alSaifiya
-
کل پوسٹس
300 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
-
جیتے ہوئے دن
10
Community Answers
-
alSaifiya's post in Saifi Silsilay K Baray Ulama-E-Ahlesunnat Ki Kya Raye Hai? was marked as the answer
Bhai Jaan Bohot Khushi hui ke aap ne apni raye qaim karnay se pehlay Yahan par pooch liya . Allah Paak hum sab ko aisa shaoor de
Aap ne 2 sawal poochay no. 1 pe aap ne Poocha Ke Saifion ke Peer ka aqeeda hai ke main Mehboob e Subhani Ghaus Al Azam se 6 darjay upar hoon .
To aisa hai ke Mubarik Sahib ne kabhi yeh claim nahin kiya balkeh aap ne khud Salasil e Arba ke Mashaikh se faiz Hasil kiya hai aur khud ko hamesha unkay tabeh hi kaha hai . Yeh Masla aaj se 4 ya 5 saal pehlay deobandion ne uthaya kiyunkeh Mubarik Sahib ne Poori Zindagi Deobandion se Larnay mein Guzaar di aur jab aap Hijrat kar ke Pashawar se Lahore aye 2006 mein to us waqt Deobandion ne aap ke Khilaaf bohot sakht Propogenda kiya aur MazzAllah Nauzbillah Kuch Badbakhton ne to yahan tak kaha ke Mubarik Sahib ne Nabi honay ka Dawa kiya hai . Nauzbillah Lekin Haqiqat mein sab jhoot hai aur Jhooton par Allah ki Lanat ho
Khair is aitraaz ke jawab mein aik video dekh lijiye :
http://www.youtube.com/watch?v=-ldx13imGVI
Hazrat Irfan Shah Sahib ne iska jawab diya hai kuch mahinay pehlay aap dekh len agar tasali na ho to mujhay bataiye ga main aapko mazeed samjhanay ki koshish karoon ga . Mubarik Sahib Farmatay thay ke Main Kashf se puri duniya ko dekhta hoon aur sab se kam tar khud ko pata hoon . woh to aisa claim nahin kartay thay na hi kabhi kiya.. YEH DEOBANDION KA EK PROPOGENDA THA jis ki wajah se Ahle Sunnat Wal Jammat mein kafi problems rahi hain lekin ab sab theek hai aur Alhamdulillah Sabhi Ulema Haqiqat ko jaan chukay hain ..
doosri baat yeh ke aap ne kaha ke inkay peer Sahib kehtay hain ke main Barailwi nahin hoon . Gee bilkul yeh sach hai.
Dekhen Mubarik sahib farmatay thay ke main Sunni hoon Hanfi Maturidi hoon Brailwi nahin iski bhi chand wajuhaat hain .
Haqeeqat yeh hai ke Barailwi Naam humain deobandion ki taraf se diya gaya hai lekin phir ahista ahista hindustan aur Pakistan mein yeh Sunion ki pehchan ban geya jiski madad se ab sunni aur wahabi deobandi mein faraq karna asaan ho gaya hai . Lekin Humaray bohot se Ulema aaj bhi khud ko Brailwi nahin kehtay aur na hi kehalwana pasand kartay hain . jis ki sab se badi dalil khud Bareli mein rehnay walay Mufti Akhtar Raza Khaan Sahib Al Azhari hain . is baray mein aap unka moqaf maloom kar lijiye woh bhi Khud ko Sunni kehtay hain aur khud ko barailwi kehna pasand nahin kartay agar Barailwi hona ab Sunniat ke liye Shart hai to Unse Bada Barelvi kon ho ga Hindustan mein ?? lekin woh is cheez ko deny kartay hain aur Khud ko Sunni hi kehtay hain . Barailwi naam to koi 100 saal se bhi kam arsa huwa hai aye hue is se pehlay to sabhi sunni thay .
Aur aap Hindustan se bahir nikal jain aapko Arab mein koi barailwi nahin milay ga na hi kisi ko pata ho ga Barailwi bhi koi hain yeh Naam sunnion ke liye sirf Hindustan mein Istamal hota hai Mubarik Sahib Afghanistan mein Paida hue aur Baray hue aur Phir baad mein Hijrat kar ke Pakistan aye .
Dekhen yeh koi baat nahin hai humaray logon mein aaj bhi kaiyon ko nahin pata barailwi kon hain main Italy ki baat karta hoon yahan par bhi Sunni aur Deobandi hi pehchaan hai Barailwi koi bhi istamal nahin karta balkeh aksar doston ko main samjhta hoon ke Barailwi hum sunion ko hi kehtay hain ..
Yeh thay aapkay do aitrazaat ke mukhtasir se jawab jinko shayad waqt ki kilat ki wajah se jaldi jaldi diya hai . Umeed karta hoon ke aap samjh gaye hon gey .
" Mujhe kuch logo ne btaya hai k Saifi silsilay k baray Ulama-e-Ahlesunnat ki raye theek nahi hai... "
Aap zara un se pooch ke un Ulema ke naam to batain ??
Khair aapki Tasali ke liye main kuch naam batata hoon
Hazrat Munazir e Islam Allama Saeed Ahmed Asad Sahib Bhi Saifi hain Aur Mubarik Sahib ke Khalifa Hazrat Mian Muhammad Saifi ke Mureed hain in se barh kar aur kya aapko kya naam doon waisay aur bhi bohot se Ulema hain jinko sabhi jantay hain Ahle Sunnat ke unkay bhi naam likh sakta hoon lekin Post lambi ho jaye gi aur likhtay likhtay baat kafi agay chali jaye gi oh bhi Saifi hain Jaisa Hazrat Allama Mufti Abdul Hakeem Sharf Qadri Sahib bhi Saifi thay aur akhri dor mein Mubarik Sahib ke Mureed thay yeh us dor ki hi baat hai jab yeh Propogenda shuru hua tha uskay Ilawa bohot baray baray Alim Pakistan ke Saifi hain Alhamdulillah na sirf Ulema balkeh Mehkama e Okaaf ke baday baday Afsar uskay Ilawa Army ke Bohot se Afsar Politicians Neez Har Shuba ke log is silsila mein Shamil hain aur Pakistan mein Lakhon log Saifi hain . aur aap Saifion ko dekh saktay hain ke woh Sunnat e Mustafa ke kitnay Paband hain. Ek Kamil Pir ki aur kya Nishani ho gi jo apny kisi Mureed ko Baghair Ek Muthi Darhi ke Dekhna Pasand na karta ho . Yeh Video Dekhiye jis mein Mubarik Sahib Mureeden ko Musafha nahin karnay de rahay aur dant rahay hain jinki Darhi Shariyat ke Mutabiq nahin :
Aap Rehmatullah Alyeh ne Hamesha Sunnat e Mustafa ki perwi ki hai aur Kabhi yeh bhi pasand nahin kiya ke aapka Mureed koi ghair Sharai Amal karay Hata ke Aap ke Khulafa aur Sahibzadgaan kisi aisay shaks ko Mehfil mein Samnay nahin Baithnay detay thay jo Sunnat ki Pairwi na karay . Kiyunkeh Mubarik sahib ke Nazar Jab Parti thi to aapse Bardasht nahin hota tha ..
Aisay Pir e Kamil ke baray mein unkay Dar ka ek Sag kya keh sakta hoon Ahle Nazar dekh kar hi jaan jatay hain .
Mazeed Ulema e Ahle Sunnat ke Tasuurat jananay ke liye yeh Thread dekh len :
http://www.islamimeh...saif-ur-rehman/
aur is mein itnay baray baray Ulema hain jinki baat ko koi bewaqoof hi denay karay ga . Aap apnay Sathi ko jinhon ne aapko bataya is muamlay se agah karen ya unko yeh Thread batain waisay main soch raha hoon ke ek Proper aur Final Thread banaoon jis mein Ulema e Ahle Sunnat ke Tassurat aur Fatawa Saifi Silsila ke Haq mein akathay kiye jain aur Video Saboot bhi diye jain takeh logon ko direct link de kar agah kiya ja sakay .
Allah Paak iski Tofeeq Ataa Farmaye .
Bhai Jaan Saifi bhi aapke Sunni bhai hain aur Ahle Sunnat se Juda nahin aaj Pakistan ki shayad hi koi aisi Mehfil ho jis mein Saifi Mojud na hon aur Hazron Ulema Pakistan ke is silsilay mein Shamil hue hain aur Faiz Hasil kar rahay hain Allah Paak hum sab ko Hidayat farmaye .
-
alSaifiya's post in Need Reference Of Hadees.. was marked as the answer
Hadith
عن زيد بن أرقم رضي الله عنه، قال: لما رجع رسول الله صلى الله عليه وآله وسلم من حجة الوداع، ونزل غدير خم، أمر بدوحات فقمن، فقال: كأني قد دعيت فأجبت، إني قد تركت فيكم الثقلين، أحدهما أكبر من الآخر: كتاب الله تعالى، وعترتي، فانظروا كيف تخلفوني فيهما، فإنهما لن يتفرقا حتى يردا علي الحوض. ثم قال: إن الله عز وجل مولاي، وأنا مولى كل مؤمن. ثم أخذ بيد علي رضي الله عنه، فقال: من كنت مولاه فهذا وليه، اللهم! وال من والاه، وعاد من عاداه
Translation:“It is narrated by Zayd bin Arqam : When Allāh’s Messenger (sal-lal-lahu alai hi wa sallam) was returning after the Hajjat-ul-wadā‘, he stayed at Ghadīr Khum. He commanded that a canopy should be put up and so it was done. Then he said: It seems as if I am about to breathe my last which I shall accept. Indeed, I am leaving two important things in your midst which exceed each other in importance:One (is) Allāh’s Book and the other (is) my progeny. Now it is to be seen how do you treat both of them after me and they will not be separated from each other, and they will appear before me at the Fountain of kawthar. Then added: Surely Allāh Subhana Wa Taala is my Master and I am the master of every believer. Then, holding ‘Alī’s hand, he said: One who has me as his master has this (‘Alī) as his guardian. O Allāh! Befriend him who befriends him (‘Alī) and be the enemy of one who is his enemy.”
References:
►Nasā’ī, as-Sunan-ul-kubrā (5:45, 130 # 8148, 8464)
►Hākim narrated it in al-Mustadrak (3:109 # 4576)
►Tabarānī, al-Mu‘jam-ul-kabīr (5:166 # 4969)
►Nasā’ī related it with a sound chain of authorities in Khasā’is amīr-il-mu’minīn ‘Alī bin Abī Tālib (pp.84, 85 # 76)
Yeh ek aur forum pe dekhi hai waisay aisi bohot si Ahadith hain
lekin apko chunkeh reference chahiye toh dekh lijiye