
Reality910
اراکین-
کل پوسٹس
26 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
سب کچھ Reality910 نے پوسٹ کیا
-
Assalamu alaikum, Kya kisi kai paas " females kai liye Lahore main" koi respectable rehaish ya hostel ki information nahi hai? Yahan maira maqsad is previous post ki discussion karna nahi tha. Agar aap main sai kisi kai paas koi munasib rehiash ki malomaat hoon tu please yahan jald az jald share karain. Any help will be highly appreciated.
-
I do not think so. But this issue is extensive. It should be sought to stop selling haraam in a Muslim society rather than individuals seeking guidance about issues which are ancillary to the central activity. I must make it clear here that I am not a scholar; just a simple Muslim.
-
Maazrat kai sath, yahan jo main nai type kiya tha kai main nai MBA kiya hai woh sirf aik brief introduction kai liye tha. Ye nahi kai deeengh marny ki niyat thi. Laikin phir bhi agar aik jaga Duniya kai mutabiq jo highest education consider ki jati hai us ki qadar nahi tu maira khayal hai us jagah kai logo ko apna muwazna karna chahiye. Aisi jagah tu phir Insaan Matric hi kar lay tu woh us mahool ki requirement pura kar lay ga . Dosri baat ye hai kai jo soorat e haal hai us main sirf Hakoomat tu zimmay daar nahi. Ye soorate haal koi aik din main tu paida nahi hoi ye is mulk ka 62 saala nizaam ka natija hai. Agay har koi khudh samjh daar hai. Tessri baat ye kai agar meri taleem ki koi qadar nahi tu us main mujhy sharminda hony ki zarorat nahi ye is mulk kai logo ki bad naseebi hai jahan "IILM Jo kai Islam kai mutabiq har mard aur aurat par farz hai " kai ussol ko hi nahi mana jata wahan aap ko apny aap ko dekhna chahiye.
-
Aap ki help ka shukriya. Actually, mujhy kisi aisy arrangement ki zarorat hai jo kai direct ho yahni kai aik proper naam kai sath. Agar is silsilay main kisi ko koi achi job ka pata ho tu zaroor yahan post karain. Main nai MBA kiya hai.
-
Assalamu alaikum Main yahan is forum par aik masly par help mangna chahti hoon. Kya Lahore, Pakistan main koi aisy suitable aur decent hostel ya living place kai baray main janta ya janti hai jahan Single girls jo kai accommodation ka masla hai, un ko accommodation (affordable) mil jaiye. Mujhy kisi aisy accommodation arrangement ki zarorat hai jahan mahool suitable ho aur jagah munasib ho. Ye is sai bhi zyada achi baat hai kai agar koi suitable job ho jo kai suitable accommodation bhi offer karti ho tu is sai zyada achi baat aur koi nahi ho gi. Meri taleem "MBA" hai aur office jobs ka experience bhi hai. Is masly par kya koi information rakhta/rakhti hai? Agar hai tu please yahan share karain. I am looking forward to receiving help on this issue. Thank you. (please is baray main kisi ko koi knowledge hai tu jald az jald is baray main yahan forum par bata dain ya koi asi website ya web search bata dain jahan main aik suitable aur respectable rahaish dhoondh sakhon) I hope koi na koi zaroor yahan help kar day ga.
-
Pakistan ka arab countries sai islamic date main aik din ka farq hai. Yahni Pakistan main islamic month aik din baad arab countries sai shoro hota hai.
-
This is really confusing. A website http://ahlesunnah-wal-jama.webs.com/, the address of which I had found on this forum says it is 16 Shaban 1432H. You can go to that website or link http://yse-uk.com/hijridate/index.php and see that for yourself. What is happening? No one seems to have agreed on an Islamic date. Some people had kept a fast today taking this day as 15 Shaban 1432H. Can someone clarify this confusion? There are now three dates: 1. 14 Shabaan 1432H said by you. 2. http://yse-uk.com/hijridate/index.php says it is 16 Shaban 1432H. 3. People taking today as 15 Shaban 1432H. This is the situation of Muslims. No unity on islamic dates.
-
Can someone tell here today's date of Islamic Month? As human is moving towards modernisation, things are becoming complicated. As is the case, most Muslims would not pay attention to Islamic dates. Others would be greatly confused by different dates in different regions? Please post here today's date of Islamic month if anyone knows. Thank you
-
Jab main nai is forum par registration ki thi, us kai kuch hi din baad "Log in problem" aa gai thi. Kuch error no. tha jo kai ab sahi yaad nahi hai. Main us waqt tak log in nahi ho sakti thi jab tak main nai "I have forgotten password" ka option istamal kar kai new password request nahi kiya. Us kai baad woh error disappear hoi thi. Aur ye baat bhi nahi hai kai main nai password ghalat diya ho. Password main nai bilkul sahi diya tha laikin error show ho rahi thi. Is ki kya wajah ho sakti hai? Abhi tak main nai tu sirf straightforward topic post kiye hain.
-
Assalamu alaikum Main nai yahan aik topic diya tha; " Accommodation for women" aur woh bhi "General Topic" category main. Laikin ab woh topic mujhy nahi mil raha. Mera khayal hai kai woh topic hata diya gaya hai. Laikin us main Forum kai rules kai khilaf koi baat nahi thi. Aur woh topic mazaq bhi nahi tha. Mera khayal hai kai General topics main khalis islamic topic sai hat kai koi decent topic create kar sakty hain. Phir woh topic mujhy kyun nahi mil raha. Please is sawal ka jawab dain.
-
Kya aap ko www.rozee.pk sai koi encouraging response mila hai? Claims tu sab karty hain laikin main zaati tajarbay kai baray main poch rahi hoon. Is kai ilawa agar kisi kai bhi knowledge main koi suitable job aati hai tu yahan post kar dain ya link yahan post kar dain. Thank you
-
I know this website since a long time ago. Anyway, Thank you for help. However, I must mention that posting Resumes online does not let you know whether your CV has been read or not. I do not know what criteria they use for scanning Resumes that would meet their requirements but, usually, there is no response to sending Resumes online.Can you give any suggestion as to how my Resume will catch the attention of the reader/employer?
-
Assalamu alaikum, Kya yahan koi hints ya help daina chahiye ga/gi kai Jobs dhondhny kai liye kya karna chahiye. Jaisy kai bohat si websites kai mufeed hints daiti hain kai Jobs kai liye in jagho par dhondhna chahiye. Kya yahan koi aisi suggestion day sakta hai? Is topic par koi bhi help bohat appreciate ki jaiye gi. Looking forward to receiving response to this request.
-
Walaikum as'salaam Ye sirf sunni males ka masla nahi. Aj kal is mashray main ye masla sunni larkion ka bhi hai. Please agar kisi kai paas koi si bhi munasib job ki offer hai tu yahan forum par post kar dai. Inshallah job ya kaam kai mayar par koi bhi muzaiqay ka moqa nahi milay ga. Mujhy job ki talash hai aur meri taleem MBA honay kai sath job experience bhi hai. Inshallah agar jo bhi job mili main bohat jald hi adapt kar loon gi aur kaam kai standard kai baray main koi masla nahi ho ga. Please contact me through forum or email on this address.
-
Paltalk Main Login Honay Main Difficulty
Reality910 replied to Reality910's topic in انفارمیشن اور تیکنالوجی
-
Paltalk Main Login Honay Main Difficulty
Reality910 replied to Reality910's topic in انفارمیشن اور تیکنالوجی
Ye tu mujhy bhi pata hai kai Paltalk ki Pakistan main registration band hai. Laikin Main nai aik nickname jis ka password ab yaad nahi hai aur email address jis par PALTALK administration nai password bhaijna hai, woh bhi yaad nahi hai; bana sakty hain tu ab kyun nahi? Main nai woh nickname bhi Pakistan main hi banaya tha jis ka password aur email address ab bhool chuka hai. And as far as I know, Paltalk was banned in Pakistan some 5 or 6 years ago. And the nickname I am talking about was created by me some 2 or 3 years ago. Somewhere in google while I was searching for resolving this problem, a post came to attention where someone had posted a software like hotspot shiled, using which banned countries' users can create nicknames on PALTALK. Does anyone know about it?[quote name='Mughal...' timestamp='1309428044' post='72789'] جناب پاکستان میں پال ٹاک کی ریجیسٹریشن بند ہے آپ کی دوسرے ملک سے تعلق رکھنے والے دوست سے کہہ کر اپنا نیا اکاوئنٹ بناوالیں -
Paltalk Main Login Honay Main Difficulty
Reality910 replied to Reality910's topic in انفارمیشن اور تیکنالوجی
I would like to mention here that there was a registered nickname at paltalk but I forgot the password. Can someone help me in creating a new nickname at Paltalk because it is very difficult to retrieve the password of that old Nickname's password? Any help will be appreciated. -
Paltalk Main Login Honay Main Difficulty
اس ٹاپک میں نے Reality910 میں پوسٹ کیا انفارمیشن اور تیکنالوجی
Assalamu alaikum, Kafi arsay pehly main nai aik question ya difficulty bayaan ki thi jo kai Paltalk main naya nickname create karny main aa rahi thi. Laikin abhi tak mujhy us par aik bhi answer nahi mila. Woh difficulty ye thi kai Pakistan sai Paltalk par jab naya nickname banany ki koshish karty hain tu error "tc-2120" ya isi hi jaisa koi error aa jata hai. Agar is problem ka kisi kai paas hal hai tu yahan bata dain. How can I create a new nickname at paltalk from Pakistan? -
:) Now Use Paltalk From Pakistan :)
Reality910 replied to S_S_G_Commando's topic in انفارمیشن اور تیکنالوجی
Is link par click karny sai ye message show ho raha hai "The file link that you requested is not valid." Please give a valid web address for the mentioned software. -
Assalamu alaikum Does anyone know how to resolve "TC-2120 error " on Paltalk which does not let you create a new Paltalk ID in Pakistan. I lost my registered Palktalk ID and can not make a new Nickname on Paltalk. Any assistance will be appreciated .
-
Paltalk In Pakistan; Difficulty In Creating New Nicknames On Paltalk
اس ٹاپک میں نے Reality910 میں پوسٹ کیا انفارمیشن اور تیکنالوجی
Assalamu Alaikum, Pakistan main Paltalk kai use main dushwari hai. Aik tu ye kai Paltalk main New Nicknames Register ho hi nahi rahay. Jab bhi Naya Nickname register karny ki koshish karaian, "ERROR TC-2102" aa jata hai. Chahiye is kai liye aap Socks Chain bhi use kar lain laikin new nicknames register nahi ho rahay. Kya is Problem ka hal kisi kai paas hai kyun kai Mujhy Paltalk par new Nickname register karna hai laikin main nai jitni baar bhi try kya hai error "TC-2102" aa jata hai. -
:) Now Use Paltalk From Pakistan :)
Reality910 replied to S_S_G_Commando's topic in انفارمیشن اور تیکنالوجی
[Assalamu alaikum, Kya koi aisa method hai jis sai Paltalk par "error tc-2120" aa ti hai woh hal ho jaiye? Is error ki wajah sai kisi bhi tareeqay sai Paltalk par naya Nickname nahi ban sakta.