WA ALAIKUM AS SALAM WA RAHMATULLAH
bhai a say logon ko jawab daynay ka fayedah bhi nahin k kal ko woh keh sakta hay k sirf 2 Sadiyon mayn say kisi say meray sawal ka jawab lao, phir keh sakta hay k pehli sadi mayn say, phir keh sakta hay k QURA'AN o AHADEES ko bhi nahin maanta lehaza sirf aqli jawab do. a say shakhs ko uss k haal per chour dayna chaheye kyun k SHARI'AT nay he humayn iss cheez ka mukallaf nahin kia hay k jawaab kisi sawal kernay walay k muqarrar kerdah mayaar k mutabiq diya jaaye wernah yeh tou is tarah ho jaaye ga k aap TABLEEGH k jadeed zaraye ka suboot HUZOOR ALAYHIS SALATO WAS SALAM say dayn, kisi aur sadi say nahin. lehaza aap doosray logon key islaah key koshish kerayn k woh iss k farayb mayn na aayen aur unnhayn is hawalay say ba-sha'oor kia jaaye k a sa mutalbah kerna he sahih nahin k jawab sirf shuru key 3 sadiyon mayn say ho, aay'eendah say nahin. aur chaheye usay bhi yeh k woh yeh suboot day k uss ka yeh mutalbah SHARI'AT say kaheen saabit ho ya 3 sadiyon k kisi BUZURG say he saabit ho lafz ba lafz, jab qayd he lagani hay tou phir waqt key he kyun ? balkeh ho sakay tou yeh bhi kahayn k Ebaarat bhi sirf ARABI dikhaao AALIM bhi ARABI, nuskha bhi asali . agar yeh sab nahin tou phir 3 sadiyon ka mutalbah bhi nahin . aakhir woh baaqi nuskhay bhi tou 11 sadiyan mazeed UNNHI ULAMA k ELM O DIYANAT key wajah say asali aur mahfooz hayn jinn key gustaakhiyan woh kerta hay.
DUAON key darkhuast hay, JAZAKALLAH.