Jump to content

Junoon26

اراکین
  • کل پوسٹس

    126
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    3

سب کچھ Junoon26 نے پوسٹ کیا

  1. bahi me mazarat chahta hun me shyd sahi likh nahi saka jeldi ki waja se me neechey hadith post ker reha hun..
  2. Junoon26

    "qada" Numaz Ki Taq Rakat Me

    bahi is masle per rehnumai chahiye ....
  3. janab humara gawala kehta he k wo giwaren ko doodh bant deta he bechta nahi yani sadqa ker deta he bas or mere nazdeek ye koi ghalat baat nahi....baqi awam me tu bht sari khurafat hen k ye na kero to ye ho jaye ga wo ho jaye ga or iski waja taleem se or deen se doori he bas...or ap jese log in fazool cheezon ko forum pe le aten hen..ager apko bht problem he tu janab apna gawala change ker len..
  4. Islamic brother ibne qutaiba shia nahi they asal me al imama wal siyasa unse ghalat mansoob ki gaye he ye kitab unki likhi hoi nahi he...ye kisi shia rafizi ne likhi he or k nam se mansoob ker di he... or dosra ye waqia mola ali shere khuda ki shan k bhi khilaf he is liye mardood he...
  5. Junoon26

    Fawaid Al Fawad

    Bahi iski wazahat chaiye..
  6. Junoon26

    Kitab Chahiye

    ala hazrat rehmat allah ki kitab azilal o anqa ka link chayiye download kerney k liye bahi shyad mene kitab ka nam sahih na likha ho... is kitab me hazrat abubaker sidique ki fazeelat bayan ki he
  7. bahi humarey pas sahih bukhari ki aik hadees mojood he jis me he k Nabi pak ne femaya mera(saw) ye beta hazrat hasan r,a musalmano k do bare girho me sulha kerwaye ga...
  8. toheedi bahi ab ki bar ieteraz aik shia ki teraf se jawab aya he or wo kehta he k is terha ka waqia bayan kerna umul momineen ki gustakhi nahi he.....wo kehta he k tum humey gustakh kehtey hu mger apni herkaten nahi dekhtey.....
  9. Junoon26

    Is Ibarat Ki Wazahat Chaiye..

    barey meherbani is ibarat k barey maloomat chayiee mene search ki leiin khuch mil nahi saka...
  10. أن رجلا قال : يا رسول الله ! أين أبي ؟ قال " في النار " فلما قفى دعاه فقال " إن أبي وأباك في النار " . الراوي:أنس بن مالكالمحدث: مسلم - المصدر:صحیح مسلم - الصفحة أو الرقم: 203 خلاصة حكم المحدث:صحيح Aik admi aya Hazrat Mohammad(sallah hu alhi wa salam) kay pass kaha kay mayray walid kahan per hain to ap (sallah hu alhi wa salam) nay farmaya AGG main phir jab woh chala gia to usay bolaya or khaha kay tayray walid or mayray walid dono agg main hain(sahih muslim) brae mherbani iski wazahat ker den
  11. muteram yahan baat hujat ki nahi he yehi baat ager ala hazrat ne lihi tu apne shirk k fatwe laga diye or jab ye baat unse sabit he jin ki kuteb per ap amal kertey hen tu wo ap per hujat nahi...sawal itne he k apka fatwa yahan aa ker aen bayen shayen q kerne lagta he..kia apne kabhi in ulma ko quote kia unki is baat per tanqeed ki nahi tu ki tu ham pe q ager ki tu he dikha di jiyee..
  12. bilkul g bilkul Ali(r.a) tere dusmano pe lanat Allah kere tere dushman sari umer isi terha apne apko peettey rahen churian marey angaro per chaley ag me chalang lagayen mager phir bhi unko sakoon na mile.. Ameen sum ameen
  13. beta apni kitaben perho agha mashadi ne tumharey bare bare alimo ko murtad keh dia he ab tum gali do ya na do....
  14. No T.T ieteraz tumhari teraf se aya he bas afsoos itna he he k tum ne na insafi ki tumne apney ghar me jhankney se pehley dosrey k ghar me pather marey..janab jo khud sheeshe k gahr me rehta hu usko dosrey k gahr pather nahi phenkney chaiye....apka ferz tha k ap ye bhi batatey k hamarey deobandi ulma k bhi yehi aqeeda tha.....phir ap dono per ieteraz kertey..... or ab ap hume bol rehey hen k kia ye aqeedah sahee he janab pehley ap bataien kia apney buzergo per ieteraz kerney ka honsla rakhtey hen....
  15. me toheedi bahi ki bht si baton se behad mutafiq hun me lahore me rehta hun or me akser data derbar jata rehta hun yaqeen jane mene kabhi data derbar me is terha k kam nahi hotey dekhey me raat k 3 bajey bhi gia hun or subha k 12 baje bhi..han me manta hun k wahan aurton ka ana jana hota he...blue chips bahi ab tu wahan ki intezamia derbar k samney zada der kharey nahi honey detey or buland awaz me wahan hazri k adabb batatey hen.... blue chips bahi jo pictures apne lagain hen wo zada ter urs ki tasaveer hen or bahi ye kam bhi akser derbar k bahir hore hotey hen na k ander..... or ye baat bhi haqeeqat he k hum shia deobandi ya wahabi ka nam le ker is buri haqeeqat se mun nahi mor saktey.....or toheedi bahi beshaq in malango me se kaser halat k sataye huwe hen lekin kia halat k marey huwe per sheriat lago nahi hoti...yaqeenan hoti hen..hamarey payare nabi(saw) ne jitni takaleef berdasht kin unse tu bht kam museebten parin in pe.....ager ye malang halat k satayen huwe tu akser deshat gerd bhi halat k marey huwe hi hotey hen......... lekin apki ye baat bilkul sahee he k sirf aik jamaat per zimadari nahi hoti ye her ferd ki zimadari hoti hen..hum apney gheron k halat dekh ker ankhen band kiye huwe bethen hen...
  16. ye sahee asool he hadees ka k fazail me zaeef hadees bhi mutaber mani ja sakti he mger srf fazail sahaba or ahlebait athaar k fazail k liye....q k quran ne sahaba k iman per muher laga di or quran khud unk fazail byan ker reha he...
  17. qadri ashrafi bahi aik sawal he ap se... insan khata ka putla he kia ye rule alahazrat per apply nahi hota kia unki kisi baat se ikhtelaf kerney se insaan gumrah kehlaye ga.... qadri bahi aik baat me ikhtelaf hona or cheez he or tanqeed kerna or cheez he kia ap is baat se agree kertey hena..or mere ilm k mutabiq dr sb ne alahazrat per kabhi tanqeed nahi ki...me nahi kehta k alahazrat ka maslak ghalat he lekin her insaan unse apne ilm k mutabiq ikhtelaf rakh sakta he....ager ap ilme hadees ko hi dekh len bht se muhadison ne hadees ki sharah apne apne ilm k lehaz se likhi.... dr sb tu ala hazrat se itni aqeedat or muhabat rakhte hen k unki naat khud apne minhaj me perhtey hen.... qadri ashrafi bahi minhaj wale dr sb ka difa nahi kertey coz jab dr sb koi masla bayan kertey hen tu wo hadees nabwi(saw) ko samne rakhtey huwe bayan kertey hen or jab us per ieteraz kia jata he tu phir us baat difa asal me nabi(saw) ka difa he.... qadri ashrafi sb hum imam abu hanifa k perokar hen tu kia hum baqi imam ko ghalat samjhtey hen nahi na q k hum unse ikhtelaf zaroor he mger tanqeed nahi or hamrey nabi(saw) ki hadees b he k meri ummat ka ikhtelaf baise berkat he... qadri ashrafi bahi kia toba k liye ilan bht zaroori he dr sb duwaon me apne gunahon se mafi nahi mangte ya her ghalti ka ziker ker k mafi mangna bht zaroori he....bahi hum husne zan q nahi rakh saktey kisi k bare me.....
  18. raza bahi ap following link se thir ul qadri sb k sari videos k link down load ker saktey hen.

    http://islamic-forum.net/index.php?showforum=70

  19. sir apse kia apse dr tahir ul qadri sb ne jo rade shia per series ki he us pe baat ho sakti he..

×
×
  • Create New...