Umm-e-Anwaar Raza
مدیرِ اعلیٰ-
کل پوسٹس
1,364 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
-
جیتے ہوئے دن
9
سب کچھ Umm-e-Anwaar Raza نے پوسٹ کیا
-
marhaba meethi islami behan! baraye madina check ur personal messenger. wassalam ma'al ikram duaon ki talabgar
-
sisz or bro bohat achi sharings hain jazakumullah qufl e madinah ss bohat acha topic start kiya! i'm proud of u!!!! Allah pyaray aaqa k sadqay men ap ko isi tarah achay achay kaam kernay ki or doosron ko targheeb dilanay ki madani sa'adat ata farmaye. aaaameeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
-
sister mazrat men likhna bhool gai, is ka matlab hay Allah ap k dinon ko(zindagi k ayyam ko) mehekta rakhay Aameeen. wassalam ma'al ikram
-
sister itniiiiiiii pyari pyari niyyaten share kernay ka bohat shukriya عَطَّرَ اَللّٰہ ُ اَ یَّا مَکُم Allah pyaray aaqa k sadqay men isi tarah ap ko ikhlas k sath achay achay kaam kernay ki tofeeq ata farmaye or ap k faizan e murshid men mazeed barakaten ata farmaye. aaaaaaameeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen jazakillah wassalam ma'al ikram
-
ji sister ye bhi bilkul ghalat mash hoor hay is baat ka jawab isi thread men post#64 men mulahiza farmain. Allah pyaray aaqa k sadqay men ham sab ko aisi tamam be sar o pa baton se bach ker shariat e mutahhara per amal kernay ki madani sa'adat ata farmaye. aaaameeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
-
Ap Ki Pasandeedah Naat
Umm-e-Anwaar Raza replied to Madani Munna's topic in حمد، نعت، منقبت، مناجات وغیرہ
bohat pyari naat share ki ss! kafi saal puranay k sunehri din yaad diladiye jazakillah admin bhai ! jo naat ap ne share ki main ne save ki mager meray pc men chal nahi rahi:??? baraye madina is pro ko solve karen wassalam ma'al ikram -
mohtaram memberz!! Alhamdulillah Islami Mehfil ap tamam members ki mehnat ki badolat din 25 ween raat 26 ween taraqqi ki rah per gamzan hay.Islami Mehfil ko mazeed behter se behter bananay k liye ap sab ki qeemti a'ara o mashweron ki zaroorat hay. ap sab se madani iltija hay k apnay qeemti mashweron se nawazain or IM ko aik behtereen or mazboot sunni forum banay men madad farmain. jazakumullah wassalam ma'al ikram
-
bohat acha fatwa share kiya sis ap ne. jazakillah wassalam ma'al ikram
-
mera naam Bilal hai mai 6 class mai hoon
Umm-e-Anwaar Raza replied to Bilal-ud-Din's topic in بچوں کا فورم
WELCOME SWEET MADANI MUNNAY madani munnay ap ko yahan dekh k khushi hoi hamaray kids sec ki ronaqon men to izafa hota jaraha hay bilal mujhay ummeed hay ap yahan yaqeenan acha izafa sabit hongay or kids k liye achi achi posts keraingay bohat seekhaingay or sikhaingay bhi to bilal ham sab ko apni duaon men yad rakhiye ga,Allah pyaray aaqa k sadqay men ap ko walidain ka farmanbardar banaye or deen o dunya men kamyabian ata farmaye aaameeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram -
qufl e madinah ss bohat tasalli bakhsh jawab diya ap ne barakAllah sister qura'an e paak men irshad e khudawandi hay" اَلرِجالُ قوّامونَ علی النساء ترجمہ کنز الایمان: مرد عورتوں پر افسر ہیں sister! jaisa k qufl e madinah sis ne kaha k ye kami orat kabhi poori ker hi nahi sakti jab k usay pyaray aaqa ki zaban e haq tarjuman se naqis ul aql farmadiya gaya hay han mager is ayat e mubaraka se itna wazeh hay k mard hakim hay or orat mahkoom to orat muamlat men apni naqis ul aqli se nuqsan se bachnay k liye kaamon men mard se mashwera karay jab bhi kisi kaam k kernay ka irada karay to apnay hakim( ager beewi hay to shoher se or ager beti hay to baap se) mashwera kerlay.is se behad faida hoga wesay bhi mashwera kerna ka hukum khud Allah qura'an e majeed men irshad farmata hay or jab orat muamlat men mard k mashweray se faislay karaygi to yaqeenan kamyab rahaygi kion k mard to wesay bhi kamil ul aqal hay. is ayat e mubaraka ki tafseer men noor ul irfan men mufti ahmed yaar khan naeemi bari hi piyari baat irshad farmatay hain: "mard orat se afzal hay.khayal rahay k jins e mard jins e orat se afzal hayna k mard ki her fard orat ki her fard se afzal,ham jaisay lakhon mard hazrat aisha siddiqa or fatimatuz zahra radi Allahu ta'ala anhuma k na'lain k barabar bhi nahi,jins or cheez hay fard kuch or."( Tafseer Noor Ul Irfan para 5 almuhsanat ayat34) to sister wazeh hoa k jins e orat se jins e mard afzal hay laikin tamam ummuhatul momineen,ahl e bait e athar ki khawateen or Allah ki oliyat rahimahumullah aam mardon se afzal hi hongi. Allah pyaray aaqa k sadqay men ham sab ko shariat e mutahhara ki mukammal pairwi kertay hoay ikhlas k sath deen o dunya k muamlay khush asloobi se nimtanay ki sa'adat ata farmaye. aaaaaaaaaaaameeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
-
SIS BOHAT hi acha jawab diya ap ne mazeed maloomat k liye ye fatwa mulahiza farmain: wassalam ma'al ikram
-
bohat informative post hay, wassalam ma'al ikram
-
Niyyatain 4 Dars E Nizami Students
Umm-e-Anwaar Raza replied to Qufl e Madinah's topic in دارس نظامی
sister bohat hi zaber10st kaam kiya keep it up!!! بارَکَ اللہُ فِی عِلمِکِ وَ عملِِکِ jazakillah wassalam ma'al ikram -
Moat k baad pai janay wali jahilana baten
Umm-e-Anwaar Raza replied to Qufl e Madinah's topic in گفتگو فورم
sister bohat acha topic start kiya ,waqai aj hamaray muashray men ajeeb khurafat phaili hoi hain Allah pyaray aaqa k sadqay men ham sab ko aisi baton se bachtay hoay shariat e mutahhara ki pairwi kernay ki madani sa'adat ata farmaye. aaameeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram -
meethi islami behan!! main ne pehlay bhi ap ki khidmat men arz kiya k dosti her kisi se nahi hoti han ap zarooratan baat cheet karen parhai se muta'alliq. rahi ye baat k ap ki taraf koi larki bila takaluuf dosti ka hath barhaye to ap ko kia kerna chahiye? ap us se baat cheet karen or baat ker k andaza laganay ki koshish karen k wo larki kin aqaid ki hamil hay aik do tareeqay jo main ne pehlay arz kiye usi tarah werna ager wo bhi mumkin nahi hain to is tarah baat karen k jab larkian t.v channels k baray men baat cheet karen( or ye to usually baat cheet ka hissa hota hi hay) to ap Q.T.V ka ziker chairain us per jitnay ulama e kiram or juhala atay hain un per disscuss karen, ap is disscuss se yaqeenan andaza laganay men kamyab ho hi jaingi k ap ki kon si class fellow kis aqeeday ki hay, acha kuch badmazhab aisay hotay hain jo baray pakkay hotay hain or apnay aqaid bilkul zahir nahi kertay ap is tarah bhi koshish ker k dekhain k islamiyat k notes bananay per disscuss karen k hamain islamiyat (ya ager ap k pas islamic studies /islamic history subjects hon) k notes kon si reference books se bananay chahiyen, ( main ne akser is tarah apni badmazhab fellows ko pehchana hay) or jaisa k madinah madinah sis ne bhi kaha to mera bhi tajurba hay k aisa hi hota hay. bilfarz ab bhi koi larki jo badmazhab hay or apnay aqaid chupaye hoay hay kisi tarah pata nahi chalta k kia aqaid hain to ab ap mazeed toh men pernay k bajaye us se sahih tareeqay se milain kion k jab tak ap per kisi ki badmazhabi ya bad aqeedgi zahir nahi hoti tab tak to shareeat e mutahhara riayat deti hay laikin jahan pata chali waheen ap ko us se door hona hoga sirf kaam ki baat or bas na koi personal metter disscuss karen na hi koi or hansi mazaq. kion k jahan kisi se personal mettar disscuss kiye jain phir us se hamdardi or bilakhir mahabbat paida hojati hay or ager kisi badmazhab k liye koi soft corner dil men ban gaya to ap phir apnay aqaid per mazboot nahi reh sakaingi na us ko apnay se door kersakaingi or na hi us se door hosakaingi. is liye jab bhi koi larki ap ki taraf barhay ap baat cheet karen wesay bhi collegge men to roz ka milna julna hota hay ap baat cheet ker k andaza lagain ab jab ap ki tasalli hojaye k wo larki sahih ul aqeeda sunni hay to beshak us se garam joshi se milain or is hadith e mubaraka ko yad ker k khushi se jhoom jain الحبُّ للہِ والبغض للہِ ( yani mahabbat sirf Allah k liye or nafrat sirf Allah k liye) yani musalman ki shan yehi honi chahiye k wo jis se bhi mahabbat karay to sirf Allah k liye hi karay(apnay sahih ul aqeeda muslman bhai/behan se) or nafrat bhi ager kisi se rakhay to Allah ki riza k liye hi rakhay( dushmanan e deen or badmazhab/badaqeeda/gustakhan e rasool se) to pyari behan yaqeenan ap k zehan men ye concept clear hogya hoga k hamain kis tarah se rehna chahiye laikin ager ab bhi koi uljhan ho to zaroor disscuss karye ga. wassalam ma'al ikram
-
mod sis! nice work Allah pyaray aaqa k sadqay men ap ki kawishon ko qubool farmaye or ham sab ko ikhlas ki lazawal dolat ata farma ker deen ka kaam mazeed kernay ki tofeeq ata farmaye. aaaaameeeeeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
-
jazakillah qufl e madinah sister! ji madinah madinah sis yaqeenan islami behnain bhi kuch tarmeem k sath ye niyyaten kersakti hain(jesi khushboo istimal kernay ki shariat ne orat ko ijazat di hay wesi laga ker),bal k shadi shuda islami behnain to shoher ko khush kernay ki niyyat bhi shamil farmasakti hain is men. Allah pyaray aaqa k sadqay men ham sab ko aisi pyari pyari niyyaten ker k un per amal kertay hoay akhirat k liye khazana jama kernay ki madani sa'adat ata farmaye. aaameeeeeeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram
-
ji ata ho gham e madinah sister! jo doosray topic ka disscussion start hoa tha us ki posts ko alag topic banadiya gaya hay. jazakillah main inshaallah jald hi ap k swal ka jawab denay ki koshish kerti hoon wassalam ma'al ikram
-
bohat achi niyyaten share kin ap ne sister! keep it up!!! barakAllahu fi ilmiki wa amaliki jazakillah wassalam ma'al ikram
-
-
-
-
-
-