarz milna bhi paray to bas kaam ki baat karen or un ko na apnay qareeb karen na un se qareeb hon, yani na unhain apnay raaz batain na hi un se un ki personal life ki baten karen is soorat men to shayad bachat ki soorat nikle aye wegerna sister ager ap ye sochain k dunya main rehna hay to sab se mail jol rakhna hoga to ye soch ap ko ap k aqaid per mazbooti se jamnay nahi degi. dost bananay hay to apna ham aqeeda or baqi logon se ta'alluq sirf kaam ki had tak. sister! ap ki ye soch achi hay ap apni class fellows per infiradi koshish zaroor karain laikin sis...... yaad rahay k aik hadees e mubaraka ka mafhoom hay jis ne apnay nafs per aitimad kiya us ne bohat baray kazzab per aitimad kiya. to koshish jari rakhain laikin sath hi apnay nafs per mukammal aitimad nahi k hamain kuch nahi hosakta yad rakhain suhbat ka ser bohat jaldi hota hay,Allah ki khufiya tadbeer se dertay hoay hi deen ka kam behter andaz men hosakta hay ham ap kia baray baray log is maidan men apnay nafs per aitimad kernay k zaum men barbad hogaye.is liye sister ap koshish zaroor jari rakhain laikin apnay aqaid per mazbooti se qaim rehnay k liye zaroor tadbeerain farmain. hafta war sunnaton bharay ijtima men lazmi shirkat karen or madani inaamat k risalay ko bhi mazbooti se thamain rahain inshaAllah ap khud bhi kamyab rahaingi or ap ki koshishon se inshaallah ap ki badmazhab fellows bhi rah e rast per ajaingi. ummeed hay ap sab ki uljhan door hogai hogi, ager abhi bhi koi confusion ho to zaroor disscuss karen. Allah pyaray aaqa k sadqay men ham sab ko ba amal banaye or naikian kernay doosron ko naiki ki dawat denay, buraiyon se bachnay or doosron ko bachanay ki madani sa'adat ata farmaye or ham sab ko ikhlas k sath deen ka kaam kernay ki tofeeq ata farmaye or buray logon ki suhbat se bachnay ki sa'adat ata farmaye. aaaaaaaaaameeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
  7. bohat achi info di is firqay k baray men jazakumullah wassalam ma'al ikram
  8. پیاری بہن! میں آپ کی بات سے 100٪ متفق ہوں کہ دوستی کا معیار ہر شخص کے نزدیک مختلف ہوتا ہے اور اس کا تعلق ذہنی سطح سے بھی ہوتا ہے لیکن سسٹر ! اصل میں ہمیں اپنے بنائے ہوئے معیارات کے بجائے شریعتِ مطہرہ کے دئے گئے معیار کو اپنانا چاہئے سب سے پہلے تو یہ بان ذہن نشین کی جائے کہ دوست بناتے وقت ہمیں اس کے عقائد کو دیکھنا چاہئے ۔بدمذہب اور برے شخص کی دوستی تو ہے ہی ایمان کے لئے زہرِ قاتل اور بری صحبت سے بچنے کی جابجا تاکید کی گئی ہے اسی طرح ایک حدیث شریف میں آتا ہے حضرت ابو موسیٰ اشعری رضی اللہ تعالیٰ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ نے ارشاد فرمایا: اچھے اور برے ساتھی کی مثال مشک کے اٹھانے اور بھٹی دھونکنے والے کی طرح ہے۔ مشک(ایک بیترین خوشبو کا نام) اٹھانے والا یا تو تجھے ویسے ہی دےگا یا تو اس سے کچھ خرید لے گا۔اور یا تو اس سے اچھی خوشبو پائے گا اور بھٹی دھونکنے والا یا تیرے کپڑے جلادے گا یا تو اس سے بدبو پائے گا ( متفق علیہ، مشکوٰۃ ص 426) اسی طرح سسٹر ! ایک حدیث ِ مبارکہ میں اس طرح ہماری رہنمائی کی جاتی ہے کہ نبی کریم نے فرمایا المرءعلیٰ دین ِخلیلہ فلینظر احد کم من یخالل (رواہ الترمذی احمد و ابو داود البیہقی فی معب الایمان مشکوٰۃ ص 427) ترجمہ: آدمی اپنے دوست کے دین اور اس کے طور طریق پر ہوتا ہے لہٰذا ضروری ہے کہ وہ دیکھے کہ کس سے دوستی رکھتا ہے۔ کشف المحجوب مترجم ص 483) اور اگر بالفرض اگر بد قسمتی سے ہم نے کوئی بری صحبت اختیار کر بھی لی تو ابھی بھی ہمارے پاس موقع ہے قرآن ِ کریم میں اللہ ارشاد فرماتا ہے و امّا ینسینک الشیطٰن فلا تقعد بعد الذکریٰ مع القوم الظٰلمین (سورہ انعام آیت 68) ترجمہ:اور اگر( کہیں) بھلادے تجھے شیطان تو مت بیٹھ یاد آنے کے بعد ظالم قوم کے پاس۔ ایک حدیث شریف میں اچھے دوست کی یہ پہچان کرائی گئی کہ “اچھا ساتھی وہ ہے کہ جب تو خدا کو یاد کرے وہ تیری مدد کرے اور جب تو بھولے تو یاد دلادے(بہارَشریعت بحوالہ ابن ابی الدنیا فی کتاب الاخوان عن الحسن رضی اللہ عنہ مرسلآ کنز العمال ج نہم) ایک جگہ برے دوست سے بچنے کی اس طرح تاکید کی گئی: حضور اقدس فرماتے ہیں کہ برے مصاحب سے بچ کہ تو اسی کے ساتھ پہچانا جائے گا یعنی جیسے لوگوں کے پاس آدمی کی نشست و برخاست ہوتی ہے لوگ اسے ویسا ہی جانتے ہیںابن عساکر،فتاویٰ رضویہ ج دہم ص 13) تو پیاری بہن! شریعت مطہرہ نے ہمارے لئے اصول مرتب کر دئیے ہیں ہمیں چاہئے کہ ان رہنما اصولوں کو مد ِ نظر رکھتے ہوئے ہی دوست کا انتخاب کیا جائے ۔ فی زمانہ دعوتِ اسلامی کا مدنی ماحول ہمیں تمام برائیوں سے بچانے کے لئے کافی ہے ،اس مدنی ماحول سے وابستہ ہونے کی برکت سے ہم خود بخود اچھے دوستوں کی صحبت سے مستفید ہوسکتے ہیں. اورآدمی اپنے دوست کے دین پر ہوتا ہے اور ان شا ءاللہ آ ج اس مدنی ماحول کو اپنانے کی برکت سے کل ہمارا حشر بھی اچھے لوگوں کے ساتھ ہی ہوگا صحبتِ صالح ترا صالح کند صحبتِ طالح ترا طالح کند والسلام مع الاکرام
  9. bohat aham baton ki taraf nishandahi farmai sister ap ne! Allah pyaray aaqa k sadqay men ham sab ko aisi jahilana baton se bach ker shariat e mutahhara ki sahih pairwi kernay or doosron tak in masail ko ponhchanay ki sa'adat ata farmaye. aaaaameeeeeen bijahin nabiyyil ameen jazakillah wassalam ma'al ikram
  10. 0ne more niyyat ghar k kaam kaaj k doran pani k istimal men(bartan/kapray dhotay waqt) pani k be ja israf se bachoongi.inshaAllah wassalam ma'al ikram
  11. karam ya rasool Allah sister! good job!!! ummeed hay ap isi tarah achi achi madani niyyaten share ker k akhirat k liye behtereen khazana jama kernay men madad farmati rahaingi inshaAllah jazakillah pyari behan! Allah pyaray aaqa k sadqay men ham sab ko ye niyyaten ker k un per amal kernay ki madani sa'adat ata farmaye or tamam behnon ko is k zariye apnay ghar walon/ waliden( saas susar,or shoher) ki riza hasil ker k Allah ki khushnoodi hasil kernay ki tofeeq ata farmaye. aaaaaaameeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
  12. اللہ سید المخلصین کے صدقے میں ہم سب کو حبِ جاہ و مال سے محفوظ رکھے، ریاکاری کی تباہکاریوں سے بچائے اور محض اپنی رضا کے لئے کام کرنے کی مدنی سعادت عطافرمائے آمین بجاہ النبی الامین صلی اللہ علیہ وسلم میرا ہر عمل بس ترے واسطے ہو کر اخلاص ایسا عطا یا الٰہی آمین بجاہ النبی الامین والسلام مع الاکرام
  13. sister! bohat pyara article share kiya jazakillah Allah pyaray aaqa k sadqay men sayyidi ghous ul wara k waseela e jaleela se ham sab ko hamaisha maslak e aala hazrat per istiqamat ata farmaye,hamain pyaray aaqa ki baadab ghulami ata farmaye or ikhlas k sath deen e islam ki khidmat kernay ki madani sa'adat ata farmaye. aaaaameeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
  14. پیاری بہن!آپ نے جیسا کہ ابنِِِِ ماجہ کی حدیث مبارکہ کے حوالے سے فتویٰ میں پڑھا: "اگر یہ بیمار ہوجاءیں تو ان کی عیادت نہ کرو،اگر مر جاءیں تو ان کے جنازے میں شرکت نہ کرو اور اگر کہیں ملیں تو انہیں سلام بھی نہ کرو"ابن ماجہ باب فی القدر تو سسٹر اب سوال یہ پیدا ہوتا ہے کہ قرآن مجید میں اللہ عزوجل نے ارشاد فرمایا ہے: وَمَا اَرسَلنَاکَ اِلّا رَحمَتَہ الِلعٰلَمِین سورہ الانبیا آیت 107 اور ہم نے تمہیں نہیں بھیجا مگر رحمت سارے جہان والوں کےلئے۔ترجمہ کنز الایمان تو وہ نبیء رحمت جن کو اللہ عزوجل نےتمام جہانوں کے لئے رحمت قرار دیا وہی ہم کو بدمذہبوں سے قطع تعلق کرنے کا ارشاد فرمارہے ہیں ،اس کی علمائے کرام بڑی پیاری توجیہ فرماتے ہیں کہ: جب انسان کے جسم میں کوئی ناسور ہوجائے (یعنی جسم کے کسی حصہ پر ایسا زخم ہوجائے جس کا علاج صرف یہی ہو کہ اس حصے کو کاٹ کر پھینک دیا جائے) تو ڈاکٹر اس ناسور کو کاٹ کر جسم سے الگ کر دیتے ہیں اگر ایسا نہ کیا جائے تو وہ ناسور پورے جسم کو گلا کر خراب کرسکتا ہے اور مریض کی جان کے لئے نقصان دہ ہے ،بالکل اسی طرح پیاری بہن ہم مسلمانوں کو ان بدمذہبوں سے(جو کہ معاشرے کے ناسور ہیں) قطع تعلق کرنے کا حکم دیا گیا کہ کہیں ایسا نہ ہو کہ ان سے تعلق رکھنے کے نتیجے میں ہمارا ایمان متاثر ہو اور یہ ناسور ہمارے ایمان کو تباہ و برباد کردیں الامان والحفیظ اب سسٹر یہ تو تھی بدمذہبوں کی بات ،جن کے لئے ہمیں ایسا حکم دیا گیا جب کہ آغا خانیوں کے بارے میں تو آپ نے فتوے میں پڑھ ہی لیا کہ آغا خانی کافر ہیں تو کافروں کے ساتھ تعلق کا حکم کس قدر شدید ہوگا آپ خود اندازہ لگالیں۔ اور رہی بات کہ اگر سب ہی قطع تعلق کرلیں تو انہیں سمجھائے گا کون تو سسٹر ان کاموں کی اجازت عوام الناس کو نہیں یہ کام علمائے کرام کا ہے ،ہم جیسے لوگ جو کہ ابھی خود اپنے عقائد میں اتنے پختہ نہیں اگر اس شیطانی وسوسے میں آکر انہیں سمجھانے چل پڑے تو کہیں ایسا نہ ہو کہ ہم اپنے دین و ایمان سےہی ہاتھ دھو بیٹھیںمعاذاللہ عزوجل تو سسٹر مجھے امید ہے کہ آپ کی سمجھ میں بات آگئی ہوگی ۔ اللہ عزوجل پیارےآقا کے صدقے میں امام اہلسنت کے وسیلہء جلیلہ سے ہمیں تمام کافروں اوربدمذہبوں، گستاخوں کے سائے سے بھی محفوظ رکھے ،ہمارےایمان کامل فرمائے اور ہمیں ایمان و عافیت کے ساتھ پیارے آقا کے قدموں میں موت کی سعادت عطا فرمائے آمین بجاہ النبی الامین
  15. qufl e madinah sis bohat acha izafa farmaya jazakillhu khiara wassalam ma'al ikram
  16. sister! bohat achi kitab share ki. Allah pyaray aaqa k sadqay men sayiidi ghous ul wara k waseela e jaleela se murshid damat barkatuhum ul aliya ki nigah e faiz aser se hamain in tamam baton ko samajh ker un per amal kernay ki madani sa'adat ata farmaye,hamain hubb e jah se bachaye ,ikhlas ki lazawal dolat ata farmaye or deen e islam ki khidmat k liye ham sab ko qubool farmaye . aaameeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen jazakillah wassalam ma'al ikram
  17. bohat achi dua share ki,Allah ap ka seena madeena banaye or hamain is dua ko deeni kutub parhnay se pehlay parhnay ki tofeeq ata farmaye aaameeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
  18. bohat achi niyyaten share kin , Allah ham sab ko amal ki tofeeq ata farmaye. aameeeeeen. pyari behan! riza e Rabbul anam k kaam madani inaamat men shamil nahi hain,ap madani ina'amat ka risala mutala'a karengi to pg no 18 se 22 tak riza e rab bul anam k kaam ap ko mil jaingay,inshaAllah Allah pyaray aaqa k sadqay men ham sab ko ikhlas k sath madani ina'amat ki amila banaye or Riza e rabbul anam k kaam kernay ki madani sa'adat ata farmaye aaaaaameeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
  19. madina pyari behan ap ne bohat acha swal kiya sister hamara andaz e takallum kaisa hona chahiye kahan bolna chahiye kahan nahi bolna chahiye,kia bolna chahiye is k liye be intiha ma'awin kitab shahzada e Attar maddazilluhul aali ne tehreer farma ker ham per bohat bara ahsan farmaya hay: Infiradi Koshish is k ilawa ap madani muzakray sunain un men ja baja Ameer e Ahl E Sunnat damat barkatuhum ul aliya ne kafi achi rehnumai farmai hay.aik jaga ameer e ahl e sunnat aisay hi aik swal ka jawab is tarah ata farmatay hain: Bolnay ka Gur or madani inaamat per baqaidgi se amal bhi khud aitimadi hasil kernay k bohat behtereen zariya hay Azmaish shart hay jazakillah wassalam ma'al ikram
  20. bohat achay andaz men naat shareef ada ki madani munnay ne Allah pyaray aaqa k sadqay madani munnay ko darazi e umer bilkhair ata farmaye or us k ishq e rasool men mazeed barakaten ata farmaye. aaaameeeeeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen jazakillah sister bohat achi shairing hay. wassalam ma'al ikram
  21. meethi islami behan! ap ne yaqeenan madani inaamat k risalay ka mutala'a kiya hi hoga, akhir men jo riza e rabbul anam k kaam hain,(Attar maddazilluhul aali ki ajmeri,baghdadi,makki or madani beti walay),mera ishara un ki taraf tha. ummeed hay ab ap ko samajh agai hogi mazeed tafseel k liye ap madani inaamat wala topic parhain jazakillah wassalam ma'al ikram
×
×
  • Create New...