Assalam o Aliqum,
Maaf kijyega Bhai, lakin apki kisee thareer / Quotes say yeh bat wazay nahi ho rahii k Ap (SAWW) nay kisee bhee moqay pay khanay pay fatiha parh kar taqseem kia ho... Khanay ko samnay rakh kar barket ki niyat say koi aiyat e qurani ki kaheen mumanat nahi hai ( aur apki zada tar quotes say usee ki daleel milti hai), lakin murawajja tareeqay pay jis tarah khana samnay rakh kar Qurani Aaiyat parhi jati hain esal e sawab k liye, phir usay khud kha liya jata hai aur dusron ko khila diya jata hai, kaheen say saaf sarihan sabit nahi hai, yeh bid'at hai.
Please baaton ko ghuma phira k mat kia karen, deen k is ki ijazat nahi hai, jis tarah aksar dekha jata hai k ap apni aik bat ko taqwaet dene k liye kaheen say us ka reference lete hain aur dono ko milanay ki koshish kartay hain.
Agar sawab he pochana hai kise ko to Allah pak dilo k hal khoob achee tarah janta hai, khana bana k gareebon aur miskeenon may bant diya jye aur sawab kisee ko bhe pocha diya jye, yeh jaiz hai.
Allah knows the best, and Allah is the sole doer of everything, may Allah show you the right path..
I am also a truth seeker, let me be rectified, if i have made any such mistake.
Best Regards,
Boss